Abhi ke time me aesa domain select karna jo search me aasani se aaye ye sabse pheli step hoti hai apne blog ko success ki taraf lejane ki, jiski madad se hamare blog ko search me badiya ranking milti hai.
High Quality ka Domain bhut aasani se Google me rank karta hai or search me first par aasani se aa jata hai.
Blog ko search me lane ke liye aapko SEO ki Puri Jankari hona bhi jaruri hai jo mene share ki hai, aap unko jarur read kare. sath sath or bhi bhut si bate hai jo hame dhiyan rakhni padti hai:
Starting me New Blogger jo jada tar ye galti karte hai, ki badiya domain name nahi lete or fir unko bhut paresani hoti hai google me apne blog ko rank karne me, or fir Blogging me Fail hokar Blog band kar dete hai. Jo sabse phela step hota hai Blogging me apna career banane ka, ek aesa domain register kiya jaye jo hame aasani se rank dilaye or sabse hatkar bhi ho..
To Chaliye Dekhte hai kaise ham apne liye ek High Quality Badiya Domain select kar sakte hai..
Kaise High Quality Domain Name Select kare
#1: Chota Domain badiya hote hai
Domain name agar chota hota hai to acha rhata hai, logo ko aasani se yaad ho jata hai or usko wo direct bhi type karke hamari site ko khol sakte hai. Mera Suggestion hai 13 sabd se jada use naa kare domain me.
Jese aapko pata hi hoga meri site ka Domain Name – www.HindiMeHelp.com hai, jo 11 sabd ka Domain hai, to mene apni site ke liye HMH.pe Domain register bhi kiya or unko apni main site par redirect kardiya. jisse ab koi bhi HMH.pe type karke bhi Hindi Me Help par aa sakta hai.
#2: Yaad Rakhne Me Aasan ho
Domain Name aesa hona chaiye jo yaad rakhne me aasan ho, jisko koi bhi aasani se yaad rakh sake.. Domain me aese hi sabd use kare jo aapki site se sambandit ho.. Iska ye faida hai ki agar koi aapki site par aayega to wo double se bhi aa sakta hai q ki usko uska naam yaad hoga.. or wo kisi ko direct bhi bata sakta hai ki ye koi site hai.
Jese aap apne Dost se kha sakte ho ki Hindi Me Help ek badiya site hai, Jispar Internet ki Jankari Hindi Me Milti hai. :)
#3: Domain Name Extension
Kosis kare “.com” extension Domain lene ki ye sabse jada popular hai, kisi ki bhi site ki baat karte hai to .com me hi imagine karte hai. wese “.net” or “.org” bhi bhut log use karte hai. Agar Aap sirf apni country ke liye site bana rahe hai jo bhar nahi chalegi to aap country ka domain extension bhi le sakte hai.. Jese India ka “.in” hai.
Example:
- www.Example.com
- www.Example.org
- www.Example.net
- www.Example.in
#4: Sabd Istmal kare
Khane ka matlab hai aese sabd use kare domain name me jo aapke blog ko describe kare.. Ya fir aese sabd jo aapka blog kiske bare me hai ye pata chal sake. Isse ye faida hai ki visitor hamare domain ko pad kar bhi andaja laga sakta hai site par kya hoga..
*Jese maan lijiye aapki koi site hai shayari ke upar to aap uske liye kuch aesa domain le jisme shayari sabd aaye..
Ek baat ka diyaan rakhe kisi domain ki copy naa kare, khud ka brand banaye.. Aap kuch aese sabd bhi le sakte hai jinka koi matlab nahi par chote ho. jese Labnol.org, jo India ki Popular Blogger site hai.
#5: Number or Hyphens Use nahi kare
Domain name me sabd ke sath sath number (1234) or Hyphens (-) use kar sakte hai, par me aapse kahuga ki inko use naa kare. Ye yaad rakhne me muskil hote hai or type karne me bhi dikkat aati hai.
#6: Sabse Hat kar ho
Siru me bhut se log ye galti karte hai ki jo phele se popular site hai uske domain me thoda kuch add karke apna domain register kar lete hai, par aese me unko nirasa hi haath lagti hai, Q ki aese me logo ki najar me wo ek copy-cat (Dusro ki copy karne wala, jisko khud kuch nahi aata.) khalate hai.
agar aapko Badiya success hona hai to aapka koi alag naam bhi hona chaiye jisse aapko pachana jaye.. (kuch logo ne mere Domain jese domain liye hai, kya kabhi unka naam hoga).
