YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
hiii rohit
Youtube pai video maine aapke bataye tarike dala or monotize kiya but us video ke samane $ sign aaya nahi hai kya karu bataye
adsense se connect kiya ki nahi phele wo jaruri hai. copy kiya huaa nahi hona chaiye video.
or lettar aaa jayega to fir kya karenge usse kaha par submit karenge?
letter aane to do.. uspar likh rhata hai.. me uske bare me pos bhi jald dalne wala hu.. jo bhi kaam karte hai uske itne aage ki bate bhi nahi sochna chaiye jinka abhi koi jarurat nahi hai.. Aap apni income badane ka soche q ki 100$ se kam nahi aate hai.. or 10$ hone ke baad code send karte hai.
Dhanyawaad
Bhai agar hmare video par 1 bhi views nhi he to kya lettar nhi aayega..?
nahi view se uska koi relation nahi hai.. aa jayega..
mera YouTube par bank account nahi sabmit ho raha hai. pura details me batao
adsense me a karna hota hai youtube me nahi.. 10$ income hone ke baat aata hai option.
sir tablet se email id par photo kesi upload kare
Google+ me kare email ID par bhi aa jayega wohi photo
My channels ka option nahi mil raha ya help me
computer me khole
sir maine youtube pe acount bana liya hai adsense bhi conect kar liya hai
video ko 24 view mil chuka hai
but $ 0 show kar raha hai kab show karega aur kitna hone pe show karega reply
kitne bhi ho usse koi fark nahi padta.. 2 din baad update hota hai data.
BHAI MAIN YOUTUBE PAR APNA CANEL NAHI BANA PA RAHA HU MUJHE SAMJH NAHI AAH RAHA HAI PLZ.. HELP ME
Aap Google me search kare Channel Switcher or jo youtube ki link aayegi uspar click karke apni channel bana le.
bhaiya ji kya aap mujhe mobile se paisa kamane ka ya phir free mobile balance pane ka idea de sakte h so please reply to my email id
mobile par balance pane ke liye aap kuch balance ke aap hai unko install kare, aapko unse itni income to ho sakti hai ki aap apna balance daal sake.
Sir ji hamne youtube par video to upload ker di h par na to hamare mobile par my channel aata h aur na hi hamari uploaded video ke samne monetization ka sign aata h to sir plz btaye hum kya kare ?
ye sirf Computer me aata hai. mobile me nahi
1st vedeo to monitize kiya lekin 2nd vedieo ya uskey baad k vedio ko monitiez nahi hora ha iskey bbarey meain batao our adsense ki id kaisey banani hai batao.
adsense id kaise banegi wo to post me bataya hai… ab war war adsense se connetc nahi karna hai par.. har video ko alag se monetize enable karna padega.
mujhe chaenall ke bare me kuch samjh nshi aaya…or mere account me my chaenall ka ofsun hi nahi aa raha hai…plese help me..
Mobile mein nahi aata option
Or android mobail me monitize hota hai kyq
Computer par hi karna padega
sir, sb form bharne k baad koun se adress pr google ka letter aayega ur letter aane me kitna time lagega
jo adsense account banate samay ham daalte hai
rohit bhai mene aapki sari step follow kari or jo last page he usme sumbit my application aa raha he us par click kare to submitting ho raha he or fir wapis sumbit my application aa raha to me kya karu
Haa to wo to aata hai. Agar connect ho gaya hai to double se karne ki jarurat nahi hai
Mene AdSense account aur YouTube account ko link kar liya h
.. Aur YouTube ki saari process puri kar li h jaise monetization, aur saari process … Mere YouTube videos pr ads bhi show ho rhe h aur kai friends ne un pr clicks bhi kiye aur phir bhi income nhi ho rha h kya karun … Meri help Karen Rohit ji
Rohit bhai me gav me rehta hu to kya lettar aa jayega mene address to likh diya he
aan ato chaiye, agar nahi aata to tension naa le, Apne adsense ke account me option rahata hai, sesend karne ka code or 3 bar me bhi address par code nahi aata to hame apne email par ek mail aata hai, uske replay me hame apna address proof ko scan karke send karna hota hai. Voter ID ko
Code kb tk aa jayega our is code ko kha bharna h
sab kuch latter me likhe hota hai.
Kya android mibile se hi Paise kamaya jayega skta h
haa kama sakte hai.. uski post neme ki hui hai
You tube se Paise kanane k liye Hme PayPal acount ki jaroorat padti h
Our hme paise kaise milenge
Paypal ki jarurat nahi padti. is sabaal ka jabab bhi me kitni baar de chuka hu, please aap jab bhi koi sabal kare usse phele dusre comments ko jarur padle. Paypal ka koi use nahi hai youtube me.
Bhai mera ek sawal hai jb hm you tube se pese lene ke liye bank account no. Denge to kya jaruri hai hamate bank account me paise ho
nahi hamare bank account me kitne paise hai usse koi matlab nahi, wo hamare account me paise jama karege naa ki nikalege.
Bhai ye hi kam har video uploded krne k bad krni padegi ya ek hi bar krni hoti hai
sirf ek baar apni youtube account ko add karna hai adsense se. fir sirf video ka monetize enable karna hai video edit ke option me jaa kar. ya fir jo doller ka option aata hai uspar click karke.
Maine you tub par videos uplod kiya hai lekin chal nahi raha kyo like raha prossing please wait why
video upload hone ke baad process hota hai, thoda time usme bhi lagta hai. jab tak jo upload page hai usko close naa kare. Youtube Video ko check karta hai ki kahi se copy to nahi kiya…
OK sir mene dusri I’d LGA Di he koi problm to nhi hogi but pta kese chlega ki AdSense approve ho gya he monetize ko pta he green ka nishan aa RHA he AdSense kkese pta chlta h
youtube me direct hi ho jata hai. aap adsense me login karke dekh sakte ho.
