How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights

Agar aapki website wordpress par hai jispar ek se jada author hai jo Post ko Publish karte hai, to ye jakari aapke kaam ki hai.. Abhi me aapko iss article me bataoga kaise ham WordPress me Author ko track kar sakte hai ki kis author kis post par kitne visitor aa rahe hai.

Agar aap team ke sath work karte hai ya aapne website me author add kar rakhe hai, to Author tracking ki madad se aap aasani se pata kar sakte hai ki konse author hai jinko aapki wesite ke user jada pasand kar rahe hai.

Advertisements

Author ko track karne ke liye ham Google analytics ka hi use karege, jisme hame ek Plugin ka instmal karna hai MonsterInsights.

WordPress me MonsterInsights Install karke Google Analytics kaise use kare uski jankari yaha hai.. Plugin ko install or active karne ke baad, Author Tracking kaise karna hai wo janne ke liye niche ki step ko follow kare.

How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights - Wordpress

Author Tracking in WordPress

MonsterInsights ko setup karne ke baad uski setting me jana hai, tracking section me jane ke baad new custom dimensions add karna hai.

How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights - Wordpress

ab type me author select karna hai, uske baad uski tracking ID ko dalna hai jo aap 1, 2, 3 kuch bhi daal sakte hai.

How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights - Wordpress

ye setting karne ke baad Save Changes button par click karke save kar dijiye.

Ab Google Analytics account ko open karna hai, kyu ki hame waha bhi tracing ID ko add karna hai.

Google Analytics me login karne ke baad, website ka tracking dashboard open karna hai.. uske baad Admin section me jane ke baad Custom Dimensions me jana hai.

How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights - Wordpress

Ab Google analytics me New Custom Dimension add karna hai, jisme Name me Author dena hai or Tracking ID me wahi number dena hai jo WordPress me pehle dala tha.

Iss trha Author Tracking on ho jayegi, jiske baad jitne bhi author hai unme se sabse jada popular kon hai ya kiski post sabse jada read ki ja rahi hai wo aasani se dekh sakte hai.

Author Tracking data WordPress dashboard me dekh sakte hai, or Google Analytics site me bhi Reports > Dimensions me jane ke baad data dekh sakte hai.

How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights - Wordpress

Iss trha aap MonsterInsights plugin ki madad se wordpress site ke jitne bhi authors hai unka data track kar sakte hai.

MonsterInsights ka ye feature use karne ke liye iska pro verson lena padega.. jisme hame or bhi feature milte hai.. jese Download track kar sakte hai.

Ummid hai ye jankari aapko pasand aayegi or agar aapke blog me ek se jada author hai to unki performance ko record karne me ye tarika kaam aayega.

Agar aapka abhi bhi koi doubt hai to aap comment karke puch sakte hai.. ye jankari kesi lagi wo bhi comment karke batana naa bhule.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

5 thoughts on “How To Set Up Author Tracking On Your WordPress Site by MonsterInsights”

  1. Hello sir mene blogger par ek image blog bnaya hai please aap dekhna kesa hai kya ab muje isme adsense ka approval mil skta hai

    Reply