Mai apne blog par hamesha hard work karne ki koshish karta hu. Aur main daily kuch na kuch nayi cheez Sikhne ki Bhi koshish karta hu Aur Daily kuch na kuch Sikhata hu. Kuch Dino pahle maine apna sabhi post ko phir se dekha Aur Unko Padha. Maine apne dwara likhe gaye sabhi posto ko achi tarah se samjha aur uske baad maine ye post likhne ka socha.
Maine Apne pichle kuch post me bahut hi prakar ke chiz share kiye. Aaj Main aapko kuch common chize Bataoga Jo aapke blog ko popular banane me bahut madad karega. Inme se kuch method ko Maine Apne blog par share bhi kiya hai. Agar aap in chizo ka dhyan me rakh kar blogging karege to Mujhe ummed hai aapka blog bahut hi jaldi Improved hone ke sath sath popular bhi hoga.
Apne Blog ko Famous karna har ke bloggers ka sapna hota hai. Lekin kuch hi logo ka ye sapna pura hota hai. Iska Karan ye hota hai ki hum sahi tarike se blogging nahi karte hai.
Mujhe Pata hai yadi aap Blogging ke business me hai to apne blog ko popular karna Easy nahi hai. Lekin ye baat bhi Sach hai ki Yadi aap ek Hard Worker hai aur hamesha kuch na kuch Naya Sikhne me Believe karte hai To guarantee ke sath kah sakta hu ki aap ek na ek din jarur success hone.
Internet par bahut se aise tarike hai Jiske dwara aap apne blog ko next level par le kar jaa sakte hai Unme se kuch method ke liye paise bhi kharch karne padhte hai. Lekin ye jaruri nahi hai ki agar aap apne blog me paise investment karne ke baad bhi popular rahega.
Agar aap ek hard worker hai to aap bina paise kharch kiye hue bhi apne blog ko popular bana sakte hai. Ek baat ka dhyan rakhe jab bhi aap blogging me kuch karne jaye to aapko ye pata hona chahiye ki aap kya kar rahe hai. Bina aapka time west kiye hue kuch tarike ko batata jinko use kar ke aap apne blog ko Next Level tak le jaa sakte hai…
Page Contents
Blog ko Improve karne ke Tips
#1: Apne Blog ke Design Customize (Khud Banaye) Kare
Aapko ye Sun kar thoda acha nahi lag raha hoga ki Akhir mai apne jyada se jyada post me blog design ke bare me kyo baat karta hu. Kyoki bina badiya blog Design ke aapka blog next level tak nahi Jaa payega.
Apne blog ko Famous banane ke liye aapke blog ka design acha hona chahiye. Agar aapko design me thoda Gyan ho to aap apne blog ko khud design kar sakte hai. Blog design ko maine blog ko popular banane ke tarike Me Isliye Pahle number par rakha hai kyoki Blog ka design blogging me bahut impotent hota hai. Agar aap kuch bade blogger ke blog ko dekhe to unki blog ka ek unique design hota hai. Har ek visitor unique aur interesting chiz ko hamesha pasand karta hai.
Jab koi aapke blog par visit karta hai to aapke blog ka design hi aapke visitor ko first impression deta hai. Ek visitor ke taur par Agar aapke blog ke design badiya nahi hai to mai bhi aapke blog par Dubara Jana nahi pasand karuga. Yadi aapke blog ka design clean aur accha hai to mai phir se aapke blog par jana Pasand karuga. Isliye agar aapko apne blog ko popular banana hai to apne blog design ko pahle popular banao.
Apne blog ka aisa design karo jaisa kisi ke blog ka design naa ho. Apne blog ke header, layout, footer, sidebar, navigation etc ko hamesha unique aur clear rakhe. Apne blog par utne hi wedget/plugin ko use karo jitna ki aapko jarurat ho. Bina jarurat wale widget/plugin ko remove kar do. I think Agar aap apne blog ka design better rakhoge to aapke blog ka
first impression apke visitor par bahut badiya hoga.
Blog Design me log kya mistake karte hai jo kabhi nahi karni chahiye uske baare me yaha detail me bataya hai aap iss article ko jarur read kare.
