Youtube par account kaise banate hai to bhut aasan hai q ki youtube bhi Google ki service hai to simple hamara jo Gmail Id Hoti hai usse hame youtube par login karna hota hai.
Aapke pass agar Google Gmail ID nahi hai to aap yaha dekhe Gmail ID kaise Banate hai
Youtube par Gmail Id se login karke login kar sakte hai, isme jo hamari Google+ ki Profile me jo naam hota hai us naam se channel ban jati hai.. Par agar aapko koi dusre naam se Youtube Channel Banani hai to uske liye 2 tarike hai..
Phele se agar koi Google+ Page hai to uski Youtube Channel bana sakte hai ya fir New bhi bana sakte hai.. Chaliye dekhete hai.
Youtube par Multiple Channel Kaise Banaye Ek Email Id se
New Channel Banane ke liye –
Step 1: Google ke Account me Sign in kare.
Step 2: Ab Youtube Channel Switcher me jaye.
Step 3: Create a new channel ki button par click kare. (Note: Agar Aapka Phele se Google+ Page hai or aap ussi naam se Channel banana chate hai to aap uske naam par click karke bhi bana sakte hai, wo aapko list me dikh jayega.)
Step 4: Ab ek form aayega
- Channel ka Naam Dale
- Category select kare channel ki
- Term ko pad kar tik kare.
- Finished ki button par click kare.
jese hi finished karege aapki New Youtube Channel Ban jayegi
Ab aapki Channel to Ban Chuki hai,
To ab aapko agar ek se jada channel chalani hai to aapko alag-alag email id or bar bar login karne ki jarurat nahi hai.. Aap Simple Channel Switcher me ja kar apni dusri Channel Select karke usko use kar sakte hai.
Youtube ke bare me ham or bhi bhut si jaakari aage janege, taki ham Apni Channel ko or bhatar bana kar badiya paise kama sake.
Kuch or jaruri jaankari Youtube ke bare me –
- Youtube me kaise Video Upload karte hai
- Kaise Channel ko verify karte hai
- kaise Monetize Enable karte hai youtube me
Agar aapka koi sabal hai to aap comment me puch sakte hai..
सर बहुत ही अच्छी जानकारी दी है आपका बहुत धन्यवाद देना चाहते हैं।
सर मेने एक ब्लॉग बनाया है ओर 4 पोस्ट पब्लिश भी की है लेकिन में चाहता हूँ कि आप एक बार मेरे ब्लॉग पर विजिट करे।
भाई ये बताओ अगर मै दूसरा चैनल बना लू ,MONETIZATION कर लू , मोनतिजातिओं सही तरीका कोनसा है ,लेकिंन गूगल एडसेन्स नही जोड़ना है (RULE के अनुसार ),इसलिए कह रहा हु भाई कई वीडियो मै देखा मोटजातिओं ENBLE करते वक़्त गूगल एडसेन्स जुड़ जाता है
प्लीज रिप्लाई
मेवाड़ा सर, मेरा एक चैनल है यूट्यूब पे लेकिन उसी नाम से किसी ने 2-3 चैनल और बना लिए है लेकिन वो उसपर मेरे वीडियो कॉपी नही कर रहे है लेकिन मेरे व्यूअर कंफ्यूज हो जाते है। तो क्या उन चैनल के खिलाफ कोई एक्शन हो सकता है क्या
Thanks Rohit Bro for this useful stuff
Mujhe Ab multiple YT channel banane mein koi dikkat nhi aayegi
Great
Sir me ager movies sports etc.ke videos ko edit kar video bnaker you tube par upload karu to kya income hogi
Video me 2 second ka bhi kuch Copy his hai to wo copyright hota hai..
Mobile me kaise kare samajh me nhi aa rha jo apne bataye option wo h hi nhi
Mobile me aap browser me desktop version on karke same steps follow kare..
very helpful article. Thanksfor sharing with us.
hlw mera question ye hain ki ager main ek email id se 2 channel banata hun to kya chennal me koi problam nahi na hoga…
2 kya aap 100 banao koi problem nahi hogi.. wass aap un channels me aesa kuch jada gadwad naa kare ki aapki email hi delete karde google..
Sir hm YouTube se kitna paise kma sakte hai
koi limite nahi hai, jitni jada aapki channel popular hogi utne jada..
Hlo Sir..
sign in krne k baad main apne youtube channel ko open krta hon to ye msg show krta h
( An error occurred. Please try again. ) kuch der bad refresh krne pr
channel open ho jaata h.. bar bar aisa ho rha h.. ye kya problem hai..!!
bhai aap browser ka data clear karke net band karke chalu karo fir try karo..
Cmnt b nehi ho raha he Bhai q
Bhai me agar ek email me 2 channel nanau to dono channel ka paisa alag alag aaega ya wo dono ek hin he.
Aur agar ek chnel band ho gya ya toh dlt ho gya toh kya dono chnl ko prblm ho sakta he kya sir g plz rply me
Paise adsense account se aate hai.. To wo aap ek hi adsense account se connect kar sakte hai..
Bhai ek sawal hai uska ans.khi mil hi nhi raha ummid hai aap de dena .
Agar hum youtube par new channel banaye to usko hum adsense se jodte hai supposed mene ek channel banaya or usko mere bhai ke naam se adsense se add kar diya to kya ab bank ac ki details bhi mere bhai ki deni padegi yaa me meri add kar skta hu or mera channel alag se bna rkha hai mene uske bhi mene meri bank details daal rkhi hai ab batao bhai plz help me
jis naam se adsense account hai .. bank account me bhi wahi naam hona chaiye.. baki channel kisi bhi naa se ho.. koi bhi banaye.. usse koi fark nahi padta..
sir mane channel banake video bhi upload kiya or monitise bhi kiya AdSense account bhi banaya par video pe yallow click ad nahi ata kya kare sir please help me
Agar aapne wo vodeo khud se nahi banaya hai to wo monetize nahi hoga..
sir mane channel banake video bhi upload kiya or monitise bhi kiya par video pe yallow click ad nahi ata kya kare sir please help me
aapne wo video kahi se copy ki hogi, khud se nahi banai hogi..
hello sir ek baat batao ki me ek new youtube channel banana chahta hu to mail id mere name use karu ya new email channel ke name se banakar use karu. or ek baat or batana ki payment ke time isme koi problem to nai aayegi .
new channel banaye.. main nahi.. or payment adsense se aati hai to usme to aapko pana real name dena hi hai.. baki aap yaha channel ka name kuch bhi de koi problem nahi hai.
Sir mene youtube channel banaya he, lekin ise monitize nhi kr pa rha hu, please help me
monetize kaise enbale kare uski jankari mene di hui hai aap waha read kare.
sir jab hm youtube me video dekhte h to list me bhot si video hoti h or sab me ek poster sa hota h jese koi movie k hota h or video alag hoti h wo kese hota h edit
upload karte hai jab thumbnail ka option aata hai..
sir aisa kis naam se channel bnae jisse jada se jyada log dekhe or sbse pehle show ho mera channel
aesa channel name se nahi.. aapki video ki quality se hoga.. ek war agar kisi ne dekh liya to wo war war dekhega..
Ek se jyada youtube channel jo ek email se bana hai usko adsense se kaise jode aur kya sabhi channel ke liye alag google plus banana hoga to kaise banaye
adsense se kaise joge uske ware me bataya hai, sabko ek hi adsense account se jodna hai,.