Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,013 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

  1. sir meri ek website hai www,shrishayam.weebly.com
    aur ek blog bhi hai shri shayam.blogspot.in

    sir aap mujhe isske aage procedure bataye in details
    aur mujhe ye bhi bataye ki blog ya wesite ya youtube videos hit kaise hoti hai

    sir mujhe ye bhi janana hai ki websites par aad dikhane ke liye e kitne views chahiye, views kaise milte hai

    Reply
  2. maine youtube chanal bana liya hai..mai ek dance teachar hu so mai dance steps ki khud video bana kar video ke jarjye paisa kamana chahta..apni webside bana kar apne video se kis tarah paisa kamau web side ki desine kis prakar karu webside bananese kya fayada hai? apne you tube chanal webside kaise link karunga en shabhi sawolo ka jawab step by step aap denge to mujhe kafi madad millegi….

    Reply
  3. sir mujhe aapke ek help chahiye.. Maine apne channel ke about mein dalne ke Hindi mein desciption tayar kiya .. mujhe uska English translation chahiye .. main English study karna shuru kardi hai.. sir SAP mujhe WO trans. karke denge .. isle badle mein ache ache post suggest karunga .. OK..

    Reply
  4. Sir Agar samajo mein ek video banaya how to crop a video .. is tutorial video Maine ek free ” video to video converter ” naam ke software ka istamal kiya or USS video ko upload kiya .. aur description mein .. Maine uss software ka naam us software ki website aur download link dali .. to iss video se mein paise kama sakta hu kya.. tell mi

    Reply
  5. sir mujhe 18 year old hone ke liye filial 45 days baki hai .. toh tab tak mein apne channel par video upload karke traffic badhau kya .. aur after 45 days AdSense ko apply karu kya ..

    Reply
  6. mera matlab waisa nahi tha .. mein direct post suggest kar deta hu … remove image background online burner.bonanza.com/ site par Jakar .. Sir aap ke site par aap kis time par Jada active hote ho..

    Reply
    • Aap kisi ke bhi video ko copy na kare… Iske or kya batana hai.. Or aap konse comment ko delete karne ka kha rahe ho.. Ek comment karke muje batao.. Konsa comment hai me dono comment delete kar duga

      Reply
  7. Sir mere pass youtube hai naya virsion jisme video offline chalte hai or isme mene ek video bhi upload kar di hai par isme video menager ka option nahi aa raha hai please help

    Reply
  8. sir apne youtube channel ke naam social accouent ko youtube kaise attach kare jaise koi video upload karte right side ko option hota ha share your video on google plus waha par facebook twitter sites kaise laye aur kisi bhi channel about ke niche social di jate waha par hum apne social site pages ko kaise laye

    Reply
  9. sir adsence khata kholne ke liye 18 year old hona chahiye, adsence ko hamari real AGE KAISE VERIFY KARTA HAI, jis gmail par hum khata kholna chaqtra hai uss acc. ki birth se date se kya

    Reply
    • Adsense account me jo bank account or Address verify kar bare hai usme Hamari date verify hoti hai.agar aap 18 year ke nahi hai to aap apni kisi family member ke naam se Banaye.. Agar aap apni galat date dal kar banaoge to account ban bhi gaya to abhi bhi band ho sakta hai

      Reply
  10. dear Rohit Mewada sir
    Sir meine apna youtube channal verified kiya hai

    according to youtube which videos not eligible

    Your video is not eligible if it contains content that you didn’t create or get permission from its creator to use. You need to be able to show written permission for the following video elements:

    Audio: copyrighted sound recordings, live performances, background music, etc.
    Visuals: images, logos, software, video game footage, etc.
    Any other content to which you don’t own worldwide commercial usage rights.
    Examples of videos that are NOT eligible

    Your video contains a song you purchased for personal use (e.g. bought on iTunes or in a shop) but didn’t obtain a commercial licence.
    You found a video on the Internet and you cannot prove that it’s in the public domain.
    You are singing words of your favourite copyrighted song and there is copyrighted audio in the background, such as instrumental or karaoke tracks.
    You have used content from someone else without permission, but you haven’t yet received a copyright notice on your video.
    Your video does not provide proper attribution or credits as required by a licence.