Kuch log kya karte hai koi badiya site hai to uska koi dusre extension me domain le lete hai, aesa naa kare. Jese HindiMeHelp.com site hai to uska .in, .org, .net domain extension le liya.. isse aapki koi alag phechan nahi ban sakti..
Agar aap kisi ke domain se sambandit domain lete hai to aap to aap sirf uska promotion kar rahe hai apni mhanat se.. Khane ka matlab hai, maan lijiye aapne domain name liye Onlinehindimehelp.com or jo aapka is site ka visitor hai agar kabhi usne HindiMeHelp.com ko khola to aapki, site ki kya value rahegi? … Soche iske bare me.
#7: Bolne Me Aasan ho
Iska sabse bada faida ye hi hai, ki koi agar hamari site ke bare me kisi se baat karega to wo aasani se hamari site ka naam bol sake. Muje lagta hai Aap Hindi Me Help ka naam aasani se bol sakte hai or apne dosto ko bata sakte hai :)
Facebook Page, Twitter or Google+ Plage bhi banaye apni site ke liye.
#8: 3 Sabd se Jada Nahi
Domain Name jaha tak ho sake chota hi rakhe, par agar koi badiya naam naa mil raha ho to aap bada le sakte hai. me aapko suggest karuga ki aap 3 sabd se jada use naa kare.. Jese meri site ke bhi 3 sabd hai – Hindi Me Help
#9: Site Title or Domain
Aapki site ka Domain or Aapki Site ka naam alag alag ho sakta hai, par me aapko suggest karuga ki dono same hi rakhe. Isse site ko yaad rakhne me aasani hoti hai visitor ko.
#10: Domain Name Generator ka Istmal kare
Ham sab insan hai, or sabki sochne ki limit hoti hai. Hota ye hai kuch samaj nahi aata kesa domain le jo badiya ho to aap uske liye Online kuch site hai uska istmal kar sakte ho. Kuch Online Tools hai jinse ham apne sabd daal kar search kar sakte hai ki kya kya domain name ban sakte hai.. Ye kuch badiya Site: Domjax, BustaName, Impossibility, Panabee..
Kuch Bate jo Diyan Rakhe Domain ko Lete Bakt
#11: Kanuni
Thoda time ye search karne me bhi lagaye ki jo aapne domain select kiya hai kahi wo phele kisi company ka to nahi tha, Nahi to baad me aesa ho, aap apni website/blog ko badiya banane me lage ho or koi aap par cash karde.
#12: Thoda Time de
Jab aapko Badiya Naam mil jaye uske baad bhi thoda time de or Search kare koi dusra naam bhi, jo best ho Usko Register karle.
#13: Social Media par username available ho
Jo bhi Domain Register kare, usko phele dekhe.. ki uss naam ke username har jagha available hai ke nahi, q ki agar nahi hoge to hame hamare users se social sites par uns connect rhene me dikkat aayegi.
In Sabhi Point ko or achi se samajne ke liye Video Jarur dekhe :)
Domain Name Register kaise karte hai uski jankari aapko yaha milegi, jisme mene ye bhi bataya hai kaise aap ₹99 me Domain le sakte hai.
Agar aapka BLogger par Blog hai to Domain ko Kaise add kare Blogspot me uski jaankari bhi aapko mil jayegi step by step.
Last me sirf ye khana cahuga ki kisi ki copy naa kare, khud ki Brand Banaye, Q ki mene dekha hai bhut log sirf ye karte hai dusre ke domain name me thoda bhut change karke apni website bana lete hai par usse aage chal kar bhut nuksan hota hai…
Aapko Hindi Me Help Naam kesa laga meri site ka apne rai de comment karke :)
Or agar koi aapka Friend hai jo website banane ka soch rahe hai to unse ye post jarur share kare, taki unko help mil sake..
Aapki agar website hai to jo aapki website ka domain hai wo aapne kaise select kiya uski bhi koi badiya story ho to comment me jarur share kare ;)
Nice post aise hi information update karte rahiye…
Dhanyabaad Nitesh ji.
Bhut badhiya bhai kya likhte ho tum.
Usse bhi achchi batt ki sab comment ka jawab bhi dete ho
Thanks Ehsan ji
Utube me video upload nhi ho rha upload option me jakar video select kar rhe hai to phir wapas utube me aa ja rhe hai lekin wo video nhi aa rha hai
samajh nhi aa rha kaise upload kere
Mujhe kaise pata chalega ki kis name ki site pehle se bani hui hai google pe kuchh bhi search karte hai to kuchh na kuchh khul hi jata hai pls help
agar aap koi site ka pata karna chate hai ki wo hai ki nahi us naam se to aap kisi domain register karne wali site ko open kare fir usme wo dale.. agar phele se nahi hogi to register karne ke liye aa jayegi.
