Friends agar aapko kisi bhi image ki jarurat padti hai to aap Google me direct search kar lete hai, par kya aap jante hai kisi bhi image ko agar aap apne Blog/website ya apni kisi youtube video me use kar rahe hai to aap par copyright clam ho sakta hai..
Ham Google se Filter karke free image bhi download kar sakte hai, par Google se Free Image kaise Download kare, usse pehle thoda ye jaan lete hai akhir ye copyright hota kya hai.
Copyright kya hota hai ?
Copyright ek tarah se hack hota hai jisne wo cheez banai (create ki) hai. Jese wo koi Video, Music, Image, Article kuch bhi ho sakta hai.. wo jisne banaya hai us par uska adhikar hai.. ab agar aese me usko koi dusra usko use karega to wo chori khelayegi.. or jo uska owner hai wo clam karke usko delete bhi karwa sakta hai..
To ab aapko thoda idea to ho hi gaya hoga, ki copyright kya hota hai.. jisne jo chij banai hai us par uska adhikar.
Website Post ko Copyright karke Secure kaise kare uski jankari yaha hai, agar aapka blog hai to isko jarur read kare.
To ab baat aati hai, to image kaha se download kare, jo copyright naa ho..
Internet par sabhi chije paise me nahi milti ye to aap jante hoge, kuch chije hai jo free bhi mil jati hai.. tikh ussi trha Free Image bhi mil jayegi jo Free to use hoti hai or uska licence Creative Commons hota hai, yani ham usko bina copy right ke use kar sakte hai.
To ab aap ye bhi samaj gaye ki aapko jo image use karni hai wo creative commons wali image use karni hai jisko CC bhi bolte hai.
Aap High Quality Free Image in website se bhi download kar sakte hai.
Agar aap Google me search karte hai to aapko pata hoga, jitni bhi chije search me aati hai wo google ki nahi hoti, Q ki google sirf ek search engine hai or wo dusri site se hame content dikhata hai.. image bhi.. to aese me konsi image copyright hai or konsi free to use hai uska pata laga muskil hai..
Par ham Google search ki setting me thoda change karke free image ka aasani se pata laga sakte hai or usko bina kisi tension ke use kar sakte hai. to chaliye dekh lete hai google se free image ko kaise search karke download kare.
Agar aapke pass koi Image hai, or aapko ye check karna hai ki wo Internet par kis kis website par use ho rahi hai to aap Image Reverse Search Tool ka use kar sakte hai.. jisme aapko image upload karke search karna hai uske baad jaha bhi wo image hai wo website aa jayegi.
Google Image me Free Photo kaise search kare
Sabse pehle to aapko jis kisi ki bhi image search karni hai, aap Google Image me search kar lijiye.
Ab aapke samne jo bhi apne search kiya hai uski images aa jayegi.. par yaha konsi copyright hai konsi free ya ham pata nahi kar sakte, or sabhi image search me aayegi..
Jese aap niche Image me dekhe, mene tomato ki image search ki to mere samne bhut sari image aagai.. Ab Free image ko filter karne ke liye aapko ye karna hai.
- Tools par click kare
- Usage rights par click kare.
- Aapko Image kis kaam ke liye use karni hai or aap uska kya use kare wo select kar lijiye.. 4 option me se.
Usage right me jo 4 option hai unka kya matlab hai wo bhi samaj lijiye:
- Labeled for reuse with modification : Agar aap Image ko use karna chahte hai or usko edit bhi karna chahte hai to aap ye select kare.. Image ko aap apne fayde ke liye use kar sakte hai.
- labeled for reuse : Image ko aap apne fayde ke liye use kar sakte hai, par aap usko edit nahi kar sakte.
- labeled for noncommercial reuse with modification : Image ko aap use kar sakte hai or chahe to usko edit bhi kar sakte hai, par aap usko apne fayde ke liye use nahi kar sakte.
- Labeled for noncommercial reuse : Aap Image ko apne fayde ke liye use nahi kar sakte or naa image ko edit kar sakte hai.
To Friends, aap inme se apni jarurat ke hisab se select kar sakte hai, or agar aap Image ko Blog ya Youtube ya kisi bhi aise kaam ke liye use karna chahte hai jisse aap paise kamane wale hai to aap starting ke 2 option me se koi ek select kare.
Mujhe bahut logo ne ye sawal pucha tha ki kya Google image ko ham youtube video me use kare to kya us paar bhi copyright ho sakta hai, to uska jawab hai Haa.. Par agar aap Google se Free Image ko use kare fir chahe aap kahi bhi use kare koi problem nahi hogi, koi copyright nahi hoga.
Hope aapko ye jankari pasand aai hogi, or ab aap bhi google se koi bhi image ko use karne se phele filter jarur karenge taki aage aapko kisi problem ka samna nahi karna pade..
Agar aapka koi bhi sawal ya sujav hai to aap comment karke puch sakte hai.
Aapko Post bhi jaruri pasand aayegi:
hello sir, kya ham apne blog me khud ke click kiye huwe pic dal sakte hai…
Bhai, aap meri ye confusion clear kar do ki, agar main 2nd no. ka option “reuse with modification” wala choose karke goggle se image download karu, aur apne youtube video par usko bina edit kiye use karu to copyright ya Reuse ka koi case to nahi aayega na meri video par
Nice post bhaisab.Very good
Sahi information hai aur muze bahot help hui he
Hello sir maine apne website par revenuehits ka add lagaya hai aur do din me 500 impression aur 10 click huwa hai. Magar earning kuch bhi nahi hui .