    Sir image ki kaha se permision le , manlo ki meine jo image chahiye ex. free lemon images search kiya aur uss image ko apne youtube video use kiya to iss ke baad bhi mujhe copyrights ka notice aayega … google search mein free dalne ke baad mein bhi copyrights images search mein aayegi.
    aur ek sawaal
    sir meine ek video banaya how crop video
    uss video mein meine videotovideo software use kiya sir uss software ka meine description meine likha ki click here and download these software iss ke baad bhi wo video not eligible hoga iska answer zaroor bataye aur samajo ho not eligible hoga to permission kaise le agar uska youtube pe official nahi hai towritten permission kaise le aur wo permission hum youtube ko kaise batayee

    Reply
  11. Bhai me aapne YouTube ke liye cartoon movie banana chahata hun e.g.-chota bheem ,mogali,benten ect. Ki taraha , aapne muje option bhee Diya tha videoscribe ka lekin Vo muje samaj me nahi aaraha hai or koi accha software mil sakkta hai jisase muje video banane me aasani ho
    Or goanimate kaisa hai
    Or agar aapke pass koi option ho to please aap muje bataye Ki Vo kahan se milega or kaise milega please

    Reply
    • Praveen ji muje iska jada jankari nahi hai.. me videoscribe me hi banata hu apne white board video.. jese aap video banane ka kha rahe ho uske liye konsa software lagega uske bare me agar muje pata chata hai to me aapko jarur bataoga.

      Reply
  12. Dear Rohit Mewada sir
    sir aapne itne achee articles daale hai, jinke hume bohat aachi madat hoti hai..
    aapne sabhi topics detail mein aachi tarike se dale hai, meri aapko request hai,
    youtube ki video terms and conditions hindi mein uspar article likho,english terms and condition samaj nahi aati, plz sir aap iss par reply de..aur

    sapse mahatwapurna baat ki, consider agar meine ek video banaya hai, wo video hai smajo ki, how to remove pimples, mujhe jo jankari hai wo meine khud ke aawaj mein record ki, aur visuals mein yaani ki uss topic par jo video hoga mera jisme kuch images dalkar video banaya.. jaise lemon , alovera image aur aaisa video meine youtube par upload kiya to mein usse monization kar sakta hu kya aur usse paise kama sakta hu kya ! tell mi sir

    Reply
    • Thanks Mahesh ji.. Post ke suggest ke liye.. Me uspar post jald se jald dalne ki kosis karuga..

      Jo aapka sabal hai ki aap image use kar sakte hai ki nahi.. To aap bilkul kar sakte hai or usko monetize bhi kar sakte hai.. Or agar maan lo koi Aapne aesi image use ki jo copyright ho to match contact me Utne video ka time aa jayega aap usko edit karke dusri image use kar sakte ho.. Or agar aapka video acha rahega to aap bhut badiya paise bhi kama sakte ho

      Reply
  13. Bhai muje videoscribe samaj me nahi aaraha hai kya Mai goanimate se cartoon video bana sakkta hun chhota bheem,benten,or mogali Ki taraha?

    Reply
  14. Bhai, muje videoscribe to samj me nahi aarha hai
    Kya Mai goanimate se cartoon video bana sakkta Hu jaise chota bheem,benten,mogali Ki taraha

    Reply
  15. Videoscribe se accha software or koi mil sakkta hai jisase hum cartoon videos bana sake jaise chhota bheem,ben Tex, mogali
    Ke jaise? Wo kanga se milega ir kaise milega

    Reply
  16. Hello Rahul bro.
    Ek bat or btao ki mein jo video YouTube par upload krta hu..un video me mera khud ka hona jaruri hai ya nhi..?
    Or jo rupess mein kamauga youTube se, wo mujhe kese milege..Yar mene youtube se kese paise kamya jate h wo sari detail pad chuka hu me.. 90% mein samjha chuka hu..
    Bs kuch bat samjha me nhi aai mujhe..
    1. Mujhe har ek video se kitne rupess milege..
    2. Jo rupess mujhe YouTube se milege wo mein kese le paunga.. Kya yah rupess mere bank account m ayege ?
    3. Agar mere duwra upload kiye hue video mere friend’s ko YouTube me na mile to mein un ko kese btao ki tum logo ko mera video yah search krne se milega.?
    4. YouTube par video upload krne se koi problem to nhi hogi na..
    Mein YouTube par only funny, Brain test etc ache video upload kruga..gande video upload nhi kruga..
    Plz reply.

