Ham starting me youtube par video upload karna shuru karte hai. Tab hamare khud ke banaye huye video bhi copyrighted ho jate hai. Isliye aapko videos upload karne se pahle ye jan lena jaruri hai ki ham kis tarah ke video youtube par upload kare.
Toh dosto aaj ki post mai aapko yahi bataunga ki ham apne videos kaise banaye jo ki copyrighted na ho. Mai umeed karta hu ki ye post aapke liye jarur helpful sabit hogi.
Jab hamari self created video copyrighted ho jati hai. To hamare man me yahi sawal uthta hai ki ye video toh maine khud banai hai lekin fir bhi copyrighted ho gayi. Lekin isme galti hamari hi hoti hai ham youtube ki policy ko sahi tarike se follow nahi karte hai. Aur hamari video copyrighted ho jati hai. Aksar ye problem new youtuber ko hoti hai. Aapko is post ko padhne ke baad copyrighted ki problem dur ho jayegi.
Video upload kaise kare ye to aapko pata hi hoga, agar nahi to pata to ye post bhi pade:
Youtube Me Kon Se Videos Copyrighted Ho Sakte Hai ?
Agar aap youtube me video upload karke paisa kamana chahte hai. Toh iske liye aapko youtube ki policy ko acche se follow karna hoga. Youtube me daily na jane kitne log youtube channel banate hai. Lekin 10% log hi success hote hai. Toh aaj mai apko yahi batane ja raha hu ki ham kaun se video youtube par upload nahi kar skte hai.
- Games and Software: Ham kisi bhi game ya software ki screen recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai.
- TV and Movies: Ham kisi bhi tv serial ya movies ki recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai. Agar hamne upload bhi kar diya toh Serial ya movies ke owner ham pr copyright ka claim laga kar hamara video delete karwa skta hai.
- Sound Recordings: Ham kisi ke bhi music ya sound ko upload nahi kar sakte hai. Agar music ya sound youtube par pahle se hi uploaded hai toh hamare video par copyright claim lag sakta hai aur hamara video delete ho sakta hai.
- Advertisement: Ham kisi ke advertisement poster ke videos banakar upload nahi kar sakte hai.
- Your Age: aap youtube par video tabhi upload kar sakte ho. Jab aapko age 17 year se ziyada ho. Agar apki age 17 year se kam hai toh aapki video delete ki ja sakti hai.
- Porn: Koi bhi aslil video bhi ham youtube par upload nahi kar sakte..
- Ladai Dange ya gali: aese video bhi upload karne par delete kar diye ja sakte hai jisme ladai bagera ho rahi ho ya fir kisi ko gali di ja rahi ho.. Aatankwadi gati bidiyo se sambandhit video ko bhi turant delete kar diya jata hai..
- Kisi ko koi problem na ho: Hamne jo Video upload kiya usse agar kisi insan ka nuksan ho raha hai to wo youtube se report karne us video ko delete karba sakta hai.
- Video ki permission: Agar hame koi video upload kiya hai jo copywrited hai to hamare pass kisa legal notice hona chahiye jisko ham youtube me upload karke us video ko upload kar sakte ha.
- Hacking Video: Agar aap kisi cheez ko hack karne ka tarika bata rahe hai video me. Jese Facebook kaise hack kare bagera bagera to bhi aap ka account delete ho sakta hai.
Agar aap is tarike ke video youtube par upload karoge toh aap ke videos copyrighted ho skte hai. Agar aap in points ko sahi se follow karoge toh aapke video kabhi bhi copyrighted nahi hoge. Ek bat apko hamesha yaad rakhna hai. Aap self created video hi youtube par upload kare, Kyoki dusro ki videos se ham kuch bhi nahi kama skte hai.
Video Upload karne ke baad uski setting kaise kare ki wo aasani se search me aa sake uski jankari yaha hai.
