Kisi bhi site ya blog ke bare me janne ke liye uska About us Page hota hai jisme uske bare me likha hota hai.. Ye ek aesa Page hai jo bhut jaruri bhi hota hai site ke liye..
Agar aap Adsense se paise kamana chahte hai to Contact Us, Privacy Policy Page or About us Page hona bahut jaruri hota hai, Jab hi hamara Adsense account Approve hota hai..
About Us Page Kaise Banaye or Usme Kya kya Likhna chahiye chaliye jaante hai..

Site ka Badiya About Us Page Kaise Banaye
About Us ka Matlab hai Hamare Bare Me. Hame Is Page me Hamare bare me or site ke bare me likhna hai.. Jisko koi bhi pad kar site kis bare me hai, Site ka Maksad kya hai, Kis chij ki site hai, Kisne site ko banaya hai, or bhi bahut kuch.. Chaliye Point wise dekhte hai.. Kya Kya Add karna hai About Us Page me..
- Kis Topic Par Site hai.
- Site ka Maksad Kya Hai.
- Site ka Target kya hai.
- Aap kya Service dete hai site par.
- Kya faida hai aapki site ko use karke.
- Site ke Intro ka koi Video ho to Add kare.
- Site ki Ek Choti story likhe.
- Site ka Idea kaha se aaya
- Site kab banai
- Koi Motivational story apni site se sambandhit
- Apne Bare me bataye aap kon hai, kya kiya or kya karte hai.
- Apna ek badiya Photo dale.
- Apni Social Account ki Link dale (Facebook Page, Twitter) jisse agar unko aapki site pasand aaye to wo aapko Like, Follow karle.
- Contact Us Page ki Link bhi add kare, taki koi aapse contact karna chahe to kar sake.
- Aapki site par agar koi badiya post hai to aap uski link bhi add kar sakte ho Page me.
Inke alawa bhi aap Likh sakte hai, Ab aap samajh gaye hoge ki About Us Page me Kya Likhna hai.. To ek badiya About Us Page Banaye Apni site ke liye..
Ek Baat ka or diyaan rakhe, likhna is prakar hai jaise visitor aapke saamne betha hai or aap usse hi baat kar rahe hai.. Acha Impression Jamega.
Blogger me Kaise Add kare Contact Us Page
Simple aapko Page Add karna hai, Chaliye dekhte hai kaise –
Blogger me Login kare, Fir Deshboard me jakar Page ke section me jaye.
Ab Page Editor khul jayega
- Sabse Pehle Page Title box me About Us Dale
- Ab Body me jesa Upar bataya, aap Apni Site or Apne Bare me Badiya tarike se Likhe.
- Last me Publish karde Page ko.
Is Page ko Menu me jarur add kare, jab hi koi isko dekh payega.
Aap jitna ho sake badiya About Us Page Banane ki Kosis kare.. Example ke liye hamara About Us Page Dekhe..
Agar aapko Lagta hai kuch or bhi hai jo About Us Page me add karna chaiye to Comment karke Jarur bataye, Mujhe Khushi hogi ki aapka bhi Kuch yogdan hai HMH:)
thank you so much itni badhiya jankari dene ke liye
Thanks for information
Thank you so much for knowledge
hello rohit bhai bahut he usful post hai … mai ye janna cahta hu ki mene adsense apply krne ke baad site ka url change kr diya tha jisse adsense disapproved ho gya hai ab mujhe kya krna cahiye pls help kare apki help ki bht jrurt h mjhe
nahi hoga.. wass ye hai wo dusri hi site khelayegi.. q ki uska address hi change ho jayega.
Page ko menu me kaise add kare. Rohit ji
template edit karke add karna padega.. jo menu ka code hai waha.
Rohit g,
May 3 bar bar Facebook banaya hu bolak ho jata hai Liu?
aap bhut se logo ko ek sath friend request send kar dete hoge.. ya fir aap jo name rakhte hoge id ka wo sahi nahi rakhte hoge.. ye karan ho sakte hai block hone ke..
sir apne blog me braking news slide kaise lagaye.
pllllllzzzzz help mee.
aapka blog wordprees par hai kya
sir blog post ke liye image kaha se download kare rohit sir
hotel near subway
Hi to every body, it’s my first pay a quick visit
of this web site; this web site carries amazing and actually fine
data for readers.
