Hi Friends, aaj main pehli baar HindiMeHelp par koi motivational article share kar rha hoon, in articles ki mdd se aap logon ko kafi inspiration milegi joki aapki life me aapke liye kafi helpful sabit hogi. HindiMeHelp ka udeshay hi aap logon ki help karna hai.
Isliye aaj main aap logon ke sath Jack Ma (Founder of Alibaba.com) ki story share kar rha hoon joki ek bahut hi inspirational Story hai. jo ek garib parivar se the, wo aaj china ke sabse amir aadmi hai. Jack Ma ki story un logon ke liye inspiration hai jo ki garib parivar se hai aur ye sochte hai ki garib hone ke karn ve kuch nahi kar sakte.
Jack apne college entrance exams me do baar fail hua, use darjno baar naukari se reject kiya gya. Alibaba ki success se pehle unhone kai baar asafalta ka samana karna pada, lekin ve ruke nahi aur isi ki badaulat aaj ve china ke sabse amir aadmi hai. To fir aaiye jante hai
Page Contents
Jack Ma ki Success ka Safar (0 to Hero!)
Jack Ma ka janam 15 october 1964 ko Hangzhou namk sthan par hua tha joki china ke dakshini hisse me hai. Jack ka ek bda bhai aur ek choti behn thi. Jack ka privar garib tha. Jack bachpan me duble patle sharir ke the. 1972 me US ke president Richard Nixon ek baar hangzhou me aaye tab se Hangzhou ek tourist place ban gya, tab Jack ki umr 8-9 saal ke karib thi, Vah subah jaldi uthkar shahar ke main hotel me jata the aur english sikhne ke badle me tourists ko shehar me ghumata the. Unka ‘Jack’ naam bhi ek tourist ne hi diya tha.
Image Credit: BuisenessInsider.com
Unke paas paise nahi the isliye aage badhne ke liye unke pass kewal ek hi rasta tha vo tha padai ka. Apna High School pass karne ke baad usne usne college me apply kiya lekin vo do baar entrance exams me fail ho gya. Tisri baar ve exams me pass ho gye aur unhone Hangzhou Teacher’s Institute ko join kiya, Unhone 1988 me vahi se apni graduation ki. Graduation karne ke baad unhone bahu saari jobs ke liye apply kiya. lekin unhen har baar asafalta ka samna karna pada. bahut baar naukri se rejected hone ke baad unhen aakhirkar ek English Teacher ki job mil gayi.
Jack ko Computers aur Internet ka koi anubhav nahi tha, lekin ek baar jab ve 1995 me US ki trip par gaye to unhone pehli baar internet ka use kiya, fir ve internet se kafi akarshit hue. Jack ne internet par sabse pehle ‘Beer’ ke baare me search kiya tha, tab unhe ye jankar kafi ascharya hua ki results me chinese beer ke baare me kuch tha hi nahi. Iske baad unhone China ki ek internet company start karne ki sochi.
Uski pehli do koshishe fail ho gayi, iske 4 saal baad unhone apne 17 doston ko apne flat me ikkatha kiya aur unhen apne naye marketplace me invest karne ke liye mnaya jiska naam tha Alibaba. Is site par bade- bade niryatak apne saman ko list karte the aur Customers unhen yhan se directly kharid sakte the.
Is Service ne jald hi duniya ke bahut saare niryatko ko akarshit kiya. Isse Alibaba ko kafi munafa hua. 2005 me yahoo ne Alibaba me $1 Billion invest kiye aur company ke 40% shares kharide. Ye alibaba ke liye kafi tha aur Alibaba ne China me Ebay ko piche chod diya. Isse Yahoo ko bhi kafi fayda hua.
2013 me Jack ne Alibaba ke CEO ke pad se istifa de diya lekin ve alibaba ke karykari adhyksh (Executive Chairman) bane rahe. Alibaba ne Jack ko $25 billion ka malik bna diya aur vah China ke sabse amir aadmi ban gaye. Jack aaj china me ek celebrity jaise hai jinhe sunne ke liye bahut badi bhid ikkathi ho jati hai. Alibaba Company har saal Talent Shows ko bhi host karti hai. Jack Ma china me ek pryavarn sanrakshk ke rup me bhi jane jate hai.
