WordPress Newspaper Theme Review – Sabse Jada Use hone Wali Theme?

Agar aap Blogging karte hai ya Start karne ka soch rahe hai.. to Starting ke kuch Basic investment karne padte hai ye to aapko pata hi hoga.. agar ek badiya Website banani hai to.. or ek badiya website ke liye sabse jada jaruri hai ek badiya Theme website ke liye..

Or agar ham baat kare World ki sabse jada Populer or sabse jada sell hone wali theme ki to wo hai Newspaper Theme jo 95,000+ se jada Sell ho chuki hai. ye WordPress ke liye banai gai hai..

Advertisements
Newspaper Theme Review in hindi

Abhi ham iss post me dekhege, ki akhir kya hai Newspaper Theme me or Kyu HindiMeHelp par bhi Newspaper theme ko use karte hai.

Ham Post me janege

  • Newspaper Theme ke Main features ke ware me.
  • Dekhege Newspaper Theme kisi website par Install karne ke baad usko kaise use kiya jata hai.

Page Contents

Newspaper Theme Main Points

Theme me kya kya feature hai wo ham aage detail me dekhege, usse pehle me aapko iske kuch main points ko bata deta hu.. jisse aapko thoda clear ho jaye ki Newspaper Theme me kya special hai.

  • Optimized performance: 2 seconds me full site load ho jati hai..
  • 90+ Demo Template: Theme ke andar 90 se jada Demo template hai jinko ham ek click karke install kar sakte hai or jesi cahe website bana sakte hai.
  • Drag n Drop Design: Design kuch bhi karna ho to simple mouse se drag n drop karke design kar sakte hai bina kisi coding ke.
  • Header/footer builder: Website ka Header or Footer ko hum jaisa chahe edit kar sakte hai.
  • Mobile Friendly: Newspaper Theme puri tarah se Mobile Friendly hai, jo Mobile me bhut ache tarike se chalti hai.. or Google ke according jo site mobile me ache se chalti hai usko search me upar dikhaya jata hai.
  • inbuild Ads Banner: Ads lagane ke liye ya banner lagane ke liye pehle se uski settings di hui hai to ham badi aasani se laga sakte hai.
  • AMP Enable: Theme AMP feature ke sath bhi aati hai, jisme mobile me website bhut fast load hoti hai.. or Google bhi AMP websites ko jada pasand karta hai.

Newspaper Theme kin Websites par use kar sakte hai?

Website ko design karne par sabse pehla question mind me aata hai ki hame website kis chij ke liye banani hai or kis trha ki banani hai.. to agar aap Blogging, news, ya koi media publications ke liye website bana rahe hai To Newspaper Theme bilkul perfect hai.

Newspaper Theme ek tarah ki magazine theme hai, jisme ek hi page par bhut sara content category ya topics ke according dikha sakte hai.. or ache se samajhne ke liye aap isko DEMO dekh sakte hai.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Theme ko Specilly Bloggers ke liye hi banaya gaya hai, jisme ham jaise chahe Blocks ko use kar sakte hai.. or uske bich me Ads Block bhi laga sakte hai.

Newspaper Theme Price (kimat)

WordPress Newspaper Theme ke price $59 hai jo mere hisab se jitna hame usme milta hai uske according bahut sahi hai.. Kyu ki jo design hame milta hai wo agar hum kisi developer se banwana chahe to wo aaram se $200-$300 charge karega hi usme baad bhi ye maza nahi aayega.

Price aap ThemeForent ki website par dekh sakte hai.

Newspaper High Quality Free Demo Template

Newspaper Theme ko waise to hum jaise chahe waise design kar sakte hai, par iski ek khas baat ye hai ki isme pehle se 90+ Demo Template aate hai alag alag type ki websites ke liye.. to agar hame unme se kisi ek ko use karna hai to simple ek click me ham usko Import karke install kar sakte hai or apni website ka design sirf 5 second me pura kar sakte hai.

Newspaper Theme ke 90 High Quality Demo Free iske sath aate hai, jinme se 30 Pro Design bhi hai jo agar alag se Design kawaya jaye to unka extra charge lagta hai.. Kyu ki Pro Design ke Special Kuch extra feature hote hai.

Newspaper Theme ke Demos ko 5 Categories me rakha gaya hai, jisme ham apni jarurat ke hisab se design select kar sakte hai.. jese Pro Template, Blog Templates, Magazines or Multipurpose Templates..

