Agar Aapki website hai to aap bhi chate hoge ki aapki website popular ho or jada se jada log aapki site par aaye.. Par kya aapko pata hai ham kisi bhi website ke bare me kaise pata kar sakte hai ki wo site kitni popular hai .. Agar nahi jante to ab jaan jayege.
Website par kitne visitor aa rahe hai wo ham apni site ke liye to Google Analytics ki madad se pata kar sakte hai par agar hame kisi dusre ki site ke bare me ye jaanna ho to ham nahi jan sakte.. Par Alexa Rank or uske data se ham andaja jarur laga sakte hai ki site par kitni traffic hogi or wo site kitni popular hai.
Page Contents
Alexa kya hai
Alexa ek website hai, jo Internet ki har website ko uski popularty ke hisab se rank deti hai.
Hindi Me Help ki Alexa Rank dekhne ke liye yaha click kare
Apni site ko Alexa me Virify kaise kare
Wese agar apni site ko alexa se verify nahi karte to bhi site ki rank do dikhata hai, par agar ham apni site ko verify kar dete hai to jo data hai wo thoda sahi aa jata hai alexa site par.. jisse hamari site ki rank me bhi faida hota hai.
Website ko Vieify karne ka tarika Alexa se
Is Process me hame jo hamari site hai usme ek code add karna padega alexa ka.. jisse ye verify ho jayega ki wo site hamari hai.
Step 1: Sabse phele Clam karna hai apni website.
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”http://www.alexa.com/siteowners/claim”]Clam Website Now![/button]
Step 2: Ab jo Page khulega usme apni site ka url dale
- Apni site ka URL Dale
- Continue ki button par click kare
Step 3: Ab hame Alexa me Account open karna hai.
- Email ID or password daal kar login kare ya new account banaye
- Facebook account se bhi login kar sakte hai Alexa me.. Button par click karke.
Step 4: Ab Hame apni site me code add karke verify karna hai ki wo hamari site hai. Second option select kare..
Step 5: Ab jese hi 2 par click karege ek code aa jayega.. jisko hame apni site me add karna hai.
- Jo Code hai usko copy karle.. fir usko apni site ke template me <head> tag ke baad add kare..
- Jab Code ko site me add karde.. uske baad Verify my ID par click kare.. or agar site me code sahi se add ho gaya hoga to site verify ho jayegi.
Blogger me Code kaise add kare:
- Blog ke deshboard me jaye
- Template par jaye
- Edit HTML par click kare
- fir template me <head> search kare
- Ab uske niche apna Alexa ka code dale
- Last me Template ko save karde.
To Friends ab aap ne Alexa me apni site ko verify to kar liye..
Aapne dekha hoga meri site ke bagal me Alexa Rank ka Widget add hai, jisme meri site ki kya rank hai wo aap dekh sakte ho.. to agar aap bhi apni site me widget add karna chate hai to uske ye kuch code..
Alexa Widget kaise Add kare Blog me
Alexa Rank Widget add karne ke liye hame ek HTML ka code hai to add karna hai. To chaliye dekhte hai kaise add hoga.
Sabse Phele to apne blogger ke deshboard me ja kar Layout secttion me jaye fir Widget select karke HTML/Javascript widget select kare or usme apne widget ke code ko daal kar save karde..
AB apni pasand ka Widget code ko copy karke apni site me add kare.
Type 1:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/a?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 2:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/b?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 3:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/c?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 4:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/a?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 5:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/b?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 6:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/c?url=hindimehelp.com"></script></a>
Jitne bhi Code hai usme apni site ka URL edit karna naa bhule.. AGar usme dikkat aa rahi hai to aap ye Widget Generator ki adad se bhi Alexa Rank Widget bana sakte hai.
Widget Generator ko use kaise kare:
- Apne BLog ka Address Dale
- Generate ki button par click kare
- Add to blog par click kare.. fir apna BLog select kare or add karde jis jagha aap widget chate hai waha.
Ye Bhi Pade:
Nice information..
Aap Ki har Ek post bohot hi kam Ki hoti Hai.mene aapki site se bohot kuch sikha Hai.
THanks
Ye post badiya hai Mujhe Ye Jankari Acchi Lagi thanks you
Maine Ye Post Puri Padi Hai Iss Post Se Mujhe JankRi mili hai Thank You Bro
Welcome
Sir kya Alexa ka widget apni site par add karne ke liye bhi charge dena hota hai
nahi koi charge nahi hai.. ye free hai.
