YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
Sir YouTube par maine video monetize kiya hai or 3view bhi aa chuke hai.sir minimum kitne view par muje income earn hone lagegi.
Aesa koi fix nahi hai or kitni hogi ye bhi fix nahi hai. Par meri income ke baare me batata hu lagbag 1000 view par 1$ se 5$ tak income hoti hai
Sir maine YouTube pe apna khudka 1 video banakar upload kiya hai or use video par gree $ monetize kaa sign aaa raha hai lakin sir mere video par abh tak ek bhi view or like nahi hai to fir bhi main video monetize kar sakta hu sir?
Haa bilkul kar sakte ho. Monetization suru karne ka matlab hai aap us video se paise kamana chate ho or bo video aap ka hi hai. Uske liye like views ki koi jarurat nahi hai :)
Sir maine video monetize kiya lakin gree ? Aa raha hai.
Green $ ka icon aane ka matlab hai video par monetize ho gaya hai
Ohk thnx bhai
Sir ye bataye kii kisi video prr adds kabse ane start ho jate h
Video ko monitize krke $ green sign ane pr ane
Lgte h ya
Fhir green sign ho Jane k baad kuch din baad ya week baad add ate h ya
Kuch ar ???
Pls bataiye??
$ sign aane ke turant baad aane lagte hai.
Sar mere video k samne $ nishan aane k baad bhi mere vudeo par add nhi arahe h iski kya vajah h
agar $ ka green sign hai to ads aayege.. kabhi kabi video par ads nah iaate agar usse sambandit ads nahi milte hai to.
Sir ek problem ho gyi h adsene me adress bharte same tim zone galat hogaya gmt 7 ho gaya sir ab kya karu pls help me sir
I am brij mohan suri mere green sign hai but add nahibaa rahey karib 89 videos hai mujhe kaise malum hoga ki maine sab inf sahi di hai mujhe approval msg bhi aa gya hai 28 hour pehle dollar per green signal bhi aa gya hai but add kisi video pr nahi chal rahi kahi mere account mai koi problem to nahi
Sir YouTube pe my chenal topic kaise creat kare.
My topic matlab kya me samja nahi aap kya puchna cha rahe ho.
Kya aap apne video ko alag Alag topic se set karna chate ho to aap playlist bana sakte ho.
Playlist banane ke liye aap video ki detail edit karte hai jab bagal me option aata hai Playlist ka. Baha par Aap Playlist bana sakte ho to new Playlist bhi bana sakte ho
Lekin aap ne ye to bataya nahi k google adsence acount kaise banate hain
Mene bataya hai aapne Sahi se nahi dekha. Youtube se jab ham adsense account ko connect karte hai to direct hi option aata hai adsense account create karne ka. Or baha se direct hi ham apna adsense account bana sakte hai
Youtube m kisi video par ad dikhane k kitne payse milte h.please bataye
Thanks
Ads dekhne ke paise nahi milte. Bas apne video par ads dikha kar paise kama sakte hai
YouTube par kisi video par ad kitni bar dikhane par kitne payse milte h.
Iska koi rule nahi hai ki itne view par itne milega.
Par lagbag 1000view par 1-5$ tak mil sakte hai. Ye bhut se chij par nirbhar karta hai
Bhaiya phale YouTube wale @$ green a raha tha ab nhi aa raha hai kya karu original video daali hai mene btao bhaiya kya karu or mere ek video par 1000 view ho Gaye h doller koi nhi aaya hai
Sir later cod anema kidna din time ragega please boro
Ok Bhaiya o m waiting
Haanji Bhai 00 hi hai bs please help me
Irfan me thoda bhar hu yaar or yaha par network ki problem hai or muje aap ki help ke liye laptop ki jarurat hai.
Sorry but aapko 27 April tak rukna padega.
Bhai monetize on hai channel ki puri hue h ek video par 2500 h but $ nhi aaye h
Grt sir..itni bistar she info to khi she nhi mili jitni aap ne dii..
Bahut bahut dhanyabad sir..
I need your help!
Sir mne ek YouTube channel banaya
Jis PR kuch apne banaye hue video b upload kie
Ar fhir aapke dyara batai gyi sare step mne complete kr liye PR
Jaise account verified
Monityzation
Ar use Google AdSense se b link kr lia PR
Sir mere videos PR koii add kyu nhi a RHA h…??
Kripya bataye is bare m …
Aapke youtube video manager me video ke saamne $ka icon aaya ki nahi.
