Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,012 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

  1. hello rohit sir,
    sir agar maine ek hi youtube acount pe 2 alag alag channel banaye hai , alag alag toppic pe aur main un dono channel ko monetize karun to kya main un dono ko ek hi adsense acount aur bank acount se jod sakta hu ya dono channel ke liye alag alag acount chahiye adsence aur bank ka ?

    Reply
  2. hello rohit sir,
    sir kya main apne youtube account se 1 se jyaada channel bana sakta hu agar han to kaise ? mera matlab agar main 2 ya usse jyaada channel banana chahu alag alag topic pe to kya ye possible hai?

    Reply
  3. hello rohit sir,
    sir maan lijiye maine apne channel pe koi bhi video upload nahi kiya hai aur main apne channel ko monelize karke adsense account se connect karun aur uske baad koi video upload karun to kya ye possible hai?

    Reply
  4. Sir agr koi video song ho usko computer ya laptop mai chala kr uski video recording karke usko you tube pe upload kare to ye copyright hoga ya nii

    Reply
  5. Rohit bhai ye corriers companys jaise ki flipkart Amazon kis base pr kaam karti hai…….or mai kaise koi aap launch kr sakta hoon….

    Reply
    • inka direct dealers se conntact hota hai.. or jab koi saman order karta hai to jo uska dealer hai wo saman ko bhejta hai.. isme site ka 2% commission rhata hai.. aesi site ke liye acha khasa investment chaiye..

      Reply
  6. Rohit maine video bana kr YouTube par upload kr diya kya aap muje ye bta skte ho k mere video par kitne views par 1$ aate hai.

    Reply
  7. Enter your comment here… Mr. Rohit sir, aplogoki madat karna pasand kartehona.i need ur help, apke instruction k throught mene youtube par video upload kar chuka hun our adsence se bhi connect kar chuka hun 1 mahina ho chukahe lekin paise nhimilrahahe. Mere youtube videoko 1421 log sirf view kiye he paise kabmilega.our dusra video v agar upload karuto usko v monitize karna padtahekya.our adsense se jodna padtahekya.

    Reply
  8. hello sir. (how will i be paid) par click karke (associate an adsense account) par bhi click kar diya hai next button to aa raha hai magar uper ye likha aa raha hai
    (This functionality is not available right now. Please try again later).ye likha aa raa hai or aage nahi khul raha hai jaie adsense ki site nahi khul rahi hai sir. plezz help me

    Reply
  9. sir mene apna youtube account adsense jod diya h jase aapne bataya tha lekin vidio dekhne per meri vidio m ad khi njr aata nhi h kese pata lgega adsense youtube jud chuka h

    Reply
  10. me neobux pe 2dollar earning karbhichuka hu our payment request kar rahahu to error arahahe kya karu an during error pleache wait few hour and try again later aisa kuch. Error arahe .plz sir give me solution .our ek bat me ek video uploud kiyahun youtube pe our usvideo ko monitize v kardiya hun phir adsense v kholdiyahun payment kaise milega puri detail.our dusra video dusra channelcreate karke me dalna chahtahun to usko phirse monize karna padega kya phir se adsense se connect karna padega kya. Mujhe payment ki puri detail chahiye .aplogo ki madat karna chahtehona mujhe madat ki jarurat he mujhe mera sare answer chahiye. Mujhe mail kardijiye plz me apka purijindegi avari rahunga. Mera email. Sarojkupandey@gmail.com

    Reply
  11. Sir main ek singer houn aur main singing video banana chahta houn ,aur use you tube per dalna chahta houn .
    Sir main ye janna chahta houn ki mujhe you tube se kaisa response milega kya music director video dekhte honge kya koi music director theek voicr lage to kaam de sakta hai.

    Reply
  12. Aur kya ham 2 email ID and dusri youtube channel bana kar ek hi Bank account use kar sakte hain? jaisey maan lijiye ek youtube adsense se juda hua hai aur ek bank detail wahan submit hai>>> ab ek separate gmail a/c se ek naya youtube channel banaya wahan video upload karke adsense se jod diya but bank a/c detail yahan bhi wahi dali kya aisa kiya ja sakta hai aur isase pichale youtube channel aur adsense a/c par koi effect to nahi padega?

    Reply
  13. Illegal video se aapka kya matlab hai? short film ke naam se duniya bhar ke video available hain jinpar adsense ka ad bhi aa raha hai— ya wo adsense se nahi judey hai kisi aur aisi site se judey hain?

    Reply
  14. hello, mera nam sudhir hai… maine youtube pe video upload kiya hai or monitize bhi kiya hai…or us video ke maine report cheack kiya hai total estimated earning $15.66 hogaya hai….maine adscene pe account bhi open kiya …pr ye $15.66 ye mujhe adscene pe nhi dikha raha hai or waha pe payment option me mujhe bank account bhi dikhara hai…… so mujhe ye paise adsecen me kaise lane hoga or use bank me tranfer kaise kiya jata …plz mujhe detail me bataye…..snprince76@gmail is pr mujhe mail karo plzz….. or ek saval hai ki ye totoal estimated earniing ye kitane dino me apne account pe lena hoga ..? kya youtube ye paise thode din ke baad nikal dete hai kya…. i hope u understand …..plz reply karo…. Thnkn u

    Reply
  15. sir internet se use ku hui image ku vudeo bna kr aur koi movie mp3 song lgau to viewer ke paise milenge…i mean youtube ko koi etraj to nhe naa

    Reply
  16. Sir mera AdSense ac nahi ban raha hai sing up mejakara meri website slect ho IATA hai par able charan me jankari puchta hai country state etc. Lekin San kuch sahi bharta hun phir bhi batata hai

    ”Hamare record darsate hain ki ap abhi AdSense me hissa lens yogy nahi hai
    Ap hamari Terms and condition me bare me padhe ,,
    Sir Sab terms English me likha hota hai
    Mughe Jo ata hai padhta hu lekin bahut bar try kiya abedan sabmit nahi ho raha hai
    Ap hamari madad karo please sir

    Reply
  17. Muje 2 month ho gaye he youtube account ko our abhi Mere you tube par 250000 views hue the 15th nov ko par youtube ne payment me muje sirf 28.98$ hi bata raha he kya karu me abhi k mere views 316378 he

    Reply
    • aapke video kaha jada dekhe ja rahe hai, kitne lambe hai, konse ads uspar aa rahe hai.. bhut si chije nirbhar karti hai income me.. sirf views count se kuch nahi hota.. or haa agar aapne video kahi se copy kiye hai to ho sakta hai uski income jo uska copywrite holder hai( jisne video banaya hai) uske pass ja rahi ho..

      Reply
  18. Rohit JI,

    Aap ne bohot usefull information di hai…iske liye thanks…aaj maine sab comments read kiye hain aur aapki post bhi….mera ek chota sa swaal ye hai ki..apni purnai id se hi youtube channel mein login kar ne ke baad…channal ka naam change kar sakte hain kyaa ya phir jis naam se channel banana ho usi naam ki id banani hogi…thanks….

    Reply