Jack Ma ke kuch Inspirational Quotes:
1. कभी हार मत मानो। आज कठिन है, कल और भी बदतर होगा, लेकिन परसों धूप खिलेगी।
2. जब आपके पास एक मिलियन डॉलर है, तो आप एक भाग्यशाली व्यक्ति हैं। जब आपके पास 10 मिलियन डॉलर हैं, तो आप पर संकट है, बहुत बड़ा सर दर्द।
3. अलीबाबा के बुरे दिनों में मैंने सीखा कि आपको टीम में वैल्यू, इनोवेशन और विज़न डालना होता है। ये भी कि अगर आप हार नहीं मानते तो आपके पास एक और मौका होता है। और जब आप छोटे होते हैं, आपको बहुत अधिक फोकस्ड होना होता है और अपने दिमाग पर भरोसा करना होता है ना कि अपनी ताकत पर।
4. आपको अपने प्रतिद्वंदी से सीखना चाहिए, लेकिन कभी नक़ल न करें। नक़ल किया और आप मरे।
5. बहुत ज़रूरी चीज जो आपमें होनी चाहिए वो है धैर्य।
6. मैं पसंद नही किया जाना चाहता। मैं सम्मानित किया जाना चाहता हूँ।
7. इससे फर्क नहीं पड़ता कि पीछा कितना कठिन है, आपके पास हमेशा वो सपना होना चाहिए जो आपने पहले दिन देखा था। वो आपको प्रेरित रखेगा और (किसी कमजोर विचार से ) आपको बचाएगा।
8. हमारे पास कभी भी पैसों की कमी नहीं होती। हमारे पास कमी होती है सपने देखने वाले लोगों की, जो अपने सपनो के लिए मर सकें।
9. दूसरों की सफलता से सीखने की बजाये, उनकी गलतियों से सीखो। ज्यादातर लोग जो विफल होते हैं उनकी विफलता के कारण सामान होते हैं जबकि सफलता की कई वजहें हो सकती हैं।
10. आप कभी नहीं जानते कि आप अपने जीवन में कितना कुछ कर सकते हैं।
Jack Ma ke aur bhi inspirational quotes padhne ke liye yhan click kare.
Jack Ma ke Bare me Hindi Video
Friends aapko ye video bhi dekhna chaiye..
Jack ki safalta ke piche sabse bda karan tha ki unne kabhi har nahi mani aur isi bdaulat aaj vo is mukam par hai. Agar aap bhi apni jindgi me aane vali preshaniyon se har n mankar aage badhte rahe to aapko kamyab hone se koi nahi rok sakta.
Agar aapko Jack Ma ki ye story acchi lagi to ise social media par share jarur karen. Is story par apne views comment ke dwara jarur batyen.
aisi hi aur bhi nayi posts ke updates paane ke liye hmara free email subscription le aur hamen Facebook, Twitter, Google+ par follow karen.
Agar aapki Life me bhi koi Udesh hai, ya aapka bhi koi Sapna hai to usko Comment karke jarur bataye.. Muje ustukta hai jaanne ke liye :)
Facebook ki Success Story bhi jarur read kare :)
nice story, main bhi hindi mein blog likhta hu par abhi bahut kam visiter hain , visiter kaise badhayen samjh nahi aata hai ki visiter kaise aayen
nice story, main bhi hindi mein blog likhta hu par abhi bahut kam visiter hain , visiter kaise badhayen samjh nahi aata hai ki visiter kaise aayen
sir veri good story me bhi duniya ke amir logo ki list me sabse pahle no par aana cahta hu
Great personality ~ now his focus on india ~ ????????
Comment:mai bahut hi prabhvit hu aap ki jivni sun kr mai bhi ak chota privar se hu kas mai aap se mil pata jisne apni kismat ko apni mehnat se hasil kiya …..
Rohit bhai jaan main aaj first time yaha aapke website pe aaya aur mujhe yaha aakar pata laga ki duniya mean aapke jaise bhi log hai Jo din raat logo ko inspire karne ki sochte hai. Khuda aapko taraqqui de
Yahi duwa hai. Agar mujhe kisi kabil samjhe toh mujhe khushi hogi ki main aapke kaam aaya. Bhai salamwalaihkum.
