10 Interesting & Amazing Google Facts Jo Aapko Nahi Pata Hoge ;)

Aaj Google har ek blogger, web master, internet user and marketer ke liye bahut bada tool hai. Agar kisi ko Kuch bhi jaanna hai to Sabse aasan tarika hai Google.

Google ki kuch rochak jankari

Google aaj interet ka dusra name hai. Aaj Google kewal search engine hi hai. Google advertisement, business, promotion, tool, software etc. me bhi sabse aage hai.

Advertisements

To isi tarah is post me laye hai Google ke amazing, interesting and mind blowing facts.

Page Contents

#1 Fact: Google Ka search Button

Google Search Button ki jankari

Beginning me Google ke founder ko HTML (Jo web page banane ke kaam aati hai) achhe se nahi aati thi. Aur isliye Google ka Hompage jo ham Google.com open karke dekhte hai wo bilkul simple hai.

Itna hi nahi, kitne time tak Google par search button bhi nai bana tha.

#2 Fact: Google ki spelling mistake

spellig ko apne aap sahi kar deta hai google

Google company ka name Googol rakhna tha, aur spelling galti ki wajah se Google pad gaya, galat name (Google) se puri duniya janane lag gai to aaj  bhi iska name Googel hi hai.

Agar aap Googol search karte hai tab bhi related search Google hi show hoga.

#3 Fact: Google par har second search karne wale

Google par kitne log search karte hai uski jankari

Google par per day aap kitni bar search karte hai?

Lekin kya apko pata hai, aap hi ki tarah is duniya ke log har second 40,000 se bhi jyada bar Google par search karte hai.

Also Read: Google Search result me dikhane ke liye kya karta hai

#4 Fact: Google ke products and sevices

google ke kitne productr or service hai.jpg

Google ke itne success ke reason me ek reason yah bhi hai ki Google ne kai company ko kharida hai.

Fact yah hai ki 2010 ke bad se Google ne min average per week 1 company ko kharida hai.

#5 Fact: Gmail kaise bana

Gmsail kaise bana google me.jpg

Rajen Sheth jab Google me interview dene ke liye gaye the tab inhone Google ko “Gmail” ka idea diay tha.

Aur jab Gmail launch karna tha tab ise 2 years tak check karne ke liye internally use kiya gaya tha, taki koi error & kami (lack) remove kiya ja sakte.

Gmail ke 1 April 2004 me launch hone ke bad iski mailing speed se log attract ho gaye the, aur bahut jaldi user badhne lag gaye the.

Also Read: Gmail ki security badane ke tarike

#6 Fact: Google ke android kharidne ke baad

android ko google ne kharida.jpg

2005 me Google ne android karida, jiska use aaj bahut jyada hota hai.

Market me android ki itni demand hai ki 80% log smartphone me android hi use karte hai.

Yaani har 10 me se 8 smartphone user, android hi choose karte hai. Amazing fact to yah hai ki har din 15 lac se bhi jyada log new android device purchase kar rhe hai.

Also Read: 5 Minute me Android App kaise banaye

#7 Fact: Google Factors ka kamaal

Google Search Factor ki jankari

Jab aap Google par koi bhi search karte hai to kitne time me result show hota hai? yah result 1 sec. ke bhi kam hisse me show hota hai.

Lekin fact to yah hai ki Google yah result show karne ke liye pahle 200  se bhi jyada baato ka dhyan rakhta hai yah set karne me ki konsa result pahle dikhae aur konsa badme.

#8 Fact: Google aim and mission

Kya aap ek blogger aur developer hai? to apka jaurr yah aim hota hai ki apki site par user jyada se jyada wakt tak rahe.

Lekin Google ka aim iska ulta hai, Google yah chahta hai ki Google par aane wale user ko kam se kam time me achha result mile.

Google se aap Digital Marketing bhi sikh sakte hai with certificate

#9 Fact: Google ki kamai

Google ki kamai kaise hoti hai

Google company har second 50,000 Indian rupees kamati hai, yaani ki har din 5 billion Indian rupees se bhi jyada.

Aur in me se 90% income advertisement se hoti hai.

*Apni Website par Google adsense laga kar ham bhi paise kama sakte hai

#10 Fact: Google YouTube

Google ne baki product ki tarah YouTube ko bhi 2006 me kharida. Google ke kharida hua YouTube par aaj har minute me 60 hours ki video upload hoti hai jo bahut hi bada target hai.

Jab yah calculate kiya gaya ki video ko kitna dekha jata hai to pata laga ki per month 60 billions se bhi jyada hours ki video dekhi jati hai.

Jisse yah pata lagta hai ki Google YouTube ka hosting server bahut hi jyada bada hoga, jaha YouTube ka program aur itni videos rakhi gai hai.

Youtube ki or jankari hi aapko HMM.pe mil jayegi


Dosto jab main ye facts padhe to mujhe bhi bahut heraani hui thi, aur chaha ki ise apke sath me share karu, ab aap bhi apne dosto ke sath me Facebook, twitter, Google+ etc. social profile par share kare.

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

10 thoughts on “10 Interesting & Amazing Google Facts Jo Aapko Nahi Pata Hoge ;)”

  1. हिंदी में मदद देने वाले बहुत कम है इसके लिए आप का धन्यवाद् /लगे रहो हम आप के ब्लॉग पड़ा करेगे
    धन्यवाद्

    Reply
  2. rohit ji aap bahu achhe jankari dete h iske ley sukriya aap hame batae ki mainokiya603 use karta hu photo edit karne ke ley koi softwear batay

    Reply