In my opinion, if all {webmasters|site owners|website
superb post is post se meri problem solve ho gayi thank you so much
hello sir bahut hi achhi jankari hai mera q. hai
blog me leaver a reply ko kaise ad karu kripy bataye
Rohit sir,
jab bhi ham koi bhi post ya page publis karte hai to to vo hamare pure tempalate layout ke sat dikhta hai.
kya koi aisa option hai ki kisi bhi page ya post ko open karne par khali vahi page bs dikhaye aur baki ke template design hat jaye, sirf usi page ke liye.
Sir, wordpress pe author page par esa kya likhe ki log jaldi attract hoye
Sir maine ak blog bnaya hai story ke naam se or site par maine meri ak post bhi daali hai lakin me us post par stories ke toffic alag alag karna jaha har story ke click par uski story open ho jaaye. Tell me
Rohit Bhai About us page ko Menu Me kaise Add krteh please batayen
thanks
About us page to mene bna liya h rohit sir lekin ise blog me link ke rup me kese add karu taki viewers ise about us pr click kr ke ise pd paye jese ki apki website me h.
Plz.. answer me.
aapne jo about page bnaya hai usme ‘View Page’ par click karen aur fir jo page khule uske link ko copy kar le aur apne blog ki menu ya sidebar jhan aap chahe us link ko add kar de. Fir aapke readers us link par click karke aapke about page par pahunch sakte hai.
Blog par adsense apply karne se pahle kya chitika se paise kama skte hai bolo
Ya adlfy se paise kama skte hai adsense se pahle koi fark toh nhi hoga adsense approve karne se
Bhai maina ek company ko dekha jo sign up krne se humein 20dollars deti hai..
Kya ye company sahi hai paise kamne ke liye
blog me profail picher kese lagye
Layout me google+ widget add kare
Sir mera blogs abhi tak sarch nhi ho RHA jabki mene web master me 20 ko submit kya tha
Sirf submit karne se kya hota hai.. Post bhi dalna padta hai or title ko aesa dalna padta hai jo search karne par aaye.
About Us page ko menu mai kaise add kare
namskar sir,
ham blog par kuchh list banate hai aur vigiter us list ko pdf me download kar ske uske liye hame kya kara hoga .
Sir me apna bloge ka title design karna chahta hu jese apne hindimehelp me bich me design kya is trah se
Mene photoshop me kiya hai.. Par muje bhi jada achi se nahi aata photoshop chalana
Photoshop me design karne ke bad blog me kese lagate he or kya blogger me kar Sakte tetil ka design
layout me heading ka jo widget hota hai usme add kare.
Mujhe Google par apna name and location photo add karna Thai to kaese karu plz…. halp mere
App Google+ par apni profile banaye or usko puri jankari bhare.. search karne par wo aayegi search me.
sir page toh bana liya menu me kaise add kare??
mera mtlb wo nhi h hum aapki website par aate he or koi bhi post padte he to upar aata he na home contact me about us sabaal jawaab Blogeer wo kaise add karu
Mene uski ka bataya tha.. Aap link widget add karke usme add kare
page to bana liya par menu me add kaise kare
Aare yaar kitni bar bata Chuka hu.. Layout me ja kar link widget add karo or usme apne page ki link add karo
page to bana liya par menu me kiase add kare.
Rohit sir jab koi fayeda hi nahi hoga to main is blog ko delete karke naya blog hi create kr leta hun jaisa ap ne btaya hai. Suggest krne k liye bohot bohot shukriya…
Thanx sir g ho gya lekin sir ak prblm aur bus akhiri smjho ap plz sir read more ko maine add kiya h apke temlates me lekin ho nhi raha jaisa apne bataya tha bilkul baise hi kiya tha lekin nhi aa raha h kya apke templates me pahale se hi set h ya fir koi prblm h baise pale jo templt use kiya tha usme apke tarike se kiya aur read more aa gya aap ke hi templt me apki tarkib kaam nhi kar rahi h plz help me bhai
agar aapne mere diye template ko upload kara hai to usme is read more code ko add karne ki koi jarurat nahi hai, usme phele se add hai..
bhai dekho aap
ADMIN
This is dummy text. It is not meant to be read. Accordingly, it is difficult to figure out when to end it. But then, this is dummy text. It is not meant to be read. Period.
ye likhkar aa raha hai lekin author box show nhi hota hai plzz bhai maine admin bhi serch kiya lekin nhi mila plzz help
Me kitni baar iska jabab de Chuka hu… Aapko abhi jo author box me dikh raha hai, aap usko template editor me search karo or usko edit karke apne bare me likh kar template save kardo.. Simple hai
Bhai aap mujhe ye batao agar hum facebook comment box ko apne blog me add kar le to koi nukashan to nhi h ya google ko koi problm to nhi hogi aap jaisa mujhe suggtion doge main baisa hi karunga
Koi dikkat nahi.. Agar aapki site par Jada visitor facebook user aate hai to aap bilkul use kare.. Isse aapki site ka promotion bhi hoga agar koi comment ko uski profile par share karega to..
