Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,013 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

    • Ye message to jab show hota hai jab youtube par account banane hai or uska user name set karte hai.

      Aap video upload kar rahe ho to ho sakta hai bo video aapne phele se upload kar diya ho jab bhi upload nahi hota hai

      Reply
  1. Rohit yar help me youtube par add so ho rhe h par earning nhi ho rhi h monit. kar diya The AdSense account you associated is now approved. bhi aa rha h lekin erning nhi ho rhi h

    Reply
        • Aap mujse Judna chate ho to simple aap mere facebook twitter google+ youtube par like or follow karo.

          Aapka jo bhi sabaal ho bo aap muje email kar sakte ho ya fir comment bhi kar sakte ho.

          Paise kaise kamaye uski jaankari mene site par di hai or aage bhi bhut tarike share karuga. Bas aap site par aate rahiye or agar aapka koi sabaal ho to bo pucte rahiye.

          Reply
        • Adsense account banane ke phele Hamare pass ek platform Hona chaiye jisse ham adsense ke ads dikha kar paise kama sakte.

          AdSense account ham youtube, blog ya fir koi website ke liye bana sakte hai

          Reply
  2. Rohit mene youtube par video monit. kar diya h $ ki nisan bhi aa rha h but use chalane par add so nhi ho rhi h or ye kese pata chalega ki ye puri tara se monitri ho gya h or ek se jyada video uplode karte tab bi add bharna padega plz help me

    Reply
    • Adsense account ko connect kiya ki nahi youtube account se. Ye phele karna padega.

      Agar kiya hai to aap muje ye bataiye ki kahi aapne apne video par khudne to click nahi kiye hai. Q ki iski Baja se bhi account block ho Jati hai

      Reply
      • ha ase ho sakata h but aaj mene check karvaya h add so hone lag gye h but ya adsense paise earnig nhi ho rhe h me kya karu plz rep

        Reply
        • adsense par earni nhi bta rha h but niche ji or box me RPM likha h and vaha $50.71 bata rha h muje kya karna chahiye kya muje nya banana padega account

          Reply
        • Views bhi ache Hona chaiye jab kuch income dekhege. Mere video par 1000 views par 1$ income hoti hai.

          Or ek baat income start jab hi hogi jab aap adsense account ko youtube se connect karoge

          Reply
  3. Yaar tum to kamal ke insan ho bhai ..mai tumhara fan ho gya ..tumhari thinking bahut acchi hai bhai ..mai tumse dosti karna chahunga taki mai bhi tumhare sath rahkar kuch sikh saku aur dosre ko fayda pahucha saku

    Reply
    • Agar aap mujse dosti karna chate ho to most welcome. Or koi par muje aapki jarurat padegi bha aap meri madad karna or jaha aapko meri jarurat hogi bha me aapki help ke liye Hamesa teyari rahuga.

      Abhi aap meri ek madad kar sakte ho. Meri website abhi new hai aap apne Dosto ko iske baare me bata kar meri madad kar skate ho :)

      Reply
  4. Bhai hume bhi batao kaise es per kaam kiya jata h. mai bhi kaam karna chahata hu.youtube account banane se lekar video upload krne tak aur paisa milane tak ka process pls help me.

    Reply
    • Account kaise Banaye, video kaise upload kare, or kaise paise kamana start kare ye saari jaankari mene phele se site par di hui hai. Aap un saari post ko pado aapko sab samaj me aa jayega. Or agar kahi par dikkat aati hai to batao

      Reply
  5. brother ye batao ke facebook main jo message wala inbox hota hai usmain se ager msg ya chetting delete kerny ho to kese kare.plz reply i m waiting your answer.

    Reply
    • Ham apne account me login kar ke sirf apne chat delete kar sakte hai par hame jisko message send kiya hai uske chat me bo message delete nahi hoga.

      Computer se delete karne ke liye chat box me uski setting me option aata hai delete ka

      Reply
    • Adsense ke ads jab ham pheli bar lagaye hai to ek bar Hamari site ko pura scan kiya Jata hai ki kahi koi aesi chij to nahi hai jo google ko pasand nahi hai. Or isliye bhi ki jo sabd aapke blog par hai uske related ads hi aate hai.
      Isko pura hone me 7 din tak lag sakte hai. Aap ads ke cade ko aesa hi rhete do. Jab aapke blog par ads start ho jayegi to aapko email bhi aayega

      Reply
  6. OK rohit ji.or ek sawal karna tha wo ye ki Jo Maine youtube me video upload ki h kya wo public KO show hoga Maine new DMS k naam se ek title video banaya h. Name dalne se wo search hoga na

    Reply
    • haa search me to aayegi agar aapne publish kardi hai.

      Me aapko suggest karuga ki ji aapne video ka jo naam diya hai DMS usko agar aap thoda bada naam dege to search me aane ke jada chances hai. or video ke tag s bhi hona chaiye.

      Reply
    • Web hosting online space hota hai jese Hamare mobile ke memory card me hoti hai. Web hosting ko liker ham apni website site ka data uspar upload karte hai. Jese image video ya website ki css, Javascript, html ki files ko.

      Agar aap apni website site Blogger par bana rahe hai to inki jarurat nahi hai. Q ki image ke liye Blogger hame 15 gb free deta hai.

      Reply
        • Blog website hi hoti hai bas isme itna anter hota hai ki ham Bina kisi coding knowledge ke blog ko bana sakte hai q ki isme phele se puri chije bani hoti hai bas hame select karna hota hai.

