Indian Youngsters ki Success ke Secrets

Ek Purani Kahavat hai, Umr mahaj ek aankda (Number) hai. Safalta ka umr se koi lena dena nhi hai. Aur Bharat ke kayi Yuva is kahavat par khre bhi Utre hai Aur kam umr mein hi safalta ki misaal kayam kar rahe hai.

Indian Youngsters ki Success ke Secrets in hindi

Experts ka manna hai ki 2020 tak bharat ek Yuva desh ban jaegaa, Jahan Youths ki sankhya jyada hogi. Iske saath hi sirf ek dashak “Decade” pahle tak bharat ka jo Yuva, Naukri ko paane ke liye din raat mehnat karta tha. Aaj vahi youth apna khud ka business karne mein kaafi interest “pasand” le rahaa hai.

Advertisements

Darasal bharat mein Youths ka Rujhaan “trend” teji se badh rahaa hai. Haal hi mein Aayi ek Report ke mutabik, Bharat mein Startups ki Sankhya “Number” teji se badhi hai.

Bahut se Youths Blogging mein apna sikka aajmaa rahe hai to kuch Youtube par videos banaa kar logon ko Entertain kar rahe hai.

I.I.T Jaise jaane-maane Institutions se niklne vaale 20 se 30 Percent Yuva ab Apna kaam shuru kar rahe hai. Dusri aur pichhle kuch samay mein Business mein Aise Youngsters ko success mili hai. Jinhe Enterprise family virasat mein nhi mile Yani ki Ambani ji jaise background se belong nhi karte the.

Lekin fir bhi in Youngsters ne zero se shuruaat karke kam umr mein fortune “Luxury life” list mein apnaa naam darj karwa liya hai.

Apni Carrier ki shururaat karne vaale Candidates ke liye to ye ek Role model ki tarah hai, Jo yahi prerna “Inspiration” dete hai ki Bde sapno aur hard work ke saath kisi bhi mukam ko haasil karna impossible nhi hai.

Page Contents

👉 Improvement ka behtreen daur

Aaj bharat puri duniya mein tech startups mein 3rd number par aa chuka hai. Sirf united kingdom aur United States hi isse aage hai.

Bharat mein youngsters dwara shuru ki gayi companies ab global list ka hissa banne lagi hai.

Desh mein nayi company shuru karne vaale Teen Chauthaai (Quarter) peoples ki umr 35 saal se kam hai, Jismein se 9 percent women’s hai.

Ye sabhi aankde yah Confirm karte hai ki aane vaalaa samay inhi yuva indian youngsters ka hoga…

👉 Aapke ideas ho hairan kar dene vaale

Indian youngster’s ne puri duniya ko apne behtreen ideas se chaunkaya (Startled) hai. Unhone purane rules ke saath Experiment kiye hai.

Aur ab unke safal Experiments ne puri duniya ko unki aur attract kiya hai..

Deepinder Goyal ne bhi aise hi wonderful Indian startups mein se ek ko safal karke dikhaya hai.

Zomato ka naam to aapne suna hi hoga. Deepinder Goyal ji zomato ke founder hai.

Deepinder goyal ji kahte hai ki success hone ke liye aapko logon ke jivan par ek krantikari “revolutionary” prbhaav daalnaa hoga..

Maine food ko lekar ek Experiment “startup” kiya kyonki yah harek ke jivan ko prbhavit (influenced) karta hai. Abhi is sector mein bahut kuch kiya jana baaki hai.

Myntra ke baare mein aaj kaun nhi jantaa. Jabong aaj har Yuva k phone ka aham hissa hai. In success startups ko badi company mein Transfer karne ke liye Gunjan Soni ki aham role hai. Sirf 39 saal ki Gunjan jabong head and myntra- jabong ki chief marketing officer hai.

Safalta ke baare mein unki Raay hai ki Success Hard work aur Sahi time par liye gye decision ka mixture hai.

Agar aapke andar sahi decision lene ki ability nhi hai to aapki mehnat bekar jaane vaali hai. Yaad rakhein, agar aap continuously kaam karne aur Risk lene se darte hai to success aapse doori bnayegi..

👉 Naya sochne ki koi Limit nhi hai

Abhishek Ganguly puma india ke managing director hai. Ek Established company ke bharat ke major position tak ve sirf 39 saal ki umar mein pahunch gaye.

Abhishek Ganguli ji apni safalta ke baare mein btate huye kahte hai ki safal hone ke liye ke liye aapko continuously nayaa sochna hota hai.

