Whatsapp Sticker Update: Khud ka Sticker kaise banaye

Whatsapp Sticker Kaise use kare or kaise Khud ke Sticker Banaye agar aap janna chate hai to aapko uski puri jankari abhi mil jayegi.

Whatsapp ka New Update aaya hai jisme ham Whatsapp par sticker send kar sakte hai, jese Hike App me phele se hai..

Advertisements

agar aap Whatsapp use karte hai to kisi na kisi ne aapke pass Sticker abhi tak send kar hi diya hoga..

To Chaliye jante hai Whatsapp Sticker ke ware me or kaise usko Whatsapp me add kar sakte hai ya kaise apna khud ka Sticker bana sakte hai.

Whatsapp Sticker Update Khud ka Sticker kaise banaye

Page Contents

Whatsapp Sticker kya hai

Whatsapp ka New Update hai, jisme ham Emoji ke aalawa ab Sticker bhi send kar sakte hai, Jo ek Image hi hoti hai par Sticker ke Form me..

Jis trha Emoji se Message me jaan dal jati hai, ussi trha Sticker se ham bhut kuch extra kar sakte hai apne chatting me.

Demo ke liye aap niche ka Screenshot dekh sakte hai.

Whatsapp Sticker kaise banaye or use kare

Whatsapp Sticker kaise Use kare

Sticker agar aapko use karna hai or Sticker Whasapp me Add karna hai to sabse phele to aapko Whatsapp Update karna hoga. Whatsapp Version 2.18.340+ Version me Sticker Support karte hai.

Aap Whatsapp Beta Version me add hai to aap playstore se whatsapp update kare.. agar aap Whatsapp Beta me add nahi hai to aap niche di hui Button se direct Whatsapp Download kar sakte hai Whatsapp Official site se.

Whatsapp Update Apk Download

Whatsapp Update karne ke baad, Emoji ka Icon hai uspar click karke Sticker icon par click kare.

Whatsapp Sticker kaise send kare

Ab Whatsapp me agar aapko Sticker add karna hai to aap usme diye + button par click karke download kar sakte hai..

Whatsapp Stickers App Playstore se Download karne ke liye Button par click kare.. ya aap direct bhi search kar sakte hai: WAStickerApps

WAStickerApps

Khud ke Whatsapp Sticker kaise Banaye

Whatsapp Sticker ki ek sabse khas baat ye hai ki ham khud ke Sticker bhi bana sakte hai, or send kar sakte hai.. Customize Sticker agar ham kisi  ko send kare to uski to baat hi alag hoti hai.

Chaliye jante hai kaise Khud ke Sticker bana kar Add kare.

Sticker banane ke liye Kuch Apps ki jarurat padegi.

  1. MSQRD: iPhone ki trha iEmoji sticker banane ke liye
  2. Background Removal App
  3. Personal Stickers for Whatsapp App 

Aapko ke jo bhi Whatsapp Sticker banana hai phele usko edit karne ke liye aap Photo Editing Apps ka use kare..

jo bhi Image aap chate hai unko edit karke Background Remove karke png format me save kare.

Image Edit karne ke baad Personal Stickers for Whatsapp Open kare, waha aapko Mobile ke jitne bhi Image folder hai jo Sticker me add ho sakti hai wo aa jayegi, usme se aap Add par click karke Whatsapp me Sticker add kar sakte hai.

whatsapp sticker select kare whatsapp ke liye

Iss trha aap Sticker bana kar Whatsapp me add kar sakte hai or use kar sakte hai..

Ache se samajne ke liye aap Video bhi dekh sakte hai.

At Last: 

To ab aap bataye Whatsapp Sticker feature aapko kesa laga.. or kya aap isko use karege ke nahi..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

12 thoughts on “Whatsapp Sticker Update: Khud ka Sticker kaise banaye”

  1. Really आपने आज के इस post में whatsapp sticker update की अच्छी खबर को share किये हैं । बहुत ही अच्छे तरीके से बताया कि की खुद के sticker कैसे बनाये और व्हाट्सएप्प पर share करे ।
    इस बेहतरीन जानकारी को शेयर करने के लिए Thanks !!

    Reply