Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,012 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

    • uska sirf ye karan ho sakta hai ki video aapne kahi se copy kiya haim ya fir usme koi copy contant hai.. agar aapko lagta hai ki pura video aapka hai or usme kuch bhi copy nahi hai to aap double se upload kare video ko.

      Reply
  1. Ads विडिओ बनाने के लिए Animated video कैसे बनाते है ? क्या आप मुझे बता सकते है ?
    एक दम सिम्पल एनीमेशन वीडियो | जिसमे हम किसी भी चीज़ का विडियो एनीमेशन विडियो बना सकते है ?

    Reply
  2. Sir main ek video banaya tha aur use YouTube par daal chuka hu but sipmel me aise I’d bana kr nahi dala hai kya usko fir se daal sakte hai to benefit milega

    Reply
  3. YouTube ke liye Jo AdSense ka account kiya hun uska ham blog ke liye use kar sakte hai ya uske liye dusra account bana hoga.orr dusra questions hai ki Whatsup mai to adds nahi aata tab ye kaese income karta hai.thanks

    Reply
  4. Bhai adsense kya hai. Aur adsense you tube me kaha hota. Adsense me apna accoumt seve nahi kar sakte jisse amount dierect account me pahuchta rahe.

    Reply
  5. hello rohit ji agar mein apne youtube channel ki cover photo mein apne channel sambandhit in text aur side mein kuch icons like facebook whatsapp twitter hike gmail apple logo google yahoon like logo twitter bird logo internet logo in sabhi ko apne channel ke cover photo ke ek side ko add karu , aur apne channel intro mein usme image daalne hai jo mere har video dikhigi aur baad mein jo mera video hai..ek site pe promo bane ke liye apna text aur ek image daalne hai..to promo ke templetes mere channeln ka naam aur upar ki wahi fb,teitter etc image mere promo mein use karu to image copyrights violtion ya phir in image ko use karne se mera youtube video monitize karne problem ho sak ta hai kya… aur jaise ki meine bataya ki youtube channel par jo covre photo daalne wala hoon wahi photo google plus daalne par … aage mere google custom link paane ke liye koi problem ho sakta hai..youtube channel custom link article padha hai maine .. unn baato dhyan mein rakh kar bol raha hu.. aur sir aap mere jawalo jawaab thik nahi dere ho .. plz give me ans

    Reply
  6. gud afternoon respected rohit sir all of u mene 2,3 din se aapke comment’s parhe kuch net ki basic knowldge hui & aapki comment policy bhi bilkul sahi hai but mein new fresher hu and basic starting kese kru..

    Reply
  7. Sir mene youtube par ek video uplode kiya use monitiEze bhi kiya par us par green $ is tarah ke nissan ki jagah ye nisan aa raha hai kya karu help

    Reply
  8. Rohit Bhai apne ek jagah likha hua hai ki annotation kya hota h, Kaise use krte h…tags kaise krte hai yoube tube video ko or thamnail kaise krte h….etc …pls btaye ki ye kya hota h or kya kya benefits h inke….

    Reply
  9. Rohit sir mene ek video upload kiya use computer se monitize bhi kar diya par jesa Aapne kaha monitize hone par ye $ nisan aayega,ye nisan nahi aa raha balki ! Is tarah ka nisan aa raha hai please help

    Reply
  10. facebook page pr like kaise kaise bda skte h plz details se btaye and agr youtube pr Add dekhte h to uska income process kya h bhai g

    Reply
  11. Rohit ji aapne kaha internet se ko bhi jankari chaiye to puche mai ye puchna tha ki kya helixo.in me page typing vala work sahi hai ya ye frod website hau isme waqai me page typing krke paise kamaye jaa sakte hai ya fir aap btaye jo sahi website ho jisme page typng ka paise dete ho maine abhi try nhi kiya bt ye pehla try krne ja raha hu aap pls meri help kare mujhe page typing part time job dilane me pls iske baare me kuch btaye pla help me brother

    Reply
  12. Hello Sir i am irfan from pakistan mera sawal hai ke kiya roman hindi/urdu main article de ker hum google adsense laga sakte hain ???
    aur youtube adsense hmein 1 click per kitne paise deta hai….
    please reply ……

    thnaks.

    Reply
    • Adsense bilkul laga sakte hai.. Me use kar raha hu ye uska ek jita jagha example hai..

      Ek click par kitna milta hai ye koi fix nahi hai.. Aap apni income se calculate karke nikal sakte ho ki aapko kitne mil rahe hai.. 1000 views par kitne $ mile usse calculate kare

      Reply
  13. Rohit sir..actually Maine video bnai hai ek…ab uss video ko edit krna h…uss video ki voice b video me adit krni h…kon sa software hai jo voice or video ko ek perfect video bna ske…help me sir..

    Reply
  14. Maine video upload kiya bt processing let se hone ke karn mai phir se upload kiya uss page hta kar or phir se upload kiya or is bar v processing 98% ho ruk gya to mai phir se usi video ko karna chahte hun .koe problem to nahi hoga na publis avi tak nahi kiya hun .

    Reply
  15. sir maine videoscribe software download .. kiya Jo ki 7 days trial hai .. Maine Jo whiteboard animation banaya hai.. wo sab cloud save huwa batata hai.. to Google cloud par save/ store kiya huwa kaise download kare..

    Reply
  16. You tube par video ko subscribe or download ka paesa nahi milta hai kiya.dusra question ye ki Facebook income kaese karta hai ya koe v social media income kaese karta hai .

