WordPress Kya hai or WordPress ka kaha use hota hai or WordPress par website Kaise banate hai uski jankari aapko iss post me milegi.
Agar aap Blogger hai, Developer hai ya Simple aapka koi Business hai jinki website aapko banana hai to aapko WordPress ke ware me pata hona chaiye, Q ki WordPress ki madad se apni website badi aasani se bana sakte hai.
Page Contents
What is WordPress in Hindi
WordPress ek Open Source Software hai jo PHP me banaya gaya hai, jisko koi bhi use kar sakte hai, Edit kar sakte hai or iski madad se koi bhi apni website bana sakte hai.
WordPress released May 27, 2003 ko hua tha, jiske founders Matt Mullenweg or Mike Little hai.
World ki total website me se 32% websites WordPress par hai, isse aap andaja laga sakte hai WordPress ki popularity ka.
WordPress par aesa nahi ki sirf ek trha ki website banti ho, jesa bhi aapko design karna hai, jis trha se customize karna hai wo kar sakte hai.
WordPress ki madad se Blog, Website, eCommerce Website, Forum, Social Network, Member sites… kuch bhi bana sakte hai.
Isme jo sabse jada attract karne wali chije hai wo hai WordPress Dashboard or WordPress Plugin,
WordPress Dashboard jiski madad se ham apni puri website ko badi aasani se manage kar pate hai or WordPress Plugin jinko install karke jo bhi hamare jarurat ki functionality hai wo ham website me add kar sakte hai.
Type of WordPress
WordPress ke 2 part hai, WordPress.com or WordPress.org jinpar ham website bana sakte hai.. par dono me antar hai..
1. WordPress.com
agar aapko Free Blog banana hai to aap WordPress.com par Signup karke Blog bana sakte hai.
Isme aapko Blogspot ki trha Free Sub-domain milega (example: hindimehelp.wordpress.com) jisme aap apna domain add kar sakte hai.
Wese WordPress.com Free blog me hame wo sab option nahi milte jo self hosted me milte hai.. agar wo sab chaye to hame wordpress.com ka pro plan lena padta hai.
WordPress.com Blog me ads bhi jab laga sakte hai, jab ham usko pro plan le.. wese agar aapko Hosting or database manage ki tension nahi lena to aap WordPress.com par apna blog bana sakte hai pro Plan leke, uske baad earn bhi kar sakte se sote se.
2. WordPress.org
Agar aapko Self hosted WordPress website banana hai to aapko WordPress.org se Software Download karke apni hosting me Install karna hoga.
WordPress Kaise Install karte hai uski Step by Step mene share kiye hue hai.
WordPress Hosting aap Hostgator se le sakte hai, Self WordPress Install karne ke liye.
Wordress.com v/s WordPress.org
WordPress ke dono platform me kya antar hai wo aap infographic me dekh sakte hai
WordPress Tutorial in Hindi
WordPress par Website banana or usko manage karna bhut hi aasan hai, Agar apko sikhna hai to WordPress ke Basic se jada sirf 2 din me sikh sakte hai.
WordPress Self-hosted website me kharch kitna aata hai wo aap yaha dekh sakte hai.
Domain for WordPress
Website banane ke liye sabse pehle aapko Domain Register karna hoga.. Aap Badiya Domain select karke usko Register kare.
Domain Discount me kaise kharide uski Tip yaha hai.
WordPress Hosting
Website banane ke liye Hosting ki jarurat padti hai, jispar ham WordPress ko Install karte hai. Hosting Simple sabdo me samje to Online memory jisme ham apni website ki file upload karte hai.
WordPress Website ke liye mene Hostgator or Cloudways use kiye hai or me wahi aapko recommend karuga ki aap yaha se hosting le.
WordPress Themes
WordPress par website banane ke baad usko badiya Design ke liye acha Theme Install karna bhi jaruri hai.