    Reply
  17. source ko description likho” matlam samaj nahi aaya thode vistaar se bataye na.. aur sir mera chanaal or AdSense block hoga kya nahi ye aapne nahi bataya.. aur sir adsence account kyu block hota.. site ki English terms samaj nahi aa rahi ..

    Reply
  18. YouTube se paise kamane ke bare me ache se bataye YouTube pr channel aur AdSense account kaise banate h bas in do tariko se YouTube pr paise kamate h ya kuch aur bhi karna padega pls pls tell me me abhi mei 12th mei hu 12th ke bad kya karu samajh nahi a raha apne kharche nikalne ke liye mei paise kamana chahta hu pls friend meri help karo

    Reply
  19. Sir Mere pass video ka idea aaya hai .. WO video mein dalna chahta hu.. magar pbm ye hai ki.. WO video YouTube par KIsi ka copy nahi hai .. use mujhe monetization bhi karna hai magar .. uske piche background music dalna chahta hu ek movie song in piano ki magar wo YouTube par upload hai .. agar mein wo music mein apne video par dalkar upload karu to .. mujhe mere video ke paise mileage ya mera adsence account block hoga plz sir tell mi ..

    Reply
  20. jab mujhe dubara video dalna ho to bhi Monetize karna padega? plz esi chanal par dusara tisara video uploading ka tarika bataye…

    Reply
  21. To kya ab mere youtube ka cnl ka naam chej kr du kya or ha mera mene ji youtube pr cnl bnaya hai hungama public k naam se wo chenj pka ho jayega na or kaise hoga or search krne pr wo fir dikhega na pka

    Reply
  22. mai bahot garib ladka hu aap sochte honge mobail kaha se chala raha hai koi diya hai mera dost ….you tube se paisa kaise kamate hai rohit bhai apna whatsaap number do pliz…. hath jod ke bhikh mangta hu 8948536093…whatsaap number….. 33333 yese massage karna likh kar mai pahchan lunga rohit bhai ok conteckt number 7081191011

    Reply
  23. Sir mai studentt hu information technology ka buy i belongs to poor faimly. So please mujhe apni salah de . Mera utube accunt bhi hai. Please suggest me

    Reply
  24. Sir , Muje ye janna hai ki
    1.You tube per ek email account per kitne channael bana sakte hai ?.
    2. Kiya jis Name se you tube channel hai usi Name ka Bank Account hona Chaliye kiya ya kisi bhi Name ke bank Account mai paisa a jata hai.
    3. Kiya sir Gmail per Email ID kisi bhi Name se ho hum apna You Tube Channel kisi bhi name se bana sakte hai kiya please explain me sir plz
    4. Sir mai ek Professional You tube Channel Banana chah raha hun jiska name & Email id kuch attractive rakhna chah raha hun and bank ac to mere name se hi rahega na sir fir badme paise transfer ki problem to nahi ayegi please explain sir plz

    Reply
  25. Good after noon sir
    sir sabse pahele to mai aap ko thanks kaheta hu ko aap ke dwara btane par apni web said aur YouTube dono par account registration karwa diya aur ek do video’s bhi upload kar diya hai par meri ek problem hai sir ki aap ne kha that ki Google se koi letter ayega aur usi me pin n. hoga par sir aaj karib 10 din ho gye par koi bhi letter nhi aya ? aur dusri problem ye hai ki mai koi vedio apne mobail se aploed karta hu to WO sirph mobail par hi dikhta hai computer par nhi btaiye kya kare sir

    Reply
  26. Me Google pr search kr rha hu apne chenl ko to dikh kyu nhi rha mujhe wo btai yr sir public hungama k naam se cnl hai to kya hua

    Reply
  27. Sir code aaya nhi abhi tk mene youtube pr apna cln bnaya tha hungama public k naam se to bna bn gya ab me apne cnl ko youtube pr search kr rha hu to wo dikh nhi rha hai

    Reply
    • Aapke 10$? hoge uske baad aapke address par code send hoga or uske 30 din me apne ghar tak aa Jata hai..

      Aapne jo naam use kiya hai Agar wo kisi popular channel ka naam use kiya to phele wo aayegi.

      Reply
  28. Sir… You tube video logo take pahuchega kaise. I mean..kya jab tak woh Google ya you tube mein search nahi kareinge tab tak unko hamari video ka pata hi nahi chlega.to aise mein video ke popular hone ke kitne kam chances hai…tell me how can i famous to you tube video

    Reply