          Blog kaise Banaye iski jaankari mene site par di hai aap usko pads sakte ho

          Reply
  7. Rohit ji aapne bahot achhi jankari di. Thanx
    Ab aap jab web site kaise banta h use post karenge to fir siksha lungs aakar.
    Ho sake to aap apna wtsap no mail kar De to khushi hogi mujhe

    Reply
    • Done par banta hai par agar aap wordpress par hosting le kar website banane ho to or Jada option aate hai. Par agar aapko website ki bilkul bhi jaankari nahi hai to aap Blogger par banao q ki isme aapko agar kuch bhi nahi aata to bhi aap Blogger bear chala sakte ho.
      Me aapko suggest karuga ki agar aap ne abhi blogging start ki hai to aap Blogger par banao. Fir ham baad me usko chahe to WordPress par transfer kar sakte hai.

      Mera blog bhi phele Blogger par tha or ab mera blog wordpress pat hai. Until hai aap samaj gaye hoge.

      Reply
  8. Sir agar mai koi movie ka video you tube
    Dalenge or old video ko upload karenge to penalty to nahi hai
    Pl. Advice me

    Reply
  9. and rohit ji aapke blog pe jo type in your language vala widget he vo muje apne blog pe use karna he to uske liye bhi information dijiyega thanks in advance

    Reply
  10. Rohit ji

    mere 2 religious blog he and facebook page or you tube channel he
    mere blog pe 8000 around views he mera adsense accont bhi set up he or
    you tube par bhi a66e views he phir bhi mere adsense me earnings sirf 3 dollars dikhati he
    kya aap bata sakte he ki ye earnings kis hisab se hoti he i mean blog views ya videos view par ya fir ad click pe mera blog or you tube channel well set he phit bhi earnings bahot kam hoti he aap please muje iske baare me jaankari de please

    Reply
    • Raviraj adsance earning fixed nahi hai par average 1000 views me 1$ se 2$ ho Jati hai.

      Abhi me thoda bhar hu. Me aapke blog ko visit kar ke bataoga ki aapne apne ads Sahi Jaga dale hai ya nahi

      Reply
    • ye to bhut saral hai. aapka Google+ Account to hoga hi. bas us par apni detail daaldo or public kardo.
      Agar Google+ par account nahi hai to Gamil ke account se google+ par login karke bana sakte ho. agar or jada jaankari chaiye ya fir is topic par ek post chaiye to muje bataiye.

      Reply
  11. AdSense pe stap2 pe ye error aa rhi hai “URL must not have a path (example.com/path) or subdomain (subdomain.example.com). “. Or me apni id nhi bana pa RHA :(

    Reply
  12. Rohit Bhai me jab bhi apna account AdSense PR banane ki koshis krta hu tb ‘”I will show ads on:…. Aisa likhA aata hai me smj nhi paraha usme kya likhna hai??? Or ha kya me apni site “nbbruls.wapka.mobi” us par apni ad kr k kamai kr Santa hu kya??!

    Reply
    • Facebook par like se payse nahi milte. ye sirf logo ki santusti ke liye hai. :/
      Par agar aap koi usefull link share karte ho or us link se agar aapka commission hai to aap paysa kama sakte ho :)

      Reply
    • Sudhir Ji aap bilkul paysa kama sakte hai site se.

      par sabse phele aap apni website ki design ko thoda sahi kijiye taki log usko achi se use kar sake. or aap apni site par ads display kar ke payse bhi kama sakte hai.

      Me aap ko kahuga ki phele apni site to thoda acha design kare fir adsense ke ads us par dale.

      aapki site ka jo url hai sagarmusic.com us se me ye to samaj gaya ki aapki site ek music site hai par muje us par koi music nahi mila, me kya khana cha raha hu aap samaj gaye hoge.

      agar aap koi bhi help chaiye to hamesa aapke liye yaha par hu :)

      Reply
  13. Bhai maine facebook par ek page create kiya hai
    Page par 1option aata hai

    (edit page)
    Update page info —

    edit name
    ………………
    edit website
    ……………………
    edit description
    …………………….

    bhai mughe yaha par kya add karna chahiye example batayen please help me Maine aap ke bharose ye page banaya hai

    my email. ali454994.aa@gmail.com

    Reply
    • Akhtar jo edit page ka option aata hai bo is liye q ki tumne us page ko bnaya hai or tum us page ke Admin(malik ) ho.

      edit name – yaha par agar page ka naam change karna ho to kar sakte ho

      edit website – yaha par jo tumhari website ya blog hai uska link dalna hai

      edit description – es section me apne page ke bare me batao ki bo kis bareme hai, jisse ki log page ko like kare or unko pata ho ki ye page kis topic par hai.

      Reply
  14. Adsense pe account kaise banega maine app download kia tha account nahi bana pya kyu ke khi pe b account creat karne ka koi option hi nhi tha sir

    Reply
    • Youtube se jab monitize on karte hai jab adsense se connect karne ke kiye khata hai. jab ham us par click karte hai to hame adsence par account login ya fir create account ka option aata hai. bhase ham apna account bna sakte hai.
      ye option mobile par nahi aata hai.

      kabhi kabhi direct connect karne ka option nahi aata. agar aesa hota hai to muje btao. me specily aapke liye puri post share karuga is topic par.

      Reply
      • Hiii Rohit sir mai apse bahut sara jsnkari lena chahta hoo This is my wstsApp no.08823035044.help me sir

        Reply
      • sir mere video par ab adsence ki ad nahi aati. pata nahi kese invelid ho gya. me baar baar koshis kar raha hoon activ karne ki lekin nahi ho pa raha . plz sir rply me

        Reply