But sir gmail accunt to phle se hi AdSense PR he to ye to Nhi lg RHA
aare aap ye bataye ki aapka adsense account kya phele se approve hai ya nahi. agar adsense account apprve nahi hai to aapko dusre email id se hi account banana padega.
Mujhay paisa kaisa milay gay vedio send to kar di ha
mere mobile my channel nahi dikh rha
mobile me nahi aata. Aap Browser me khole ya for Computer me
Hlo sir plz aap bata sakte ho ki YouTube pe ek bar ek member ke video dekhne par kitne rupaye milenge
koi fix nahi hai or ek pe to kuch nahi milta. 1000 par india me 100rs tak mil jate hai. par ye meri income hai r ye koi fix nahi hai.
sir maine monetize enable kar diya par phir bhi saamne green $ nahin aa raha hai please tell me
us icon par click karke video ko monetize enable karna padega.
rohit sir plz bataiye??
hi rohit sir… mere youtube me my chanel ka option nhi aa raha hai… kaise hoga bataiye plzzz
Rohit bhai kya ham log Android mobile se you tube par video upload nhi kar sakte kya or agar kar sakte he to kaise kare?
or sir hamne kitne pase kamaye iska pta kha se chale ga ..
Youtube Channel ki Income or Analytics kaise Dekhe Others Channel ki
sir jo google ke taraf se proof aye ga use adsence pe kase dale …
usme diya hoga kese karna hai
sir YouTube me account nhi dale hai to kya kare
sir ham addres vala farm bharne vale hai par abhi tak bank account nahi dali hai to ab kha aur KB dalege
aare bank ki detail to 10$ income hone ke baad aati hai. aap apne youtube par badiya video dale apne banaye huee. Paise kahi nahi jayege. :)
hye Sir !!
sir maine just youtube ko GOOGLE ADSENSE se connect kr diya hai bt maine sari Detiles bhi sahi sahi sumbit kri hai bt code kitne Days k me ghr pr aaye ga ??
1-2 mahine tak lag jate hai. Aap code ki tension naa le sirf apnni income badane ke liye badiya video dale apne banaye huee. q ki 100$ se kam nahi aate hai.
Sir mughe my chenel ka point nhi mil rha h
aap desktop view me dekhe..
Bahiyya mene adsence account bhi open kar liya par mujhe gmail main google ki taraf se youtube ka latter aaya hai aur useme verificastion code ke bajay Adseche ID aaya hai to kay vahi verification code hota hai ?
youtube ke account me dusare ka video kaise dale
Copyright clam huaa to account delete ho Jata hai. Koi Faida nahi hai aesa karne se
youtube ke account me dusare ka video kaise dale
aeas karne se koi faida nahi hai.,.. naa usse income hogi or channel delete bhi ho jhayegi kuch din baad.
sir mai wap.in or waploft.com jesi wabsite banana chahata hu kya bo mai bana sakta hu or bo mai kese banaonga
aap wordpress par bana sakt ehai.
jab tak lettar hamare adress par nahi aata tab tak ham kamai suru nahi kar sakte ya pemet nahi le sakte
payment nahi le sakte.
Pahle jankari ke liye thanks.
maine adsense account mobile ke jariye banaya hu yah sahi hai
Account kisi se bhi banao, Ban jaye to koi dikkat nahi.
sir jitne bar video dalege utne bar farm bharna padega aue 1 mah me addresh par aaega ki video uplod bas kare to paisa aaega
aare sirf ek baar youtube ki channel ko adsense se connect karna hai.
Sir video upload kr diya but YouTube options kholne par my channel nhi aa rha m ab kaise kru plz reply me
mobile par nahi aati hai.
Sir video upload kr diya but YouTube ke dot par click krne par my channel nhi aa rha
mobile me nahi aata hai..
AAp ye post pade kaise ek se jada channel banaye
hello bro,video tutorials ke liye koi screen casting software bata do
aur jb hum koi new video upload krte hai YouTube pr , toh 0 view pr bi Google AdSense se YouTube channel ko connect kr skte hai ya maximum 1000 views chahiye AdSense ke liye ?
please reply fast. Thanks
Camtasia badiya hai Screen Recording or Editing ke liye.
Ham 00 views par bhi adsense se connect kar sakte hai apni youtube channel ko.
sir adsense account complete hone par hi hota hai par jo last mein 5 option aate hain yes no karne ke liyein wo nahin ho rahe please help me
agar aapko adsense se alart chaiye to aap yes kare warna no kar dijiye..
you tube ke video ko facebook se kese jodte h plzzz bataiye
Youtube ke video ko facebook se nahi Jada Jakarta. Haa share kiya ja sakta hai. Uska option video player ke niche aata hai
Bhai youtube se mere account me bailence kaise aayga
Jab view aate hai hamare Monetize Video par to usse income hoti hai.
mere youtube video me sirf computer se hi ad dikh rha hai par mobile se nahi dikh rhahai aisa kyu.
Aesa aapke video ke sath nahi ho raha hai. Aap dusre video dekho un par bhi kabhi kabhi nahi aate ads. Ek hi ip par nahi aate par q iska Karan koi nahi bata sakta.
Sir.,peise mere benk acc.me ayege ya kese ap ye btana plssaaaa
Bank me aate hai. Bank detail 10$ hone ke baad aata hai option bank account ke liye