YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare

Youtube par Account kaise banaye or kis trha usse psise kama sakte hai inke bare me phele hi jaan chuka hai.. Aap agar youtube chalate hai to aapne notice kiya hoga ki kuch youtube channel ka jo URL aesa hota hai jo yaad rakhne me aasan or channel ke naam se milta judta rhata hai.. jese youtube.com/HindiMeHelp.

YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare uski puri jaankari hindi me Hindi.Help

Chaliye Youtube Custom Channel URL ke bare me thoda detail me jaan lete hai –

Advertisements

Page Contents

Channel Custom URL Kya Hai

Youtube par jitni bhi channel hoti hai un sabka ek URL hota hai, jisko browser me dalne par wo channel khul jati hai. Ham jab Youtube Channel banate hai to uska ek URL hota hai par wo bhut bada hota hai jo yaad rakhna bhut muskil hota hai. Ham Apne Channel ke URL ko badal kar jo URL banate hai usko Custom URL khate hai.

Defult – www.youtube.com/channel/UCDYgnFXsPlQWxgRgtkwoR7A

Custom URL – www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube Custom URL ke liye Kya Chaiye

Phele direct hi iska option aa jata tha, par ab ye kuch bate hai jo puri hone par hi ham Custom URL set kar sakte hai.

  • Channel Good Stending me hona chaiye.. Matlab Channel par koi copyright stick nahi hona chaiye.
  • 100 Subscribers hona chaiye Channel par.
  • kam se kam 30 din purani hona chaiye Channel.
  • Channel par uska Photo upload hona chaiye jo uske Icon ka bhi kaam karta hai.
  • Channel Art bhi Upload hona jaruri hai.

Jab ye sari points pure hoge to aap channel ka Custom URL set kar sakte ho.

Aap apne Website ko Google+ Page Par Verify karke bhi Custom URL Set kar sakte ho. Jab Aap Qualify ho jayege to Custom URL set karne ka option aa jayega.

Custom URL Kaise Set kare Channel ke liye

Jab aap custom URL ke liye Qualify ho jaoge, To aap Apni Account ki Advanced setting me jaye. Aap jab Qualify ho jaoge to aapko Email bhi aayega or aapke Creator Studio Dashboard me bhi Notification aa jayega.

*EK baat ka Diyan rakhe, Custom URL ek baar set karne ke baad usko badla nahi ja sakta.. TO set karne se phele achi se check karle.

Custom URL Set karne ke liye

Step 1: Youtube Account me Login karne ke baad Advanced Account Setting me jaye

Step 2: AB Channel Setting me aapko ek option dikhega, Claim your custom URL. us par click kare.

custom url ke liye notification aayega youtube channel deshboard me

Step 3: ab aap Custom URL set karne ke page par phuch jayege

Step 4: Ab aap Apni Channel ka Custom URL Dekhege jiske liye aapki channel approve hui hai..

Aap usko badal nahi sakte.. Bas aap itna kar sakte ho ki usme kuch Sabd or number add kar sakte ho agar aap chaho to. Ye jo Custom URL Channel ke liye Approve hota hai wo – Channel Name, Website Name, Display Name me se koi ho sakta hai.

apna Custom URL Select karkle Change URL par click kare

Step 5: Box par tik ✔ kare “I agree to the Terms of Service” fir Change URL ki button par click kare.

Step 6: Ye jo URL rahega wo Google+ se bhi add rahega. Aapse ek bar or conform kiya jayega ki aap ye URL chate hai, uske liye Conform choice par click kare.

URL ko ek bar check karke conform Choice par click kare

Youtube Custom URL Kaise Set Kare [Hindi Video]

Friends Youtube Custom URL kya hai ye iska kya use hai ye sab aap jaan chuke ho.. agar youtube se sambandit koi bhi sabal ho to aap comment karke puch sakte ho..