Aap wese to sabhi Template ko Newspaper ki Demo sites par dekh sakte hai.. par yaha me aapko Kuch Special Demo Templates ke ware me bata deta hu.. taki aapko thoda clear ho jaye ki akhir kis type ki website aap Newspaper Theme ki help se bana sakte hai.

Newspaper Pro Theme Demo

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Newspaper theme ka ye default design hai, jisme sabhi categories ko Block ke form me ham home page par dikh sakte hai.. iska fayda hai hai agar hamare website par bhut se topic par article dale jate hai to user apne interest ke article asahi se read kar sakte hai.

Newspaper Pro Demo bilkul ham ek real newspaper ki trha naam sakte hai, jisme har section ke liye separate jagah hoti hai.

Sabhi chije Blocks ke form me set hai, yaha ham Ads bhi badi aasani se kahi bhi laga sakte hai.

Covid Status Pro Newspaper Theme Demo

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Abhi jo Sabse jada trending topic hai wo hai Coronavirus, jisme puri duniya ko hila kar rakha hu ahai.. to aese me Corona Virus se related jankari or kaha kitne case hue ye har koi janna chahta hai, aese me ham Newspaper Theme ke Covid Stats Pro Demo Template ka use karke badi aasani se bana sakte hai.

iske alawa or bhi Demo uplabd hai, jo ham apni pasand ke hisab se ya hamari zarurat ke hisab se use kar sakte hai.

Covid19 se puri duniya pareshan hai, to uss pareshani ko dur karne ke liye aap website bana kar uski jankari logo ko de sakte ho.. taki sab iss maha mari se ubhar sake.

Crypto Newspaper Theme Demo

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Cryptocurrency Internet ka ek sabse badi khoj hai, jisko future me paise ki trha har jagha istemal kiya jayega..

To aese me agar aapko Bitcoin ya Crypto ki jankari hai to aap uska BLog bana kar logo se share kar sakte hai.. or uske design ke liye wass aapko Crypto Newspaper Theme Demo install karna hai.

Theme me aapko Live Crypto Price Tracker, or dusre Crypto se related features mil jayenge jinki website me jarurat padti hai.

Crypto ke upar wese mene bhi apna ek blog banaya hua hai Sikke.in aap usko bhi dekh sakte hai.. or Bitcoin se paise kaise kamaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.

Tech News Newspaper Theme Demo

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Agar Tech se related Blog banana hai to Tech News Demo mast hai, jisme ham bhut sahi tarike se tech se related information share kar sakte hai.

Tech se related log internet par bhut kuch search karte hai or jo bhi naya chal raha hai wo janna chate hai.. to aese me agar aapko tech me internet hai to aap ispar apna blog bana sakte hai or website ko design karne ke liye aap Tech News Demo ko install karke kuch hi minutes me apni badiya website bana kar teyar kar sakte hai.

Demo to inke alawa bhut bhut hai, jo lagbhag aapko har uss topic par mil jayenge jispar aap website banane ka soch sakte hai.. to iska matlab ye hai.. duniya bhar ki website ko ham Newspaper Theme ki madad se bana sakte hai..

Newspaper Theme ke 90+ Demo dekhna ho to aap uske Official Page par jakar Privew karke dekh sakte hai.

Newspaper Theme ko Setup kaise kare

Agar aapne Newspaper theme ko kharid liya hai, to wese to aapko uski puri jankari document me mil jayegi jo Theme ke sath aate hai.. jisme aapke har Question ka answer mil jayega newspaper theme se sambandhit.. or uske alawa bhi agar aapka koi Doubt hota hai to wo aap Newspaper Theme Support Forum me post karke puch sakte hai.

Theme ko Install karne ke baad, Newspaper Theme ki setting ke liye aapko alag se ek option mil jayega.. uspar jana hai.

Ab sabse pehle page par hi, Newspaper ki funsality badane ke liye kuch plugins install karna hai.. to wo aap yaha se install kar sakte hai.. jese DEMO install karna hai to uske access ke liye plugin hai.. jisko wass active karta hai.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Ab Newspaper theme me ek section hai Plugins ka.. aap chahe to inn plugins ko install kar sakte hai.. jese Social Widget, TagDIV composer, AMP etc.. jimko aap apni jarurat ke hisab se install kar sakte hai.