Sir mujhe site bnani h or app mujhe ye btae ki muje kis type ki site bnani chahiya jisma jyada income ho please sir
Rohit ji aapki site PR aane k bad bahut kuchh clear to ho gaya he iske liye thanks ..mere primary school school he ten alag jagah me unko maneg Marne ke liye website banwana chahta hu yearly kitna kharcha aayega or shuruaat me kya karna padega plz.help me…..
sir mujhe ye bataye ki clixsens se paise kaise apne paypal me aur paypal swe bank me bhejte hai aur $1 ke kitne india me kitne rupaye milte hai
Meri comment kab tak waiting me rahegi
Sir me blog banana chahta hu or uska name kya rakhu samaj ni aara me aisa name rakhana chahta hu jo public ko pasand aaye
1.net se paise
2.net ki jaankari
Ye rakhu kya do main se kon si thik rahegi !
Ya koi aap soch rahe ho jo name accha ho aapko koi bhi name accha lage jo aap soch rahe ho mujhe bata denaa please
ager apko apni site Pe traffic lana hai to “Net se paise” Rakh sakte hai
Sir domain kise kehte he
Kya aapki website me sabse uparlikhi hui he use kehte
Plz reply
domain website ka address hota hai.. jese http://www.google.com, http://www.facebook.com, http://www.hindimehelp.com
bhai plz mujhe personally guide kar dein plz…..
Aap Hindi Me Help ka facebook group Join kare
bhai me is nam se website create krna chata hu .pr ek dikkat he .me chahta hu ki is website me log apni ek login id bana sake. ye site logo ki help karne ke liye banana chahta hu plz reply karna my no 9852042042 he.
uske liye aapko wordpress par banana padega.. or aapko coding ka thodi jankari hona bhi jaruri hai uske liye.
Agr aap login or register system chahte toh us trah ki website mai apke liye design kr sakta hu
mins dbslnr nam se.
sir isme me ads kese jodu… or me domain name ko isse blog se kese join kru… r sir ise muje batayein ki mujhe is website me kya karna hoga
sign up kare advertiser site par apna account banaye.. mene kuch post dali hai site par.
site kase bante h
yaha diya hai
sIr muje apNA name gOogle pr lanA h JissA merI phchaN ban Ske Plz AaP koI heLp KrdO jiSsa MerA name Agr kOI seaRch Kre To ShoCked Hojye …..
AaP SmJ Gye honge Sir MEri BhaVnaYa …..
uske liye simle aap kuch bhi aesa kaam kare ki aapke naam ko jada se jada log search kare.. fir aayega..matlab aapko popular hona padega.. kisi bhi field me.
Rohit g Maine kal you tube par video dali or aaj meri mail I’d par adsence ne ek adsence account bheja or ek billing account send kya hai yeh kya hai or agar yeh adsence ka account hai to mai aaj anpi website bna use add kar sakta ho.ise koi dikat to nhi hogi .
entartenment
Sir Domain name hum Vodafone ke mpesa se kharid sakte hai iski payment m pesa se kr sakte hai
Aap payment karte samay payment ka option check kare.. Agar Ho iska option to aap bilkul kar sakte hai.. Mene isko check nahi kiya
i am very happy to visit your site plz mujhe online earning k bare mein thori guidlines d dein plz mein n ap k kuch sites information about online earning k bare mein parhi hai.
aap blog or youtube se badiya paise kama sakte hai.. or inki jankari mene site par dali hai..
Sir mujhe wapsite banany k liye step by step kux trics dijiye
yaha diya hai
Rohit Sir…
jab bhi mai apne blog ko Google par search karta hu to kabhi bhi mera blog Google ki search list par show nahi karta iss wajah se mai apne blog me post nahi karta.. help me sir..
Aapka blog new hai to abhi search me nahi aayega.. Aap post regular kare.. Dhire dhire aane lagega.
Sir,
me blogger pe naa hu
mene ek naya blog banaya hh muje blog par mera Facebook page add karna hh or Facebook page ke code kese add karu..
yaha diya hai
Haa usko bata de.. Jo main hai sirf wo use kare
Rohit…maine 4 digits ka Domain socha hai …’Ankk’ ye kaisa rahega lekin iska koi mtlb nahi hai..
or kya’.co.in’ wala theek rahega….maine ‘Flashtrick’ bhi socha hai…in dono me se konsa theek rahega..