Youtube ki or jaankari ke liye yaha click kare

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

40 thoughts on “YouTube Channel Custom URL Kaise Set Kare”

  1. Youtube pe bahot se video h jisme movie song h pr jb main edit krke upload krta hu to uspe copyright kyu aa jata h..
    Kya wo bs video bhi copyright hote h

    Reply
  2. Rohit bhai maine apne channel ke liye custom url set kiya tha fr channel ko brand account pr kr diya (kyuki pahle channel mere email id ke name pe hi tha jb name change krta tha to youtube and gmail dono ka name change ho jata tha) tb mera pahle wala coustom url kam nhi kr raha, ab new kaise set kru, feature me ineligible bta raha h, plss reply bro..

    Reply
  3. mera youtube channel 30 day old fir bhi costomize url option nahi araha hai kya kare adsance bhi nahi kar pa raha hu

    Reply
  4. sir apne to mera jawab abhi diya hi nhi hai plz bataye ki mera YouTube channel abhi sirf 10-15 din hi hua hai aur mujhe YouTube channel me video upload karne se pahle hi mujhe mera YouTube channel ka costume url chahiye kya karu kuchh batao na thoda argent hai sir please apke pas koi tarkib ho to bataye. .

    Reply
  5. hi sir mere you tube channel ko abhi 10-15 din hi hua hai aur mujhe video uplod karne se pahle hi mere YouTube channel ki custom url chahiye kya aisa koi tarika hai jisse mujhe jaldi se custom url mil jaye please help me sir bahut jaruri hai…

    Reply
  6. Rohit bhai jo apni video ek baar YouTube pe upload kr chuke hai kya wo video apne channel pe fir upload nahi kr sakte…

    Reply
  7. sir koi aesi site hai youtube k ilawa jis me hm videos upload kr k paise kama sken jaise dailymotion waghera kama skte hain ya nai or ye pochna hai k pakistan me youtube se paise kamany k liye hm ak u.s gmail ki id bna kr kama skte hain kia aesa possible hai ya nahi .thanks

    Reply
  8. sir net me or koi aesi site hai jis se me video upload kr k paise kama skon youtube k ilawa mtlb dailymotion waghera se kama skty hain pakistan me

    Reply
  9. sir mene apki site dekhi mujhy bahot achi lgi or ap ka ye post bahot acha hai me pakistan se hon mujhy ap se ye pochna hai k mene youtube me account bnaya lekin os me country select me pakistan ka naam hi nahi hai to kia pakistani youtube se paise nahi kama skty ya is ka koi hal bta den ya is se koi fark nai prta or ye pochna hai k youtube ko adsence se connect kr k paise kese milengy mtlb paypal me ya bank me kese transfer hongy mtlb paypal ka email kahan dalna hoga mujhy umeed hai ap mera jawab zaror den gy q k ap sb ki help krty hain thanks

    Reply
    • youtube ki payment direct bank account me aati hai.. par muje jaha tak pata hai youtube pakistan me ban hai to aap usse paise nahi kama sakte.. par aap tri karke dekhe.. adsense account se connect kare apni channel ko.. or jab 10$ income ho jayegi jab aayega payment recive karne ke form.

      Reply
  10. sir hamne ek blog banayi hai blog to ready hai per isme kya kya kami hai please visit krke bataye hame.
    blog ID-rumanbedil786.blogspot.com

    Reply
  11. sir pls meri site dekh kar batao na mere site par ads dikh raha hai kya.. ??……???????????????????????????????????? aur sir youtube se earn kiya balance kaha par show karta hai??????????????

    Reply
  12. Rohit bhai ek baat btao…..jese ham google pr search krte h to domain se bhi kuch fark padta h kya…..mtlb jese hamne search kiya mobile price to kya mobileprice.in google pehle show krega ya aor koi

    Reply
      • रोहित भाई हमने एक विडियो उप्लोद की हैं ,क्या हम उस विडियो को फिर से सुटीग कर के उप्लोद कर सकते हैं

        Reply