Newspaper Theme kaise use karna hai or kaise usko setup karna hai wo aap ye video dekh kar bhi sikh sakte hai.

Install Newspaper Theme Demo

Website ko design karne ke liye jitne bhi theme ke DEMO hai wo dekhe, or unme se jo aapki site ke liye perfect ho usko install kar dijiye.. Newspaper Theme me demo install karne liye theme me jo Install Demos ka option hai us par jaye.

Ab apni pasand ka Demo ko select karke usko install karde..

Dhiyan rakhe, kuch theme ke Demo ko install karne ke liye jo Newspaper theme ki recommended plugins hai unko install karna jaruri hai.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Newspaper theme Demo ko jab aap install karege to aapke pass 2 option hoge..

  1. Only Demo ko install kare, jisme agar website me kuch bhi nahi hai to website puri khali khali dikhegi..
  2. Demo ke sath content bhi import karege to jo DEMO post or baki chije hai wo bhi aa jayegi, jisse website puri bhari hui dikhegi..

me aapko suggest karuga, aap Only Demo install kare, Include content ka option hai usko hata de.. wo sirf demo website dikhane ke liye thik hai.. par hame to apni website me apna content dalna hai.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

ab ek popup aayega, jisme conform karke Demo ko install kare.. Install hone me thoda time lagta hai isliye thoda wait kare, automatic sabhi settings Demo template ke according ho jayegi.

ab aap apni website ko open karke dekhenge, or agar uspar aapne pehle se content dala hua hai to aap dekhege ki ek perfect website aapke samne hai.

Newspaper Theme Customize Settings

Theme me jo bhi karna hai uske liye puri setting di hui hai, jisme aapko koi coding karne ki jarurat nahi hai, wass jo cahiye usko select kar lijiye or jo nahi usko hata dijiye.. Newspaper theme ki setting ke liye aapko Theme section me jane ke baad Theme Panel par jana hai.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

website ki design me ab jo bhi change karna hai ya jaisa bhi design karna hai wo aap yaha kar sakte hai.. jese Header kaisa chahiye, Sidebar ya Footer kaisa chahiye.. har ek choti se choti chij aap badi aasani se set kar sakte hai.

Wese to muje nahi lagta, aapko kisi bhi option ko samajhne me pareshani hogi, fir bhi agar aapko kahi koi dikkat aati hai to aap comment karke bhi mujhse puch sakte hai.

Cloud Templates

Newspaper theme me wese 90+ Demo Design to aate hi hai, jinko ham badi aasani se install karke same uss tarah ki website bana sakte hai. par agar aapko uske baad bhi kuch chije thodi change karni hai to wo aap Newspaper ke Cloud templates ki madad se kar sakte hai.

Newspaper ke 1000+ Cloud templates hai, jo website ke alag part ya page ke liye aapko mil jayenge.. jese agar footer ka koi design pasand aaye to aap usko import kar sakte hai.

ye jo template hai wo theme ke kisi na kisi particular part ke liye hai jo aap simple search karke dekh sakte hai. jese header, footer, search page, blog post design etc.

Wordpress Newspaper Theme Review - Sabse Jada Use hone Wali Theme? - Wordpress

Aap chahe to apni website ko design karne ke liye jo design diye hue hai unka use karke apni badiya website bana sakte hai.. ya fir aap khud se bhi puri website ko design kar sakte hai tagDiv Composer ki madad se.

tagDiv Composer

Website ko design karne ke liye aap tagDiv Composer ka use kar sakte hai, jisme simple drag n Drop karke aap apni site ko apne hisab se Live edit kar sakte hai.

Bina HTML ke code ko chede kuch bhi design kar sakte hai, jesa chahe waisa.. wass jo bhi design chahiye wo set karke publish karna hota hai.

tagDiv Composer me aapko Theme me jitne bhi elements hai wo alag alag mil jayenge.. wass jo element jaha cahiye waha usko drag kar dijiye. isko or ache se samajhne ke liye mene jo upar video add kiya hai wo dekh sakte hai.

Newspaper Theme Help n Support

Newspaper theme agar aap lete ho to uske Lifetime update to hame milte hi hai, jiski madad se ham apni site ko up to date rakh sakte hai, ussi ke sath 1 year ke liye hame theme ka Premium support bhi milta hai, or cahe to aage ke liye usko renew bhi kar sakte hai.