Dil se thanks brother ❤️
Bhut hi Umda … Behtarin, Shandar story …… in Hindi !! :) :)
Achchha laga aap sabon ki baton se
Sir ji mughe bhi batae ki kaise you tub se kama sakte hai
Hi sir achha laga aap ke bare me jankar mera bhi ek help kardo aap ki you tub par kaise paisa kama sakte hai please jawab dedo
Hello sir jack mai bahut gribe hu muje koi esha kaam batao ki mai kuch duniya mai ban jau please tell mi sir
Aap youtube se kama sakte hai.. Par mhanat to karni padegi
Mujhe bhi kuch bta do yrr babut paise kmane h mujhe bhi but apne liye nhi poorman k liye but haath mai abhi kuch nhi h na job na paisa kya kru agar btana h to bhai special hi btana 7253908773 ye mera numb h
Nice store brother
Mai is world ka sabse rich person banna chahta hu
hello brother! net se jo paise kamayenge bo paise mere pas kaise ayega?
Thanks sir,
Apake aur iyse sapal logo ke real story padane ko
Milega aisi umid hai
bhot accha h
Rohit aap ko pata hai usne jis waqt company start ki thi uswaqt naya nikaalne k liye bohot kuch tha ab aap company start karte ho to us type ki company pehle se mojud hoti hai
Aapko kuch bhi bada karna hai to kuch naya karna padega jab hi aap success ho sakte ho.. Ye prakati ka Niyam hai
App se mera ek sawal hai
Jack ma, Ambani ya bilgades, jase log jis waqt apni kampaniya shru karte the use waqt zaadi companies nahi hua karti thi to wo kuch naya kar k apna business aage le gay aaj unki takkar ka koi
nahi
par aaj agar hum kuch naya karne ko to wo pehle se koina koi karta hai bussiness aage badhne ki bajay dubjata hai ab kuch naya nahi bacha
To jaha tak ki baat in logo ki hai wo nikal gay
Data bachane ka tarika bataye
Rohit plz tell ki you tube ke app se direct video galleries me kaise save kare?
bha se nahi kar sakte.. Q ki youtube direct video download allow nahi karta.
Good morning ,Rohit
Aap motivational stories daal kar bahot hi badiya kaam kr rahe hai…..
Mujhe aaj aapki help chahiye…..
Blopspot me post likhni k liye agar mujhe HTML code b post me daalna ho to kaise daalu….mai HTML ki post likh raha hu….
Mai chahta hu k code ko har koi copy kr ske …..kaise add kru is code ko…
Html code ki phele uncode karna padega.. Online bhut se tools hai uske liye
Rohit g, kya aap mujhe detail me bat sakte ho mai samjha nahi…
html file ko pehle wordpad ya notepad me bnana hai uske baad ise kaise add karu…post me please reply me fast ….
Rohit ji Gopal mishra sir aur Kiran Sahu sir ko articles likhne ke liye yahan kahiye… unki kahaniyan dekhi hain kabhi
Bhai apne ye bahut hi achi nd helpful jankari di h aap mujhe ye bata den ki aane apni hmh fruom kis website se banai h ya fir kon si website par froum me jada future milte h apne ye bhi kaha tha ki aap ye jaankari denge ki kaise fruom banate h
agar ham mobile ka desktop version kar De to.
kya mobile se blog banaya ja sakta
ha
Haa, par design or kuch chije hai jo mobile ? se nahi ho sakti
bhai , wese aap bhi kuch hi dino mai $1 billion tak pauch jaoge. uske baad mai apni story ke saat aapka naam bhi jorunga. Bhai mai ek beer Company kholna chahta hu . lekin abhi meri age nahi hone ke karan govt. permission nahi de dakti
Kya baat hai brother
apka ye soch bahut acha hai dusro ki madat karna apse ek saval mujhe ek website banana hai iske liye mai kya karu
NICE
AAP BOHOT ACHHA KAM KAR RAHE HO
Thanks
dear rohit bhaiya,
mujhe bahut achha laga motivated story.
such kahu to mera man aapke bare me bhi likhne ka man karta hai,
but mai to aapke bare me janta hi nahi hu,
dear rohit bhaiya,
mujhe bahut achha laga motivated story.
such kahu to mera man aapke bare me bhi likhne ka man karta hai,
but mai to aapke bare me janta hi nahi hu,
bahut achha maine bhi aapse bahut kuchh sikha hai.
Thanks Ravi ji… ummid hai aage bhi aapko kuch na kuch naya milte rahega.
Sir
MujheMujhe internet se paise kmane h
Jo sida mere bank acount me aa jaye
Aap Youtube or Blogger se kama sakte hai.. paisa bank me hi aata hai adsense ke jariye.