Dosto blogging me fail hone ka ek sabse bada karna ye bhi hai ki hame bloging ke bare advance jankari na hona. Hamre blog me bhut se aaise error hote jo hame pta hi nhi chalta or jis vajah se hamare blog par traffic nhi bdhta.
Agr hame blogging me kamyab hona hai to hame in error ke bare me pata hona jaruri hai. Blog par bhut se achi post hone ke babjud bhi hamare pas traffic nhi aata hai eska ek reason error 404 ho skta hai.
Sabse pahle to hame ye pta hona chahiye ki not found, 404 error kya hai or ye kab aata hai or kese thik karne ke liye kya kare ?
WordPress me Not found, 404 Error Kya hai ?
Dosto blogging me jankari na hone ki bajh se ham kafi galti karte hai. Bhut bar ham apni post ki url ko badal kar bahut badi galti karte hai. Aaiye ese ek example ke jariye samjhte hai.
Ham manke chalte hai hamne 2 june ko ek post banai Passport Kaise Banwaye ? Eska url bhi hamne yahi diya passport-kaise-banwaye or es url ko hamne google webmaster me submit kar diya 2 june ko hi. Agle din jab bhi koi google me search karega Passport kaise banwaye to hamari post search me aa jayegi or apni post es link pe clik karne se aasani se khul jayegi.
After 1 mont hamne apni post “Passport kaise banwaye” se change kar ke “passport kaise banwaye hindi” me ya fir “how to make a passport kar diya”. Ab koi bhi visitor agr google me Passport kasie banwaye search karega to apni old post url passport-kaise-banwaye google me aa jayegi lekin jab vah us link par click karega to usse Not found, error 404 dikhai dega.
Url change karne ke karan aap ki post pe kafi effect padta hai jaise auto share plugin se ke dwara hamari sabhi post facebook, Twitter jaisi social site par gyi hui hoti hai lekin jab ham url change karte hai to unki url pahle wali hi rehti hai or jab bhi koi social site se hamare link par click karta hai to usse Not found, error 404 milta hai.
Isliye jahan tak ho sake url change na kare to hi thik hai lekin fir bhi agar apne ye galti kar di hai to koi bat nahi ham batayenge apko Not found, error 404 kaise thik kare?
Not Found, 404 Error kaise Sahi kare WordPress me
1. Dosto eske liye apko add plugin me jakr Redirection ke naam se ek plugin hai usko install krna hoga. Install karne ke baad aap tool option par jakar Redirection par click kare.
2. Redirection ke clik karne par aapko ye screen dikhayi degi
3. Ab apko 404s pe clik krna hai or ab apko ye screen dikhai degi
4. 404s pe clik krne par apko vo sbhi url dikhai de jayegi jinme not found, error 404 aa rha ho. Ab apko url ke samne di hui date pe click Add redirect pe click karna hai fir aap ko niche ye screen dikhai degi.
5. Upar di hui screen me apko 2 option dikhayi denge Source Url jisme hame apni pehle ki old url dikhai degi or Target Url me hamko apni post ki new url dalni hogi. Es doran ye dhyan rahe ki only post ki url hi dale jaise /how to find ncert solution free in hindi ye shi hai or hindimehelp.com/ how to find ncert solution free in hindi galt hai.
6. Apko 404s me jitne bhi url dikhayi de unko es tarah se thik kr le akpi old url me not fond, error 404 aana band ho jayega. Jo url apne es tarah se thik ki hi unko aap Log ya 404s me old url pe click karke dekh sakte hai.
Is trha WordPress Blog me ham aasani se 404 Error ko hata sakte hai.. To Dost apko hamari ye post kasi lagi hame jarur bataye..
Ye ek Guest Posts hai, HMH Apni Guest Post karne ke liye yaha click kare
Dusri Guest Post Padne ke liye yaha click kare
Ye Bhi Pade:
Thanks for detailed information. It helps me to improve… thanks
Bhai mene meri website ko blogger to WordPress transfer kiya.. par uske pehle likhe hua jitne bhi post the vo 404 error dikhai de raha he..
nice post sir muje janna hai ki without plugin ye problm fix kar sakte hai..?
aap .htaccess se kar sakte hai.. par usko sahi se karna jaruri hai warna error aati hai.