Theme se related koi bhi help ke liye uski puri documentation kiya hua hai, jo aap tagdiv ki website par dekh sakte hai. or inki Youtube channel par video dekh kar bhi sikh sakte hai.

Newspaper Theme Basic Puche Jane wale Question

Kya Crack or Nulled Newspaper Theme use kar sakte hai?

Nahi, Bilkul nahi.. Agar aapko Newspaper theme use kari hai to me aapko suggest karuga aap usko kharid kar hi use kare.. warna aapki website hack bhi ho sakti hai jiski baja se aapke lene ke dene pad sakte hai.

1 Newspaper Theme ko ek se Jada Website par use kar sakte hai?

Yes, agar aapne Newspaper theme ko kharida hai, to aap apni sabhi website par uss theme ko use kar sakte hai.

Theme kharidne ke baad, kya uska Licence kisi se Share kar sakte hai?

Agar aap Newspaper Theme kharidte ho to uska jo Licence hai wo aap apne dosto se share kar sakte ho.. par me aapko suggest karunga aap aise na kare.. Kyu ki agar Newspaper theme ki team ne ye dekha ki aap ek hi linance alag alag website par use kar rahe hai jinke owner alag hai to ho sakta hai isse aapki website me issue ho. or License key share karne se website ko hack hone ke bhi chance rehte hai.

WordPress ki Sabse Popular Theme konsi hai

WordPress ki sabse jada use hone wali theme Newspaper hai, jo lagbhag 1,00,000 se jada war sell ho chuki hai hai or agar website use ki baat kare to uske number crore me hai.

Newspaper Theme Final Thoughts

Newspaper Theme best selling theme hai jo WordPress ki sabse jada use hone wali theme me se ek hai.

Newspaper theme ki jo sabse khas baat hai wo ye ki iske updates aate rehte hai, jo bhi design trend chal raha hai uske according.. jisse Website Computer or Mobile dono me bilkul perfect tarike se chalti hai.

Abhi Newspaper 10 Update aaya hai, jo pehle ke version se har trha se bhut jada mast hai, or jo loading time hai wo bhi pehle se bhut kam ho gaya hai.. Agar achi hosting hai or sahi se theme ko setup kiya jaye or ads bagera hata diya jaye to website badi aasani se 1 second ke andar load ho jati hai.

Agar aap mujse personally puchte ho ki me apni website ke liye Newspaper theme lu ke nahi, to me aapko suggest karuga aap agar achi design chate hai apni website ke liye to bina soche Newspaper Theme le sakte hai.. me pichle 4 saal se HindiMeHelp par Newspaper Theme use kar raha hu or me full satisfied hu.

Aapko meri jankari kesi lagi comment me jarur bataye, or agar aap bhi newspaper theme use karte hai to apna review comment me sabse share kare.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

60 thoughts on “WordPress Newspaper Theme Review – Sabse Jada Use hone Wali Theme?”

  1. Hello rohit bhai
    Mere blog me Newspaper theme installed hai.
    Problem yah hai ki Blog post me “Featured image” post me sabse upar aa jata hai.

    Sawaal yah hai ki
    Featured image ko blog post ke pahle ya dusare paragraph ke baad ksise show kre ??
    Thanks.

    Reply
  2. Mai generatepress primium theme use krta hu par mujhe newspaper theme ka template kafi pasand aaya to kya mai generatepress ko aise customized kr sakta hu?

    Reply
  3. Mai bahot time ye thame muje koi problem nhi aayi aur aayi to ek war jab hosting new liya tab muje dikkkt ka samana krna pada abhi thik he….

    Reply
  4. Thanks bhai apne iske bare me full jankari de di.
    Ab aage jab kbhi purchase karunga to problem na hogi koi bhi…
    Again thanks for sharing these informatic article…

    Reply
  5. अपने बहुत ही अच्छी जानकारी साँझा की है आपके इस पोस्ट को पढ़कर बहुत अच्छा लगा और इस ब्लॉग की यह खास बात है कि जो भी लिखा जाता है वो बहुत ही understandable होता है.

    Reply
  6. यह घटिया थीम हम मेने खरीदा था 20 दिन पहले, 5 दिन तक यूज़ किया, इसमें कोई भी Enable और Disable Button काम नहीं कर रहे थे, फिर मेने इसको वापस कर दिया

    Reply
    • muje lagta hai ye aapki Official site se nahi.. kisi or se liya tha.. or theme ke developer itne pagal nahi hai jo apna nuksan hone dege.. me aapko suggest karuga aap koi bhi theme le to official site se le.. kisi or se lege to lene ke dene pad sakte hai.