Rohit sir mene sab kar liyaa jesaa aapne bataayaa
Site claim kar verify bhi ki
Aur widget bhi lagaayaa par
Site me widget to aa gayaa lekin rank no data aur link bhi no dataa aa rahaa h
aapki site new hai isliye no data bata raha hai.. aap kuch din wait kare..
aapki post bahut hi helpful hai lekin ek baat puchni thi, aapne upar comments me bta diya ki yeh bilkul free hai lekin mai aapse yeh jaana chahta hu ki jo alexa ke plans hai uska kya benefit hai.
unki madad se ham apni site ka or jada data dekh sakte hai.. or free me sirf rank dekh sakte hai..
Rohit Sir muje.. Kuch Baate Karni Hai… Muje Ye Nahi Samajh Aa Raha Hai ke Ads Kaise Lagaye… Main Abhi 18 seal ka Nhi Hua Hun.. Toh Main Adsense ko Apply Nahi Kar Sakta Kya Karu… ke main Apne Blog Se Paise KAMAYE…. PLEASE help me
very good….thanks for share widgets codes……
Sir mere pichle COMMENT ka jawb to apne diya lenovo or sony laptop ka model number nahi bataya .. apke 2 no bhi model number batao na plz help sir mein specification dekh kr koi 1 salect kar lunga .. mera pc ka Processor : AMD Athlon ™ 64X2 Dual Core processor 4400+ 2.30 GHz 2) System :32 bit 3) Ram : 3 GB ( 2.87 USABLE )
hello sir .. mein apke site ke bare mein feedback dena chahuga .. waise apke site india ki sabse badhiya site hai .. sir apne jo ye naya template dala hai.. template badhiya hai magar site pr iss mein ek he problem hai ki hum mobile se comment nahi kar paa rahe .. apke pichle templates ye problem nahi aata tha .. site ke liye comment bohot important cheej hai .. jab koi sawaal post krta hai to uska jawab dekhne ke liye site pr phir se wapis aata hai ..iss se humara aur apka achaa naata ban jaan hai .. hume bhi lagta hai chalo koi to hai hume sahi guide krne wala.. kam se kam 40% readers mobile se comment krte hai so plz iss baat pr jaroor soche .. Your Wellwisher/ Daily reader ## Nilesh Verma
Sir aapna mera blog check kar lo…blog name..
Publichelps.blogspot.
com
Or maine jo ads lagaya hai…wo ads VODAFONE ke Subject wale me post me ad lagaya hai…aap dekh lijye…ada ke jagah pura space ban gaya h or kuch bhi sow nhi ho raha….
Hlo sir mujhe paise kamane h ghar per kese
mene inke bare me kuch post ki hai aap unko pade or samajne ki kosis kare kaise paise kamaye ja sakte hai.. jese ye post
vijai outo partash stadiam gat ki bagal se morena
sir mere blog ko 4 mahine ho gaye hai or post bhi 60+ hain but daily pageviews 100+ se jyaada nahin ho rahe hai mera blog dekhkar bataye naa sir ki kya kami hai
60+ post se kuch nahi hota.. main hai aesi post ki jaye jiski logo ko jarurat ho.. or detail me badiya se badiya post karne se hi traffic hamare blog par aayegi..
आपसे सम्पर्क कैसे होगा
aap facebook par kare .. facebook group bhi hai HMH ka
Rohit bhai mera cmment ka jawab kiyu nhi de rhe hai app..maine pucha tha ke jis tarha customize widget option diya h kiya adsense ka ads bhi de sakte ho.q ki maine kitni baar ad copy kar ke html java me paste kiya par ads show nhi ho raha hai…plzz..help me
Sorry.. par thoda jada hi busy chal raha thaa.. ads code add karne ke baad bhi ads nahi dikhte hai.. par jab ham apni site p[ar ads ke code laga dete hai to uske baad fir hamare blog ko ek bar or check kiya jata hai uske baad ads automatic dikhne lagte hai.. par agar hamare blog me koi dikkat hoti hai to ads nahi dikte.
Sir mene apni site par 10 din pahle Alexa widget lagaya tha.verify bhi kar liya par NO DATA Show Ho raha hai..kyo
Meri site par 250-300 pageview hote hai
kabhi kabhi thoda time bhi lag jada hai.. or jiski rank jada hoti hai.. usko rank alexa me thodi late update hoti hai.. aap chinta naa kare or regular post kare.. :)
Sir meri ek template problem shru se hai wo template wordpress theme jaise hai main uss ko blog par uplpad karna chahta hoon lekin uss ka post main main titel show nhi karta home page par iss liye main ye template upliad ki hai sir aap meri bss itni help kar dijiye template ko repair kar dijiye main usse aapke email par send kar dunga apna email de dijiye plzz mera blog chek v karna mat bhuliye helphindise.blogspot.com orr comment karna to bilkul v na bhulna
sir, Bank verify hone k kitne time bad payment bhejdiye jate hain???
agar aap adsense ka puch rahe hai to adsense har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai..
