YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
Mera bna hua video me kisi ka song set krke upload kru to chalega kyaaa.
Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started. Is ka solution bataye please
Aapne adsense ke liye apply kiya hai par abhi aapka account Approved nahi huaa.. Jese hi approve hoga aapko email aa jayega.
Ye email kitni der me aayega bhai
2 hafte tak lag sakte hai
Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started. Is ka solution bataye please
Bhai mera khud ka bna hua video h.
Or dusri baat mine wese b yh dekha h ki kai video copy kiya hua video h..fir WO copy kese h.
Ek song search krta hu YouTube pe bahut aware videos show ho jaate h.but WO sab ek hi h.but WO San thoda thoda different h.
Aapka khane ka matlab hai ki aapne sound use kiya hai par thoda change kiya hai..to aap aesa kar sakte ho par youtube ke system me agar fir bhi wo kisi se match hota hai to monetize nahi kar sakte
youtobe pe video upload krne ke bad maine monetization enable bhi kr diya hai pr ek form aa rha hai jisme mujhe ye nhi smjh aa rha ki esme kya bhre aap jra ese image ke sath mujhe btaye aur jb hm video upload krenge ya monetization enable krte hai to hme aap ye btayiye ki esme account nomber to dalne ka option nhi aarha hai plz help me!!!! (mera email id shrishupandey2@gmail.com hai)
Account number ka optiob adsense account me aata hai..hamari 10$ income hone ke baad
Rohit…
youtube se adsense apne blog/website k liye approve karwane ke liye youtube pr kitne videos upload karne pdte hai…..or un videos pr kitne views hone chahiye….
Video or uske views se koi fark nahi padta..unse iska koi len den nahi hai
Aapka mtlb ye hai ki ek bar agar humne koi video bana kar youtbe pe upload karke or use adsense se link karne k baad monitise kar diya or uspe Add bhi ane lage to uske through hum Adsense apni website/blog par bhi use kar skte hai…kyuki maine kuch din pehle ek video upload ki hai…or use monitise bhi kr diya hai…lekin jada views nhi huye hai…
to ab apni blog pr adsense ko use kar skta hu kya..mai????
Aapka blog adsense ke layak Hona chaiye.. Unki term conditions ka palan hoga to approve ho jayega. Video se koi fark nahi padta
Uske terms & condition me to ye bhi aata hai…ke Blog 6 ,months old hona chahiye..but mujhe abhi jada timwe nhi huya ise banaye huye,,
Waise agar aap bura na mano to mai aapse jaanna chahta hu ke aapki Last month me kitni earning hui hai??
Mera aapke liye ek suggest hai ki aap badiya domain le or usko connect kare blog me.. Or domain ke 2 mahine baad apply karde.. Post regular kare.. Aaram se ho jayega..
Meri income me nahi bata sakta… Kuch personal privacy ? Ke karan
Sir youtube per adsenes setp15 usme sbse neche 5yes or no ke opsen aa rhe h usme kya krna h
Form bharne me aa raha hai kya.. Kya option hai wo batao..
koi arkestra video ko record kar ke upoad kare to kya koi complane kar sakata hai
30% chance hai.. Par jiska arkestra hai agar usko koi dikkat nahi to aap bilkul kar sakte ho
Bhai mera khud ka banaya hua video h.
But Copy ka mujhe Pta nhi.
An kyaa kru
aapne usme jo sound use kiya hai wo bhi kahi se copy kiya nahi hona chaiye.
agar mai kisi samajik karay ya arkestra ka video upload karu to kya koi complane ho sakati hai
Honi to nahi chaiye par agar jiska hai Agar usko dikkat hai to jarur wo clam kar sakte hai
Hello admin Ji.
Mene youtub PR ek video upload kiya h.
Jab mene monetize kiya tab automatic remove ho gya.
Yh kya chakkr h.
Plz help me
aapka video copy kiya hoga.. me kitni bar phele bhi kha chuka hu copy kiye video se paise nahi kamaye ja sakte.. aap apna banaye huee video hi upload kare.
Mene ek video Darla h YouTube PR…to WO kese hat gya…
Jabki mene ek video upload kiya tha
video upload hone ke baad video process hota hai.. jab tak page ko khula rakhna padta hai.
bhai video ke pase kase milenge pr kitne milenge
koi fix nahi hai.. please aap aese sabal puchne se phele ek bar purane comment bhi pad liya kare aapko inke jabab mil jayege.
