Hello Everyone! Main ShoutMeHindi se Harsh Agrawal hu, aur aaj aapke saath is article me share karne jaa raha hu YouTube se paise kamane ke liye kuch badiya tarike. Aap me se bahut se log ek YouTube channel bana ke us par videos upload karke, paise kamane kii ichha rakhte honge. Lekin aam dekha gya hai ki bahut se YouTubers kuch videos upload karne ke baad hii haar maan jaate hain aur keval 10% log aise hote hain joki YouTube se kuch na kuch paise kamane me kamyab hote hain.
Sabse pehle is article me main yh maan ke chalta hun ki aap ek serious YouTuber hain aur apne YouTube channel par regularly videos upload karte hain kyonki is article me main aapke saath jitne bhi ways share karne jaa rahan hun vh keval regular aur serious YouTubers ke liye hii work karenge.
Page Contents
YouTube Se Paise Kamane ke Best Ways
To bina waqt gawaye, ye rahe YouTube se paise kamane ke teen sabse badiya tarike:
Google AdSense
Google AdSense kisi bhi YouTube channel ko monetize karke usse paise kamane ka the most easiest or simplest way hai. Iske liye aapko bs ek approved, AdSense account chahiye hoga aur uske saath hii us Google AdSense ke saath aapko apna YouTube channel link karna hoga. Yadi aap nahi jaante ki apne YouTube channel ko Google AdSense ke saath kaise connect karen, to hamara neeche diya giya video zaroor dekhiye jisme is saare process ko bahut hi badhiya tareeke se explain kiya gya hai.
Ab iska matlab ye nahi hai ki aap yh process karke aasani se paise kamane lg jayenge. Iske baad to asli kaam shuru hota hai. Aapko paise keval tabhi milenge jab aapke video ke viewers ads ko dekhenge aur unpar click karenge.
Ab saari videos par to aapke ads display honge nahin aur saare viewers to aapki ads par click karenge bhi nahin. Iske ilava aur bahut saare factors hote hain jaise ki RPM, CPM vgera joki is mamle me matter karte hain. Aap apni traf se ek kaam kar sakte hain aur vo hai ki apni videos par jitne maximum views ho sake derive kijiye. Aur ant me aisa karne ke liye aapko apne videos ko bahut badhiya bnana hoga aur viewers ke liye useful bnana hoga.
Also Read: 1000 Views par kitni income hoti hai?
Sponsorship Videos Bnana
Aapne pichle kuch salon me ek cheez notice kii hogi ki YouTube par bahut saari webseries banni shuru ho gyi hain. Udaharan ke liye bahut saare Hindi Drama shows aajkal YouTube par videos aur web series ke roop me publish kiye jaate hain aur jinhe dekhne ke liye log hafton ka intzaar bhi karte hain. Lekin aapne ek aur cheez iske saath notice ki hogi ki jitna kharcha ve un series ko banane me laga aate hain vo keval Google AdSense aur YouTube se kii kmaayi se sambhav nahin ho sakta.
To unke paas un series ko banane ke liye itna paisa aata kahan se hain? Iska jawab hai, Sponsorship. Unhe apne videos ko banane ke liye bahut se log aur companies sponsor karti hain.
Isi prakar yadi aap bhi chahte hain ki aap Sponsorship se paise kamaye to aapko bhi ek aisa YouTube channel bnan hoga jiske hazaron lakhon subscribers hon aur jiska audience base bhi kaafi strong ho. Kyonki ye method Google AdSense wale method kii trah nahin hai jisme aap AdSense account ko link karke saath ke saath paise kamana shuru kar sakte hain. Iske liye aapko apne Channel ko kuch aisa bana hoga ki Sponsored khud aapke paas aayen.
Sponsores aapko kisi bhi tarah apni videos me unke promotion ke liye keh skte hain. Jaise ki video ke shuru hone se pehle Sponsores ka ad dena ya video ke beech unki taareef karna ityadi. Kayi sponsores to itne badhiya hote hain ki aapko bs unke logo me video me kuch chand seconds ke liye dikhana hota hai aur aapki video ke saare kharche ke ilava aapko poore mahine ka bhi profit mil jata hai.
Affiliate Marketing
To jo last method, is post me main aapko batane jaa raha hun vo hai, Affiliate Marketing. Yadi aap affiliate marketing ke baare me nahin jaante, to main pehle aapko recommend karunga ki aap hamare neeche diye gaye posts ko padhiye aur Affiliate Marketing ke baare me vistaar se janiye aur is badhiya tareeke se samjhiye. Uske badd hii aap is tareeke se paise kamane ke baare me soch skte hain. Hamari Affiliate Marketing kii eBook prapt kijiye.