Sir kya bata sakte hai ki kamai kyo nahi hui please help me…..
thank you brother . meri blog mastiinworld.blogspot.in hai mai isme masti ke sabhi meterial dalna chahta
like videos, music , pic to vo kaise copy right free ho
plz help kaise karu
simple aap khud se bana kar use kare..
Wow!!! Sir really helpful article for me…keep going on sir ji all the best
Really helpful
hi bro
wordpress blogg me pagination system kaise banate hai.
plugins kaam nahi kar rahi please help me…
aap kya apuch rahe hai wo me samja nahi..
ok.
sir wordpress blog ke liye koi best theme ka name bataiye please.
thanks good post
Give me advise for my site
hindi ya hinglish kisme blog likhne par trafic adhik milenge
Aapke sabal ka jabab yaha par hai.. kon hai Best Hindi ya Hinglish
Rohit bro
Mujhe meri websites banana hai.lekin mujhe Samaj me nahi aata ki (.ORG) ki banau ya (.COM) ki banau…
Olx meri help Kare
aap ye read kare.. acha domain kaise select kare
superb
Rohit Bhai Maine apne blog par aapka banaya hua template laga rakha hai Jiske bare me bahut SE log kahge hai ki ye seo friendy template nahi.Agar is template me koi problem hai to jarur bataye aur ye bhi bataye ki ye template seo friendy hai ya nahi.
SEO Friendly hota nahi banana padta hai Meta tags add karke.. sath sath fast load or mobile friendly hona chaiye.. jo wo hai.
bhai me aapse help chahta hu ye help me apne liye mahi balki sab ke liye chahta hu or ye aap hi kar sakte hai.
me aapse ek karne ko kah raha hu jo seo ka hai jisme start se leker and tak ki jankari ho or usme search decription ke baare me detail se likho ho
dost mene inke ware me post dali hai.. aap site par search kare.. aapko mil jayegi..
nice information sir thank you
My blog is trick4inspire.blogspot.com please help
1.me mere blog me author box kaise bnau??
2.design me koi problem ho to wo bhi btaye??
3.Google me best frfomance nhi ho rhi h kya kre??
please fast action these problems other problem ho mere blog me to muze jrur btaye
author box or design ke liye aapko template edit karna hoga.. uske tutorial aapko mil jayege.. or google me aapko information nahi mil rahi .. to aap jo search karte hai usko thoda change karke sahi tarike se search kare.
Sir ji namaskar is mahatwapurn jankari ke liye bahut bahut dhanyabad wase to bahut se man me sawal hai lekin yaha pe hum ye janna chahte hai ki kisi image ko off line aur online kaise janege ki wo copyright hai ya nahi aur kisi image ko apne nam se copy right karne ke fayade kya hai aur uska tarika kya hota hai aur kisi copy right image ki same image un copyright down load karni ho to kaise kare ge.
dhanyabad
Aap google image me image se search kare.. to jitni bhi jagha wo image hogi wo aa jayegi.. uske baad aap un site ko open karke dekh sakte hai ki wo copyright hai ya nahi..
Jankari Bahut Achhi thi, But Fir Mai suggest Karunga , Aap Is Image Ko Use Na Hi Karo, Aapko Aisi Free Image wali Kai Site Mil Jayegi, I Like Pixababy Isi Tarah Kai Site Hai Jisse Hame Jarurat Ki Har Ek Image Mil Jati hai, To Mai Suggest Karunga Pahle Aap Aise Try Karo Jub na Mile Tab Is Post Ko Flowe karo
Brother aesa nahi hai.. or agar aap google me iss trha se search karte ho.. to pixabay jesi sites ki hi image search me aati hai.. q ki google unke licence ko dekhne ke baad hi search me dikhata hai.. aap search karke dekhna.. fir jo image aaye uski site open karna.. than aap unke licance dekhna.. wo CC hi hoga.
Dhanyawad Bhai… post ke liye.
Kal aap Jab Online FB par to maine ek Quetion Pooocha tha apne Egnore kar diya kyo.
orry for that.. kya question tha..
hello, kya aap bta sakte hai Downloading site konse platform par banegi ? kyoki WordPress par hum sirf 8Mb tak ki hi file upload kar skte hain. or konsi hosting buy karni hogi ? please reply main Downloading site banana chahta hun.
Thanks!
aap upload ki limit bada sakte hai… kuch code ko change karke.. or agar aapko download site banani hai to aapko jada hosting size lena padega.. aap hostgator se le lijiye
Please reply karo sir
Nice information sir thank you
Mera aapse question hai sir kya blogspot me wodrpress ki tarah comment box add kar sakte hai hai ya nahi ager haan to kaise add kar sakte hai.
haa kar sakte hai.. uske liye aapko kisi third party comment system ka use karna padega.. jese Discuss
Bro pic me arrow ke sath numbers lagane ke liye konsa software use kiya hai
snagit
Ok bro thanks, i will see