Thanx bhai maine apka temlate use kiya h usme author box ki maine setting ki h lekin usme kebal admin likhkar aa raha h aur jo conversion likhkar aata h bo na aye iske liye main kya karun plz help me
aap jo likha aa raha hai usko template me search karke remove karde.
Hahaha…..ok thanx..
Rohit thank u very much
Domain k lye 700 rups dene k bad 1 yr k bad hi payment deni hogi na
aare haa bhai haa.. aapne ek hi sabd kitni trha se pucha hai.. Jab aap recharge karbate ho to agla recharge kab karate ho.. Balance khatam hone par tik besa hi hai. aap chaho to phele bhi renew kar sakte ho.
Gud mrng Rohit,
maine apna bidvrtisr pe new a/c bna ke dekh liya, jb ads k lye detail dalkr submit kr rha hu fir bhi error show ho rha h…..domain use krne k bad to nhi hoga na aisa…
uske baad koi dikkat nahi hodi, wo aapki website khalayegi. Domain lene se phele ye jarur pade
Bhai main to yehi chahta hun k purani date rahe Q k usse shayad adsense approove krane me madad mile. Dusri bat woh id wala naam jo h wohi auther nam show hota h usko kaise change kr skta hun,
Date se faida to milega.. par agar aap naam change kar rahe hai to date ka koi faida nahi..
haa to authore aap hi hai, to wo hi hoga..
Rohit sir…kuchh sawalat hain… 1. Maine 25/7/2014 ko ek blog create kiya tha lekin tab mujhe zyada kuch pata nhi, ab hindi me help se mili jankari mujhe hai, kya main us blog ka url change karke naye naam se shuru kr skta hun? 2. Aur us blog pe mera woh naam show hota hai jo maine gmail id bnate waqt diya tha, jabki main blog dusre kisi naam se bnana chahta hun? 3. Aur agar ye blog hi dobara resat ho gya to iski create date kya 25/7/2014 hi rahegi? Baqi sawalat in k jawabat k baad, ap hamesha khush rahen…thankyou…
Aap blog ka URL, Tital, Discription sabkuch badal sakte ho uski jaankari mene di hui hai.
Aapki jo Email ID par naam hai usse koi fark nahi padta. aap kuch bhi naam rakh sakte hai.
Agar aapka ye blog rahega to date to purani hi rahegi.. par aap chaho to New blog bhi bana sakte ho or apne purane blog ko delete kar sakte ho
Iske baad monthly rental b dena hoga kya…jo price/month likha hota h wo har mahine dena padega kya??
Aap jese lena chaho ke sakte ho.. Monthly or yearly.. Aapko jitne time ke Lena ho select kar sakte ho
Ok n thanks, to fir mai blogger k liye godaddy se domain lekar us kr leta hu abhi or fir us pr bidvertiser k ads to lag jayenge na…kyuki abhi to error show ho raha h us pr…….. To mai abhi blogr pr hi focus krta hu or us pr ads laga k thodi bahot earning shuru hogi to mai thoda or seekh kr fir wordpress ko bad me website bana lunga…
Godaddy k lye b credit card chahiye use sbinet banking se nhi le skte….usme to yearly hi dena hoga na payment renew k lye…..ek bar lene ke bad next yr hi payment dena hoga na
Domain year se milta hai. Isme payment ke bhut option hai.. Aap muje Facebook par message karo kuch baat karni hai aapse
Haa me yehi samjana cha raha tha.. Mene bhi meri Blogger blog ki earning se kharidi thi hosting..
Godaddy pe sbi netbanking se domain le skte h na…or aap kya btana chahte ho maine msg kr diya h…Deepak Srivastav nam se
haa bilkul
hello dear aapka blog bahut hi badiya hai! lekin aapka blog unke liye badiya hai jinko blogging ka thoda bhi gyan nhi hai! lekin agar kisi ko professional blogger banana hai! to uske liye bhi artical likh jaise ki blog par traffic kaise laye, blog ka promition kaise kare, social bookmarketing site kya hai, backlink kaise hasil kare, affiliate marketing kya hai aur ye kaise kaam karta hai aur kin kin chizo ka dhyan me rakh kar aap affiliate marketing me success ho sakte hai! bro agar in sab tarh ke artical aap likhte ho to logo ki bahut acchi help hogi! mera bhi hindi ka ek blog hai aur mai waha par in sab tarah ki hi chize hi share karta hu! aap log mere blog par visit kar sakte hai!