Youtube se sambandhit sabhi post’s ko padhne ke liye yaha click kare
Ye Bhi Pade:
Bhai kya mai koi aisa video song youtube par upload kar Sakta hu Jo pehle se upload na ho aur hone wala bhi nahi ho
Kya mai kisi movie ka video song upload kar Sakta hu Jo YouTube par upload nahi hua ho aur hone wala bhi nahi ho
Please help !!!!!!
kar to sakte hai. par jiski movie hai wo report karke usko remoe karwa sakte hai..
Kya mai kisi movie ka video song upload kar Sakta hu Jo YouTube par upload nahi hua ho aur hone wala bhi nahi ho
Sir Youtube Video Ka SEO Karna padta hai kya… Agar ha to Kaise Kar Sakte hai
uski jankari yaha hai
Hame ek help chahiye ek baat pehle hi bata de ki hmare phone ka os lollypop h aur usme jb bhi applock karte h to apps with uses access ke yahan chala jata h uske baad jb activate karte hai uske baad bhi nhi hota….plzz help me…
Rohit bhai ,ham whatsapp she kese earning kar sakte he,?
usse koi earning nahi hoti.. par aap apna promotion karke jarur earn kar sakte hai.. q ki aaj kal sb hi whatsapp use karte hai..
Kya mai koi aisa video song upload kar Sakta hu Jo movie ka to hai but Abhi tak upload nahi kiya gya ho aur hone wala Bhi na ho
nahi kar sakte..
Comment:apka ye suggestion bhot useful hai…thnx..many many thnk u
Welllcome nikhil ji
Dear sir,
mera ek youtube channel hai use mai Monetization kar liya hai . ab uska name change karna chahta hun koi problem hogi. pls help
nahi usme koi problem nahi hai.. aap kar sakte hai
Hi Sir,
mera ek youtube channel hai to maine use Monetization kar li hai or ab channel ka name change karna chahta hu koi problme hogi. plz reple
मैने एक विडिओ youtube पर डाला था और उसे monetize भी किया,और वो विडिओ मैने ही बनाइ थी,जो कि एक screen recorder था whatsapp के बारे मे,और मैने उस विडिओ को अपने ब्लोग पर भी लगाया था, पर बाद मे उस विडिओ को you tube द्वारा remove कर दिया गया,और monetise cancel कर दिया गया
क्या आप बता सकते है ऐसा क्यू
aapne usme kuch hacking tip di hogi ya fir jo sound usme use kiya hoga wo copyrighted hoga..
dear rohit sir aap ne blogspot (blogger )ki achi detail se jaankaari deyi apke site pe .. magar jab professional blogging ki baat hai to toh uss ke liye blogger utna acha nahi hai jitna worldpress .. worldpress sikhne ke liye blogspot ki tarah iss par blog kyu nahi likhte hai aap.. waise to ye batatu sikhne ke icha rakhne wala kahi se bhi dekh kar sikh leta magar youtube ke video achi quality mein 720p download karkr dekhne mein sikhne mein kaphi internet kharcha ho jata hai .. magar wahi jaankari blog jariye mil jaye toh data ka kharcha bhi bach jata .. waise toh humari website .. aur idea cha ho toh baad badhiya kamaye ho jaate .. tab hume jo bloging ke kuch karid na bhi ho tab hum pay kar sakte kyuki humare pass khud ke paise hote .. magar starting paiso sawal bada hota hai .. jaise ki apko bhi aaya tha isliye meri ye vinti aapse aap hume worldpress hindi me aap ke bloging ke jariye sikhaye .. aap ka maksat he hindi me help karna hai .. plz sir give reply .. aap mere hamesha guru he rahenge .. mujhe apse kabhi bhi competion nahi krna hai .. apki site padhke mujhe bohot confidence (not over confidence) mila hai .. 1 saal se bohot kuch sikha hai internet se bus ek worldpress sikhna baki hai …
Thanks Nilesh ji.. or me wordpress kis series bhi jald publish karne wala hu.. Thanks aapke comment ke liye..
