mai aap sabhi blogger’s ke liye helpful Android apps ki list lekar aaya hu jo mere hisab se har ek Blogger ke Smart phone me hona chaiye. inse Blogging me bhut help hogi.
Page Contents
Usefull Android App Blogger ke liye
#1: Blogger
jinka blog blogger.com pe hai unke liye ye app bahut usefull hai, is app ke jariye wo kafi had tak apne blog ko chala sakte hai. is app ki madad se aap blog pe new post kar sakte ho ya purane post ko bhi edit kar sakte ho or bhi kai sare features hai is app ke to ek bar jarur try kare is app ko.
Blogger ki Puri Jankari ke liye – www.HMH.pe/Blogger par jaye
#2: WordPress
agar aapka blog WordPress ya self hosted wordpress par hai to aapke liye ye app kafi kam ka hai. mere website pe aane wale sabhi comments ka reply mai isi app se karta hu. ye app bahut hi achha hai. is app ke features ke bare bat ki jaye to is app ki madad se hm new post likh sakte hai, or unhe publish or edit Bhi kar sakte hai, blog ke comments ka reply kar sakte hai. is app ka or ek feature hai ki hm is app ke jariye apne blog pe aane wale traffic, page views, search terms, koun se page ya post pe kitne visitors aaye ye sb Bhi Jan sakte hai.
#3: Puffin Web Browser
Website ko access karna mobile or Computerme bhut alag alag hota hai.. or agar aap ek blogger hai to aapko bhut se aesa editing ke kaam bhi karne hoge jo aap mobile browser se nahi kar sakte.. par Agar aap Puffin Web Browser ka use karte hai to website ko bilkul computer ki trha access kar sakte ho.
#4: Photo Editor
dosto aap sabhi to jante Hi hai ki blogger’s ko post me writing me dhyan dene ke sath sath images par Bhi dhyan dena padta hai. images ko edit karke usme hm koi shape ya text dalkar use or achha bana sakte hai. photo editor app ek bahut hi simple sa app jo aapke photos ko edit karne ke liye bahut hi badiya hai.
Download Photo Editor App
Also See: Website ke liye Free Photo Download karne ki 11 websites
#5: Wps Office
kafi sare blogger’s apne post phone par hi likhte hai.mai bhi apne blog ke post likhne ke liye apne wps office notpad ka use karta hu. iska user interfaces bahut achha hai. isme kafi sare features diye gye hai. aapko ye app ek bar jarur use karke dekhna chahiye..
#6: Google Analytics
Google Analytics app se hm apne blog par aane wale traffic, page views, unique users, bounce rate etc ke bare Jan sakte hai. jinka blog blogger.com pe hai unke liye ye app bahut kam ka hai. kyuki isme unke blog ke visitors ke bare detail me jankari milti hai. or ye app Google ne develop kiya hai to ye app blogger’s ke liye must have app ban jata hai.
Read: Google Analytic me account bana kar Blog me Add kare.
#7: Facebook Page Manager
Facebook visitors pane ka ek achha source hai. aapke blog ka Bhi Facebook page jarur hoga. Facebook page ki madad se aap apne blog ke Facebook page ko manage kar sakte ho. is app ki madad se aap status update karne ke sath sath aapke page par aaye msgs ka reply Bhi kar sakte ho or Bhi bahut sare features hai is app ke. to ye app Bhi apne phone me jarur install kar le.
Download Facebook Pages Manager App
Read: Continue Read Trick se Page or Group ke Like Badaye
#8: Twitter
twitter ek bahut Hi popular social networking app hai. aapne apne blog ka twitter account jarur banaya hoga . twitter app ki madad se aap apne blog ke twitter followers ko up to date rakh sakte hai. or new post ke bare tweet kar sakte hai.
#9: Google Adsense
Google adsense se sabhi blogger’s wakif honge. Google adsense hm sb blogger’s ke bich kafi popular hai. Google adsense app se hm apne earnings, clicks or Adsense account ki Puri Detail Mobile par dekh sakte hai.. To Agar aapka Adsense account Approve hai to ya aap bhi aapke Mobile me hona hi chaiye.
Download Google Adsense App
#10: Google Drive
Google drive ke bare to aap shayad jante hi honge. ye Bhi kafi sare smartphones me pre installed hota hai. Google drive app ke jariye aap koi Bhi song, file, photos ya kisi Bhi tarah ke data ko Google drive me store kar sakte hai. or is stored data ko kahi pe Bhi share kar sakte hai. Google drive pe hame 1 account me 15 gb ka space milta hai Jo kafi hai.