Ab aap YouTube par Affiliate Marketing kaise kar sakte hain. Aap maan lijiye kisi aisi cheez ke baare me apni YouTube video bna rahen hain jiska koi affiliate program ho. To aap uske affiliate program ko join karke description me ya fir video ke upar annotations ko use karke apne Affiliate links ko add kar sakte hain aur jab bhi aapka koi viewer un links par click karke kuch na kuch khareedna to aapko uska commission milega. Is tareeke se aap YouTube ko apni Affiliate marketing kii strategy ke liye use kar sakte hain.
YouTube se paise kamane ka sabse badhiya tareeka aur sabse zyada profitable tareeka kaun sa hai?
Ab aap sab ke man me question ye hoga ki inme se sabse badhiya tareek kaun sa hai. Yadi aapka ek YouTube channel hai aur usme videos par acche views ho rahen hain, to all time hit tareeka jisse aap paise kama sakte hain vo hai, Google AdSense. Lekin Google AdSense sabse profitable way to bilkul bhi nahin. Adhik profitable ways hai, Sponsorships aur affiliate marketing par ye all time ways nahin hain. Sponsorships aur affiliate marketing aapke liye tabhi kaam karengi jab aapke paas niche based videos trafic hai ya fir aapki audience kaafi zyada hai.
To ye tha mera aaj ka post jisme maine bataya ki aap YouTube se paise kaise kama sakte hain. Mujhe aasha hai ki aapko mera yh post bahut accha lga ho to yadi lga ho, hamare blog, ShoutMeHindi.com ko zaroor visit kijiye. Is post ke sambandhit aapke man me yadi koi bhi question hai to aap mere se comments ke zariye zaroor puchiye.
Ye Ek Guest post hai HMH, agar aap bhi Guest post karna chahte hai to yaha click karke uski jankari pa sakte hai.
Other Guest Post Read karne ke liye yaha click kare.
Youtube ki or jankari ke liye aap ye post bhi jarur read kare:
Bahut Achha Article Bhai youtube se paisa kaise kamaye puri achhi tarah se samjha diya
bahut hi accha article likhe ho bhai… aur jankari bhi bahut acchi di hai….❤👌💖
Very Nice Sir Aap Bahut hi Acha Content likhte hai
really very nice artical
THANKS FOR THE INFORMATION
ESE hi jankari dete rhiye
Bhut Acchi jankari Di Apne
Bhut hi ache se samjhaya hai aapne. Thanks for information.
Bhaut ji badhiya article hai. Is helpful article ko hamare sath share karne ke liye bhaut bahut dhanyawad
First of all, Congratulations Rohit Mewada because India’s No.1 blogger harsh agarwal has guest post on your website.
I request you check my website and If you see any problem so tell me or give some suggestions.
Thanks
Basit Ansari
Thanks Brother..
aapne site me menu add nahi ki hai aapko add karni chaiye.
Nice guest post ?
Money kha aayege ,,,, paytm m ya ??????
bank me aata hai adsense se.
Hello
Muje be pisa chaheye plz
My account number:62542200163587
Holder name:irfan shareef
Branch:Ambur tamil nadu
Hello sir maine ek hindi blog shuru kiya hai aur 3 mahine baad bhi mujhe koi organic traffic nahi mil rahi hai kya karu blog ka address hai hata2017. blogspot. com
aap j phele se hai unse thoda hatkar bhi aesi post dale jo abhi internet par nahi hai..
Sir , aap mujhe ye bataye ki agar me apne intro video me youtube par “sare jshan se accha hundasta hamara”. Ka music laga sakta hu kya. Ya kisi ki permission leni hogi.. or ek baat or aap ne jo apke youtube video me hindi me help ka intro banaya hai wo kis software ya template se banaya hai . Please tell me i m waiting for your comment answer.
agar aap soung use karege to copyright ho sakta hai.. mene VideoMotionPro se banaya hai intro
Thank you Harsh Sir and Rohit bro. Yah post YouTubers ke liye bahot hi helpful rahegi. Agar aap YouTube par work karke paise kamana chahte he to aapko yah post jarur se padhni chahiye.
Thank you once again for sharing this awesome article.
Sir Maine ek naya blog shuru kiya hai. Please aap dekh ke bataye kya isme koi problem to nhi.
Uske ilawa mujhe abhi aur kya kya settings aur karni hai?
abhi to aapke blog me kuch hai hi nahi.. pura khali khali hai..
rohit bhai ek bat batao ki agar ham youtube ke liye vedeo banaye or usme me apna voice nahi doo sirf screen recoding or background music daalo to koti dikki to nahi hai
dikkat to koi nahi.. par main hai aap jo video bana rahe hai or jiske liye bana rahe hai usko wo samaj aaye..
