Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad Se

Internet Aaj hamari jisndi ka kitna aham hissa ban gaya hai, ye to sabko lagta hi hoga.. Mere Mobile me ya Computer me to agar 10 Minute bhi Internet naa ho to aesa lagta hai, Pata nahi kis duniya me aa gaya hu.. Matlab Puri Duniya se hi disconnect ho jata hu..

WiFi Hotspot Banaye Computer Me NotePad ki Madad Se

Bhut Bar hota hai Hamare Mobile me ya fir kisi Friends ke Mobile me Net Chalana hai par ham Ya Fir Dosto ke Sath Lan Game Khalna ho to ham WiFi ki madad connect kar sakte hai.. Uske liye bas hame apni Computer ko WiFi Hotspot me badalna hoga, jo bhut hi aasan hai.

Advertisements

Also Read: Connected WiFi ka Password kaise Dekhte hai

Wifi Hotspot banane ka Fyada

  1. Sabse bada fayda internet sharing hai, isse aap apne laptop se apne family members aur padosio ko apna internet share kar sakte hain.
  2. LAN par games games khelne ke liye bhi hotspot banana padta hai jisme bhut se Laptop ek sath connect karke game khal sakte hai.
  3. File share karne ke liye (Wireless). Iski madad se ham Fast file transfer bhi kar sakte hai..

Jo Trick hai Laptop me WiFi Hotspot banane ki usme kisi software ki jarurat nahi hai, Simple Notepad ki madad se 2 .bat file banani hai.. Chaliye Dekhte hai kese kya karna hai.

Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad se

Step 1: Pehle step me apne laptop pe Notepad khole (Press Win key+ R, aapke samne ek run dialog box khul jaega usmein ‘Notepad’ type karein aur enter key press karein )

run me notepad dale notepad open karne ke liye

Step 2: Ab niche ke code ko copy karke notepad me paste kar dein

netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=Wifihotspot key=hmh1234567
netsh wlan start hostednetwork

Wifi Hotspot banane ke liye ye code dale notepade me fir save karde

yahan SSID wifi hotspot ka naam hai jise aap apne hisab se edit bhi kar sakte hain and key Wifi hotspot ka password hai, isse bhi aap apne hisab se edit kar sakte hain.

Step 3: Is step me, apni is file ko startwifi.bat name se save kar dein(.bat extension ka dhyan rakhein)

startwifi bat ke maan se save karde

Step 4: Ab is step me ek new notepad file open karein aur niche ke code ko copy karke paste kar dein

netsh wlan stop hostednetwork

wifi band karne ke liye ek file banaye hmh.

Step 5: Is file ko stopwifi.bat name se save kar dein.

wifistop bat ke naam se file save kare wifi band karne ke liye hmh

Aapne jo File Banai hai uske aesi jagha save kare jaha jaldi se phucha ja sake.. Desktop par bhi save kar sakte hai.

Ab WiFi Hotspot Chalu karne ke liye Startwifi file par double click kare to Wifi Hotspot shart ho jayega.. Or fir kisi bhi Device me Wifi Connect kar sakege.

WiFi Hopspot ko band karne ke liye Stopwifi ki file par double click kare.. WiFi Hotspot Band ho jayega..

Hai Na Aasan :)

Aapko ye jankari kesi lagi comment karke bataye, or Agar or koi jankari chaiye to aap site par search kar sakte hai.. bhut si jankari phele se share ki hui hai.. Fir bhi agar aapko jo jaanna hai wo nahi milta to aap comment karke puch sakte hai..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

104 thoughts on “Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad Se”

  1. Rohit Bro Sabko Wifi Hotspot Start Karne Mein Dikat Aayegi Kyoki Apne ek Chij List nahi Ki Hai.
    KI
    Aapne Jo Bat Files Di Hai
    Uspe Right Click Karna hai
    fir Jo “Run As Administrator” Ka option aata hai uspe click karna hai,tab wifi start hogi nahi toh nahi hogi.
    aap please ye error apni post mein change kar do.

    Reply
  2. Sir ji mera ek PC hai usme koi modarn lagata hu Internet chalane ke liye to modarn install karne ke bad kholta hu my computer me jakar to wah loop ho jata hai phir 1,2 second ke bad aajata hai phir kholta hu to phir se loop ho jata hai to ye problem hai kiya Kate sirji plz help me

    Reply
  3. rohit Sir Ye trick success nhi hui,,,,,,

    jab start karo tab thoda sa black colour ka dialog box hota he kuch second k liye fir baad me Hide ho jata he.

    Kya isme hume wifi ki 6oti Device bhi use karni hogi kya ??

    Sirf Hotspot ke liye kewal hotspot k liye Internet connection ki jarurt bhi hogi kya ?

    please solve mah problems ,,,

    aur iska mtlb kya hota he ?

    notify me of follow up comments by email..