Kitne Dino me Alexa Rank karega, Agr blog naya ho to
Alexa Ranking improve karne ke liye kya karna hoga.
aesa to koi fix nahi hai ki kitne din.. agar achi traffic aane lage to rank bhi jaldi badne lagegi..
Sir Aap Ye Step1 , Claim Website Now Esa Button Kese Create Karte He .
wo mere site ke templte me set hai.. aap bhi CSS ki madad se kar sakte hai.
Hello sir kya aap mujhe bata sakte hai ki jis language ka istemaal apne is post ko likhne me kiya hai ,isi language me agar main article likhu to adsense approve ho jayegi ya nhi,
Ajay agar sahi batao to mera jo adsense account hai wo meri dusri site se approve huaa thaa.. par mene dekha hai bhut se aese blogger bhi hai jo meri trha article dalte hai or wo bhi adsense use kar rahe hai to kisi ko koi dikkat nahi aa rahi hai.. to aap bhi use kar sakte hai.
rohit sir jaise aapne apne blog mai jo temlete use kiya hai bilkul ye vali mujhe apne blog mah lagani hai ye konsi hai mujhe btaye plz
sir aapse ek question hai ki jis tarah aapki site ka naam hindimehelp hai agar mai hindihelp ke naam se blog bana lu to aapko koi problem to nahi hai. please batana jarur kyoki mai jald se jald blog banana chahta hu
agar aapke blog me mere brand name ka use hoga to muje dikkat ho sakti hai baki to dikkat ka koi sabal hi nahi uthta..
Hello Sir. Achi jankari dene ke liye dhanyabad. Main aapko batana chahunga ki aapki Website homepage ke title me Hindimemelp aa raha hai. aap sahi karlen
Really Very very Thanks Gaurav ji.. :)
Sir ye jo Pink box me step aap likhte hai wo kaise karte hai aap
Manish wo mere template me invild option hai uska.. baki ham aese bhi add kar sakt ehai.. CSS code ki madad se.
Hi Rohitji
Bahot aachi post hai.
Par alexa rank jaisi koi aur popular ranking site hai
To wo bhi bataye
sites to bhut sari hai.. par Alexa sabse popular hai or uski rank hi sabse main mani jati hai..
bhai aap photo editing ke liye kaun sa software use karte ho? plz batayein
bhayi plz ab aap hi par bharosa he plz meri prblm solve kijiye mere first page par sirf 3 ya 4 post dikhayi deti he jabki mene 9 set kar rakhi he mene layout me jakar b set kiya hu he par phir b prblm ho rhi he par agar me jitni post aaj dalunga utni badti jayegi or 9 b ho jayegi par kal post update karte he 3 ya 4 dikhayi deti phir dalu to phir badti jayege yani total 9 nhi rahegi jese kal ki 4 or or ka 5 is trah se total 9 dikhayi de plz meri pblm solve karo bahyi.. pehle sahi dikhayi deti thi older b or new b toatal 9 par agar me second page par jau to puri 9 dikhayi deti he
Thank you rohit sir to share this awesome post
Sir mujhe YouTube channel air blogging me liye laptop Lena hai .. Kya aap meri madat karenge konsa lu .. Aap konsa use krte ho plz. Sir help me .. Computer se recording karte samay koi video bhi play krta hu to WO ataakta hai .. Browsing mein thodasa thodasa farak aata .. Mujhe apka laptop model. Number batao na .. Aur ek baat sir laptop kharid samay tips PR ek article likho na
mere pass lenovo or sony ka laptop hai… aap koi bhi le bas main uski ram 3 or processor i3 i5 le..
Bahut hi badiya bataya hai apne alexa rank ke bare me. thanks
skitch, snagit or kuch omline site bhi use karta hu edit karne ke liye..
Question 2) sir maine apke site ke comment mein padha tha bogger.com par 100 se jyada post nahi likh sakte to hume use jyada post likhne ke liye webhosting lene padegi kya ? aur uss web hosting blogger.com kharidkar kaise karna hoga
ye aapse kisne kha diya aap 100 se jada post nahi likh sakte.. aap hajaro post likh sakt ehi koi limitation nahi hai..