Nice post really aapne bahut acche tarike Bataye he ????
Rohit sir , Ham youtube me kitni videos upload krne ke baad adsense ke liye apply kar sakte hai aur total kitna view hona chaihiye adsense approve hone ke liye.
video ki koi limit nahi hai.. par ab adsense use karne ke liye aapke channel ke total views 10000 hona jaruri hai..
Harsh Sir Yr Meri Tammana Ko Aap pura Kar Rahe ho,Maine Socha Abhi Tak Wo Kisi Hindi Blogger Par Guest Nahi Kiye,Mai Apne Blog Ko Us Stage Tak Le jaunga,Jisse……….
Mai ek naya YouTube hu aur mai naye YouTube ke label ki post me laga rahta hu.So aapne YouTube se related post share ki hai iake liye bahut bahut dhanywad aur mai chahunga ki aap jyada SE jyada YouTube ke bare me post kare.jisse hume jyada jankari ho sake.
aap hmh.pe youtube se related or bhi bhut si post hai unko bhi jarur read kare.. aapko help jarur milegi.
Yah tips un sabhi ke liye bahut hi faydemnd he jo log video banane ke shockhin he or apne is shokh ke jariye youtube se paise kamana chahte he
Apka Writting Sense best hai , Sab clear samaj ata hai Or isme Koi shaq nahi ki writting me ap best ho :-)
Rohit sir, Vary Nice Post but i don’t belive it ki ye post Harsh ne ki he… please Mera naya Blog dekhke batao isme or kya kya karo sir..
Apka Writting Sense best hai , Sab clear samaj ata hai Or isme Koi shaq nahi ki writting me ap best ho
Youtube me video me kis type ke video me add ayega
har trha ke video part ads aate hai..
Nic information… Rohit bhai mai aapki website par guest post karna chahta hu kya aap meri guest post ko apne blog ke liye accpt karoge .
Haa bilkul aap kar sakte hai.. aap hamari guest post ki guidelines read jarur karle ..
Sir please aap meri questions na a answer dejiyega i m waiting for your reply
Sir aap bata sakte hai ki affiliate marketing kaise use kare sir iss topic par properly Google Mai Hindi main koi accha article nahi hai sab post ko lambi Karne Mai lage hue hote rohit kya aap bata sakte hai yaa eske baare Mai koi article likhne vaale hai
Rambharat ji me kosis karuga aapko iski jankari aasani or short me de saku.. me uske upar jald post likhuga..
Thanks Harsh Agarwal ji. Sharing this information. Please check my website also
मुझे यह पोस्ट अच्छी लगी पर अब तो छोटे YouTubers जिनके कम व्यूज है उनके लिए तो YouTube ने बहुत मुश्किल कर दिया पैसा कमाना
aesa bilkul nahi hai.. wass jo series hoke work karte hai unka nuksan naa ho jo faltu ka kuch bhi dalte hai uski baja se thoda change kiya hai… par aesa nahi ahi ki paise kamana ab muskil ho gaya hai..
अच्छा तो हर्ष अग्रवाल भी स्पेलिंग गलती करता है !
Chha gye Rohit bhai … Ek number
Thanks Satish Bhai :)
mujhe ek bat bataye ki YouTube par background music ko free of copyright kaise use kare
aap youtube ki music library se free download karke use kar sakte hai.
thanks share karne ke liye new youtuber ko kafi help milegi is post se
this is very nice article
but
pls rohit ji help me
i can’t post article on the dodo a/c. plz give me some suggestion how to post on it..
pls help me
how to new post article in the dodo ?
pls help me anyone
मैने सुना है की YouTube ने Earning कम कर दी है
youtube ke hath me nahi hai wo.. par jo advertiser hai jo apne ads dete hai wo kuch kam ho gaye hai.. q ki youtube par abhi bekar ke video jada upload ho rahe the isliye..
Great post for youtubers
bahut hi badhiya jaankaari di.
ek baat btayiye kya blog ki pics ikathe krke usse agar video bnaye aur background simple music de de to kya uspar adsense lga skte hai?
haa bilkul laga sakte hai..
aise me koi dikkat to nahi na? matlab ki vahi pics mere blog par bhi ho, aur usi ki video bnakar YouTube se earnings kru…. Adsense ko koi khtra to nahi?
Koi dikkat nahi hai..
i can’t post article on the dodo a/c. plz give me some suggestion how to post on it..
pls help me
how to new post article in the dodo ?