    Reply
    • Kishor kumar
      Hello sir me apne PC me Wi-Fi hotspot banana chahta hu computer me notepad ki madad se pr RUN program me notepad type karne ke bad enter key press karne pr notepad open hota h pr koi code open nhi hota h niche fir copy karke notepad me kya paste kre run program me notepad type karke enter key press karne pr surf notepad open hota h koi code to at a hi nhi h plz mujhe btaye ki Wi-Fi hotspot kaise banaye ham apne computer pr

      Reply
  4. sir mai aap ke batane ke anusaar maine ye proses ki hai lekin sir wi fi hotsopt chalu hi nhi hota hai mai 5 bar trae kiya hu sir micromax 106 me wifi on kiya to kuchh nhi batay koe bhi linke nhi thi q reply

    Reply
  5. mene footer se widget hatane ki koshish ki bhai lekin jo me theme use kar rha hu usme ye option nahi hai shayad aur post me content original hai bhai mene copy nahi kiya hai kisi ka bas internet browse karke thoda idea leraha hun aur apni language me likh raha hun

    aur thanks mera blog visit karne ke liye me aagey se dhyaan rakhunga jaisa aapne bataya vaise hi implement karke samajh kar post karunga.

    Reply
  6. hii sir mujhe adsense team se ye notification mila h plz ap mera blog to dekh hi chuke ho mujhe batao is notification ka karan kya h or me ise kese thik kar sakta hu . . . . . . .”You have no account-level policy violations on record. Thank you!” ye wo notification h

    Reply
  7. bhut achche bhai mai aapki tips abhi yani 2-4 roj se padana suru kiya hu mujhe bahut achcha lag raha ha aapki sari jankari .
    @ dhanyabad @

    Reply
  8. Thanks rohit bhai reply karne ke liye.. aapko design kesa laga?
    aur kya aap mujhe kuch tips suggest kar sakte hai plss jisse mujhe thoda inspiration milega aur aagey badne me aasani hogi

    Thanks

    Reply
    • aapne jo page ka widget add kiya hai.. wo footer ki jagaye aap header me kare.. usse wo menu ki trha lagega..

      Mene aapke blog ki post dekhi or aap muje galat mat samajna.. aapne post dali hai wo aese hi naa dale ki kahi se read kiya or usko apni language me daal diya.. ye hi galti bhut log karte hai.. khane ka matlab hai post jab dale jan khud usko implement karke dekh chuke ho or uske bare me achi se sahi jankari ho.. Agar aap meri baat samaj gaye to aapko aage ja kar iska kitna bada faida hone wala hai ki aap muje Thanks kha kha kar takh bhi gaye fir bhi pura nahi hoga..

      Jada tar hota ye hai.. agar me kisi se kahu ki aap aesipost naa dalo to wo samajte hai ki me isliye kha raha hu q ki me unka compitation me hu.. par aesa nahi hai.. aap khud hi sochiye agar aap koi post pad rahe hai or aapko usme kuch galat laga to kya aap us site par dubara jayege.. me to nahi jaoga.. Par agar jis bare me ham likh rahe hai wo hamne tri kiya hai to hame uske bare me achi jankari hogi to ham usko or achi se likh sakte hai.

      Reply
  9. You have no account-level policy violations on record. Thank you!”….sir ye mail jis din aayi thi us din mene apna temple change kiya tha kahi uski wajah se to nhi aaaya plz ap mere blog ko visit karke batao kis wajah se esa mail aya plzzz

    Reply
  10. bhai bahut achchi lagi jankari. Par maine kiya ye sab par hotspot on nahi ho rahi hai maine apne laptop me netsetter se internet chala kar saari files notepad me banake uske baat ko WiFi e connect karna chahta hu par WiFi me no networks found ata hai pls help bro

    Reply
  11. Namsate Rohit sir kuch puchhne se pehle mai apko thanx kehta hu kyukikyuki sir aap ek best blogger je sath sath achhe insan bhi hai sir aap apne blog visiter ko best tarika btate ho aur puri imandari ke sath jbki aajke is time me sabhi log ye sochte hai ki jis field me mai hu uska kuch secret apne pas rakhu sir mai god se pray karunga ki aapki blog ranking 1st ho… Aur sir sirf apki motivation se maine bhi blog banaya hai sir darsal mai gav se hu lekin fir bhi almost chije janne ki kosish karta hu Aur mai blogging puri mehnat se karna chahta hu Jisme mai chahta hu ki Ap mere owner ho sir mujhe blog se paisa nhi kamana hai bas logo ki help karni hai aur apni pehchan banani hai to sir ab maine blog banaya hai to sabse pehle template kaun sa use karu ab aap koi site ya link mat dena kyuki mujhe abhi blogging ki jankari hai aap bas koi template ka nam bataye jo free ho kyuki mere pas blogging me lagane ke liye paise nhi hai mai apni mehnat se pehchan banna chahta hu … mai pic editing aur sayri ke liye article likhunga jo mujhe achhe se aatiti hai plz sir umid karta hu ap meri help karoge aur mujhe step to step guide kroge sir ye mere whatsapp number hai +917706848389 agar koi problem na ho to ap mujhe whatsapp msg kijiye mai apko paresan nhi karunga… plz sir regards by me

    Reply
    • Aap notification me click karke stutas me dekhe.. aapki kisi site par kuch aesa kiya gaya hai ads ke sath jo adsense ki policy ke khilaf hai.. to aap usko sahi kare nahi to aapka account block ho sakta hai.