      Reply
      • सर जी मेने इनकी Official साईट themeforest.नेट से खरीदा था, और $ 59 का भुगतान किया था, मेने पेपाल के द्वारा भुगतान किया था इसलिए मेरे इससे भी महंगा पड़ा, में कभी सस्ता माल नहीं खरीदता हु, यहा तक की सस्ते के चकर में किसी दुसरे ब्लॉगर से भी नहीं लेता हु

        Reply
    • Ye to ho ho hi nahi sakta. Rohit bhai ka theme dekh ke maine kharida tha. Kya mast chiz hai. Saari jarurate puri ho jati hai. Agar kuch kaam nahi kar raha, ya to apne thik se required plugins install nahi kiye ya fir hosting issues ya dushre kisi plugin ke karan ho raha hoga.

      Reply
      • मेरे को भी यह थीम बहुत पसंद है इसलिए खरीदा था, जब मेने इसको इनस्टॉल किया तो मेने पाया इस थीम में वह सभी सुविधा उपलब्ध है जो एक बढ़िया थीम में होनी चाहिए,

        लेकिन मेरे को दिकत हुई इसलिए वापस किया, नहीं तो खरीदा हुवा थीम वापस करने में मुझे क्या मिला, मेने सब जतन करके देख लिया required plugins तो install करना ही होता है, दूसरी plugins को Disable भी करके दिख लिया, 5 दिन तक कोशिस करने के बाद वापस किया था

        Reply
        • Puran Mal ji.. ho satka hai kuch issue hoga.. wese problem theme ke sath kuch plgin ka ssue hua hoga.. mere sath bhi aesa ho chuka hai ek war.. theme update karne ke baad error aa raha tha.. wo issue plugin ke baj se tha..

          Reply
          • सर जी आज मेने इसको फिरसे खरीदा है और customize करने से पहले थीम को अपडेट नहीं किया है, इसमें यह समस्या तब होती है जब में इसको अपडेट करता हु

    • आप गलत हो, में Newspaper को 2 साल से इस्तेमाल कर रहा हूँ हमें तो कोई प्रॉब्लम नहीं आई

      लेकिन हा जब हम Newspaper 8 से Newspaper 10.1को Install किया तो हमें Amp में प्रॉब्लम आई

      इसी कारण से अब हम Amp page के लिये दूसरा Plugin यूज़ कर रहे हैं इस का कोई solution हैं तो कोई हमें बतलाये।

      Reply
    • Hello Sir, मैं भी अब Newspaper theme का ही इस्तेमाल अपने ब्लॉग में करता हूँ इसके पहले generatepress का इस्तेमाल करता था हालांकि वह भी एक अच्छी थीम है, लेकिन मैं समझता हूँ कि वह affiliate मार्केटिंग के लिए बेस्ट हैं।

      कुछ समय बाद मैंने आपके ब्लॉग और chandan sahoo जी की थीम को देखकर मैंने newspaper theme का इस्तेमाल किया इसमे फ़ीचर्स तो बहुत अच्छे है लेकिन स्पीड वाला matter हमेशा फसता हैं।

      आप 4 साल से इस थीम का इस्तेमाल कर रहे हैं, i hope कि आपसे मुझे जवाब मिल जाएगा।

      मेरा qus ये है sir, कि इस समय मै newspaper theme 10 version का इस्तेमाल कर रहा हूँ अब जो कि नया update आया हैं तो अगर मैं उसे update कर देता हूँ तो क्या मुझे फिर से वेबसाइट का customization करना पड़ेगा?
      और adsense, analytics etc. Code दोबारा डालने होंगे??

      Please reply जरूर करे।

      क्योंकि इसी वजह से मैं थीम को अपडेट नही कर रहा हूँ।

      Reply
      • अगर आप थीम थीम के अन्दर कोई change कर रहे है तो वो रिसेट हो जायेगा जैसे की CSS file, function.php file लेकिन इसके बाहर आप जो कर रहे है उसमे कोई बदलाव नहीं होगा.

        Reply
  7. Bahut dino bad bhai koi article aaye hai but jabrdast article aaya hai….bhai well done bahut badhiya bataye hai aapne News paper theme ke bare me sare points achche se cover kiye hai.

    Reply