Thanks for suggestions
Good morning ,
Rohit muje aapse hostgator ki hosting k baby plan k bare me btao…..mere pas abhi khud ka debit card nhi bnwa rha hu thoda time lagega….kya friend k debit card se purchase kr skta hu….uska sbi netbanking h, or baby plan ko ek bare purchase krne bad seedha 1 yr k bad hi renw krna pdta h ? Isme total kitna lagega? Waise maine check kiya tha to 699/yr dikha rha tha
699 ye domain ka hai.. Hosting ek saal ke liye 8000 ke lagbhag hai.
Debit card se nahi hoti payment.. Credit ? card chiye.. Ya fir paypal.
Bese me aapko suggest karuga agar aap blogging me new hai to abhi Blogger par hi rahe.. WordPress par coding ki jaankari bhi Hona chaiye.. Or me aapki Weirdos me madad nahi kar paoga abhi..
Rohit g,
aapne muje jo btaya tha, template editor me apne hisab se menu search karke set krne k liye mai kiya lekin nhi hua, mai waha par catagory or pages add krna chahta hu…editor me jaise Error, advertise or b option aa rhe to mai unhe search krke apne catagory or pages k name likh kr save kru tb ho jayga aisa…?
Aapko uski post ke liye wait karna hoga.. Abhi muje uske liye time nahi mil pa raha hai..
Aapne hisab se search karne ko nahi kaha mene.. Mene kaha tha jo menu me abhi dikh raha hai wo search karo or usko hata kar aao kya chate hai wo add kare or uski link bhi add kare
Mai editor me search karta hu or usme pehle jo Static page show ho raha hai uski jagah mai home page lagana chahta hu to mai use delete karke jb waha pr home page likh kar save krta hu name to change ho jata hai click karta hu to kuch nhi hota wo kaise hoga bro..??
mere kehne ka matlab ye tha..
mere 3 pages hai unhe add karne ka easy method btao …editor me name jb static page or uske sath jo option aa rahe hai mai unhe hata kar jb apne pages ka name likhkar save krta hu to sirf pages ka name show ho raha hai lekin click karne pr kuch nhi hota iske baare me jaanna chah raaha hu
rohit bhai document kitne dinke ander park kar sakte hai help me or ik or help chaye koi acha sa ccs tampet mere email pr bhajeo bhai please
Kis document ? ki baat kar rahe ho aap.. Or ccs template konsa hota hai
Aur link agar dena ho to….???
Thnq uuuuuuuuuuu
sir maine domain to add kar liya kya aap mujhe bata sakte ho ki meri website me ex. ke liye apka name http://www.hindimehelp.com/ hi ata hai lekin mere link me ase ata hai http://www.hindimehelp.com/# iska kya matalb ho sakata hai bhaiii
Aap jo # aata hai uske bare me puch rahe ho.. Ye link ? ki sub url hai.. Isse website par koi fark nahi padta.. Agar aapko koi like track karna ho ya fir anchor ⚓ link use karna ho jab aata hai ye option..
Aap website kholne ke baad home ? ki button par click karte hoge. Jab aata hai hai #. Ya fir koi slink set nahi ki hogi to # aa Jata hai.
Hi Rohit,
mujhe ek qstn karna hai,
mene aapka templete jo hai usko download kia hai, aur usme pehle se hi sitemap, advertise, about,
sub menu etc hai, kya me inka apne hisab se nam change kar sakti hu aur link bhi de sakti hu….???
Agar ha to kese plssssssss bataiye na, mujhe samajh nhi pa rahi hu…
Plssssssssssssss
Aap abhi jo blog me dikh raha hai. Usko template editor me ja kar search kare.. Fir usko jo aap chate hai usse replace karde.
Same problem here
Kya problem hai.. Mene sabka jabab diya to hai
hello sir. Thanks for guide us.
But sir mujhe janna hai ki blogger website par post ki catagary kaise dale aur post ki alag alag menu kaise banaye taki related post logo ko khojne main easy ho.
aap uske liye har post me uske hisab se labels use kare.. iske bare me phele bata chuka hu.. aap post jarur pade
Hello sir mujhe ek acha sa template chahiye apke jaisa please send kar de….