Abhi ke time me aesa domain select karna jo search me aasani se aaye ye sabse pheli step hoti hai apne blog ko success ki taraf lejane ki, jiski madad se hamare blog ko search me badiya ranking milti hai.
High Quality ka Domain bhut aasani se Google me rank karta hai or search me first par aasani se aa jata hai.
Blog ko search me lane ke liye aapko SEO ki Puri Jankari hona bhi jaruri hai jo mene share ki hai, aap unko jarur read kare. sath sath or bhi bhut si bate hai jo hame dhiyan rakhni padti hai:
Starting me New Blogger jo jada tar ye galti karte hai, ki badiya domain name nahi lete or fir unko bhut paresani hoti hai google me apne blog ko rank karne me, or fir Blogging me Fail hokar Blog band kar dete hai. Jo sabse phela step hota hai Blogging me apna career banane ka, ek aesa domain register kiya jaye jo hame aasani se rank dilaye or sabse hatkar bhi ho..
To Chaliye Dekhte hai kaise ham apne liye ek High Quality Badiya Domain select kar sakte hai..
Page Contents
Kaise High Quality Domain Name Select kare
#1: Chota Domain badiya hote hai
Domain name agar chota hota hai to acha rhata hai, logo ko aasani se yaad ho jata hai or usko wo direct bhi type karke hamari site ko khol sakte hai. Mera Suggestion hai 13 sabd se jada use naa kare domain me.
Jese aapko pata hi hoga meri site ka Domain Name – www.HindiMeHelp.com hai, jo 11 sabd ka Domain hai, to mene apni site ke liye HMH.pe Domain register bhi kiya or unko apni main site par redirect kardiya. jisse ab koi bhi HMH.pe type karke bhi Hindi Me Help par aa sakta hai.
#2: Yaad Rakhne Me Aasan ho
Domain Name aesa hona chaiye jo yaad rakhne me aasan ho, jisko koi bhi aasani se yaad rakh sake.. Domain me aese hi sabd use kare jo aapki site se sambandit ho.. Iska ye faida hai ki agar koi aapki site par aayega to wo double se bhi aa sakta hai q ki usko uska naam yaad hoga.. or wo kisi ko direct bhi bata sakta hai ki ye koi site hai.
Jese aap apne Dost se kha sakte ho ki Hindi Me Help ek badiya site hai, Jispar Internet ki Jankari Hindi Me Milti hai. :)
#3: Domain Name Extension
Kosis kare “.com” extension Domain lene ki ye sabse jada popular hai, kisi ki bhi site ki baat karte hai to .com me hi imagine karte hai. wese “.net” or “.org” bhi bhut log use karte hai. Agar Aap sirf apni country ke liye site bana rahe hai jo bhar nahi chalegi to aap country ka domain extension bhi le sakte hai.. Jese India ka “.in” hai.
Example:
- www.Example.com
- www.Example.org
- www.Example.net
- www.Example.in
#4: Sabd Istmal kare
Khane ka matlab hai aese sabd use kare domain name me jo aapke blog ko describe kare.. Ya fir aese sabd jo aapka blog kiske bare me hai ye pata chal sake. Isse ye faida hai ki visitor hamare domain ko pad kar bhi andaja laga sakta hai site par kya hoga..
*Jese maan lijiye aapki koi site hai shayari ke upar to aap uske liye kuch aesa domain le jisme shayari sabd aaye..
Ek baat ka diyaan rakhe kisi domain ki copy naa kare, khud ka brand banaye.. Aap kuch aese sabd bhi le sakte hai jinka koi matlab nahi par chote ho. jese Labnol.org, jo India ki Popular Blogger site hai.
#5: Number or Hyphens Use nahi kare
Domain name me sabd ke sath sath number (1234) or Hyphens (-) use kar sakte hai, par me aapse kahuga ki inko use naa kare. Ye yaad rakhne me muskil hote hai or type karne me bhi dikkat aati hai.
#6: Sabse Hat kar ho
Siru me bhut se log ye galti karte hai ki jo phele se popular site hai uske domain me thoda kuch add karke apna domain register kar lete hai, par aese me unko nirasa hi haath lagti hai, Q ki aese me logo ki najar me wo ek copy-cat (Dusro ki copy karne wala, jisko khud kuch nahi aata.) khalate hai.
agar aapko Badiya success hona hai to aapka koi alag naam bhi hona chaiye jisse aapko pachana jaye.. (kuch logo ne mere Domain jese domain liye hai, kya kabhi unka naam hoga).