dear rohit sir kya me mobile ,laptop ke specification aur uss video uss model ki free to use, share or modify even commercially 1 image video me start se lekar end tak use karu aur audio review bolunga to iss tarah ke video ko me monitize aur paise kama sakta hu kya ..
haa bilkllul
dear rohit sir aapne kaha software ka video nahi daal sakte hai .. magar koi mobile app ho jis ke baare me hume 2 r sikhana hai uss app video banaya to wo copyright hota hai kya ..
bilkul daal sakte hai.. is trha to ham uske app ka promotion kar rahe hai to unka to faida hi hai.. par crack karna nahi siha sakte.
sir
aap apne post me kis website se photo download karke upload karte hai please aap us website ka naan bata sakte hai jo aap us website ko us karte hai kyoki yeh juoki me photo download karta hu weoh saaf nahi hoti hai sir please aap us website ka naam bataye please ….
Stock image ki kuch website mene yaha share ki hai
Key ham education se sambandhit video mp3 banakar youtube par dal sakte hi wo coppyright to nahi hoga
Key ham educational se sambandhit video/mp3 banakar you tube par dal sakte hi
Key ham gk gs ya kisi educational se sambandhit video/mp3 youtube par dal sakte hi
Par screen recording videos monetize nahi ho raha hai kyu.?
agar usme koi song ka sound hai to bhi nahi hoga..
pewdiepie ka name to suna honga na aapne to woh kese game ka video record kar ke upload karta hai
???
aese kar sakte hai.. par hamare pass game ka licence hona chaiye.. to jo game ki company hai unko koi problem nahi hoti q ki unke game ka to ham promotion hi kar rahe hai,….
Whatsapp share buttan kaise lagaye iss ke baare me bataiye na rohit ji..
Ye jaankari bahut hi badiya hai rohit ji..
Ue jaankari bahut hi badiya hai rohit ji..
Hello Rohit G mera sabal yah hai ki Template ki Creaking kya hoti hai..
Hello Rohit G mera sabal yah hai ki Template ki Creaking kya hoti hai…
jo teplate paise me milta hai usko freee me use karna .. par mere hisab se ye chori hai.. or chori karke agar ham kuch acha kaam karte hai to wo kabhi acha nahi ho sakta..
very helpful article rohit, now we will aleart when uploading video on youtube,
Key ham gk gs ya kesi educational se sambandhit video banakar youtube par dal shakte hi
haa bilkul daal sakte hai..
Key ham gk gs ya kisi bhi educational se sambandhit video youtube par dal sakte hi
hello sir kese ho aap?
sir mene abhi abhi ye website banai hai
kaamkipost.blogspot.in
naam kesa hai,blog me kya kamiya hain aur mujhe ab traffic badhane ke liye kya karna hai plzz guid kijiye taki me succes ho saku aur aapko ko apna guru mante huye aage badhu….
Hum ye kah rhe ki aik gmail she aik videos upload hoti h or AdSense khulta kha she h pese kese milte account she to account number to manga hi nhi
10 $ income hone ke baad adsense account me aata hai uska option..
भाई बस एक चीज लिखना भूल गए आप की हम हैकिंग वीडियोस भी अपलोड नहीं कर सकते क्योंकि मेरा यूट्यूब अकाउंट भी हैकिंग वीडियो के कारन ही 6 मंथ के लिए स्ट्राइक पे है
aare haa aapne sahi bataya.. ye bhi ek karan hai..
rohit bhai fonts limited hain blogger par unme se koi bhi mere blog ke template par sett nhi beth rhi hai koi tarika batao..koi ideal font hai kya?? aap jo font use krte ho HMH me uska name kya hai aur font size??? please help
superb
mene apne blog par dusre blog ki link add kar di hai isase seo ka ullanghan to nhi hoga agar ha to me ye link hata duga
nahi usse koi problem nahi hai.. or agar jo link di hai aapne aga wo achi site hai to uska thoda faida bhi hame jarur milta hai seo me..
Sir Mene Ek Editor Software Ki Screen Record Ki Hai,Mene Usme Editing Ke Baare Me Bataya Hai,Aur Mene Khud Banaya Hai To Kya Me Wo Video Upload Kar Skta Hu?