YouTube ka direct link
https//:WWW.YouTube. com/xyz
me xyz keep jagah par Google + ka user name hot a hai ya kuchh aur
yaha bataya hai
Bhai muze adsense appruve karana hai 1 bar denied hochuka meri website problem bol rhe hai pls help me or contact my mail id or call 09960287444
adsense par apply karne se phele jitne bhi dusre ads laga rakhe hai wo hatao.. or jo post hai unme thoda sabd jada likho.. kam se kam 300 sabd hona chaiye har post me.
us tym ads nhi thi meri site pe. ok but aap muze nonhosted adsense appruve karake doge? and kitna pay kerna hoga and agar aap meri site ko adsense ke layak banadoge ? plz help i will pay you
SIR LATTER ANE KE BAD KYA KARANA PADATA HAI AUR INCOME KAISE CHEKC KAARATE HAI
Monetize ko adsens se connect karne ke kitne din baad letter aata hai
10$ income hone ke baad send hota hai Hamare address par
Sir youtube per har video ka alg alg pesa melta h ya sbe videos ka eketa pesa melta h 1 $meketne rupye hote h
Sabhi ka ek sath milta hai..
Or ek $? ka abhi 66 hai..
Rohit bhai plz batao yr ki YouTube and blog par Jo payment hoga wo kaise milega hame account m aayega ya kaise milega
adsense har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai..automatic apne bank account me.
SIR MEINE FORM SUBMIT KAR DIYA HAI AB AGE KYA KARANA PADEGA
ab aapka account connect ho chuka hai.
sir mere pas google my business ka letter aaya. ye hota kya hai. aur sir kisi ne mujse phone karke verification code pucha to mane bata diya ishse koi dikkat hai kya
Aapko nahi batana tha.. Aap latter me dekho business ka naam bhi hoga..
Ham apne business ka google par page bana sakte hai or uska address verification ke liye google se latter aata hai jo aapke pass aaya hai.
Sir tablet per youtube ka account ban skta h phone par to nhe ban rha help me sir
? jaruri hai.. Pure option sirf usme hi aate hai. Baki upload or thoda bhut kaam mobile se bhi kar sakte ho
sir,mera ek sawal h ap se Jo ap na youtobe par pasai kamana btaya h us ma ap na bhich ma letter ki baat ki thi vo letter ghar par aheyga ki phone ma code.bas ye hi chota sa dout h.
Address verification ke liye Hamare diye huee address par google se latter aata hai. Usme ek code hota hai wo hame dalna hota hai adsense account me
sir jab me adsens account bnane ke par monetezatyon par next nhe ho rha computer per sir ak baat our jab me nice ka batn par kelk krne se koi proses nhe ho rha help me sir
Aapko sabse phele kam se kam ek apna banaya video upload karna padega.. Jab hoga
Hyy Rohit plzzzzz help me brdr me android hanker hu mtlb mera paas bahut sare idea h android app and Android mobile trik and tips se related mne bahut sare videos bi bnaye hua h toh me YouTube pe kaise paise kma sekta hu,,,,,,,,,,vikaschoudhary908@gmail.com my email I’d brdr and my contact number 8954562359
aap youtube par channel bana kar usme video upload kare or video k omonetize kare.. insab ki jaankari mene site par di hai.
http://www.hindimehelp.com/category/youtube/
Sir youtube par login ka opsan nhe aarha
Google par kya srich kru youtube se to nhe aara
Aesa ho hi nahi sakta.. Aap google me youtube login search karlo
Sir computer par google me youtube me sing in nhe aa rha pls halp me
kya dikkat aa rahi hai.. aapko simple Google Account se hi login karna hai.
Bhai maine AdSense account ko youtube ke channel se jod diya magar ab mere videos pe koi ad nahi aa raha jodne ke pehle aata tha ad. Sahi kaise hoga?
Sir saiber kafe per youtube account bena ke pese kma skte h
sir ak baat our jab me net use krta hu tab –never –remainder–not new iska kya matlb h
aap net kahi se bhi use karo usse koi fark nahi padta.. khud ke computer se ya kisi dusre ke computer , ya fir kisi Cafe se.. Aap jo internet par karoge usse aapko milega jo bhi aap karte ho.
AAp Login karte hoge jab aata hoga ye option.. Inka matlab hai
Never – Kabhi nahi
remainder – Yaad rakho
Not Now – kabhi nahi
Jab ham login karte hai to browser me password save karne ke liye khata hai.. me aapko sugest karuga ki agar aap apne computer ke aalawa kisi dusre computer me login kare to hamesa Never select kare.. taki aapka password us computer me save naa ho.
Sir saiber kafe par jakar monitze enbel our adcsnis account bana ke phone se video auplod kar ke pesa kma sekte h
haa bilkul.. aap kahi se bhi kar sakte ho.
Sir mene mobail para account bnaya h mene video be aulod kar de par enble my account par kelk nhe ho rha sir mobail par account panana seka do pls help me
Monetize enable karne ke liye aapko ? computer ki jarurat padegi
Agar koi YouTube pr upload ki hui video ek bar dekhta h to kitna income hoga…???