Sir mera blog pahile blogger.com par tha maine ise kuch dino pahile wordpress par transfer kiya godaddy me hosting ka nameserver bhi add kiya. Bich bich me domain me (404. That’s an error.
The requested URL / was not found on this server. That’s all we know.)
Is trah se massage aata hai website open nahi ho rahi hai kya problem hai please ek bar check karke bataiye.
Sir, aap ne bahut achche se bataya. Thank you so much.
me apna blog wodprss pr trensfer karna chahta hu
blogger to wordpress kaise kare uski jankari yaha hai.
great information. thanks Rohit
Thanx Bro.
nmaskar sir ji, sir maine apne blog blogger ko 1month phle wordpress par migrate kiya tha. mere blog me 108 post hai par google search console me 340 url not found show rha hai. to kya mujhe isi trh jaise aapne is post me btaya hai fix krna hoga.
sir ek aur question. kya main inko redirect knre ke phle inke url ko change kar skta hu kyoki sbhi url jo blogger par hinglish me the wo sab hindi me ho gye hai.
aur sir mujhe kuch din phle ek mail bhi aaya tha jisme Increase in “404” pages on http:/domain.com likha tha.
Bhai isi tarike se me redirection karta hu par search conslole me redirect ki hui url bhi 404 error me hi show ho rahi hai . pahale 142 url error the lagbhag 20 url redirect kiya th but abhi 144 url error aa rahe hai . kya karna chahiye
Rohit ji aapko mail kiya hai please check kijiye
Tikh hai brother
sir isme page redirect karne ke baad plugin ko delete kar sakte hai na….?is se kisi prakar ka effect toh nahi padega…? kyoki most of the plugin ke sath yahi hota hai wo jab tak active rahte hai tab tak proper work karte hai,then sab over
install karke rakhna hoga
Sir mera website WordPress par hai aur ribbon theme use kar raha Hu
Server error aa raha hai
abhi aapki site sahi open ho rahi hai.. kabhi kabhi server me error aa jati hai..
aur mujhe blog k bare me jyada jankari bhi nahi hai to please help
hello rohit mujhe bhi blog bnana hai aur maine bna bhi liya lekin use Google par jodne ke liye URL bol rha hai ye kya hai
rohit sir maine apna blog wordpress par transfer kar liya hai but problem ye hai ki google search me post par click karne par 404 error page not found aa raha hai isko kaise theek karu
rohit sir wordpress me import ka option open nahi ho raha hai iska kya solution hai
mene bhi wahi template usekiya jo aapne kiya haipar mere home page par post full show ho rahai haiaise kiyu
Aap new page create kare.. Or usko home page set karde
WordPress me jab main kuchh bhi post karta hu to content home page me hi save hota hai. next page apne aap nhi bnta. jaisa ki aapke website me bna huaa hai 22 page tak. to mujhe ye janna hai ki jab main nya post karun to purana post apne aap next page me kaise jayega?
Sir, mujhe gujarat board 12 ( comers) exam nu result jowu che
Bhai main ap ki site pa guest post likhna chahta hn
Sir blogger mai copyright post ko kase pehchane
bhai kya aapko pata h ki main aapka bahut bada fan hu or aapke sare article bhi padhta hu
kabhi kabhi aap par gussa aata h lekin baad me acche lagne lagte ho jab app meri help karte ho
Sir blogger mai coperight post ka kase pata lagaye
Bhai main apni econ website banana chahta hu like amazone or flipkart.. Plz do help. Econ website jaise banal kaise product add Karin.. Or payment get way tak.. Full jankari..
If u want any kind of donation or royalty I’ll pay for that ..
Bahut achhe tarike se bataya aur samjhaya bhi apne
Thansk Rohit Ji hamri guest post publish karne ke liye. Ham aage bhi esi tarah se apke blog se logo ki shayta krte rhege. Thanks again
sir, kya Google Adsense se banned kiya gaye Domain phir se thick ho sakta hain kya. if ha to kaise?
bro.. mujhe janna hai ki mein.. apne blogger (blogspot)
Mein Neechay footer m… Navigation Menu kese Create kru…like ur site…
Kese hoga aur
Kya ye template m edition krke ho skta h ??
Haa ho sakta hai.. Aap footer me link widget add karke add kar sakte hai