Hello Friends, Ye to aap jante hi hoge ki technology badh rahi hai har fild me or uske sath sath hamare liye sari chije aasan hoti ja rahi hai.. Jese Internet ki madad se ham hamare lagbhag sare kaam (Shopping, Mobile Recharge, ya koi bhi information nikalna hai.) duniya me kahi se bhi kar sakte hai.
Paise Transfer karne ke liye bhi jo Bank hai unme Net Banking, Mobile Banking jesi subhidaye to phele se thi.. par abhi abhi ek or add ki gai hai jiska naam hai UPI. To chaliye Jante hai akhir ye UPI hai kya or iska Use kaise kare or iske kya faide or nuksan hai.
Page Contents
UPI Kya hai?
UPI ka Fullform hai Unified Payments Interface. isme hota ye hai jo hamara Bank account hai usko ham apne Smartphone me use kar sakte hai UPI app ki madad se. hamare jitne bhi bank me account hai unme hamara mobile number to rigister hota hi hai. to ham hamare sare bank account jinme hamara number register hai unko ek hi app me use kar sakte hai or uski madad se hamare sabhi bank account ki detail dekh sakte hai or account me paise send ya recive bhi kar sakte hai badhi aasani se.
UPI App ka use kaise kare
UPI App use kara bhut hi aasan hai, iske liye aapke pass smaprtphone (Android, Ipone) hona chaiye or usme internet ho hoga hi ;)
Ab aapko UPI App install karna hai apne mobile me.. Jese agar aap Playstore par ja kar search karege UPI App to lagbhag jitni bhi bank hai sabke UPI app aapko mil jayege. aap kisi bhi bank ka UPI App install kar lijiye.. iss baat se koi fark nahi padta ki aapka bank account kis bank me hai or iska koi charge bhi nahi lagega to aapko iski tension lene ki bhi jarurat nahi hai.
Aap inn Apps me se koi bhi ek App ko install kar lijiye..
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.fss.pnbpsp”]PNB UPI[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.sbi.upi”]SBI Pay[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.fss.ubipsp”]UBI UPI App[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.upi.axispay”]Axis Pay UPI[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.icici.eazypaycollect”]ICICI Bank[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.fss.pnbpsp”]Panjab Nation Bank (PNB)[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=upi.npst.com.upicanara”]Canara Bank[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.infrasofttech.mahaupi”]Bank of Maharashtra [/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.fss.vijayapsp”]Vijya Bank[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/developer?id=ANDHRA+BANK”]Andhra Bank[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.lcode.ucoupi”]UCO Bank[/button]
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.snapwork.hdfc”]HDFC Bank[/button]
inke aalawa bhi bhut se UPI app hai aap jisko chahe use kar sakte hai sabka work karne ka tarika bilkul same hai.
Mene UBI ka App install kiya hai, fir aap unko open karege to usme aapko number ko verify kiya jayega.. aap wo number select kare jo aapki bank account me add hai.
Fir aapko Registration form bharke register karn hai..
UPI APP me kya kya kar sakte hai
Aap UPI app me banking ke sare kaam kar sakte hai or isme jo paise lendan ki jo limit hai wo bhi 1 lakh hai to aap inko kahi bhi use kar sakte hai.
App ko kaise use kare or uske kya features hai or kaise isko use kare uski puri jankari video me di hui hai to aap iski puri jankari video dekh kar pa sakte hai.. uske baad bhi agar aapka koi sabal ho to aap comment karke jarur puche or aapko ye jankari kesi lagi wo bhi jarur bataye.
Friends, agar aapko ye dar hai ki aapka bank account koi hack naa kar le ya koi paise naa nikal le aapke bank account me se to aapko darne ki bilkul jarurat nahi hai q ki ye UPI App RBI ne verify kiye hai.. war aap kisi official bank ka app hi use kare or aap jo PIN set kare wo kisi ko naa bataye.. baki koi tension lene ki jarurat nahi hai ye bhut secure or fast bhi hai.
Ye bhi jarur padhe: ₹2000 or ₹500 ke naye Note ki phechan kaise kare uski puri jankari
very good post rohit ji
Thanks
Bahut badhiya janakri hai . Rohit Ji aap hamesha se sabhi Hindi Blogger ke liye ek adhar rahe hai. Aap ko dekh kar bahut se Logo ne Hindi Blogging karna Start kiya hai.
Thanks Shailesh ji ☺️?
Bahut badhiya post hai bro.
Kafi din baad post likhe ho kahan busy the?