Ek baar se kuch nahi or kis hisab se milti hai iska bhi koi fix nahi hai.. Aap 1000 views par kitni income ho rahi hai usse sirf andaja laga sakte ho
sir mere dwara post kiya hua video ko agar lagbhag 2000 log dekhte hai to use meri kitni kamai hogi
sir
0-10$ tak.. Ye but so bato par nirbhar karta hai..
sir agar 2000 log mere dwara banaya hua video dekhte hai to use meri kitni kamai hogi plz replaced sir
iska matlab bta do pls… Youtube par mere video monetiz nhi ho rhe he green tik lag gya he bat $ ka nisaan nhi he ? Ka nisaan he pls help me.
Description Monetization You’re almost done! Once your AdSense account
is activated you can start monetizing your videos from the Video Manager.
video me ad aane lage to kya paisa jyada milta hai kai
Paise ussi se milte hai.. Bina monetize kiye paise nahi kama sakte
sir adsense form bharane ke ye aa hai ( Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our ) please help
Aapka blog abhi adsense ke layak nahi hai. Unke record ke hisab se.
sir kab tak hamara blog adsens ke layak ho jayega please help
aap ye post pade
sir mai blogger ke liye naya template use karu to kya pahle temlate ke sabhi html code apne aap mere naye template me aa jayenge,aur extra kuchh batay isse sambadhit.
Pure code hat jayege..
sir maine apna you tube accont adsense se connect kiya hai,aur ab blogger ko connect karna chahta hu adsense se.you tube aur blogger ki email id same hai.mai blogger se adsense ke liye apply karata hu to kahta hai tumhara email id adsense se connect hai.
sir mai apne blogger ko adsense se kaise connect karu.
sir mai pahle bhi ye sawal kiya tha aur aapne bola tha ki adsense se jake connect karo.to mai adsense me gaya lekin mujhe nhi samaj aaya. To sir please batay ki mai blogger ko adsense se kaise connect karu,
Tikh hai me ek post likhta hu kaise karte hai
helo bro. Me youtube montiz kr dya adsense par bi add kr dya. Verification code latter kab tak ajayega.
Jab aapke 10$ income ho jayegi uske baad lagbag 1 mahina lagta hai
Or ha sir mere mobile me dextop viw me jaa kar kiya he ye sab
Sir में एंड्राइड मोबाइल सइ यु टुब monitijan कर ललिइया हे और montizin पर green ka nisan bhi aagayaa he fir mene montizin ke niche adsense accont par click kiya fir sir how will be paid par ok kiyaa uske baad fir usme adsense account par clik kiyaa or aage ke pega par gayaa magar vahaa par jo next ka batan dabayaa to age ka page ek dum khali khul rahaa he sir kyaa karu
Aap computer ? me kare..
Mujhe meri you tube ki website kese nalum hogi us step main language to ho jati hai lekin website to meri hai aur youtube ki channel ki website ki kese jankari hogi
aesi koi website nahi hoti hai.. aap puchna kya cha rahe ho thoda clear karke batao.
Main adsense se apni gmain connect kar raha hun 2 step your website mujhe meri wesite ni malum kese malum hogi
Website kya hoti hai aapko ye pata hai..
Muje lagta hai aapne koi website banai ho nahi hai to aap adsense par account hi q bana rahe hai..
Youtube se connect karne ke liye direct Youtube account se karna hai.. Jesa mene post me bataya hai
How will I be paid? par click kare
associate an AdSence account ki link par click kare
Step 11:
Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
Next ki button par click kare
Yahan tab main next oar click karta hun to kuch likha nahin aata ek dam saaf screen aati hai kya karna hai mujhe
Aapne apna ek VIdeo Upload kiya ki nahi, phele Video upload karo.. or agar kahi se video copy karke upload kiya hai to usko delete kardo.. fir tri kare.
you tube per mai jaise hi uplode per click kerta hu no uplode found likh ker aa rha kya karu
aap browser ko restart kare.. fir tri kare.. ye koi network problem lag rahi hai..
Rohit,agar hum kisi video ko le or usme editing kare or kuch add b karde to kya tb b wo copyright rahegi?? Or maine jo aapka template h use install kiya h to sble last me aapki site ka name aa rha h..or right side b aa rha h
Aapke video me agar 2 second ka bhi agar kahi se copy kiya hai to utna © copyright khelayega or uske Karan aapka video monetize bhi nahi hoga
Meri site ki link ko hatane ke liye aap temple ko editor me khol kar search kare.. Bha se Jata sakte hai
Thanks again
Maine google account se youtube pe video load kiya hai.. Mai adsance account bnaunga to kya mai same google account use kr skta hu jisse video load ki thi ya fir dusra account bnau
Same hi kare.. Dusra bhi kar sakte ho
Monetization
Next click. Karne ke baad
Agla page nahi khul raha
Computer ? me kholna hai..
Net connection check kare Sahi ho.. Or agar koi error aa rahi hai wo Batao..
sir.
Jo adres deua jata he us she keya matlab he kas cheez ka aders
gher ka ya site secher karne ka
kaha par kya kar rahe ho.. ye to batao.
sir.
Jo adres deua jata he us she keya matlab he kas cheez ka aders