Kuch log kya karte hai koi badiya site hai to uska koi dusre extension me domain le lete hai, aesa naa kare. Jese HindiMeHelp.com site hai to uska .in, .org, .net domain extension le liya.. isse aapki koi alag phechan nahi ban sakti..
Agar aap kisi ke domain se sambandit domain lete hai to aap to aap sirf uska promotion kar rahe hai apni mhanat se.. Khane ka matlab hai, maan lijiye aapne domain name liye Onlinehindimehelp.com or jo aapka is site ka visitor hai agar kabhi usne HindiMeHelp.com ko khola to aapki, site ki kya value rahegi? … Soche iske bare me.
#7: Bolne Me Aasan ho
Iska sabse bada faida ye hi hai, ki koi agar hamari site ke bare me kisi se baat karega to wo aasani se hamari site ka naam bol sake. Muje lagta hai Aap Hindi Me Help ka naam aasani se bol sakte hai or apne dosto ko bata sakte hai :)
Facebook Page, Twitter or Google+ Plage bhi banaye apni site ke liye.
#8: 3 Sabd se Jada Nahi
Domain Name jaha tak ho sake chota hi rakhe, par agar koi badiya naam naa mil raha ho to aap bada le sakte hai. me aapko suggest karuga ki aap 3 sabd se jada use naa kare.. Jese meri site ke bhi 3 sabd hai – Hindi Me Help
#9: Site Title or Domain
Aapki site ka Domain or Aapki Site ka naam alag alag ho sakta hai, par me aapko suggest karuga ki dono same hi rakhe. Isse site ko yaad rakhne me aasani hoti hai visitor ko.
#10: Domain Name Generator ka Istmal kare
Ham sab insan hai, or sabki sochne ki limit hoti hai. Hota ye hai kuch samaj nahi aata kesa domain le jo badiya ho to aap uske liye Online kuch site hai uska istmal kar sakte ho. Kuch Online Tools hai jinse ham apne sabd daal kar search kar sakte hai ki kya kya domain name ban sakte hai.. Ye kuch badiya Site: Domjax, BustaName, Impossibility, Panabee..
Kuch Bate jo Diyan Rakhe Domain ko Lete Bakt
#11: Kanuni
Thoda time ye search karne me bhi lagaye ki jo aapne domain select kiya hai kahi wo phele kisi company ka to nahi tha, Nahi to baad me aesa ho, aap apni website/blog ko badiya banane me lage ho or koi aap par cash karde.
#12: Thoda Time de
Jab aapko Badiya Naam mil jaye uske baad bhi thoda time de or Search kare koi dusra naam bhi, jo best ho Usko Register karle.
#13: Social Media par username available ho
Jo bhi Domain Register kare, usko phele dekhe.. ki uss naam ke username har jagha available hai ke nahi, q ki agar nahi hoge to hame hamare users se social sites par uns connect rhene me dikkat aayegi.
In Sabhi Point ko or achi se samajne ke liye Video Jarur dekhe :)
Domain Name Register kaise karte hai uski jankari aapko yaha milegi, jisme mene ye bhi bataya hai kaise aap ₹99 me Domain le sakte hai.
Agar aapka BLogger par Blog hai to Domain ko Kaise add kare Blogspot me uski jaankari bhi aapko mil jayegi step by step.
Last me sirf ye khana cahuga ki kisi ki copy naa kare, khud ki Brand Banaye, Q ki mene dekha hai bhut log sirf ye karte hai dusre ke domain name me thoda bhut change karke apni website bana lete hai par usse aage chal kar bhut nuksan hota hai…
Aapko Hindi Me Help Naam kesa laga meri site ka apne rai de comment karke :)
Or agar koi aapka Friend hai jo website banane ka soch rahe hai to unse ye post jarur share kare, taki unko help mil sake..