2: Hmesa Tutorials Aur Case Study article Publish Kare
Jab maine blogging start kiya tha tab bahut se Aise top bloggers the jinko mai follow karte tha. Maine sabhi top bloggers me ek common chiz dekh ki woh apne post me tutorial aur case study article ko hi share karte hai. Aur woh har ek ki madad ke liye Hamesha Ready Rahte the. In hi sabhi chizo ko Maine Bhi follow kya. Maine bahut se hindi bloggers ko kuch Aise article ko lagate hue dekha hai Jinka Upyog woh khud hi nahi kar pate hai. Muje thoda dukh hota hai jab naye hindi bloggers ye galti karte hai ki woh apne article ke liye sahi cheez ko nahi chun pate hai. Naye hindi bloggers kuch iss tarah se article likhte hai-
- Blog ki Traffic kaise badhaye
- Adsense account ko Approve ke liye kya chaiye
- Youtube se paise kamaye
- Online paise kamane ke 5 Aasan tarike
Jo log iss tarah ke article likhte hai Maine dekha hai ki Unke Blog par nahi traffic ata hai aur naa hi woh koi paise kamate hai phir bhi woh likhte hai. Mai un sabhi hindi bloggers se kahna chahta hu ki agar aapko blog traffic, page rank, online earning ke bare me pata hai to pahle aap usko apne blog par prayog kare yadi aap unko karne me safal ho jate hai tab uske bare me Apne blog par artcal likhe aur visitor ko uska proof bhi. Tab aapko uska benefit milega aur aapka blog popular hoga. kyoki internet Ka har ek visitor proof me jyada Believe karta hai.
Agar aapko apne blog ko famous karn hai to aap un hi chizo ko apne blog par likhe jisko aap ne khud hi kiya ho aur jiska aapke pass proof ho ki maine ye kiye hai. Apne reader ko hamesha badiya se badhiya tutorial dene ki koshish kare. Aur apne reader ke help ke liye hamesha tayaar rahe.
Sirf kisi chij ko dekh kar kuch bhi share naa kare, pehle usko achi se check kare or agar usme thodi bhi gadbad ho to usko share naa kare.. Isse aapke visitor par aapka vishwas bhi badlega.
3: Popular Blog Ke Guest Author Bane
Aaj ke Date me sabhi blogger guest posting ko accept karte hai. Hindimehelp bhi guest post ko accept karte hai. Agar aap apne blog ko Next level tak le kar jana chahte hai to uske liye guest posting sabse badiya tarika hai.
Sabse pahle aap apne blog topic se related popular blog ko find kare aur un par apne dwara likha hua badhiya se badhiya article publish kare. Agar aap regular basic par aisa karte hai to iska result aapko bahut hi jaldi miega.
Aapke dwara kiya gaya Ek badiya Guest post aapke blog ke traffic ko bahut jyada improved kar sakta hai. Agar aap soch rahe hai ki 2-3 guest post kar dene se aapka blog popular ho jayega to aap galat soch rahe hai. Jis tarah se aap apne blog post ka article publish karte hai Thik usi prakar aapko regular basic par popular blog par guest posting bhi karte rahna chahiye.
Guest post karne se Backlink or New Readger milne ke sath sath or bhi bahut fayda hai. Agar aap janna chahte hai Guest post karne ke faide to yaha read kar sakte hai.
Agar aap Hindi Me Help par ki hui Guest Post padhna chahte hai to yaha dekhe
4: Aapna Reader Ko Kuch Free Chiz Download Karne Ke Liye De
Internet par har koi free stuff ko bahut pasand karta hai. Mai bhi free stuff ko bahut pasand karta hu. Yadi aap bhi apne blog par kuch badiya cheez free me apne reader ko de sakte hai to aapka aapke reader ke sath bahut accha relationship banega.
Yadi aapke paas Itne paise nahi hai ki aap koi premium chiz kisi ko Free Me de sakte to aap kisi ek topic par ek book likh sakte hai aur usko apne blog par free me uplabad kara sakte hai. Aap Book aisa likhe jisse usko download karne wale ko help mil sake. Aap video tutorial bhi bana kar free me de sakte hai. Lekin ek baat ka dhyan de ki book aur video tutorial simple nahi hona chahiye usme kuch aisi cheez hona chahiye Jisse usko dekhne aur padhne wale ko bahut help mile.
Agar aap kuch bhi badiya cheez apne blog par free me Upload kar denege to usko padhne aur dekhne wale aapke blog ko kabhi bhi nahi bhulenge aur hamesha aapke blog ko yaad rakhegi aur uss par visit karega. Yadi woh free chiz acchi hogi to log usko apna dosto ke sath bhi share karege. jisse aapke blog ke bare me jyada se jyada logo ko pata calega.
Yaha par ek baat ka dhyan rakhe ki koi aisi chij share naa kare jo paise me mil rahi ho or aap usko crack karke download karwa rahe ho.. aese me software company aap par copyright clam kar sakta hai or aap dikkat me fas sakte hai.. to is baat ka jarur dhyan rakhe.
5: Hamesha Fresh Content Publish kare
Har ek reader fresh aur new content ko Hamesha pasand karta hai. yadi aap hamesha fresh content ko publish karte hai to woh aapke blog ke success ka key banega. Maine dekha hai ki kuch logo ko jyada time nahi mil pata hai blogging ke liye. Agar aap ko din me nahi time mil pata hai to aap raat me apna blogging ka kaam kar sakte hai.