Question 1) kya hum blogger.com par he domain name kharid kar add krke apke site ka purana templates jaisa he dikhne wala koi waise he type mein dikhne wala template add kar kar bloging site bana sakte kya ?
haa bilkul.. or kaise kare uski puri janari mene detail me site par di hui hai.
hey bro adsense pr sign up krne ja raha tha.. adsense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) iska mtlab kya ? 1) mera khudka personal mobile number aur email id bank ko attach hone jaruri hai ? ya phir 2) maine jis email id par youtube channel create kiya hai aur jis number channel verify kiya hai wo number aur email id bank ko attach krna hai kya ? bro jawab detail me dena
hey bro adsense pr mere youtube channel ke liye adsense ki site par sign up krne ja raha tha.. adsense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) iska matlab kya hai ? 1) kya mera persional number aur email id bank ko attach hona jaruri hai ya phir 2) jis email id par channel create kiya haii ,youtube channel jis number verify kiya hai wo bank ko attach krna hai kya ?reply detail me dena bro ..
message ka matlab to wo hi hai ki bank me bhi attached hona chaiye.. par ye koi jaruri nahi.. agar bank me dusre bhi add hai to bi koi problem nahi aayegi..
Rohit bhai jis tarha apne customize widget ka optoin bnaya kiya usi tarha adsense ka ad lagane ka widget bna kar de dakte ho.
Q ki hamne bahut baar ad bna kar html/java me copy kiya par ek baar bhi ads show nhi huwa plz..help kro mera
ads code laga kar aese hi chodna padta hai..phele kuch nahi aata.. par jese hi hamara blog full approve hota hai ads dikhne lagte hai.. agar blog me koi problem hoti hai to bhi ads nahi dikhte..
hi Rohit mene aap ko guest post send ki hai pliz ushe pde or jaldi se mujhe reply kre
my E-mail= buldak042@gmail.com
Me aapka email jese hi check karuga aapko mail par reply karuga.. thanks
Meri site check karke batao kya problem. Mughe aur kya karna chahiye
problem to kuch nahi.. bas widget ki location agar sahi se set kardege to or jada acha rahega..
Kya alexa rank ke lia koi pesa dena padega
nahi koi paise nahi dena hota.. ye bilkul free hai.
rohit bhayi kya isko meta tag add karte time hata dena chahiye ya nhi or ye kis liye hota he plz rohit bro bataiye
Nahi hatane ki koi jarurat nahi hai..
बहुत ही उपयोगी पोस्ट
धन्यवाद sir
helo bro… ye article acchha hai..
main aap se thodi help lena chahta hu…
aap meri website par view page sorce dekhkar btaye… maine jab meri website ka view page sorce dekha or bad me jab aapki website ka view page sorce dekha to muje diffrent lga..
mtlab ki main jo post likhta hu usme html code ka use nahi ho rha or har page ki tab title me www. Hindi helper .com aata hai….to please mujse is problem ke bare me bataye… meri website hindi helper .com hai….
ye koi problem nahi hai.. aapki site ka template alag hai bas isliye alag code dikhta hai..
wordpress ki site pe koi code kaise lagayenge or ye merea wordpress ki site nahi le raha hai
Text widget me apna html code daal kar save karde..
bahut din aapka post aaya …!! achha laga
Thanks
Are wah sir aapne ye code generator khud banaya hai ya kisi se design karvaya hai kyunki bahut aacha code generator hai…
Thanks.. Par wo sirf Blogger blog ke liye hai..
Nice Post. Rohit,
par mera question hai
—ek post men kitni bar H1 ya H2 ya H3 ko use kar sakte hai? kya lagatar H2 ya H3 use karna seo ho nuksan pahucha sakta hai ?? is bare men clearify kare.
Kitni par add kar sakte hai aap ye naa dekhe.. Aap dekhe ki jo topic hai Agar uske andar koi poi t hai jinhe aap describe karna chate hai to aap main heading se choti heading de usme.. Bas ye diyaan rakhe.. Or koi problem nahi hai.
Good post
But how to improve for best way???Jese aapne kiya hua he aapko Alexa rank best aapne Kaise kiya???
Regular or badiya post hi uska sirf ek raaj hai.. Baki kuch tips hai.. Jinke bareme agli post me bataoga..
bhai aap ne alexa ki achhi tarah se jaankari di hai. mujhe widget bahut achhe lage jin me se ek ko mai apne blog par lagane wala hu.
Ji bilkul.. Or inke kuch faide bhi hai jinko me aage ek post me bataoga..
Nice article. Per mujhe ye janna hai Alexa rank button add karne ka koi profit hota hai.
Bhut hi badiya sabal hai.. Sabse Bada to ye Faida hai ki agar aapki site ki rank achi hai to jo visitor aapki site par pheli bar aayega wo aapki rank dekh kar ho samaj jayega ki aapki site kitni popular hai.. Or Isse aapki alexa rank me bhi Faida milega..