Aap Agar jada Paise Invest nahi karna chate to aap Starting me Free bhi use kar sakte hai.. or agar aapko badiya Themes use karna hai to aap inn sites se le sakte hai: MyThemeShop, ThemeForest, StudioPress, Genesis Theme, HappyThemes
HindiMeHelp.com par jo Theme hai wo Newspaper hai.
WordPress Plugins
WordPress ki Functionality badane ke liye hame jo bhi jarurat hoti hai ham uski plugin install karke kar sakte hai.
Jese agar aapko website me Contact Form banana hai to uske liye plugin hai, Email Subscriber ke liye plugin hai, Design ke liye plugin hai, kehne ka matlab jo bhi hame website me chaiye wo ham plugin install karke add kar sakte hai.
WordPress ki jaruri plugins jo install hona chaiye uski list yaha share kiye hue hai..
At Last:
To Dost ab aap jaan chuke ho WordPress kya hai, aap WordPress se kya kar sakte ho or kaise WordPress use karte hai..
Agar aapka WordPress se related koi bhi confusion ya Question ho to comment karke jarur bataye.. muje aapki help karne me khusi hogi..
hello sir
agr wordpress ka pasword bhul jaye toh kaise rename kr skte hai?
achha information diya bhai
rohit mewara
Good Article, WordPress is a best platform.
Sach me sir Mujhe HindiMeHelp se bohot sare quetions solve hua hai.
Sir, I like this topic but This article is not. I request you Please update it soon
Thanks
WordPress is best blog platform where anybody can operate to very easily.
Nice post share karne ke liye Thanks
bahut hi badhiya tarike se samjhya hai aapne
sir jo youtube ki video aapne isme lagaya hai wo kaise kiya hai aapne
please reply
youtube Video kaise add kare uski post mene share ki hai.
Mujhe ek achha sa Blog Banana hai . mujhe yeh batao ki mein apna page kis par baanau
Yaha dekhe
आज हमने अपनी ब्लॉग में एक नई डोमेन add किया था। पहले मेरे ब्लॉग का Url indianstudenthelp.blogspot .com था जब मैंने अपने blog में एक new डोमेन name add किया तो जो www. indianstudenthelp .in है।
तब से मेरे blog में पहले से लगा ad Code से मेरे blog में ऐड show नही हो रहा है।
मैंने अपना डोमेन name को सत्यापित भी कर लिया हूँ।
जबकि मेरा adsense fully Approved है।
कृपया मेरी help करे
Aap adsense account me apni domain ko add kare.. Google ke liye domain add karne ke baad wo ek alag site hai.. To uspar ads display hone me thoda time lagega..
Adsense help me 48 hours Tak ka time Bata Raha hai ad active hone me.
Mtlb mujhe do din Tak koi v earning nahi hogi
jab tak ads nahi dikhege, earning ka to sabal hi nahi.
Apki es soch ko saluate hai mera.
Hello Sir,
Yeh post kuch acha nhi laga qyoki aap yha pr bahut se pro tips share kr chuke ho pr ab aap fir se basic sikha rhe hai. Please advance topic hi bataye..
Bhai mera focus rehta hai, basic achi se clear ho.. or muje lagta hai 100 me se 80 log aese hote hai jinko WordPress.com or WordPress.org ka nahi pata hoga, ki inme kya hai or konsa use kare.
nice information bro
nyc bhai
good information
Hello Rohit sir, WordPress pe education blog ke liye konsi theme use karni chahiye. matlab design kaisei ho. or kya iske liye free theme use ki ja sakti hai.
aap koi bhi use kar sakte hai.. main hai aapki kis type ki jarurat hai or kesa design chaiye.. free bhi bhut badiya theme hai..
Bahut achchha article hai. But WordPress ke Koun Sa Platform Sabse Jyada Use Hota Hai. Blogger Ko Chhod Kar
Blogger to Google ja hai…
WordPress ke 2 hai.. WordPress.com or WordPress.org jisme self hosted org jada use hota hai.
bhai bhut hi achi website hai.