Aapka video kitna Lamba hai or aapne uspar konsa ads enable kiye hai ye aap $ke icon par click karke dekh sakte ho.
Aap khud ads par click mat karna nahi to aapka adsense account block ho jayega.
$ ka green sign to a gya sir 2 videos pr Jo kii 1 min she kam k hai
Sir video chalane pr skip add bala option nhi at a
Pr video k end m kuch add kii patti ya line ati h neeche…iska kya mtlb h??
Ads dono tarike se aate hai or aap apne video ke monetize ke option me ads ko set bhi kar sakte ho
Bhai mere YouTube par 4000 view ho Gaye h or koi doller nhi aaya hai
Ek video par hai itne view hai ya channel ki puri video par.
Kuch point me to hui hoga ka 00 hai.?
Monetize kiya ki nahi? Agar nahi kiya to phele monetize karo, uski jaankari mene site par di hai
Ok Bhaiya ji or koi tarika Paisa kamane ka
Bhai koi aise side bta do jaha se mai video downlode karke upload Kar saku bcos banane ke liye jyada tym chahiye Bhai yar
Aesi koi side nahi hai jo aapko video bana kar se or aap uske jariye paise kamao. Paise kamane ke liye mhenat to karni padti hai
Bhaiya mene kuch video downlode Kari kise side se woh uplode Kar skta hu kya YouTube par toh green$ aayega ya nhi
Sayad hi aaye. Agar aap youtube se paise kamana chate ho to apne video hi daalo, kisi ka video copy karke upload karoge to youtube aapke account ko abhi band kar sakte hai
Toh ab kya karu bhaiya
Or Bhaiya mera adsense accounts par green$ nhi a raha hai kise video par a raha h kise par nhi Kya karu
Jis par nahi aa raha hai ho sakta hai bo aapne kahi se copy kiye ho ya fir usme jo sound use kiya ho bo copy write ho.
Bhaiya adsense par jaha detail bharte hai
Kya Puchna Chate ho Irfan
bhai 1 youtube account ko dusre youtube account se kese atech karete hai plizzzzzz zaror batana ?
Sir blog par AdSense kaisai lagaiye
Uske liye aapko apply karna padega adsense par. Uske liye aapki site Sahi Hona chaiye,matlab unki term condition ko much karna chaiye
Bhaiya Maine apna account number nhi diya h apna address diya hai koi problem toh nhi h.
kaha par aapne apna account number nahi diya or kaha par address diya phele ye clear karo ?
Adsense main website mang raha hai to hum kya kare hamere pass koye website nahi hai .
Aap adsense par account q banana chate ho ye batao?
mere moneiztion ka green nahi ho raha h ye likha hua araha h….You’re almost done! Once your AdSense account is activated you can start monetizing your videos from the Video Manager.
Aapne youtube par jo video dala hai bo kahi se copy to nahi Kara nahi to monetize nahi hoga. Agar kahi se copy kiya ho ho usko delete kardo. Or apna banaya huaa ek video upload karo.
Jo message aa raha hai uska matlab hai abhi aapka youtube video approved nahi huaa hai.
Sir jese mere ghar pe google se verification code ata h to m.adsense account kese bnaunga .
Rahul aap account to phele hi bana chuke hoge. bo verification code aapko apne adsense account me login karke daalna hai. usse aapka address approve ho jayega.
to kese karna h yr
yr mene video apload kari h par jha doller ka nisan aata h vha pr ? iska nisan a rha h
Matlab aapka video abhi youtube par approved nahi huaa. Kahi se copy karke to nahi upload kiya naa. Nahi to monetize nahi hoga
okkkk yr
usse kya fayda ho hamara
Aare website se kya hota hai. Meri bhi website Lelo. Aesi tum bhi bana sakte ho kisi bhi topic par
blogger se kya hoyga bhai
Ye ek website hai or aap apni website is par bana sakte ho
aap apna knowlage duniya se share kar sakte ho
okkk bhai
yar aap apna no to de sakte ho n plzzzz me ye is tarah ka kaam phele bhi kar chuka bhai
Aap aaj saam tak intjaar karo me apna whatsapp ka number de raha hu. ok
or agar ham payment karenge to kaha se ho gi bhai
payment ham nahi karte jab hamare 100$ ho jate hai to Adsense ke through hamare bank account me aa jate hai
yr blogger se kya hota h
Blog par ham kuch chi daal satke hai. ye ek trha ki website hi hai or ye bilkul free hai. Matlab ham Blogger.com par jaa kar free me website bana sakte hai.