Aapki agar website hai to jo aapki website ka domain hai wo aapne kaise select kiya uski bhi koi badiya story ho to comment me jarur share kare ;)
Bahut achhi jankari di hai aapne. Mere safe doubt clear ho gye
mere dusre blog ka domain expire ho chuka hai… lekin me abhu buy nahi karna chahta.. to kya mere vo domain koi kharid to nahi lega
AchHi jankari di hai bhai…thxx
sahi kaha aapne jitna chota domain utna acha. mere site Ehindi.in domain 5 word ka hai. jiska benefit mujhe bahut mile raha hai.
सर आप की पोस्ट में बहुत दिनों से पढ़ रहा हु सर मुझे बहुत जानकारी हुई है आप के पोस्ट से थैंक यू सर
Welcome 😊
Hello
It’s nice articles all information provided is great…
Rohit advice me
Kya Blogger ke liye Jyada .com ya .in accha rhega koi India ka Event ho to.
Agar only India ke liye hai to .in badiya hai.. Par agar uska .com bhi hai to me suggest karuga .com hi liya jaye.
wah bahut badhiya sir
Sir mene aapko do bar guest post send ki hai. Aapne abhi tak mujhe koi reply bhi nahi diya. Please sir aap post ko jarur dekhe. Agar koi kami ho To muje jarur baiyega. Thanks
Brother aapki post draft me hai.. jald hi publish hogi..
Hello Mr. Rohit Mewada Mera Domain Jose Me Work Kar Raha Hoon .
woh – TheKipKopMusic.Com He
Total 14 Words Ka He – Kya Ye SEO Ke Liye Acha He
SEO me to koi problem nahi agar aap sahi se kare to.. par mere hisab se ye bhut long hai.. or aese me unko type karne me paresani hoti hogi visitor ko..
perfect domain name . easily remember your name. thanks
Rohit Ji , डोमेन नेम सलेक्ट करने में ही ज्यादा कन्फ्यूजन होता है ,
पर अब आपके आर्टिकल को Read करने के बाद Viewars के कन्फ्यूजन दूर हो जाएंगे ,
Good Share करने वाली जानकारी है ।
Thanks
Hii…
I am Md Farhan Rasool also read full article is great articles
Rohit Bhai kya hm .co.in India ke liye Kaisa rhega domain add is faida or Nukshaan ?
Nahi agar aap blog ke liye le rahe hai to co.in naa le.. Agar aap only India ke liye site bana rahe hai to aap .in le sakte hai.
Bahut sari jankari mili padh kar so thanks sir
I like your post. Thanks sir.
Thanks
sir mujhe bhi wab banani he kaise banye
my wathsapp number 8376844496
sir mujhe bhi wadsit banani hai kaise banu
my watsapp number 8376844496
Bro link kaha se laye jo blogger me lage ga use….
aapko domain register karna hoga..
Bahut achhi jankari di hai aapne. Mere safe doubt clear ho gye.
Thanks suraj ji.. N best of luck aapke event blog ke liye ?
Mene wordpress pr blog banya h pr muje creat or free website on wordpress likha ata h use hatana kese hatau
Hallo sir mera name Nikhil h me ek bca student hu or mujhe bi you tube par apna Account bana kar kuch mony arn karna h jis se meri study ka kharcha nikil sake ap mujhe puri detail me bataye sara prosiser plz
hlo sir mere ek adsense se 2 website add hai..hindi or English to kuch problem to nhi hai na or agr koi problem hai kya hai???
Sir mujhe ak web said bnani he kya ap mere help ker skte he apki bahut meharbani hoge ap mail ya whatsapp pr jankare de pleese
Sir,
sabse pahle to aapka bahut bahut shukriya. jo aapne ye website bnai. sir me abhi nya hu. meri apni ak mobil accesories ki chhoti si shop me soch rha ki apna bussiness online karu. to sir muze kya karna padega. agr aapke pass thoda sa time ho to me aapse milne aa sakta hu aap jaha bhi rahte ho. kyoki sir muze net chalate huye 5 saal ho gye mene bahut sare bussiness ka socha koi bhi safal nhi hua….plz sir help me.
mene vastu ke liye blog banana h. blog ki search tittle se hoti h ya address se.agar me tittle me likhta hu vastu tips for early marriage or for opportunity. mera address supose kere ki vastuhelp. h . public ko k
ya dikhaga
hello Rohit pls help me what can i do after buy Domain Name. how i start my website after purchase Domain and hosting
domain name becha kaise jata hai
website se paise kis me ayenge aur website se bank se connect kaise hoga
website se paise kis me ayenge aur website se bank se connect hoga
ROHIT JI. Expired domain buy krne me koi kanuni dikkat to nhi aayegi .