Blog reader ke sath sath search engine bhi fresh content ko pasand karta hai. Jab bhi aap koi new post likhne jaye to uss post ke bare me acchi tarah research kar le. aur usko apne tarike se ek dum details ke sath likhe. Search engine hamesha long post ko jyada value deta hai. Apne post ko publish karne ke baad kam se kam 1 din uss post ke promotion me lagana chahiye. Apne uss post ko har ek jagah par promote kare.
Blog Post ko Promote karne ke 15 tarike yaha hai
6: Facebook Aur Twitter Join kare
hum sab social media ke power ko jante hai. Social media aapke blog ke popular banane me bahut madad karta hai. Aap facebook aur twitter ko join kare. jab aap facebook par apne acount banaye to ye koshish kare ki aap jada se jada friend ko apne friend list me add kare aur un hi logo ko add kare jinko aapke blog topic ke bare me jankari ho.
Agar aap jaldi 5000 friends apne blog ke niche se related logo ko add kar lete hai to aap apne blog ko unke sath acchi tarah se promotion kar sakenge. Agar aapka unke sath accha relationship ban gaya to to aapka blog 5000 logo me popular ho jayega aur unke dwara aur bhi bahut se logo ko aapke blog ke bare me pata calega Lekin utne logo me Apne blog ko popular karne ke liye aapko daily facebook par active hona padega aur unke sath Ghulna milna padhega.
Facebook par kaise promote kar sakte hai blog ko uski jankari yaha hai
Thik yahi chiz aapko twitter par bhi karna chahiye. Agar aapka blog social media par popular ho gaya to smjh lo ki aapne apna blog 50% popular kar liya.
Ye woh 6 cheez hai jisko acchi tarah se karne par aapke blog next level tak jaa sakta hai. Aapko apna blog ke har ek chiz ko soch smjh kar karna cahiye kewal jyada se jyada article likhne se aapka blog popular nahi hoga balki aapke dwara likha hua article unique aur fresh
ho aur usse logo ko help mil sakte.
kabhi bhi kisi dusre ke content ko copy naa kare hamesha apna khud ka content likhe. mujhe umeed hai ki ye article aapke liye helpful hoga. Muje bahut khushi hogi yadi aap iss content ko apne dosto ke sath share karege. yadi aap sahi chizo ko follow karege to mai pure yakin se kha sakta hu ki aapka blog bahut Age tak jayega..
Happy Blogging…
sir main abhi apne blog ko setup karne ki kosis kar raha hu ..aap ek baar check kar lije ki muje aur kya kya add karna hai ya kuch baki rah gya hai edit karne ke liye please ek bar dek le
Wow nice article sir mere 15000 page view ho chuke hain lekin meri income 2$ hi hui kuch help karo
Aap ke jaise template kaise lgaye
purchas krna padega
Sir muze html nhi Ata mai html ke bina blog par paise kama sakata hu kya waha par compose option ata hai uske jariye
Rohit bro hum apne blog pr small se smal kitne word men post likh skte hain jo blog pr improve ho?
mujhko thoda guest posting ke bare mai btao plz sir
agar aap guest post karna chate hai to yaha click kare
Chitika paise kaise bhejti hai. Or ise approve hone me kitna time lagta hai?
chitka ye sab bekar trusted nh or aapka timepass v hoga todi si mehnat kare aap google adsens use kare .
SIR m apne YOUTUBE chanal ko adsence karta hu to aap k step 11 next wala batan par clik karta hu to balank page aata h
plz sir help me
Aap image editing ke liye kaun sa software use karte ho..aur kaun kaun se tools se infographs banate ho..plz batayein!
Hii..! Rohit bro Main apke blog ka subscribeer hoon..
Main janna chahunga ki aapka blog blohger ke tbrew bana hai ya WordPress ke bcoz main ek “blogspot” user hoon aur ek domain lekar apni site ko aapke jesa krna chahta hu plz give advice…!!
Bhut achi jankari di aapne is post me. Mai bhi bhut jaldi geust post karna chata hu or mai karunga kyuki in sare tariko me se ye tarika best hai.
Ji Bilkul Shaikh..
Bhut achi jankari di aapne is post me. Actually in me se maine sare tarike aazmaye hai or uska mujhe faida bhi hua hai, bus ek trika use karne ka rhegaya hai vo hai guest post karne ka maine 4-5 post bhi likhe hai bas usko alag alag site per post larna hai vo bhi mai jald hi karunga kyuki guest post ke faide maine dekh chuka hu or mai bhi vahi faida chata hu.