#11: YouTube
ye app to lagbhag har smartphone me preinstalled aata hoga. is app ki madad se hm apne blog ke tutrial videos ko upload kar sakte hai. or sath hi sath videos dekh Bhi sakte hai or Chanel’s ko subscribe kar sakte hai. Youtube ki or jankari ke liye yaha click kare.
Also Read: Youtube Video SEO Tips jo Har YouTuber ko pata hona chaiye
#12: Google Keep
Koi bhi kaam karo to uski list bana kar kaam karse par hi wo sahi hota hai.. to aese me aap apni list banane ka kaam ho ya Post ke liye Idea collect karne ka.. aap Google Keep app ki madad se kar sakte hai.
#13: Sinium SEO Tools
Blog ko agar success karna hai to usko analyse karna or sahi tarike se SEO karna bhut jaruri hai.. Aap iss app ki madad se bhut se SEO related factors ko check kar sakte hai, jo SEO me kaam aate hai.
Read: SEO ki Puri Jankari in Hindi
#14: Hindi Me Help Android App
Dosto agar aap BLogger hai to aapko Hindi Me Help ka App bhi install karke jarur rakhna chaiye.. aap is app ki madad se naa sirf hindi me help balki or bhi jitni aapki pasand ki site hai unki post mobile par pad sakte ho.. uske liye simple aapko wo website app me add karni hogi.
To Dosto ye kuch App jo mere hisab se Blogger ke pass rhana chaiye, Inke aalawa Agar aapko lagta hai ki or bhi koi App hona chaiye to comment karke bataye.. usko bhi post me add kar diya jayega. Thanks and Happy Blogging
Ye ek Guest Post hai HMH.pe agar aap bhi apna Post Publish karna chate hai to yaha click kare
आपके द्वारा लिखी पोस्ट ब्लॉगर के लिए बहुत important है
मै आपके इस साइट मे डेली विजिट करता हूं और आपके द्वारा लिखे पोस्ट से सीखकर खुद भी ब्लॉगिंग करता हूं | में blogspot blog में ब्लॉगिंग करता हूं जिसमे मुझे एडसेंस approval भी मिल गया है लेकिन उसमे इतना ट्रैफिक नहीं आ रहा है कि मुझे अच्छी इनकम प्राप्त हो सके कृपया मेरे ब्लॉग में विजिट करके सुझाव जरूर दे
Thanks for this article.
nice Post
Nice post
Nice post
Achchha hua sir aapne ye post likha. Mujhe Kuchh Aur Apps Ke bare me pata chala
Rohit bhai aapke dwara diye link show nahi ho rahe hain
Jankaari achhi lagi thanks
Bhai is post me jo download button aapne use kiye hain vo show nahi ho rahe ise thik kar lijiye
Hello sir mai apne phon SE kisika wifi hack karna chahta hoo. Aur Maine AndroDumper SE hack kiya hoo but kux pal k liye hi conect hote aur fir baadme hota hi nahi so sir if you have any Idea so plzzz help me….. (@j@)
Sir apps kese bante h ap meri help kijiye pls
sir kya aap 4.2.2version ko 5.1.0 me update kar sakte he to please mujh. bat a do
Hi… Sir Facebook page me blog ko kaise connected karte hai
sir me ek blog banana chahata hu mujhe blog ke bare me puri jankari chhiye
Hello sir me java script or dusri bhi coding language sikhna chahta hu par internet me isse judi post mil jati he par usme sirf java script kya he vo hi likha hota he par muje script banana sikhna he hindi me to please aap hi kuch suggest kardo kese sikha jaye
Thank you Dude !
Great apps for blogging. Many peoples didn’t know about it but this post make easier for them. And also helpful for me.