Jo ankk hai wo badiya hai par iska aapki site se kuch na kuch relation to Hona chaiye.. Jese mera ek domain hai HMH.pe .. Baki aesa koi jaruri nahi ki uska koi matlab ho.. Jese labnol.org jiske naam ka koi matlab nahi hai.. Par mera suggest hai ki aap simple .in .org .net .com extension le
Ok thanks sir mul jaye to aap plz bata dena
Sir aapne jo blog ki themes di thhi kya wo WordPress me bhi ho jayegi
Nahi… Usko search karna padega. Mil bhi sakti hai.
okk thanks sir 1 baar aap dekh lijiye mere post ke bich me jo ad hai wo pehle wale hi code dale hai wo show nahi hi rahe hai lekin abhi mene ek wizet joda hai usme purana code dala hai wo ad show ho raha hai
Post me html section me dalna hai
Ha mene adsnse me new domain ad kar liya hai to kya ab me usme purana hi code dal lu ya Google ki taraf se koi mail aaye uske baad
Purana hi daal sakte ho.. Phele ads khali aayege fir thode time baad dikhege
To kya mujhe new ad code banana padega
Aapko new domain phele add karna hoga.. Uske baad ads aayge
sir mujhe aapki abhi help chaHiye meri website http://www.apnamobile.tk hai ab me usko mere word press site http://www.howtosikhe.com par import kiya thha ho gayi lekin ab mujhe usme ad nahi dikh rahe hai
Ads to alag se add karne padege.. Q ki ye aapki wo hi site nahi hai dusri site hai
rohit bhai mere comments ka foran answer q nahi aata.? itna time q lagta he bhai?
Mere or bhi bhut se kaam hote hai comment ke reply karne ke aalawa.. Me jese hi free hota hu comment ka reply karne ki puri Kosis karta hu.. Par thoda time to lagta hi hai
rohit bhai mujhe ye batao ke (.PNG) file ko (.ANI) file me kaise convert karo?
Format Factory software ki madad se
dailymotion ki video without buffring ke kaise chalay?
Inka koi tarika nahi hai… Ye Hamare net connection ke Upar nirbhar karta hai.
me ne blog banaya he os blog ke nam me blogspot likha he blogspot ko kaisy hatay? bb
me ne blog banaya he os blog ke nam me blogspot likha he blogspot ko kaisy hatay?
blogspot hatane ke liye aapko badiya Domain Name search karke aapko Domain register karke Blog se add karna hoga
bhai app se earning kese hoti hai. site me to advertisement se ho jati hai. app me to ad rehte hi nhi. fir earning kese hoti hai. pls reply bhai.
aapne sayad diyaan nahi diyaa.. ads hote hai.. ads se hi hoti hai earning
Rohit bhai domain 1year ke lie purchase nahi hota hai abhi godaddy me baat kia unho ne kaha ki 99rs/year lene ke lie min.2year ka plan purchase karna padega.srif1year lene ke lie 650rs lagege.
hamesa alag alag offer rhate hai.. abhi ye offer hoga.. usme me bhi kuch nahi kar sakta.. aap 2 saal ke liye le lijiye.. ya fir wait kare.. agle offer ke liye.. pata nahi kab aayega.
Rohit ji kya mera http://www.hindimejane.blogspot.com badhiya sub-domain hai ya mujhe change karna chahiye. Kyonki main jald hi domain se jodne wala hun apne site ko.
Badiya
BHAI ADFLY ME LINK KO SHORT KAR LIYA LEKIN USME VIEW NAI AAREHE KYA KARU KITNA TIME LAGTA H ..
JAB HM USKO CHOTTA KARTE H TO BAAD COPY KARKE DIRECT PASTE HI TO KARNA H NA DIRECT LINK PASTE NAI HO RAHA USSE KISI LINK BNAKAR PASTE KARNA HOTA H JAISE AAP BNATE HO NA YAHA CLICK KARO OR JAISE HM CLICK KARTE H TO WO PAGE OPEN HO JATA H VAISE PLZ PURA DETAILOS ME BTAYE PLZ
Views aese hi nahi badte.. Jab aapki Choti ki hui link par koi click karega. Jab bha aayege views..
