Internet ki Next Generation matlab 5G dastak dene vala hai, 2019 me hi iski shuruat ho chuki hai or yeh kai desho m lagu bhi ho chuka hai. Jin desho m yeh seva lagu ki gai hai un desho ka dava hai ki isse internet ki speed 10 guna bad jayegi.
5G kya hai, 5G ki kya Internet Speed rahegi, Kab tak India me 5G aayega, 5G se hame kya nuksan ho sakte hai ya konse Mobile Phone me 5G chalega jese bahut se sawal sabhi logo ke mind me hai. to unn sabhi sawalo ka jawab aapko is post me milne wala hai.
Agar aap Mobile me Internet use karte hai to aapko pata hoga, pehle 2G hua karta tha jisme KB me speed milti thi, uske baad 3G aaya or abhi 4G chal raha hai jisme hame Mobile par hi 40Mbps tak speed mil jati hai.. to aap isse andaja laga sakte hai ki 5G ki kya speed milegi.
Chaliye jaan lete hai 5G ke ware me hindi me.
Page Contents
5G Technology Aakhir Hai Kya?
5G internet ko mobile internet ki pachvi peedi mana jar aha hai, jiski speed mojuda internet speed se khai adhik hogi. Jisse bade data ko aasani se download kiya ja sakta hai.
Yeh technology poori tarah se radio spectrum ke behtar istemal ka udharan hogi or isse ek saath kai devices ko internet se joda ja sakega.
Internet Kaam kaise karta hai uski Jankari
5G Kaam Kaise Karega?
Yeh ek high frequency band per kaam krega jo ki 3.5GHz se 26 GHz tak hogi ya fir usse bhi Jayda. iss frequency band mein Wavelength chote hote hai jiski wajah se unhe aasani se roka ja sakta hai or yeh ek pareshani ka Vishay bhi hai.
Iss pareshani ko door karne ke liye kam oochai vale telephone towers lagane padenge jo ki ek dusre ke bahut kareeb ho.
Iske liye kai Transmitters lagane honge jiski wajah se Jyada kharcha aayega or use dhyan m rakhte hue hi yeh seva suru ki jayegi.
Pichle 4G Network Se Kitna Alag Hoga 5G Network?
Yeh naya network poori tarah se 4G network se alag hoga. Yeh nayi Radio Technology per kaam karega. Esa mana jar aha hai ki yeh suruaat m apni asli speed per kaam nahi karega. Filhaal 4G network per sarvadhik speed 45 Mbps tak hi mumkin hai parantu chip banana vali companies ka anuman hai ki 5G taknik isse 10 se 20 guna tak speed hasil kar sakte hai.
Aap ek high definition film ko sirf 1 se 2 minute m poora download karne ki kalpana kar sakte hai.
Kab Tak 5G Network Logo Tak Pauch Paayega?
Adhiktar desho m 5G network 2020 m hi launch ho chuka hai. दक्षिण कोरिया, अमेरिका, चीन और जर्मनी jese dekho m yeh seva lagu ho chuki hai. Halaki India ki company Jio or Airtel ne kaha hai ki ve bhi ab 5G ko Bharat ke logo tak pahuchane ke liye poori tarah se taiyaar hai. Jio ka manna hai ki ve saal 2021 ke aakhir tak 5G seva ko logo tak pachadenge.
Iss baat ko madde nazar rakhte hue केंद्र सरकार bhi telecom companies ke saath 5G seva suru karne ki koshish m lagi hui hai. Airtel ne to porri tarah se 5G ki testing karbhi li hai or ab baki companies bhi isi kaam m lagi hui hai.
Kya Hum Logo Ko Naya Phone Khareedna Hoga?
Smartphone banane vali companies ne apni 5G phones ki marketing chalu kardi hai. Isse saaf jarhir hota hai ki 5G aane per hme naya phone khareedna padega kyuki uski chip 4G se alag hogi.
Vese iss cheez per bhi prayas chal rahe hai or jaankaro ka kehna hai ki jese jese yeh technology aage badega ve 4G mobiles ko 5G ke network m badle ke liye koshish karenge. Or aane vale samay m 4G phones ko 5G phones m upgrade kar sakenge.
Kya Gaon tak 5G internet pauch jayega?
Filhal telecom companies ka kehna hai ki trails ki avdhi 6 mahine ki hai. Or isme upkaran ki khareed or sapthapna ke liye 2 mahine ki samajwadi shamil hai. Iske alava permission letter mein yeh sapasth likha hua hai ki 5G trails sehri ilako se alava gramin or ardh sehri ilako m bhi karna hoga taki 5G taknik ka labh keval sehro m hi nahi balki poore deshbhar m uthaya ja sake.
Kya Yeh Sach Hai Ki 5G Network Se Logo Ke Swasth Ko Nuksaan Hoga?
Jese Jese 5G network apne per pasar raha hai vese vese hi logo ke beech afway bhi badhti jar ahi hai, Kai logo ka manna hai ki 5G technology se unke swasth ko behadh nuksaan hoga. Parantu वैज्ञानिको ka manna hai ki insaan ke sareer ko ionise nature vali frequency hi nuksaan pahuchti hai jabki mobile se nikalne vali frequency non ionise nature ki hoti hai jo sharir ko nuksan nahi puchta.
वैज्ञानिको ka yeh bhi kehna hai ki abhi tak esa koi data nahi aaya hai ki jisse pata chal sake ki 5G radiation ki wajah se swast lo koi nuksan pahucha sakta hai.
Yaha tak ki दक्षिण अफ्रीकी-कनाडाई-अमेरिकी दिग्गज व्यापारी, निवेशक और इंजीनियर Elon Musk ka bhi kehna hai ki 5G technology swasth ke liye hanikarak nahi hai.
At Last:
5G Internet Speed ki New generation hai, to Internet ki speed badegi usse hamare or bhi kaam aasan hi hoge.. jese Automatic Cars ya remotely operation hote hai Robots ke jariye wo possible wo or ache se ho payenge kyunki Internet ki speed fast hone ke karan signels me koi deri nahi hogi.
Wese aapko kya lagta hai 5G technology India me kab tak aa jayegi, ya usse hamare kaam aasan hoge.. ya 4g hi tikh hai. comment me apne vichar jarur share kare.
wo din durr nhi jb hum 10g use krege
Nice post, thank you for your support, your article very helpful
Great post, thank you for sharing
Really Great information about 5G Internet Launching.
Thanks for sharing with us about 5G Internet.