    Reply
    • subscribe ya download karne se koi paisa nahi milta..

      facebook, or dusri sabhi social networking site ki income promoted post se hoti hai.. sayad aapne diyan nahi diya.. facebook par ads aate hai.. ads facebook ke hi hote hai.. jese maanlo mene apna advertise karaya facebook par to mera facebook page jada logo tak phuchega.. muje advertise karne ke liye facebook ko paise dene padege ussi se hoti hai income

      Reply
  17. ek din me 1000 viwers milana to ek aam aadami ki liye to bahot muskil hai.ab muze aap batao ki viwers kese badhana hai.mane montezision kar diya hai.ab kitane dolar ki kamai hui hai.wo kaha par likha hota hai.google ka later kya email par aata hai ya post me ghar aata hai.aap meri sahayata karo.muze youtube se monthly incom 5000 chahiye.isake liye kya karu?plese help me sir

    Reply
    • Aap badiya video daloge to 1000 kya 1 lakh bhi aasan se aayege.. Aap video ache se ache banane ki kosis kare or apne jo viewers hai unse contact banane ki kosis kare.. Ki wo aapko support kare aapke video ko share karke.. Or aap 5000 rupee par month kha rahe ho.. 6500 se kam aate hi nahi hai, 100$ se kam nahi aate

      Reply
  18. bro main video upload kar leta hu but main kay asisa kya karu jo mere video ko log jyada se jyada delhne chahiye plzz help me Bro

    Reply
    • aap us sign par click karke aapko video ka proof dena hoga.. video me kya hai or video kaise banaya or sound, bagera kaha se liya sab kuch.. agar copy kiya video hai to monetize nahi hoga.

      Reply
  19. Rohit ji
    m mbl se video banaata hu to 1 minute ka video 20-22mb se kam ka nahi baataa.
    mbl Micromax Bolt a068 and Camera 5 Mega piX
    Kyo Lagati H itni jyAada MB
    NaYaYa mbl Kya dekh kar khariden for making video

    Reply
  20. sir ydi kisi dukan me wifi lga huva he or ham gar bete apne mobile me us dukan me kya ho rha he ye pta lgane ke liye kya krenge

    Reply
  21. mara sirf ek hi sawal hai ki kya sirf computar se hi hum video ko paisa kamane wala bana sakte hai.kya mobile me asi seting nahi hai ki hum montesise kar sake.mobile me dolar ka nishan kese aa sakta hai.agar hume month me 40 viwer mile to minimam incom kitani hogi.i hope sir u help me. mai aapaka aabhari hu.thank u sir

    Reply
    • aap ye sabal puchne ki jagha youtube ki site ko desktop version me kholege to aap sab kuch kar sakte hai jo computer me hota hai.. q ki desktop view me computer me jesi khulti hai wesi hi khulegi..

      40 views ek mahine me isse to kuch bhi nahi hogi.. kam se kam 5-6 hajar per day ho tab kuch soch sakte ho earning ki.

      Reply
    • Aapke sare sabal bhut hi basic hai.. Aapko youtube se paise kamane se phele aapko ye samaj na padega ki income hoti q hai or kaise hoti hai..

      Ham apna video bana kar usko youtube par dalte hai or uspar ads lagate hai to youtube uski earning ka 60% hame deti hai.. 0 views par bhi ads laga sakte hai.. Income jab hi hogi jab Hamare video ko koi dekhega.. Sirf upload karne se nahi hoti income..

      Youtube ke bhut si section or option hai jo sirf computer ? se hi ho sakte hai

      Reply
  22. Rohit ji
    mere paas pan Card nahin h
    paypal account kholne k liye m mammi ka pan card and apna account no. Usa kar sakataa hu kya
    please bataaiye
    i m waiting sir. . .

    Reply
    • Jis naam se pan card hai ussi naam ka bank account Hona chaiye or ussi haan se bank account connect hoga.. Aap chahe to apni mammi ji ke naam se hi account bana lijiye par aap alag alag naam use nahi kat sakte

      Reply
  23. YouTube earnings will be added to your AdSense payments page before the 15th of the month and included in your payment if your total earnings exceed the payment threshold. Estimated earnings will not be updated to include your YouTube earnings.

    Reply
  24. Har pal ho sunehera ,
    Duniya me naam ho roshan HMH ka aur thumahara ,
    Dusron ko dikhako tum kinara
    Yehi sapna hai hamara ..
    Happy Dussehra Rohit Mewada Sir ..

    Reply
  25. youtube chanal ke video maneger me video ke aage ‘ pramot’ ka option aata hai.jab ‘bazat’sumbit karna ho to kya kare uske me jankari chahata hu

    Reply
  26. Sir agar mein apne channelpar own created ek video aalag title se 4-5 baar upload karu aur monitize karu to paise kama sakta hu kya iss kuch prbm hoga kya

    Reply
    • Aapko video bhi edit karke thoda bhut to change karna padega.. Or sirf upload karne se paise nahi milte.. Video par milte hai.. To isse acha hai aap ek hi video upload kare or usko share karke usko popular karbane ki kosis kare

      Reply
  27. Sir agar mein apne channelpar own created ek video aalag title se upload 4-5 base upload karu air monitize karu to paise kama sakta hu kya

    Reply
  28. aghor main ek aachi see video upload koru too , aapku kiya lagta hy ki kitne dino mee 100 dolar kama sekta hu? aaghor aap muje iske Jankari dooge too bodi meherbani hogi

    Reply