Mene post me link add ki hai.. Agar aapka bhi blog hai to usme aap add kar sakte ho.. Agar nahi pata to post editor ke bare me ek post likhi hai aap usko pado
kya rohit bhai kab se aapko yaad kar raha tha ab mile ho kya haal h 1 baat btao mere blog par mene 1 template upload kiya h lekin usme bina mtlb ke page aa rahe h mujhe unhe remove karna h kaise karu mene 1 comment me padha tha ki edit template me jao or menu search karo lekin bhai mujhe kuch samjh nai aya aap meri website dekh lo plz bhai itne din se aapko yaad kar raha tha mera pc khrab ho gaya isliye kuch kaam nai huwa 1 or swaal h
Chalo ab to tik hai aapka PC :)
Amit ji me aapse bhi ye hi kahuga jo aapne comment me pada.. aapki Menu me abhi jo option dikh rahe hai aap unko template me search karke edit kar sakte hai.. Me iske bare me jald hi post likhuga.. par iski post thodi detail me likhni padegi.. uske liye muje time nahi mil paa raha hai abhi..
bahut hi accha artical hai aapne sbhi word ka use bahut hi badiya tarike se kiya hai! main bhi apne blog par ek nya domain kaise chose karte hai iske bare me detaily se likha hu magar aapka bhi ye artical bahut accha lga
sir mera yah blog hehttp://www.gkonlinetest.inespe mene adsence ke ad lga rkhehe lekin ads dikhayi nhidete apne dost ka ad code lgaya tab to dikhayi de rha tha mera ad code hi nhi dikhta kya problm he plz help?
Aapka blog abhi under review me hoga.. Aap apne ads ke code laga kar aese hi rhane de. 2 din tak lag sakte hai ads ko dikhne me..
Helo sir mere mobile me hindi langauge shaport nahi karti to sir me kiya karu jisse me hindi langauge padh pau me Micromax A.30 Android phone use karta hu please Help me…?
Agar mobile ? me hindi support hi nahi karta ho aap Hindi nahi pass sakte uske..
koi Aisa App hai jo mere mobile me hindi langage support kare
Hi rohit
Apki site ka name bahut hi badiya hai or ek tarah se sabse alag he , me hamesa hindi me help hi type karke search karta hu . Google me website ki rank kya hoti he or acchi renk ka kya fayda hai ?
Plzzz bataye.
Google me rank ka matlab hai, jab koi search kare to Hamari site search me Upar aaye.. Achi rank ka sikha Faida data visitor site par aayege.
Bhai mai ap. Se bat krna chata hu… Plz mail… My e.mail
Aapko kya pucha hai. . Aap puch sakte ho.. Facebook page ? par bhi message may sakte ho
Bhai mene youtube ke duwara google adsense approve kraya h ab me use apni website se jodna chahta hu…kaise judega…kya kya jaruri h….
ads code generate karke site me add kare
Bhai me sattamtka ke name se blog banasakta hu, ye koi resik wala kam to nahi.
Isme kya dikkat hai.. Bilkul bana sakte ho
Sir pahele to me aapko sukriya karunga meri bahut help ki he or me aapki site se hi sab kus shikha hu
Me aapki site ka regular user hu
Sir ak baat he ki maine ak site banai he
Uska name he
HindiLoveShayari143.Com
Sir to maine a domain kharid kar galati to nahi ki na?
Name kaisa he sir??
Visitar to aayenge na??
Or vaise bhi 20 dino me 2000 wiew mins ki visiter aaye he
Koi dikkat nahi hai, yaad rhane layak naam to hai. Bas thoda Bada hai. To agar koi direct aapki site ko kholega to dikkat aayegi. Baki badiya hai.
Bhai maine bhartiyaswad.blogspot.com ke name se blog banaya h.jisme recipy ke bare me post likhunga.mai ye janna chahta hu ki jb mai adsence se ise jodunga to waha languge option me kya dalunga.mai apna blog hindi me isi tarah likhunga, means bhasa hindi rahegi aur likhunga english font me.to ap.bataiye adsence mee kya dalenge
Hindi dalna
Deelip anand Patna city hjari Mohlla
Sir kaise pata chalega ki jo domain hm kharid rahe hain wo pehle se registration h ya ni taaki case na jo
bhai mujhe yeh bataye ki maine abhi ” googleadbook.blogspot.com” naam se blog banaya hai, computer aor internet knowlage ke liye . kuch dino mei is naam se domian bhi kharidna chahuga, aor maine godaddy par search kar liya hai , yeh domian available hai, isme ( googleadbook naam se) koi dikkat toh nahi hogi google company se
Nahi.. Bas aap kuch aesa share naa karna jisme kisi ko lage ki ye google ka hai. Khana ka matlab hai kuch farji kaam naa kare.. Google ko isse koi dikkat nahi hogi.
Hmmm…very nice article .. i like it very much and
your Domain is perfect matched to your site contents
Thanks Deepak