Blogger Security Tips | Blog ko Hack Hone se Kaise Bachaye

Hello Friends agar aap mere regular visitor hai to aap jante hi honge ki mene blogger par kitni post dali hai jo aap www.HindiMeHelp.com/Blogger par dekh sakte hai.

Blogger jo Google ki service hai to aise hi hamara Blog ki Security to jada hogi hi, Q ki Google ne saaf kha rakha hai ki agar koi bhi khami nikalta hai Google ke kisi Product me to usko $100 se $20,000 ka iman diye jayege.. Matlab ham ye kha sakte hai ki hamara blog aasani se hack nahi ho sakta.

Advertisements

Par Ham is baat ko bhi inkar nahi kar sakte ki Internet par kuch bhi secure nahi hai, yaha tak ki Bank ki sites bhi.. Har roj 1000ro sites hack hoti hai.. to hame bhi jitni ho sake savdhani rakhni chahiye.

Hacker se Kaise Bache uski 10 Tips yaha hai, wo bhi jaruri read kare.

Blogger Security Tips | Blog ko Hack Hone se Kaise Bachaye - Blogger

Blogger Blog ne abhi ek Future add kiya hai jisme ham apne blog ko HTTPS enable kar sakte hai. Isse koi bhi hamare blog ka data change nahi kar sakta or jo hamne share kiya hai wo hi hamare visitor ko dikhega. Agar aap Blogspot extension use karte hai or aapne abhi tak HTTPS ko enable nahi kiya to aapko abhi karna chaiye. Kaise kare HTTPS ko Enable ye janne ke liye yaha click kare.

Blogger Blog me SSL Install kaise kare uski Jankari yaha hai

Page Contents

Blogger Blog ko Hack hone se kaise Bachaye

jesa ki me phele hi kha chuka hi ki Blogger ho hack karna bahut mushkil hai, par kuch tips me aapko duga jisse aap apne blog ki security or jada bada sakte ho. Agar kisi ka blog hack hota hai to wo unki galti se hi hota hai..

Blog ka EMail kisi ko na bataye:

Aapka jo Google Gmail Ki ID hai jisse aapne apna blog banaya hai wo aap kisi ko na bataye or apni email ID ko Blog ke naam se alag rakhe..

Bhut se log ye galti karte hai ki wo jis email ID se Blog banate hai us ID ko wo sabko bata dete hai to isse hota ye hai ki agar kisi ne aapki GMail ID Hack karli to wo aapke blog ka Malik ban jayega.. Matlab aapka Blog bhi hack.

Email ID ka address Blog ke naam se alag rakhe nahi to naa batane ka koi matlab hi nahi banta.

Apne Visitor se Contact karne ke liye ek alag Email ID banaye or usko Blog me use na kare. apne Visitor ko ek email id de aapse sampark karne ke liye. Issi Email ID ko Contact Us page me dale.

Read: Google Plus Page Kaise Banaye apne Blog ke liye

2 Step Verification Enable karke rakhe apne Account ka:

Google ke account me ham 2 step verification chalu kar sakte hai isme hame password dalne ke baad hamare mobile par OTP bhi dalna padta hai, jisse hamare account ki security double ho jati hai..

Agar kisi ko hamari Email ID or Password pata chal bhi jaye to bhi wo account open nahi kar sakte q ki unko code bhi chaiye jo hamare mobile par aata hai. 2 Step Vitrification chalu karne ke liye yaha jaye. Google ki site par jaye.

Kisi or ko Admin Na banaye:

Ham apne Blogger Blog me ek se jada logo ko add kar sakte hai jo hamare blog ko manage kar sakte hai, Post kar sakte hai or bhi bahut kuch.. To agar aapko kisi ko sirf Post ke liye add karna hai to jo sirf post kare to usko sirf Author add kare..

Admin sirf jab banaye jab aapko us par pura bharosa ho q ki Admin ka matlab malik.