aap mujhe bata sakte ho ki mujhe kha per pata chalega ki mere doller kitne ho gay h
sabse phele apne video manager me jao youtube par jaha aapke video aapne upload kiye hai. uske baad apne ulte haath side aapko ek Analitics ka option dikhega. us par jao. bhaha par aapki channel ke bare me sab kuch batayega. kitne view huee, kitni earning hui or bhi bhut kuch.
or jo form mene bhara h usse kya hoga
hame hamare doller kha dikhenge ki vo kitne ho gay h
Youtube ke analitics section me dekh sakte hai
bhai aap ne to sirf monotize karna bataya h sab kuch bata sakte ho
Sharib aap kya jaanna chate hai bo bataiye. Mene post me bataya hai kaise Monotize kare or adsense account ko kaise banakar youtube se connect kare. iske aalaba aap kya jaanna chate hai batao.
Aaj se me whatsapp par service start kar raha hu.:)
aap ka number kya hi my number 9808112571
ajay
Bro kiya aap mujhe yeh bata sakte hai ki youtube pe paise kamane ke liye laptop hi zruri hai ya fir mobile se bhi paise kama sakte hai
Sabse main hai badiya video.. Or bhut se kaam se youtube ke jo sirf computer ? ne hi ho sakte hai to agar aapko youtube se ache ae paise kamana hak to computer naruri hai. Baki mobile se to kbali ek support milti hai to thodi bhut detail usme dekb sake.
me re youtube par monetiz ka option nahi araha or naahi google adsens se connect horaha h pls help me
ou are currently signed into the Google Account m4mohdkaleem@gmail.com, which is either not an active AdSense account, or still pending an approval. This account cannot be used to monetize your content. ye likha hua araha h google ad par
aapko youtube ke through hi jana hai Adsense ke account par aesa lag raha hai aap direct Adsense ki site par jaakar sign in kar rahe hai.
ye option sirf computer par hi aata hai. mobile par nahi aata.
mene jo steps batai hai usme aapko konso step me dikkat aa rah hai aap ye bataye.
ek to mera montiztion ka option sohw nahi ho raha dusra google adsens par bi connect nahi ho raha h
aare aap meri post me dekho jaha par usme dikh raha hai bhi par aapko jana hai. ye sirf computer par hi hoga mobile par nahi.
Aaj se me ek or subhida start karne wala hu WhatsApp ki saam tak
thik hai mera whatsup no 9045585382 add karo plzzzz
Aap yaha par apna number submit karo. Or WhatApp par join karna se phele kuch sarte hai bo jarur padna.
http://hindimehelp.com/hindi-me-help-whatsapp-number/
Sir ye sab fake h .
Kya fake hai aap Batayege
aap apna mobile no de sakte ho ya phir
aap mere whatsapp number contact kar sakt hai.
meri kuch sarte hai usko padne ke baad mere whatsapp se jude
http://hindimehelp.com/hindi-me-help-whatsapp-number/
bhai aap mera adsense per account bna sakte ho plzzz
Aap ye batao aapko kis step me dikkat aa rahi hai. Mene jese jese bataya hai aap besa hi karte jao. Computer par hi hoga.
Agar aaj me aapka account banadu to aapko Hamesa meri madad leni padegi or me ye nahi chata. Q ki or bhi bhut kuch hai jo aapko Sikhne hai or har baar sayad me aapki madad ke liye naa kar pao.
Me jis bhi jaankari ko du aap usko step by step follow karoge to aapko koi dikkat nahi aayegi or agar kahi aayegi to me hu hi aap mujse puch sakte ho :)
Bhai Aap ye batao ki adsense ka account direct kaise banate hai aur kya verfication code E-mail id par nahi aa sakta
Aap direct bhi adsense ki site par ja kar account bana sakte hai par. Agar aap youtube se Banayege to aapka adsense account jaldi approved hoga.
AdSense ka jo code aata hai bo Hamare address ke verification ke liye Hamare diye gaye address par hi letter aata hai.
Mere address par abhi tak verification code nhi aaya hh kya kru. Please help me..
abhi aapko kitna time huaa hai account ko banaye. agar ek mahine se jada ho gaya hai to aap apne Adsense account me login karke fir se code send karo. apne address ek baar sahi se check kar lena. pin code ke sath sahi hona chaiye.