Thanks bhai share your knowledge..
Most Welcome
Rohit bhai ..thnku soo much maine apki help se apna song lyrics wid audio & video dwnld ka blog bnaya h…nov. Me bbnaya tha….ek bar aap check kr k bta do ek ki me adsense k liye apply kru ya abhi ni….plzzz bro
Nd ek bat or…bhai Android App bnane ki post kb daaloge…bcs visitors ab chahte h ki har chiz ka unhe APP mil jaye…islye plzzz App bnane ka v post daale…thnx again hm sbki help krne k liye…
sir apne blog ke title ko artificial look kese de?
aap uska font change kar sakt ehai.. ya fir CSS ki madad se bhi kar sakte hai..
Mai apne blog par PDF files upload karna chahta hu ya u kahe to mai ek PDF files ki site banana chahta hu jispe only mai books ko PDF files me upload karu.par blog par PDF files upload nahi ho raha ye kase hoga please mujhe mail kar dijiyega rohit sir.
Sir aaj jo aapne jankari share ki hai voh ham jaise new bloggers ke liye bahot important hai.Thanks you.
Or aap ek baar meri site check karke bataye kaisi hai ?
thank bhai
mai samajh gaya
Rohit sir mjhy seo ki koi important tips day plzz help me its urgently
Aap HMH par SEO search kare.. uske upar jitni bhi opst hogi aa jayegi..
Hello rohit bhai mere blog ko dekh kar btao kya problem huaa, humne bahut try kiya lekin huaa nahi hai
Amit ji Sabse phele to sidhe sidhe me aapne khana chahuga ki aapne jo Domain Name rakha hai apni site ka.. wo meri Brand ko Effect karta hai.. Me aapne simple khana chahuga ki aap please usko change kare.. fir hi me aapki kuch help kar paoga.. Thanks
bahot achha hai rohit, please keep it up
Thanks Madhu ji
Contact us, privacy policy ko niche toolbar me kaise add karate hai
Again thanks leki aap meri 1 problem solve kare sir….
Sir mei ek indian shopping offers ka blog chalata hu . To sir mujhe ye janana hai ki kya sir aap mujhe flipkart Affiliate ke baare mei bata sakte hai kya.?
aap Google me search kare Flipkart Affilite fir jo sabse pheli website aaye. uspar account bana le.. fir ham usme kisi bhi product ki link ko afflilte link me convert karke apni site par dal sakte hai.. or jab us link par click karke saman ko kharidega to hame uska commission milega.. kis hisab se commission milta hai uski detail me jankari aapko apne afflilte account me mil jayegi.
m postal department me kam karta hu aur ak blog bna kar kuch2 likhna chahta hu. to mujhe kya2 karna chahiye for guide..
भाई आप के इस लेख की जितनी तारीफ़ की जाए उतनी कम है। मेरे लिए इस में बात यह है कि मैं पोस्ट को अच्छी तरह से और लंम्बा रखूँ. धन्यवाद
Ji Sahi samje aap.. Bhut log aesa soch lete hai ki post ki sankya bada do to visitor bad jayege par wo puri trha se galat hai.
nice post rohit ji sahi kaha bina prove ke koi viswas nahi karta
Rohit bro aapne Jo WordPress Jo aapne Jo site maani hai jab hum wordpress kholte hai husmai ek option aata hai create website and create blog. Bro aap ne create website mai site maani hai ya create blog mai site maani hai. Bro mujhe aapki help chaiye website baane ke liye.
Bhai aap post ke bich me ad kaise show karwate ho…Plz help
Rohit sir iss post sy achi jankary mily or sikha bhi nice post.
Thanks Rijwan .. ummid hai aage bhi milti rahegi. :)
50-60 post me kitne visitor aa sakte hai
meri site par bahut kam traffic hai
aur main sari traffic trick ko apna chuka hu aur apki ceo post padh kar bhi main sab kuch kar chuka lekin fir bhi traffic bahut kam ap dekh kar batao kuch mistak to nahi mere design karne me ya agar kuch rah gaya ho mujhe pls jarur bataye
Kitni post hai wo maine rakhti hai par aesa nahi ki 100 post kardi to itne visitor aayege hi.. sabse important hai jo post aap dal rahe ho usko kitne logo ko jarurat hai.. jese aapki koi jankari share ki jisko har roj hajaro log search karte hai.. iska matlab aapki ek post par hi hajaro log aa sakte hai.. par agar aapne 100 post dali jinke bare me internet par phele hi bhut site par dala hai.. or usko jada search bhi nahi kiya jada to ho sakta hai aapki post par ek bhi visitor nahi aaye.. ummid hai aap samaj gaye hoge mera khane ka matlab kya hai.