Password kisi ko na bataye: Is Point me aap soch sakte ho ki ye kya tip hai, ham apna password q kisi ko batayenge.. par fir bhi me keh du agar aap kisi phecha ke dost ko bhi bataye to uske baad password change jarur karle. GMail ka Password Change karke ke liye yaha click kare

Jane: Secure Password kaise banaye

Crack Template use na kare: 

Ye Galti lagbhag sabhi New Blogger karte hai, mene bhi ki thi.. Koi Template jo Paise me Mil raha ho kisi site par wo hi template koi dusri site wala usko crack karke download karba raha hai.. or ham wo cracked template apne blog me add karke bade khus hote hai ki dekho mene itne paise ka free me le liya par asliyat alag hoti hai..

aap ye socho ki jo chij paise me mil rahi hai wo hi chij koi free me dega to usko kya milega.. usko bhi koi faida hoga jab hi to wo aisa karega.. or crack template me wo kuch virus ki file bhi add kar dete hai jisse hota ye hai ki jo bhi hamare blog par aata hai uske browser me automatic virus download ho jata hai or uska paisa free template dene wale ke pass jata hai..

To simple me aapse bas itna hi kahunga ki template kisi reported site se hi download kare or crack to bilkul use na kare.. agar koi template pasand aa raha ho to usko kharid kar apni site par invest kare or ussi site se uske paise kamaye :)

Read: Template kaise Upload karte hai Blog me

Widget ka diyan se use:

Ham Blogger me Widget add karke apne blog ko design karte hai ye to aapko pata hi hoga.. par agar aap koi widget kisi farji site se add karege to ho sakta hai usme koi galat chij bhi add ho jaye to iska bhi dhyan rakhna hai.

Agar site me kuch problem aane lage to turant uska karan dekhe or widget ki baja se hai to usko hatade. Mene Jo Widget Share kiya hai wo aap yaha dekh sakte hai.

Hamesa Account Logout kare: 

Is Point ko me thoda change karna chahunga, agar aapki kisi aese computer me login kare jisko dusre log bhi use karte hai to logout jarur kare..

*Q Logout karna chaiye ye batane ki jarurat nahi hai. :)

Net Cafe se Savdhan: 

ye mera personal experience hai pehle jab mere pass computer nahi tha to me net cafe se apne blog ko chalata tha, har roj mere liye us cafe par ek computer book rahta tha.. par ek bar muje aesi chij mili jisne mujhe hila kar rakh diya,

uske computer me Key Logger install tha jisme ham jo bhi type karte hai wo save ho jata hai.

Kher usne mera koi nuksan nahi kiya par agar wo chata to kuch bhi kar sakta tha.. to is chijo se bhi savdhan rahe.

Online Shopping Websites Fraud se Kaise Bache wo bhi yaha jarur read kare..

Apni Site me Virus Check kare:

Agar aapne bhut ki chije apni site par dali hai to ho sakta ho galti se koi aisi chij add ho gai ho jo hamare blog or hamare visitor ke liye achi naa ho to aap uske liye in site ka use kar sakte hai.

in site par apne site ka address dal kar check kare, or agar koi problem ho to usko jald se jald solv kare.. Iske karan hamari site Google me block bhi ho sakti hai.

Bina Antivirus ke website me Virus kaise check kare Online uski detail post yaha hai.

HTTPS On kare Blog me

HTTPS ka on karna bhi jaruri hai, jiski madad se visitor or website server ke bich me ek secure connection banta hai or jitna bhi data transfer hota hai wo encrypted form me hota hai.

Google ne abhi kuch time pehle hi ye announced kiya hai ki agar kisi website me https on nahi hoga to unko search result me niche dikhaya jayega.. issi ke sath agar koi kisi website ko chrome browser me open karta hai jispar https nahi hai to waha warning bhi aati hai Website Not Secure ki.. isliye aap Abhi HTTPS on kare agar aapne abhi tak nahi kiya hai to..

HTTPS ko SSL certificate bhi kehte hai, jinko aap Blogger me free me on kar sakte hai setting me jakar. 

Blogger me HTTPS kaise on kare uski jankari yaha hai.

At Last: 

Is Tarah Aap apne blogger ke blog ko secure kar sakte hai or agar aapke pass koi or tip hai jisse ham apne blog ki security ko or bada sakte hai to aap mujhe jarur share kare. Or aapko ye jankari kesi lagi comment karke jarur bataye.

Agar aapka Blog WordPress par hai, to WordPress Site ko Kaise secure kare wo jarur read kare, jisme mene sabhi point bataye hai.. jinse site hack ho sakti hai.