Thank you
AdSense account disappeared likha aata he. Kya pay karna chahiye
Sir kya android mobile se blogging ki editing best tarike se kr sakte he
Bhai koi asa tarika batoo ki m kisi k bhi phone hack jr sakoo wo bhi bina uska mobile ek bhi baar liya.sirf knowledge k liya
Sir mughe jankari yah leni Hai ki whatsapp Mai kisi alag country ka number use Kar sakta Hu
sir music website me film ka gana dalne ke liye film produser se gana kharidna padta hai kya
ji haa.. agar aapko legel tarike se kaam karna hai to
Comment: Sir mujhe Tahir Khan Klj name she ek website banani h kaise Karo sir
sir ap ne hindimehelp app kaise banaye….kis website ka use kiye hain…batayen plzzz
Sir mujhe ek cllg ke liye app banani hai jo saari information de sake ki kab sessional hai kab fee pay krni hai kab last date etc ..plse tell me sir step by step
mera fb account koi or use kr rha hai me bina otp ke kaise use wapis lau help
Maine apne blog ka app bnaya h use google play stor par kaise publish kare
help me rohit
Dear sir,
My name is vikash muje eak blog bnana hai to aap meri help kr skte ho ki blog kese made krte hai
uski jankari yaha hai
Hello sir kya chori hua phn wapis dhunda ja sakta he
hello rohit bhae
sir mene hindi me help par bohat kuch sikha hai par
mere mobail par templet dicijanar dawnlod nahi ho raha hai
mene apka apps bhi dawnlod kiya hai
hindi me help
plese help
mai hindi me help gruop me join hona chata hu
whattsup gruop me bhi join hona chata hu
mo.no.919979459567
india
kirit vanjara
gujrat
diwanaashik.blogspot.com
bhai main koi bhi Atm se Domain le Sakta hu…kaise hoga payment bataye…
Sir kya main apna Blog ko bina Domain liye aur
hosting le Sakta hu… aur WordPress par transfer kar Skata hu…please help me confused ho raha hun
hosting kaise le uski jaankari ya hai
Btaye ki agar mera city facebook pe listed na ho to kesa karen listed. plz help me
aesa kese ho sakta hai.. konsi city hai aapki.. or agar nahi hai to aap uska naam type karke add kar sakte hai.
acha ye btaye ki agar mera city facebook pe listed na ho to kesa karen listed. plz help me
Sir pls aap ek baar mera blog dekh ke bataye ki jo slide images aa rahi he unhe kese hatau.www.picsartmaterial.blogspot.com
Wps office me to pdf ,doc file wagerah banti he to use blogger me kese paste kare pls help me fast
simple copy karke paste kar sakte hai.. par image aapko alag se upload karni padegi.
Nice article sir to commond your blog from mobile
sir app muje ye bata sakate hai ki mere blog par muje pdf file ki download link kaise melu. aur ye file kaha upload karani padegi please help me Sir
uski jankari yaha hai
बहुत ही useful जानकारी है thank you।
Thanks
sir mere man me ek sawal hai mujhe umeed hai ki aap batayenge sir aap bata rhe hai ki ek click pe india money 10 tak mil sakta to sir google aap ko 10 rupees to dega per usko 1 click me kya phayda hoga jisme 1mb se bhi kam mp jata jata hai
Hi Sir,please mujhe yah batao ki agar koi user google adsense par click karta hai to ek click k kitne rs milte hain ?
jaan karke cliock karne par nahi milta.. matlab jas par agar kisi ka interest hai to wo uspar click karta hai.. or y koi fix nahi hai.. India me 10rupee tak mil jate hai ek click par
aisa kuch nhi hai india me maximum 10 nhi milte aap logo ko galat jaankari mat do log aap par bharosa karte hai aur aap galat jaankari plz stop it
aur don’t copy supportmeindia post ok
Thanks Admin, I’ll install all these app on my android phone also.
sir m chahata hoon ki meri site www. se suru ho usme htttp ki jaroort n pade kai baar m apani site user mode me opan karta hoon to image dikhane ki bajaye likha aane lagata h kya aap madad karenge p.l.z
yaha diya hai, kese hoga
sir mujhe ek aisa app chahiye jisme mai apne template ko edit kar saku mai android use karta hun or jab template edit karta hun to search ka option ni aata
sir mujhe ek aisa app chahiye jisme mai apbe template ko edit kar sakun or mai android use karta hun or android me t
aesa koi app nahi hai.. aapko computer hi use karna padega sahi se edit karne ke liye.
sir mobile apk aap kaise banai jati hai.
bihar board ki sare book ka solution chahiye te net pe kaise milega.
Aap Google par direct search kare.. jis bhi site par hoga wo site aa jayegi.. wese uski koi official site nahi hai..
Sir mujhe mere Blogger ke blog ke liye 1 fourm banana hai please sir konsa best rahega
need help