Mujhe mobail say video uplode karni h YouTube par to kaise kare
Sachin aapne comment kara uske phele aap ek baar search to karte, mene phele se hi iske Upar ek post kiya hai. Yaha click karo
Bhai code dalne ke bad apne account me pease lane ke like kya karna. Padenga bhai
payment option me bank account ki datil ke liye option aa jata hai usme apne bank account ki detail dalni hogi, fir har mahine 21 ke baad automatic bank account me paise aa jate hai. kam se kam 100$ hina jaruri hai.
Sir mera blog logo take pahuchega kaise mera blog to kisi ko kaise pta chalega
Uske bhut tarike hai. Facebook, Google+, Twitter par share karo or uska page bhi banao
SEO
logo ko direct batao.
Or bhi bhut tarike hai me aage aapko bataoga
Sir mai motivational story hindi me bana kar bahut rakha Hu, kya ye blog me done pr kamai hoga
Apna please contact number dijiye.
Haa bilkul
Aaj kal logo ko inki bhut jarurat hai
Mgar mera PayPal account nahi hai
To bana lijiye.
sabha shankar ji Google Adsense me paypal Account ki jaroorat nahin hai. Aap Payment direct apne saving account me mangva sakte hain. yani Electronic Fund Transfer.
Hello Rohit,
Kya Hindi mein blog banake paise kamaye ja sakte hai, to krupaya jankari dijiye uske liya kya kya karna padega, kya apak contact phone no. milega.
Thank you.
Hello Nandev,
Haa, Hindi blog se Payse kama sakte hai. Sirf aapko karna ye hai ki aapka jis me interest ho aap us topic par apna blog banao.
Agar aapka koi bhi sabaal ho to aap yaha puchiye. aapke sabaal ka jabab jarur milega.
http://hindimehelp.com/forum/sabaal-jabaab/
Bhai mai bhi paise kamana chahta ho kya kro bahoot jaroori chahiye
Paisa kiske liye jaruri nahi. Agar aap online paisa kamana chate hai to me aapki madad jarur karuga. Aap karte kya ho
sir main bahut garib hu mujhe koi online job dedo 8757022317 plzzzzzzzz sir main singer banna chahta hu pr mere pass money nhi hone ke karan koi mujhe tich nhi kr rha h so pllzzzzz sis call me
Sorry me koi job nahi de sakta, Agar aap thoda Internet ke bare me jaankari rakhne ho to me aapko Internet se paise kamane ke bare me jaankari de sakta hu. Aap meri website par dekh sakte ho kaise youtube or Blogger par blog bana kar paise kama sakte hai.
Sir me praise kamana chahta Hu moi plan batao plz sir
Youtube or BLog se kama sakte ho.
hello Rohit ji Google verification code ko adsence me kaise dalte hai and apna bank a/c no. kaise dalte hai
Code aa gaya kya aapka. Jo Latter hai uspar likha rhata hai uska link.
Bank Detail ke liye adsense par 10$ income hone ke baad aata hai. Payment ke section me
Bhai mujhe bhi sikha 2 yr you tube me video upload krna bhai plz
yaha diya hai
Mene you tube par video. Daal diya h aur goggle adsense se connect bhi kar dia h par apne bola k us video manager par $ ka sin aa jayga par wo ni aaya ab kya karo
video ko monetize enable bhi karna padta hai. title,discription ke bagal me aata hai monetize ka option
sir maine adsense form par sahi sahi jankari di hai lakin adsense form summit nahi ho raha hai
muche apne website me online form dalna hai
Google form use kar sakte ho
Bro 100$ mtlb 6000 WO bank me option ayega dalne ko
nahi.. ye wire transfer ke jariye hamare account me direct aate hai.
हेलो दोस्तों नमस्ते।।।
आजकल आप सुनते ही होंगे की हम इंटरनेट के द्वारा ऑनलइन कमाई कर सकते है। और शायद आप भी ऐसा करने की इच्छा रखते होन्गे।। तो आप के लिए मेने ये वीडियो अपलोड किया है इसमें आप youtube के द्वारा कैसे कमाई कर सकते है ये जानकारी देने की कोशिस की है।। तो एक बार जरूर देखे।। पसंद आये तो like करे और दुसरो को शैर करे।।।। https://www.youtube.com/user/HindiMeHelp
Payee name:
iss m kiya type kar … rohit
Paying name me diske naam payment leni hai uska naam.
sir plzzzz help me
Bhai Adsence account kya hota hai… 7668108310 whatsapps no
hiiii sir mene youtube pr video upload kr di h lekin jb me payment ke option me jaata hoo to waha aisa kuch likha aa raha h
Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our
Muje lagta hai aapne apni youtube par apna video upload nahi kiya ya fir aapne kahi se vdeo ko copy karke upload kiya hai. Apna ek video upload kare.