Sir Agar Ham Kisi Software Ke Dwara Koi Trick Bataye Aur Use Screen Recorder Ki Help Se Record Kar YouTube Pe Upload Kar De To Kya Wo Sahi Hai?
kar sakte hai
Thanks Rohit Sir, Aapke Blog ko dekhkar hi maine WordPress Ka Newspaper template kharida hai, ek baar sir maira blog dekhkar bata den ki yah kaisa hai.
Thank you
sorry for late par aap sayad Newspaper use nahi kar rahe..
blog me high keywords kaise use kare
uske liye to aapko search karna padega.. ki jo aapke blog ki category hai usme kya popular hai jo log search karte hai.
apki jankari se bahut help hoti hai
rohit ji ham agar free blogger template use karate hai to kya hame google adsense apporuval mil sakta hai kya. koi problem to nahi aayagi na
koi problem nahi.. bas template ka design acha hopna chaiye
please tell me agar main apne blog par kisi site ka link add karta to kya no follow par tick kru ja nahi
agar aap chate ho ki search engine ko bhi pata chale ki aapne ye link add ki hai to no follow naa kare.. ab koi aesi website ki link add kar rahe hai jo achi hai to tik naa kare.. par agar koi aesi website hai jinki link deni pad rahi hai par uski rank jada achi nahi hai to tik karde..
Bhai kya mai koi aisa video song youtube par upload kar Sakta hu Jo pehle se upload na ho aur hone wala bhi nahi ho
haa bilkul kar sakte hai.. par agar aapne kahi se copy kiya hai to jo uske owner hai wo report karke unko aasani se remove kara sakte hai,..
rohit bhai blogger par limited fonts hain..aur koi unme se mere blog ke template me fit ni beth rahi hai…please koi tareeka batao
Bahut aachi jankari hai rohit bhai. Bhai agar me worfpress me coupon code use karke 2 month ke liye hosting leta hu to kya baad me renewal me coupon code use nahi hota
nahi, renew ke liye agar koi offer ho tab hi uska coupan use kar sakte hai.. warna nahi..
you tube se related aapki yah post kaphi shandar lagi rohit ji.
Rohit bhai my blog is on blogger.. there are too short types of font.. any of one is not fitting set in my template pllease help
Achi jankari hai Rohit ji..!!
Ek chiz me confusion hai ..Aapne bola ki games ki video upload nahi kar sakte …Lekin youtube ke Gaming Section me toh bahut sare games hote hain . Wo kaise approved hote hain ??
haa, ham game ke video dal sakte hai.. par game ke video aesa hoga jisme gama ka promotion ho to jo game ke owner hai unko koi problem nahi hogi.. youtube ne baad me ye update laga hai.. matlab ham ki koi aesi trick share nahi kar sakte jese game ko crack karna.. bagera..
clear karne ke liye thanks rohit ji..!! :)
:)
Nice information bro
Rohit bhai maine 14/3/2016 ko godady se domain purchase kiya aur use apne blog me add bhi kar liya hai.
lekin usme ek dikkat aa gayi hai ki adsense ka ads show nahi kar raha hai. .com domain lene se pehle mere blog me ads show kar raha tha ab kyon nahi kar raha hai. plz hel me mere blog ka link hai http://www.trickbynawazish.com/
aap adsense account me login karke jo aapka domain hai usko add kare.. aapne domain add kiya hai to ab wo bilkul ek new website hai q ki uska jo address (pata) new hai..
Comment:sir aapne mere article ab tak post nahi kiya me 8 din pehle bhej chuka hu!!
bahut hi badiya chiz aapne share kiya.i think iss post se sabhi ko pta chal jayega ki kiss type ke video ko hum youtube par nhi upload kar sakte the.. keep it up bro wese aap itne din kaha the kyoki aap 4-5din baad new post publish kiye hai..
Thanks Bro.. yaar thoda busy sedule chal raha hai..