Youtube Par Mobile Se Video Upload Kaise Karte Hai

Youtube par video upload kaise karte hai computer se or ham kaise youtube se paise kaise kamaye ye hamne hamari pichli kuch post me jana or aaj ham janege ki ham kaise apne android mobile se youtube par apna video upload kar sakte hai.

YouTube par mobile se video upload kaise karte hai uski puri jaankari hindi me

Youtube Google se 2006 se sath me hai or youtube me bhi aaye din kuch na kuch naya aata rhata hai. Google ne hi Youtube ke liye ek Android App banaya hai jiski madad se ham youtube ko badi aasani se istmaal kar sakte hai. Ham iski madad se video bhut aasani se upload kar sakte hai.

Advertisements

Youtube ka Android App Download karne ke liye PlayStore me ja kar Youtube search kare fir youtube ke aap ko install karle. Jada tar mobile me phele se hi youtube ka App install aata hai.

[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.google.android.youtube&hl=en”]Download Youtube App[/button]

PlayStore se youtube ke App ko Download karo

Ab Youtube ke app ko install karne ke baad kya karna hai video upload karne ke liye aap step by step aap dekh sakte ho –

Page Contents

Step 1

Agar aap youtube par video upload karna chate ho to aapko phele sign in karna padega. Sign in karne ke liye aapko uper sidhe haath side 3 dots hai un par click karna hai fir aapko sign in par click karna hai.

youtube me sign in karne ke liye 3 dots par click karke Sign in par click kare

Step 2

Ab aapko apna account select karna hai jispar aap video ko upload karna chate ho. Aap jis account ko is mobile me use karte ho bo ya fir aapka youtube par koi dusre account hai to aap usme bhi sign in kar sakte ho.

Apna Gmail ka account select kare

Step 3

Ab Sign in karne ke baad uper ulte haath side jo 3 line ki button hai us par click karna hai. ab jo uploads ka icon hai uspar click karo

ulte haath side jo uper button hai us par click karke upload ke icon par click karo

Step 4

Ab aapko video upload karne ke liye jo upload ka icon hai us par click karna hai.

upload ke sign par click kare fir mobile me se video ko select kare

Pheli baar jab aap video ko upload karege to aapke saamne ek setting aayegi. usme aap select kar sakte ho ki aapko video kis network me upload karna hai. agar aapke mobile me data kam rhata hai to aap wifi select kar sakte ho. jisse aapka mobile data bachega or jab aap wifi se connect karoge to video apne aap upload hona start ho jayega.

Video kab upload karna chate ho bo select karo. Wifi se selected rhata hai

Step 5

Video ko mobile me se select kare fir aapka video aa jayega.

agar aap apne select kiye video ko chota karna chate ho to aap kar sakte ho

Video ko chota karne ke liye in dots ko khiskaye

Step 6

Ab aapko apne video ki jaankari bharni hai

Video ki detail daalo fir next ki button par click karo

  1. Video ka Naam kya hai or jo aap dena chate ho bo yaha likhna hai
  2. Video me kya hai uski detail or jo bhi jaankari video ke baare me dena hai bo yaha likhna hai
  3. Video ko private rakhna hai ya publish karna hai bo aap yaha select kar sakte ho. Private me aapke video ko koi nahi dekh sakta. Agar aapke video me caption, annotation add karna ho ya fir koi setting karni ho to aap computer par apne youtube account me login karke kar sakte ho.
  4. Yaha par aapko video ke tags daalna hai. jo bhi aapke video me ho ya bo kis baare me hai bo sab aap daal sakte ho. har sabd ke bich me comma (,) jarur lagaye
  5. Puri detail daalne ke baad ▶Next ki button par click kare

Step 7

Ab aapka video upload hona suru ho jayega bo aap dekhsakte ho.

Video upload hona start ho jayega

To ab aapne sikh liya hai ki Apna Android Mobile se kaise Youtube par video upload karte hai.

Agar aap youtube se paise kamana chate hai isliye agar aap video upload kar rahe hai to is post ko jarur pade

Youtube par video upload karne ke baad paise kaise kamaye uski jankari yaha hai.

Youtube ki or adhik jankari aapko yaha milegi.

Aap ka agar koi bhi sabaal ho youtube se sambandit to aap comment karke puch sakte ho. muje aapke bichaar jaankar bhut khusi hogi.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

318 thoughts on “Youtube Par Mobile Se Video Upload Kaise Karte Hai”

  1. Bhaut Badhiya Article Khikhe Hai Sir, Maine Bhi Apna Youtube Channel Open Kiya Hai.
    Ab Me Bahut Hi Asani Se Apka Artical Padhkar Video Upload Kar Sakta Hu.

    Reply
  2. Thank You bhai jee.
    Main bhi Youtube par apna Chennal suru karna chahta hun.
    Abhi mere paas Laptop bhi hai lekin jab main apne laptop me Video editing softwere install karta hun to mera pc slow ho jaata hai
    Please bataiye kya main sirf mobile se kaam kar ke aage badh sakta hun

    Reply
  3. Kya hum Bollywood ke songs pr apni dance video upload nhi kr sakte . Bhut log Toh Bollywood ke songs pr apni dance video upload krte hai pr Maine upload Kiya to copyright claim center dikhane rha hai ese kuchh nuksan Toh nhi Hoga kya ye thik ho Sakta hai please Reply

    Reply
  4. sir mera name rekha he mene mp4 song khud se gaya hua upload kiya youtube par lekin wo mere phone me hi dikh raha h wo net par ya kisi bhi site par nhi dikhae nhi de rha mene public me dala h phir bhi nhi dikh raha h or

    Reply
  5. Dear Rohit sir
    Maine aapke saare blogs ko padha hai aaj tak maine aise blog nhi padhe but sir mera ak question. Tha YouTube se related

    Mera ak account tha Jo maine aapke blog ko follow karke YouTube me video upload ki aur successfully monitize bhi kiya AdSense se connect bhi kiya…but meri video me views nhi aate the to maine ak channel kharida friend se lkin uska channel na hi monitize tha na adsense se juda tha usme 120552 total views the 212subscriber
    But sir maine uske account ko brand karke apne brand account me transfer kiya phir brand account ko apni I’d me jiske karan mera old channel jisme views nhi aate the WO delete ho gaya jiske karan abJo maine account kharida hai usme 10k
    Views chahhiye to ab usme bhi views nhi aa rhe main kya karo aisa koi…solution dijiye jis se meri video me views aay aur WO channel maine watchtime ke karan liya ki syad watch time accha ho to video me views way..plz help main bahot paresaan hoon maine YouTube pe saari video dekhi kaise top pe laay main niyam ko follow kiya .but kuch nhi meri kkismat hi saath nhi deti…sir aap saath de dijiye apna…plz help sir

    Reply
    • Sabse main baat phele channel kesa tha usse itna fark nahi poadta. agar aap ache video nahi dalege to views nahi aayege.. aapko video dalne ke sath sath video ka SEO bhi karna hoga..

      Aap jo bhi trending topic aaye unse related video dale jisse views jada aane ki sambhanva hogi.

      Reply