      Reply
  12. sir mujhe ye massage adsense se aaya hai iska kya matlb hai tell me fast…. “This is a warning message to alert you that there is action required to bring your AdSense account into compliance with our AdSense program policies. We’ve provided additional details below, along with the actions to be taken on your part.”

    Reply
  13. hello rohit bhai

    me apko thanks kehna chahata hun.. aap sabki help karte ho aur apki website himdimehelp se aaj bahut logon ne internet ke baare me blogging ke baare me seekhne ko mila hai aur apke visitors bhi aapki kitni respect karte hai me hamesha fb group me twitter pe dekhta rehta hun kyunki me khud hmh.pe ka regular visitor hun aur bhai aaj apki meherbani se mene ek new site banayi hai aapke bataye hue saare steps follow karke aur me chahta tha ki pehle aap dekhe isiliye plzzz aap dekh kar batayi mere blog me sab sahi hai ya nhi aur kuch changes karna hai toh batayiye

    Thanks
    Akram

    Reply
    • Thanks Akram.. aapki SIte new hai.. abhi usme bhut se kaam baki hai.. aap badiya post dale or jo faltu ke widget hai unko site se hataye.. Post me kam se kam ek image jarur use kare taki wo Post ki future image me bhi aa sake..

      Reply
  14. Nahi ho raha hai hotspot start.Maine mobile me wifi on kiya connect karne ke liye to show ho raha hai No networks found help please apne laptop me maine sab kuchh theek se kiya hai fir bhi.. Windows 8 hai mere laptop me

    Reply
  15. Rohit bhayi blogger me head ke niche meta tag add karna h par blogger me setting preference me b meta tag ka option h to kya isme b add karna padega meta tag mera Matlab dono option me ya ya kisi 1 me or agar 1 me to kis option wale me I hope aap meri baat smgh gaye honge.
    Plz reply me.

    Reply
  16. Mai template ko lekar bahut confusion me
    Hoo mera blog blogger par hai Jo ki motivation par hai aur abhi bhi blogger
    Ka simple template use kar raha hoo
    Do mahine ho chuke blogging ko Maine
    Sora ka ek bar template use kiya tha
    Lekin uske bad analytics me Page view
    Run gaye the aur minus me Jane page
    Pata nahi reason yahi tha ya koi aur
    To Maine phir blogger ka simple
    Template laga diya aur analytics par
    Phir se account banaye ab thik chal
    Raha hai . aur kai logo ne mujhe template
    Change karne ke liye kaha lekin agar
    Mai karta hoo to suna hai usme link
    Vagarah hatani padati hai apload to
    Mai kar leta hoo lekin phir kya kaise
    Kare ye dikkat hoti hai mai aapka
    New visitor hoo yadi is bare me koi
    Post ho to uska link de aur mera blog
    Bhi check kar le aur javab ho sake
    To mere blog par hi dede ,,, dhanyvad

    Reply
  17. Rohit bro me bas iss jagha confuse hu agar iss parakar kisi ko comment karta hu to isko backlink mana jayega ya nehi plz batao bro Hindi Me Help! or bro aap all hindi blogger ke inspiration hai, aap hi ke bajha se aaj hindi blogging bahut uppar aa raha hai, or kuch dino se notice kar raha hu aaj kal sab kuch hindi me mil jata hai google me but pahale nehi milte the great bro :-)

    Reply
    • aapne jistrha se link post ki hai.. me apni site par to aese allow hi nahi karta.. or aese me dofollow link milti hai dofollow nahi.. kuch sites hai jo do follow link bhi deti hai.. par aese karne se acha ham jo post hai usse sambandit link de connent me .. isse hamara cpmment spam bhi nahi khalata.. comment kaise karna chaiye uski jankari ye liye aap ye post pade

      Reply
  18. Rohit sir,please aap mujhe ye btaiye Ki mouth shut par jab hum apni acount detail bharte hai to vaha I’d proof Ki do photo magte hai. Aadhar card etc Ki to waha par Hume apne documents Ki photo kheech kar upload karna hai ya kyc documents aur kahi se prapt hoge agar ha to kaise. Please reply me sir.

    Reply
  19. bhai miane chitika pr account banaya hai aaj,,, or mere blog pr add bhi show ho rhe hai,,,,,, nd mere friend add pr bhi click kr rhe hai but,,,, chitika account me koi bhi action nhi aa rha earning abhi bhi 00 pr hai plzzz koi solustion do

    Reply
    • jaan bhuj kar click karne par koi income nahi hoti.. koi agar site par aa kar direct ads par click karek or ads ko cut kar de.. isd trha se wo samaj jate hai ki ye fake click tha or uska koi paisa nahi milta..

      Reply
  20. Bhai mai aapne youtube channel par Bollywood movies and music videos upload karna chahata hu lekin use ki permission kahan se milti hai or kya karna padata hai
    Please aap muje step by step details mai bataye please

    Reply