Maine Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Banakar ki puri process kar li kai video bhi ek upload kar diya hai ab kya karna hai video ki link
(https://www.youtube.com/watch?v=Cj8UZT74Duw&feature=youtu.be)
video ko coy karke nahi daalna hai.. isse paise nahi kaa sate.. or copy karke upload karne par account kabhi bhi delete ho sakta hai.
rohit ji video ko monetize krne ke baad adsence account se bhi jod diya but incom hamare paas kese aayegi,, i mean bank account main ayegi ya address pr,
bank account me ayegi tumre income.
Kya To isme payment Hand 2 Hand milti he, ya fir ik sath
Video ke watching, downloading, like pe hand 2 hand payment ayegi ya fir ek sath monthly main
monthly, or minimum 100$ aate hai.. agar isse kam hai to dusre mahine add ho kar aayege.
bro mene mera video song youtube pr monetize kr ke daal diya or usko addsence account se bhi jod diya, but abhi tak mere address pr latter nhi aya jis main code he, wo latter kb tak ayega…….???
aapki jab 10$ income ho jayegi uske baar aapke address par latter ko send kiya jayega.. or 1 mahina lagta hai latter aane me send hone ke baad
or ye 10$ kb tk honge
Ye aapke video par nirbhar karte hai.. Agar video par ache views aayege to jaldi bhi ho sakte hai.. Apne badiya video bana kar upload kare jo logo ko pasand aaye.
mera youtube me absense account ban gaya hai lakin kuch niyamo ka plan nahi karne per mera youtube account band kar diya hai to kya me dusare ke account me apna adsense account use kar shakta hu.
Aap tri kare.. Agar adsense allow kar raha ho to ho jayega.. Nahi to new adsense account bana lena new email id se.. Ek baat ka diyaan rakho.. Agar bar bar aapke naam ka adsense account agar log huaa to aap fir adsense par apne naam se account bhi nahi paoge.. Isliye farji kaam naa kare to hi badiya hai.. Kahi kahi copy kiye video par income ho bhi Jati hai par recheck ke ham pakda jate hai or Hamari channel ko delete kar diya Jata hai.
rohit bhai mera monetize me green light hochuki he but jo doller ka icon he vo nahi araha he to me ab kaya karu plz help dost……
Sir me ak machne banaye hai jo jinke pass hath nahi us logo ke liye me khana khilane wala machine banaye hai sir me chahta hu ke us machine ka video youtub par dalo par mujhe youtub a/c nahi hai me a/c banana chahta hu please help me
Hlo rohit muje adsens ke baare me info leni thi.
iski information mene site par di hai.. aap search kare aapko mil jayegi/.
sir maine adsence pr accaunt bana liya hai ab uske aage ky karna honga
approve ho gaya kya.. uske baad aapko uske add apne blog par lagana hai
hello dear, maine 1 vedio banaya hai but uspe enable kaoppction nahi batara ha hai bhai . aur mai bohot dino se is koshish me hun ke kaise bhi karke paise kamalun but ho nahi raha. bolo bhai aur kuch madat karo plz .
Sir ji step11 next nhi ho rhi h kya aap meri help karenge please help me
youtube me video ko monetize karne ke bad adsence accuont se jodne ke liye next ka option par click karne par kuchh nahi ho raha hai.
aapka network problem ki baja se…
SIR mene sab kuch sahi kiya he pr mere video pr add show nahi ho rahi he whatsapp 9799952167 pr reply jarur kare plzz
hello sir mera video upload ho chuka h monetize v ho gya h bas adsense se nhi jud rha h please help me sir bahut preshan hu meharbani krke mera video adsense se jod dijiye
hello rohit ji adsence aur monetize kya hota hai khas kar adsence ke bare me bataye
Adsense se ham ads lagate hai apni site or youtube par.. Jisse Hamari income hoti hai
Mera Adsense connect nahi ho raha hai
Monetize enable nahi ho raha hai isko enable karne per next karne per form nahi khul raha hai
Bhai jaan kya karu
aap browser ka data clear karke fir try kare..