Blogger ki or jankari ke liye www.HindiMeHelp.com/Blogger par jaye. Happy Blogging :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

64 thoughts on “Blogger Security Tips | Blog ko Hack Hone se Kaise Bachaye”

  1. Bro agr hum website ka content hinglish mei lake to keyword English k use kare ya phir hinglish k ?
    Matlab konse keyword best hinge ?

    Reply
  2. sir me pahle mera blog ka email id se bhut website par signup kar chuka hu.lekin abhi mene blog ka emai id change kar diya.kya ye shi hai.isse blog ko koi nukshan to nhi hoga

    Reply
  3. Comment:bilkul sahi information post ki hai rohit bro aapne. mene bhi apna blog blogger pe isliye hi banaya hai kyu ki word press me hacking ke chance jyada hai.
    mene ek galti kardi hai. mene apna emai site ke name wala add kiya hai usko kee thik kar sakte hai plz.. me email ko change karna chahata hu .

    Reply
    • jo email hai aap usko chenga kar sakte hai.. simple aap ek dusra email banaye or usko admin add kare apni blog me.. uske baad aapki purani email id ko usse remove kar dijiye..

      Reply
  4. सर आपने बहुत ही अछि जानकारी शेयर की हे इसके लिए सह दिल सि धन्यवाद

    Reply
  5. hello jaise AP koi winrar file dalty hain click karty hi download hone lagti hai yeh kaise karty hain blog par winrar file upload bataye please

    Reply
  6. Thanks for valuable information shearing…..
    Mairai mn mai kuch sawal uath rhai hai aasha karta hu aap jrur mujhe guide kraige….
    1) kya Godaddy sai जिस ईमेल id से डोमेन purchase करते है उशी ईमेल id से ब्लॉग बना होना चाहिये। अच्छा अगर अलग अलग email id हो दोनो के लिये तो डोमिन add करने मे परेसानी तो नही होगा न??????
    और Godaddy तो हमे लिमिटेड time kai liyea daiga na…phir jb dusri baar jb reregistrations kartai hai ushi websites kai liye tb kya jish. Emai id sai pahali baar ushai kharida tha ushi sai phir kharidna pdaiga?
    2)PayPal और पैनकार्ड और Google AdSense kai liye konsa email id daina hai… और बैंक account के लिए कोन सा ईमेल id देना है प्लीज़ बताये
    3) rohit जी आप अपनी वेबसाइट के लिए email id की किश ढंग से सिक्यूरिटी के लिये सेट किये है । direct /indirect jaisa aap chahia btayai??
    सायद ये क्वेश्चन बैसिक हो पर मेरे लिये बहुत ज़रूरी है…
    Waiting for your favourable responce…..

    Reply
  7. Hello sir
    Ye post bahut hi kaam ki hai
    Mujhe is post se bahut hi badhiya jankari mili
    Waise to har post me badhiya jankari hoti hai
    Par ye post bahut jyada important hai sabhi bloggers aur website owner ke liye kyunki hamari mehnat ka fal tabhi milega jab hamari website secure ho

    Sir mera ek question h
    Maine gooyaabitemplates.com se ek free template download kiya h
    Aur usi ko blog me upload karunga
    To gooyaabitemplates.com se free me theme laga le to koi dikkat to nahi
    Mere vichar se ye trustable website h (goooyaabitemplates.com)
    Aap kya suggestion denge

    Reply
  8. sir jab mene apni site ka url dal kar dekha to ye likha hua aya h (Has Google Blacklisted Your Website?) ye blaklist me kese add ho gyi sir aap cheak kar ke btao

    Reply
  9. sir crack template hai ye kaise pata chalega plzz aaap bateye kaise crack temlates pachante hai
    kya hum apne blogger ka email id change kar sakte hai aur agar kar sakte hai to us option ke bare me jarur bataye.aur agar kisi hamara blog hach kar liya to kya hum uspe kananu karbhi nhi kar skte fir kya bo pakdha nhi jayega

    Reply
    • aap template ke naam google me search kare agar wo free nahi hoga to jisne usko banaya hai site site par sale karna padega..

      EMail ID chenge karne ke liye aapko BLogger ki setting me jane ke baad user add karna padega.. Aap Admin dure ID ko bana kar is email id ko remove karde..

