WordPress sabse popular CMS Script hai jo log install karte hai apni khud ki website banane ke liye.. abhi WordPress par website banana itna aasan hai ki bina technical knowledge ke koi bhi apni WordPress website par 5 minute me bana sakta hai.
WordPress par website banana to aasan hai par kuch chije hai jo New user dhyan nahi dete or jane anjane me ye galtiya jarte hai.
WordPress Install karne ke baad kya kare uske ware me pehle hi me share kar chuka hu, aap wo bhi jarur read kare, abhi ham WordPress par 7 common mistakes ke ware me janege.
To chaliye jante hai konsi wo 7 mistakes hai jo WordPress New user karte hi hai, or kahi aap bhi wo galtiya to nahi kar rahe.
Page Contents
WordPress Common Mistakes in Hindi
1 WordPress ko Sub-folder me Install karna
Jab bhi ham WordPress ko Manually Install karte hai, to sabse pehle WordPress ki Zip file ko download karte hai, uske baad usko apne Hosting me FTP ki madad se upload karke unzip karte hai.
Jab ham WordPress file ko unzip karte hai to wordpress ki sabhi files WordPress folder ke undar hoti hai, jisko hame main directory me dalna hota hai.. par kuch log iss baat par dhiyan nahi dete or wo WordPress folder ke andar hi wordpress ko install kar dete hai..
Agar aap iss sab jhanjhat se bachna chahte hai to aap direct bhi WordPress install kar sakte hai.
agar aapko isme abhi bhi confusion hai to aap hamari Free WordPress Installation Service ka bhi use kar sakte hai.
2. Permalink ka use na karna
Jese hi WordPress Install karne ke baad website live hoti hai, to uska default permalink Post_ID me hota hai jo ki number ki tarha hota hai.. jese example:
www.hindimehelp.com/?p=25
ye jo link hai wo naa to user friendly hai or na hi Search engine friendly.. matlab link ko dekh kar koi nahi samaj sakta hai ki iss link me kya hai.. wahi ham isko change karke badiya bana sakte hai..
jese: www.hindimehelp.com/Wordpress-common-mistakes
Aap dono links ko dekh kar khud samajh sakte hai, ki konsa link badiya hai. WordPress SEO ke nazariye se bhi dusra wala badiya hai kyu ki usme keyword aa raha hai.
WordPress Permalink set karne ke liye, Dashboard > settings > permalinks par jana hai.. uske baad /%postname%/ ko select karna hai..
3. Incomplete Page Publish karna
Jab bhi koi Post ya Page create karte hai, to bahut war aisa hota hai wo pura complete nahi hota ya bina usko tikh se dekhe or bina Proofreading kare usko publish kar dete hai.
Jab bhi koi Page publish hota hai wo Google jaldi index karta hai, to agar usme kuch kami hoti hai to google user ko aesa hi dikhayega, jisse website ki reputation kharab hoti hai.
Jab bhi aap koi Page publish kare, uski ProofReading jarur kare, or sath hi ye dekhe ki usme sab kuch thik tarah se hai ke nahi.. uske baad hi Publish button par click kare.
Must Read: Post Publish karne se pehle in Points ko jarur check kare.
4. Bina Kaam ki Plugin
WordPress ki jo sabse khas chij jiske karan WordPress ko Blogger se behtar banati hai wo hai Plugins, kyu ki ham plugin ki madad se apni website me kuch bhi funsality add kar sakte hai..
Plugin ki madad se website me koi bhi feature add karna ho ya remove karna ho ham kar sakte hai.. par agar bahut jada plugin wordpress me install kare to uske karan website ki loading speed kam ho jati hai jo hamari website ke liye bilkul acha nahi hai.
Isliye sabse pehle check kare jitni bhi plugin aapne wordpress me install karke rakhi hai wo kaam ki hai bhi ya nahi, warna unko abhi uninstall kare.
yaha dekhe WordPress ke liye useful Plugins jo Install hona hi chahiye..
5. WordPress ko Update na rakhna
WordPress Community Online sabse badi community hai, jisme Internet ki lagbhag 30% website hai.. to aese me hame WordPress Theme, Plugin ke bahut se option mil jate hai or aaye din unme new updates aate rehte hai.
Internet par aaye din kuch na kuch khami Hackers in chijo me dekhte hi rehte hai, or ussi ko thik karne ke liye ye updates aate hai.. to agar ham apni website ko update na rakhe to sidha keh sakte hai ki ham apni website or uske user ko risk me dal rahe hai.
Wese bhi WordPress website ko update rakhna bahut aasan hai, kyunki simple 2 click me hum apni website ko update rakh sakte hai. iske liye simple WordPress Dashboard me jakar Updates ko regular check karte rehna hai ki kahi koi update aaya hai kya.
WordPress Software bhi pehle se bahut update ho chuka hai, or agar aap chahte hai ki koi bhi new update aaye to wo automatic update ho jaye to uski setting bhi aap wordpress me kar sakte hai.
6. Aasan Password use karna
Wese agar aapki ek website hai to ye to aapko pata hi hoga, ek Password ki kya ahmiyat hai.. Kyu ki agar kisi ko hamara password mil jaye to wo hamari website me kuch bhi kar sakta hai.. cahe to puri website ko delete karte ya kuch or nuksan karde..
ek aasan password ka use karna password use naa karne ke barabar hai.. to agar aap bhi ye galti kar rahe hai or koi aasan password jese (Mobile number, date of birth, 123456) jese password use kar rahe hai to abhi badal lijiye..
Strong Password kesa hona chahiye uski jankari aapko yaha mil jayegi. aap password banane ke liye Password generators ka bhi use kar sakte hai.
7. Regular Backup Naa lena
Ye aisi galti hai jo sabhi Blogger karte hi hai, mene bhi ki thi.. jiska parinam ye raha meri 2-3 mahine ki kadi mehnat pani me chali gai.
Jo bhi website me ham content daal rahe hai ya kuch bhi change kar rahe hai uska agar hamare pass koi backup nahi hai or hamari website ke sath kuch galat hota hai.. ab wo hack ho ya hamse hi kuch galti ho usko restore karne ka sirf ek tarika hai wo hai Backup..
wo kehte hai na, Log apni galtiyo se hi sikh kar aage badte hai.. par me chahta hu aap wo galti dubara na kare jo me kar chuka hu.. Aap yaha dekhe Kaise HindiMeHelp Hack hui or usme meri kya galti rahi. or kaise aap wordpress security bada sakte hai.
*Aap WordPress Backup lene ke liye koi bhi Backup plugin ka use kar sakte hai.. jese Updraft, jiski madad se automatic ham regular apni website ka backup le sakte hai.
Conclusion
Agar aapne WordPress par new website banai hai ya pehle se hai, to ab aap wordpress checklist bana kar check kar lijiye in galtiyo me se konsi galti aap kar rahe hai, or jitna jaldi ho sake unko tikh kar lijiye.
Baki aap yaha bhi jarur read kare, 50+ Blogging Mistakes jo Sabhi New Blogger karte hai jisse aap unn galtiyo ko naa dohraye.
wordprees is easy to use for everyone
Nice