YouTube SEO: Video ko Search me Top par Kaise laye

Dosto aap HMH youtube se related post ko toh pdhe hi honge. aur agar aap bhi youtube par videos upload karte hai aur uspe views nahi aate hai toh ab aapko kuch Youtube ke basic par sabse important baatein batane ja raha hu jise aapke videos pr view aane lagenge or usse aapki income bhi badegi.

Aesa nahi hota ke Video Dale or ek dam bhut se Views aa jaye jese Dusri Popular Channel par aate hai. Dekhiye ye koi shortcut nahi hai.

Advertisements
YouTube SEO: Video ko Search me Top par Kaise laye - SEO

yah ek strategy hai jisko Technical language me Youtube SEO (Search Engine Optimization ) kaha jata hai. Toh agar aap in simple Points ko Dhyan me rakhte hue apne youtube videos upload kare toh aapke videos pr ache Views bhi aane lagege or sath sath aapki Channel bhi Popular hogi bilkul sahi tarike se.

Also Read: Youtube se sambandhit kuch Basic Sabal or uske jawab

Page Contents

Youtube SEO: Video ko Top Search me Kaise Laye

youtube seo video ko search me lane ke liye uski puri jankari hindi me

#1: Youtube Video Ka Title

aapka video jis bhi topic par ho ,uska Title short and video se related hona chahiye. Matlab ki agar aap kisi cat ka video upload kar rahe hai toh aap ka Title ho sakta hai “Funny Cat Video”. Title likhte samay aap ko dhyan me yah rakhna hai ki aap ka Title aapke Video Content ke according hi hona chahiye.

Aisa nahi ki aap ka video cat ke bare mai hai aur aapne Title likha hai “Hot Sunny Leone Video”. agar aap aisa karte hai toh aap ka video ek spam video mana jayega aur yah video search engine me ignore kiya ja sakta hai.

Agar Lambe time tak aapko Video par kaam karna hai to aisa karne se aapki pehle hi image kharab ho jayegi fir koi aapki channel par aane ka sochega bhi nahi.. to kuch bhi galat or shortcut apnane ki naa soche.

Also Read: SEO Title likhne ke 5 Eye Catching tips

#2: Youtube Video Description

Dekhiye, Youtube ne hamare video ke liye ek Description Box banaya hai iska matlab hme uska utilize karna bahut hi Important hai . Kuch log hote hai Bss Video Upload karte hai aur Description mein Kuch Nahi Likhte hai . Agar aap description me video ke andar jo content hai uske bare me 200-300 words likhte hai toh yah search engine me show karne lagta hai . Jisse aap ki video ki ranking better ho jati hai aur aapke video par views aane lagte hai.

Description ki starting ki 2 line achi se likhna bhi jaruri hai, Q ki hamare Video ke sath wo bhi search me dikhti hai jisko log padkar video par click karte hai.

youtube Video me kya hai uske bare me 2 line

#3: Keyword (Tags) dale sahi se

Apke video ko famous karne ke liye keywords bahut hi Important hota hai. Aap soch rahe honge ki kon sa keyword daala jay ki video adhik se adhik search ho. Iske liye aapko Google ke Keyword Planner Tool me aap apne video se related keyword ko search kijiye. Fir usme aapko ek monthly search ka data milta hai. Usme Low aur Medium Competition aur adhik bids (CPC cost per click) wale keyword ko choose kijiye aur apne Video me Tag mein Use kare. Isse aapki video previews bhi milegi aur earning bhi jyada hogi.

Keywords dalne se ek or faida hota hai ki agar koi kisi Video ko dekh raha hai or jo tag usme hai wo hi tag hamare video me bhi hai to side me jo suggestion Video aate hai usme hamara video bhi aa sakta hai, jisse bhi hamare Video ke Views badne me madad mil sakti hai.

Read: Apne Blog me Youtube Video ko kaise add kare

#4: Youtube Video Thumbnail ko Change kare

Thumbnail ka matlab toh aapko pta hi hoga. agar nahi pta hoga toh mai aapko btata hu, Dekhiye jab hmara video Suggested Video ki list me show krta hai toh uss video pr jo image show karti hai usko Thumbnail kahte hai. Toh agar hum Thumbnail ko Manually design aur edit karke purane wale thumbnail ko change kr denge toh uspe viewer ki najar padegi. Aur video ko dekhne ke liye bechain ho jayega.

video ki thumnail nahi to koi views nahi

ek Servay me aaya tha ki jo log youtube par aise hi kisi video ko dekhna chahte hai to wo Video ki Thumbnail ko dekh kar hi uspar click karte hai. Matlab agar Thumbnail achi nahi to Views nahi. Youtube SEO ke nazariye se Video thumbnail sabse important hai.

Aapke video ka Thumbnail aapke video se hi related hona chahiye. Koi sexual image bhi nahi lagana chahiye.

Custom Thumbnail use karne ke liye Channel ko Verify karna jaruri hai, Janiye kaise kare Youtube Channel ko Verify. 

#5: Subscribe Appeal

Agar aapka video unique hai aur aapke viewer ko video pasand aaya lekin aapne video mein me aapne subscribe karne ke liye bola hi nahi toh ho sakta hai viewer aapke channel ko subscribe na kare. Toh agar apko subscriber ki numbers badhane hai toh video ki last me logo ko subscribe karne ke liye boliye.

Aapke Video ke jo Viewers hai unse ek relation banaye or unse Video ke last me kahe ki wo aapko support kare or aapke video ko Share, Like, Comment kare or New Video ke liye Channel ko Subscribe jarur kare :) .. inki madad se hamare video ki rank badti hai or wo search me top par aane lagta hai, Jo Views ke liye jaruri hai.

Toh friends aap upar btaye gaye 5 Youtube SEO Points ko follow kijiye. Kuch hi dino me apko positive(acha badiya) response milega. Toh aapse ek request hai ki iss post ko adhik se adhik share kare jisse aur log bhi in tips ke bare me janne ka moka mile.!!

Aap agar youtube se paise kamane ka soch rahe hai to aapko Youtube se paise kamane ke best tarike bhi pata hona chaiye, jiski jankari yaha hai.

Aur haa ..Youtube par hmare Channel “Hindi Me Help” Ko Bhi subscribe krna na bhule .!!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

95 thoughts on “YouTube SEO: Video ko Search me Top par Kaise laye”

  1. YouTube पर search में top पर आने के लिए आपने अच्छी जानकारी दी है । आपका धन्यवाद ।

    Reply
  2. ye to aapne bahut achhi information share ki hai, isse mujhe kuch nayaa seekhne ko mila ,, thankyou !!
    keep writing keep sharing ….

    Reply
  3. My YouTube channel per video upload nhi ho pata hai rejected ho jata hai and upload huaa video Jo hai obhi kharab ho jata hai

    Reply
  4. Sir mere pass crack kiya huwa video editing software he.. or me usase video banana chahta hu.. to muze koi strike aayega ya nahi..

    Reply
  5. mujhe personally ye topic bahut hi zyada pasand hai aur mai ispe liknA BHI BAHUT PASAND KAARTA HU. MAI AAP KA DHANYA WAAD KARNA CHAHUNGA KE AAP NEIN AISA TOPIC AUR JAANKARI HAMAARE SAATH SHARE KI.

    Reply
  6. Bhai meri ek problem hai koi solution btao maine youtube per video upload ki lekin us video ko main youtube full size (rotate)main nhi aa rhi hai kya kru …

    Reply