      Agar koi hack karta hai to ham uspar kanuni karayawahi kar sakte hai, par hame agar uska naam pata ho tab.. or agar maan lo wo sirf hame nuksan phuchana chata hai or hamari puri post delete karde to.. kuch bhi kar sakta hai.. isliye apni taraf se puri security rakhna jaruri hai.. aesa nahi hai ki agar aap achi security nahi rakhege to aapka blog hack ho jayega fir bhi risk q le.

      Reply
  10. Sir Rohit Meine Yeh Website Banahi Hai
    Blogtipshelp.blogspot.com
    Sir Mein Chahta Hon Ke Mein Ais Website Par Logon Ki Help Karon Kiya Aap Mere Post Ko Aap Apne Jo Aap Naya Post Karo Ge Usme Publish Kar Doge Agar Han To Mojhe Batana Mein Apko Fb Par Apna Post Aur Ek Photo Send Kar Donga Please Sir

    Reply
  11. bhai kya me aisa kar sakta hu ki mere pas bollywood film h me 2 website bnau 1 jispar film upload kar du or 2jispar us site ki link dekar adsence apprv kar du jab koi us par click karega to wo 2 no. Site par jaker film download kar lega

    Reply
  12. Bhai
    Mere facbook box setting nhi ho raha hai facbook ka logo aay raha hai sirf our usme friend nhi jode rahe hai plz bhai help me

    Reply
  13. or aapne kaha h ki ye jo comment box h wo blogger me bhi lagaya ja sakta h uske liye code paste karna hota h uski bhi post jaldi laga de plz

    Reply
    • Amit ji, wo thodi lambi process hai.. or abhi usse jada jaruri or bhi reuqest hai jinki post muje dalna hai.. please aap thoda wait kare.. me puri kosis karta hu uski post karneki.. Thanks

      Reply
  14. bhai mene apko apke jaisa
    template ke liye kaha tha na
    plz mene post laga di bus ab
    sirf domain karidkar template
    lagana h domain me le lunga
    bus ap tem. De do koi bhi plz
    apke jaisa mujhe pata h wo
    theame h lekin plz ap kahi se
    de do 3 colum custom

    Reply
  15. bhai mene payment method dekha usme sirf credit card debit card cash card net banking mobile payments atm ke liye konsa select karna h or mere net banking bi nai h or ha mobile pay. Se kya hota h

    Reply
  16. bhai,

    lekin mujhe yeh bataye ki ham computar mei kaise pata karenge ki usme KEYLOGGER install hai.

    agar hai toh usko unstall kaise kare…

    Reply
    • wo jada tar hide hote hai uska sirf ek upai hai.. aap apna password phele kahi notenapd me dale.. example se samje –

      man lidiye aapka password hai HINDIMEHELP pura capital me.. to aap isko notepad me kuch or sabd ke sath likhe jese asdHINDIsdhMEsdhfHELP. ab jo extra sabd likhe hai unko delete karde fir jo aapka password bache usko copy karke password ki jagha dale.. ye sirf ek tip hai..

      aap 2 step verification bhi chalu karke rakhe jisse kidi ko password pata chal bhi jaye to bhi login nahi kar sake. Logout jarur kare

      Reply
  17. Rohit bhai… bohot behtareen jankari hai. ek baat batayen jaise hum kisi site se koi free template download karte hain, to usme to koi diqqat nahi hai? aapne sirf krack template ko mana kiya hai, ya unko bhi mana kiya hai jaise kuchh blogger template banate hain aur free me download karwate hain. aisa hi ek naam hai ,,chandeep j,, inke blog pe kafi achhe templte hain. aur aapne apna templte bhi to free download ke liye daala hai usko to download kar sakta hun na, ye to safe hai hai na bhai…..hahahahahaha

    Reply
  18. bhai mene apko apke jaisa template ke liye kaha tha na plz mene post laga di bus ab sirf domain karidkar template lagana h domain me le lunga bus ap tem. De do koi bhi plz apke jaisa mujhe pata h wo theame h lekin plz ap kahi se de do 3 colum custom

    Reply
  19. Sir muaj aap muaj headline ke code beta sekte ho

    Sir agar wabsite par headline aay jaye to fir use eating kise kar news kise Dale

    Reply
  20. Rohit bhai aapne “Hindi Me Help Blog” naam se koi template bnayi thi kya mujhe wo template chahiye ager aapke paas ho to please mujhe bataiye… aur aapne jo ye comment box bna rakha h aisa me apni site ke liye bhi banana chahta hu plz help

    Reply