Nice post
Asalam o alakum bahi 1 bath samaj nahi ah rahe agar help kar deh to plz
Bahi kiya youtube ki video blog par share karney seh copyright ka issue ahta ha or yeh adsence ki approve meh kuch masla to nahi karta mujjey umeed ha ap meri help karey geh
Koi problem nahi hai usme..
badiya jaankari thi thanks
UPI app me agar apne account me koni check dalna ho to kya process karni padti hai….plz….
Wo to aapko bank me jama karna padega
very good information ye app abi bahot kaam ane wala hai.
Grate Info
Rohit ji
Bs aapse ak choti si sikayAt hai. Ki aap niyamit post nhi dalte hai…..
Mai aapke site ka bhut bda fan hu… Aaj jo bhi mujhe online kai bare me pta hai toh wo aapke site se hi mujhe maila hai mai January 2015 se hu….aapkai site ka fan hu..
Aasa hai ki aap mairi sikayat jrur dur karoge…
Waiting…….bro….
I love you bro…..
Ji Bilkul Shan ji :) me iska dhiyan rakhuga.. thanks :)
Really great information thanks for sharing
Hello Rohit Mewada
Aapne bahut hi important jaankari di hai .
Mujhe UPI ke baare me bilkul bhi pata nahi tha .
Aur ha
Ek baat aur
Aapne bahut dino baad post kiya hai ?
Aap itne dino se post kyon nahi kar rahe the ?
thoda personal kaam me busy tha.. n thanks :)
Welcome Back Rohit Ji
THanks :)
aapne kafi achhi post likhi hai. thanks for your this nice post :)
Hello Rohit, mai chahta hu ki jab bye mai apne blog par post dalu to o automatic Facebook par uska link dikhe please bata dijiye.our mere blog me kya kami hai check kar lijiye
me jald iski post dalta hu.. jisse aapko iski puri jankari mil jayegi.. thanks
mai abhi 18 year ka nahi hu to mera net banking, ATM, Debit card etc. kuch bhi nahi to kya mae UPI se godaddy.com se domen buy kar sakta hu.
brother aap 18 ke nahi hai fir bhi aapka bank account to open ho jayega.. or ATM bhi mil jayega.. UPI me hamara bank account hi add hota hai.
sir 9 monts ho gaye lekin adsense ka koi massage nahi aya maine adsense login kiya to
“Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started.”
maine blogger se adsense widget bhi remove kar diya tha ab mai layout se adsense widget laga raha hu to
“Please correct the errors on this form.” ye aa raha hai ab mai kya karu.
aap sabse phele apni site ko badiya se setup kare fir domain add karke fir double se apply kare dusre email se. dhiyan rahe.. jab site puri trha se teyar ho jab hi apply kare..
bahit hi acchi jankari, maine pheli baar dekha ki aapke kis post par koi comment nhi hai so plz apne site ko daily update kariye.
brother comment approve nahi kar paya.. comment to aaye hai..
मेरी एक blog post Google पर top मे थी.. लेकीन पता नही क्या हो गया अब वो post Google पर show ही नही होती.. बाद मे पता चला Google ने ऊसे हटा दीया. आप बता सकते है येसा क्यु हुआ
Google se agar usko hataya hai uska karan ho sakta hai aane usme koi aesi jankari di ho jo sahi naa ho or jisse kisi ka nuksan ho raha ho..
Namste sir G,ye post present time mei sabhi k liye useful hai kyonki note ban hone se logon ko thodi pareshani as rhi hai.aise mei ye kafi helpful post hai. Thanx for it.
Sir,aap ab regular post kyon nhi karte ho? Ye post 1 machine bad aai hai.
Keshav ji.. ab kosis karuga regular post karne ki.. thanks
Rohit sir,
Sir maine bhi ek upi app load kiya hai karnata bank ka to kya usme mere dusare bank ke account ko bhi add kar sakta?. to kya dusare bank ke account me bhi mera same no. registered hone chahiye. ye dono account saving account hai . aur ek current account bhi hai to kya is app me saving aur currant account dono operated hote hai?
pka jo mobile number hai wo jitni bhi bank me register hai aap un sab bank account ko ek hi UPI app me use kar sakte hai..
lolo koi nhi janta muje
Great article bro aajkal sirf paytm chal raha :-)
haa.. par muje lagta hai Paytm me aage chal kar transmission charge lagega.. par UPI App me aesa kuch nahi hai..
Very usefull post or kayi dino se wait kar raha tha aapke new post ka
THanks.. :)
YouTube video editing ke liye kon SA software sahi rahega
me camtasia use karta hu..