Sochne ki koi limit nhi hai. Mere liye safalta ka matlab hai, Jo mujhe kuch naya karne ke liye inspire kare.

Aise hi ek success youngsters hain Deep bajaj. Deep peebuddy aur sirona ke founder hai.
Deep ke liye Success ka matlab hai Kaam ke liye positive viewpoint aur ek behtreen team.

Agar ye 2 baatein aapne achieve kar li to aapko safal hone se koi nhi rok skta. Ve kahte hai, Apne customers ki problem ko solve karna aur unki Criticisms (negative comments) ko positive tarike se handle karna aapke safal hone ka first step hai.

👉 Goals ko haasil karke bhi lagataar chalta rahnaa hoga

Nadia Chauhan sirf 32 saal ki umr mein parle agro ki joint managing director hai. Ve duniya ki sabse badi companies mein se ek ko chalaa rahi hai.

Success ko lekar unka vision bahut clear hai ve kahti hai ki Safalta koi ruki huyi cheej nhi hai. Yah to ek journey hai jo roj badlati hai.

Ek goal ko achieve kar lene ke baad aap usse badaa goal decide kar lete hai aur use paane ke liye din raat ek kar dete hai.

Parle agro ek safal company hai, Lekin mera maksad hai ki yah world ki number one beverage company ban jaaye aur aise goals ki koi limit nhi hai.

Saath hi kisi ek aim / target / goal ko pakar ruk jana bhi sahi strategy nhi hai. Isliye aapko lagatar chalte rahna hoga.

👉 Safalta ka matlab hai Superiority/Excellence

Abhay singhal sirf 39 saal ke hai Aur Inmobi ke co-founder aur advertising cloud ke president hai.

Ve kahte hai ki, unke liye safalta ka matlab flexibility & solidity hai. Aage badhne ka sapna dekhne vala harek youngster yah kar sakta hai..

Iske liye Aap mein apni kamiyon ko door karne aur shuru kiye gaye kaam ko manjil tak pahunchane ka passion hona chahiye. Mere liye success ka yahi matlab hai.

Dusri most important baat hai ki safalta sirf mehnat se nhi balki practical hone se bhi judi huyi hai. Indian youngsters ne yah karke bhi dikhaya hai.

Unhone bharat ki needs ko samjha hai Aur Resources par focus kiya hai.

OYO Rooms ke CEO “Chief executive office” aur success Businessman Abhinav sinha isi baat ko sahi saabit karte najar aate hai. Sirf 37 saal ki umar mein unke business concept ne hotel business mein kaafi teji laa di hai.

Unke liye safalta ka matalab sirf excellence hai. Ve kahte hai ki sirf excellent hi safal hota hai. Lekin iske l iye aapko jameen ki reality se jude rahkar customers ko fayda pahunchana hoga.. Unki correct needs ko samjhna hoga..tab jaakar aap ek success business man ban paoge.

👉 At last:

To dosto ye the kuch Indian youngsters ke point of view, ki ve success ko kis najar se dekhte hai. Aur unke mutabik Success hone ke liye kin-kin Baton ka dhyan rakhna jruri hota hai.

Ummeed hai aapko is Article se kuch motivation jarur mila hoga apne valuable opinions comment box mein jarur share karein.

So hum milenge aapse apne future articles mein tab tak ke liye Hanste rahiye muskurate rahiye aur har din kuch nayaa sikhne ke liye Hindimehelp par visit karte rahiye.

Thank You for Reading

Share on:

Mera naam sandeep jain hai aur main Health se Related blog chalata hoon jiska naam Hashwh.com hai. yahan aap Health se related ek se badhkar ek articles read kar skte hai.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

13 thoughts on “Indian Youngsters ki Success ke Secrets”

  1. Sandeep jain, thanks brother aapne itna mehnat se yeh article likha he or hame motivate kiya. Sach me padhkar bahut sare bate janne ko Mila he or sabhi youngsters ne Jo Jo bate kaha he usko Jo follow karenge. Sure success toh hoga hi hoga… Rohit bhaiya love you, HMH.pe ka sabhi article par attractive he maza aa jata he

    Reply
  2. Thank you very much sir…for sharing Great youngsters success secrets with your audience….

    Ummeed hai aise hi great Articles se hmare youth’s and blogger bhai kaafi motivate honge aur india ke vikas mein apna contribution kar skenge…..

    Taaki india startups mein United kingdom aur USA se bhi aage nikal jaaye……

    So Thank you very much once again…🙏🙏

    Reply