Rohit ji.sabse pehle aapko salaam kyunki app itni achhi achhi knowledge share kr rahe. Bhai mai ye janana chahta hu ki auction domain buy karne me koi kanuni dikkat to nhi hogi.
Hello friend Meai Robin Punjabi Raper
helllo rohit sir
how r u
sir mein aapna blospost ka naam change karna chatha hu. kaise karu. please for example. netgohindi hai par mein es ko change karna hai. pls sir koi tarika hai. jis se my create new blog ho jaye.
i wait you sir reply.
bhai aap blog ki settings me jaye aur aapka jo defoult ya custom domain hoga waha par adit par click karke change kar skte hai. Agar aap third party domain add Karna chahte hai to uske niche Third Party Domain ka option milega aap waha se change kar skte hai
Rohit bhai plj ye btae ki domain name air website me kya antar h aur agar meri website par visitor aate h to uska kya labh hoga mujhe plj healp
hello sir me ye janna chahta hu ki meane LolBaba.blogspot.com ke name se blogg banaya hu. lekin mera dikkat ye hai ki me esse sirf LolBaba.com name kease dun.
aapka Suggestion very good hai hum abhi new hu aur aapka website kal mujhe mere dost me batlaya h koi bhi mere man mai question hoga to aapko jarur pauchunga ok.
Ji bilkul..
Comment:aapka Suggestion very good hai hum abhi new hu aur aapka website kal mujhe mere dost me batlaya h koi bhi mere man mai question hoga to aapko jarur pauchunga ok.
Comment: mere to kuxx smj me hi ni aya kaise bnauuu
Url Kaise banaya
webseti me paesa kaese mele ga
bhai mujhy onine education k bary main logo ko btana hai lekin is name sy bn ni pa raha example- onlineeducation.blogspot.com bt ye to not avlible aa raha hai
sir kya me apna blogspot name change kar sakta hu or domain le sakta hu iski jagah or aapki advise me badiya domain name konsa hoga hindi shayari ke liye. please
Bhai mene jo blogspot use kiya h kya vo change ho sakta h kya or hota h to kese please tell me
Bhai me Blogging sinkh Rha Hu or mene ek blog bnaya h allhindishayarii.blogspot.in me ye name hi lena chahta tha par ye available nahi tha to mene shayari me last me do bar i ka use karke le liya koi dikkat to nahi h na or name kesa h, aapka name bilkul saral or sahi h pllllz tell me
naam kuch bhi rakho.. par yaad rakhne me aasan hona chaiye.. mera suggestion hai ki aap double i ki jagha koi dusra naam use kare.. q ki aesa karne me aap jisma main domain hai uska promotion karege..matlab sab jab dalege allhindishayri to aapka blog me nuksan hoga..baki acha naam kaise select kare uske liye aap post ko achi se pade..
Sir AApne bola ke hum jo domain lete vo pahele kisi company ka to nahi tha…. to sir Abhi jo me domain lena chahta hu vo bigrock pe available hai aur vo me lena chahta hu….. lekin vo kaise pata kare ke ye domain pahale kisi ne liya tha ya nahi….. pls help me sir
kya blogger par sex story bhi post kar sakte hai. isme koyi problem to nahi hogi pleese bataeye
isse aap adsense ke ads nahilaga sakte.. or agar kisi ne bhi aapki site ki report kar di to ho sakta hai Google aapki site ko Delete karde.. isme income kam hai or risk bhut jada.. or ham aesi site ko openly share bhi nahi kar sakte.. baki aapki marji.
Tital ka mtlv smjao yaar
Title wo hota sirsak.. jese newspaper me heading hoti hai.. wo Title hi khalata hai..
Mujhe apse ese baat karne me dikkat ho rahi hai aap apna whatsapp no. Dedo
Me bhi ek wapsite banana chahata hoo please help me
hello frnd plz mujhe btao kase tital dalu for best gk question ke lis
Hello Rohit mera name gajendra ha mujhe best tital kase select karu for all type gk qoetion