Blog ko Delete or UnDelete Kaise karte hai Blogger Me

Friends Blog kaise banate hai hamne jana or ham kaise blog se paise kama sakte hai ye bhi hamne jana. Blog se agar ache paise kamana ho to, jis topic par aapne blog banaya hai usme aapka interest hona bhut jaruri hai, Agar aapka interest nahi hai to thode din baad Aap blogging karna band kar dege. Aesa aapke sath hi nahi hoga lagbhag 1000 logo me se koi 1 hi nikalta hai jo apni bloging lambe time jari rakhta hai.

blogger me blog ko delete kaise karte hai uski jaankari hindi me

Blogging Band karne ke kai Karan ho sakt hai,

kuch main karan blogging ko lambe time tak na karne ke me aap se share karna chahuga.

Advertisements
  • Jis topic par Blog Banaya hai usme interest naa hona.(ye sabse main karan hota hai. ham blog ko bina soche or bina apne interest ko jane blog bana dete hai.) Agar aapko apne blog ke topic par interest nahi hoga to aap new post kaise likhoge. Thode din baad aapko ye ek boring kaam lagega.
  • Suru me jis hisab se paise kamane ka socha us hisab se income naa hona. me aap ko ek baat bata du ye koi ek din ka kaam nahi. Aap paisa kese bhi kamao, Jitna paisa aap kamaoge utna kaam bhi aapko karna padega ab chahe ho hard work ho ya fir mind work.
  • Blog to banaya or post bhi badiya dali par Visitor nahi aate bhi ek karan ho sakta hai. Visitor badane ke liye bhutse papad belne padte hai. ye kuch Tips Traffic badane ki 
  • Time ki kami hona, or uski baja se blog ko update naa karpana bhi ek karan hai.

inke aalava bhi bhut karan ho sakte hai.

Aapke blog ka Address Sahi hona bhi but jaruri hai. Blog Address aesa hona chaiye jo aapke blog ke topic se relate kare or yaad rakhne me bhi aassan ho.

Me aapko bata du ki ham Blogger ke ek account me 100 blog hi bana sakte hai. To agar aapne faltu blog register kar rakhe hai to aap unko delete kar sakte ho.

Aap chahe to jo blog aapne register kiya hai uski link badal kar dusri link bhi set kar sakte ho. Blog ka Address kaise change kare uski jankari yaha hai.

Blogspot Blog ko Delete Kaise Kare

Blogger ke Blog ko Delete karne keliye in Step ko follow karo.

Step 1

www.Blogger.com me Login karo

Step 2

Jo blog delete karna hai uski setting me jao

Step 3

blogger me blog ko delete karneke liye in steps ko follow karo

  1. Blog ki Settings me jaye
  2. Other par Click kare
  3. Delete Blog ki link par click kare
Step 4

Ab aapke saamne ek popup window khulegi

blog ki post ko download karke delete kardo

  1. Agar aap apne blog ki post ko save karke rakhna chate ho to Download Blog ki button par click karke Save karle.
  2. Blog Ko Delete karne ke liya Delete This Blog ki buton par click kare.

Ab aapka Blog Delete ho chuka hai.

Delete huee Blog ko Restore kaise kare

Agar aap apne delete kiye huee blog ko wapas se restore karna chate ho to aapke pass 3 mahine tak ka time hai uske baad blog permanent delete ho jayega.

Blog restore karne ke liye Blogger ke home page par jaye. baha aap dekhege ki ek Deleted Blogs ki link bhi aa rahi hai.

Blogger ke blog ko UnDelete kaise kare.

  1. Deleted Blogs par click kare
  2. Ab jis blog ko aap restore karna chate ho uske saamne ki Undelete ki button par click kare.

Note: Deleted Blogs me blog 3 mahine tak rhata hai uske baad permanent delete ho jata hai.

Friends ab aap jaan chuke ho ki ham kaise blog ko delete or undelete kar sakte hai.

Ye Sabaal mujse mere dost Aakash or Imran ul Hassan ne mujse pucha tha. Aapko ye jaankari kaise lagi comment karke jarur bataye, or agar aapka koi bhi sabaal ho to jarur puche muje aapki Hindi Me Help karne me khusi hogi. :)

Blogger ki Puri Jankari Hindi Me

Happy Blogging!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.