Isme koi shaq(doubt) nahi ki jada tar blogger sirf paise kamane ke liye blogging karta hai. Par kuch hi aise bloggers hote hai jo isme success ho pate hai. baki bache blogging chhod dete hai. Jiska main reason apne blog se income na hona hota hai.
Lakin kya aapne kabhi socha hai, ki jitne bhi successful bloggers hai unki success ka raaj (secret) kya hai? Woh apne blogs se income kaise kar rahe hai? Or woh aisa kya karte hai jiski vajah se unke articles search engine me high ranking position par show hote hai per apke kyu nahi?
Agar apke mann me bhi aise sawal hai toh aaj me aapko blog se income generate na hone ke inhi reasons ke bare me bata raha hu. Isiliye is post ko pura padhe or apne blog ki kamiyo (weakness) ko dur karke paise kamaye.
Aapko Ye Post bhi Jaruri Padni Chahiye:
- New Blogger Blog Se Paise Kamane Me Kyo Fail Hota Hai
- 5 Karan Adsense Se Paise Kamane Me Q Fail Hote Hai Log
Page Contents
Apne Blog Se Income Na Hone Ke Top 5 Reasons
#1: Hamesha Paise Kamane Ke Bare Me Sochna.
Hum sabko pata hai hai ki aaj ke time me blogging karna ek profession ban chuka hai. Or har koi blogging se paise kamana chahta hai. Lakin yeh itna bhi asaan nahi hai ki apne ek blog bana liya or apki income shuru ho jayagi.
Bahut se new bloggers me aisa normally dekha gaya hai, ki woh blogging start karte hi sirf paise kamane ke bare me sochte hai. Yeh bilkul galat baat hai. Kyuki sach yahi hai ki pure world me koi bhi aisi online company ya organisation nahi hai jo aap ko rato raat ameer bana degi.
Agar internet se paise kamana itna hi easy hota toh aaj sari duniya job karne ke bajaye apne computers per online baith kar lakho crore rupees kama rahi hoti.
Apne blog se income karne ke liye aap ko din raat mehnat karni padegi. Logo ko apna talent dikha kar attract karna hoga. Agar aap aisa krne me safal hote hai toh me dava karta hu ki 100% aapko safalta milegi.
- Online Internet Se Paise Kaise Kamaye in Hindi
- Online Teaching (Padha) karke Paise kaise kamaye
- Online Blogging Me Kitne Paise Kama Sakte Hai Uski Limit
- Online Article likh kar paise kaise kamaye
#2: Apne Niche Se Related Sahi Jankari Na Hona
Sirf blog bana lene or super kuch articles likh lene se, yeh sochna ke ab ache paise kama sakte hai, bilkul galat soch hai. Iske liye apne blog ke niche se related sahi or puri jankari hona bahut jaruri hai.
Kis Kis Topic Par Aap Blog bana sakte hai uski jankari yaha hai
Agar apko blog niche(Topic) ki sahi jankari nahi hai. Toh aapke visitors ka ap per se trust nahi banega. Or blog se income karne ke liye traffic kitni important hoti hai. Yeh baat har ek blogger ko achi tarah se pata hai.
#3: Musibato (Hurdles) Ka Dar
Blogging karna koi aasan rasta nahi hai. Jaise jaise din prati din competition badhta ja raha hai. Uske chalte blogging karne wale har shaqs ke raste me aye din musibte ati rehti hai. Aise me bahut se bloggers musibato ke dar se blogging chhod dete hai.
Agar aapko blog se income karni hai toh self confident insaan bne. Agar aap chahe to is duniya me se impossible word ko hamesha ke liye khatam kar sakte hai. Bas jarurt hoti hai positive thought ke sath agey badhne ki soch rakhne ki.
#4: Ek Se Jyada Making Money Networks Use Karna
Bahut se bloggers ek se adhik paise kamane ke options try karte hai. Jo ki ek common mistake hoti hai. Specially aisi galti (mistakes) newbies karte hai. Apne blog ki monetization karne ke liye multiple ads networks use kar lete hai. Jisse kisi ek advertising program per focus karna newbies ke liye asaan nahi hota.
Kuch bloggers adsense jaise popular advertising programs ke sath dusre ads networks jaise chitika, infolinks ets. ki ads lagate hai. Jisse adsense CPC low ho jati hai. Or blog se income kam hone ka pramukh kaaran banta hai.
Blog se income karne ke liye best tarika yahi hai ki aap ek time par ek hi making money product use kare. Agar apko usme safalta nahi milti toh tab hi dusra try kare. Jisse 101% apko success milegi.
- Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye in Hindi
- Revenuehits Ads Network Se Paise Kaise Kamaye
- BidVertiser se Paise kaise kamaye blog or website par
- Infolinks Kya hai Uski Puri Jaankari Hindi Me
- AdF.ly kya hai or Isse Income kaise hoti hai puri jankari payment proof ke saath
#5: Interest Ki Kami
Sirf blogging karne se hi aap paise nahi kama sakte. Iske liye aapka interest logo ki help karne me hona chahiye. Agar aap dusro ki madad karne me interested nahi hai toh apne blog se income karne ka toh sawal hi peda nahi hota.
Ek blogger ke liye blogging me interest ke sath positive energy ka hona bahut jaruri hota hai. Tabhi log apki site per visit karna pasand karege. Blog me traffic sabse jaruri hoti hai. Iske bina apke blogging karne ka koi fayda nahi hai. Or na hi aap blog se income kar payge.
- Long Term Blogging Me Success Hone Ke 17 Tips in Hindi
- Ek Successful Blogger Banane Ke Liye Kya Hai Jaruri
Jaha tak me manta hu, uper di hui kimaiyo (weaknesses) ko dur karke aap blog se income karne me safal honge. Apke iske bare me kya views hai? Comment karke jarur bataye. Agar apke liye yeh post useful rahi ho toh apne social networking sites par jarur share kare.
Ye bhi Aapko Padna chaiye:
agar ek hi tarah ka article wordpress pare ho aur blogger par ho to kya adsense ki cpc blogger.com aur wordpress par alag alag hoti hai.
nahi, aesa kuch nahi hota.
sir mai mayank yadav me ek blogger hun aap mujhe batayen ki me apni wesite ko google ke andar agar (achidunia dalta hun to mera blog aa jata hai agar WWW. AchiDuniaBlogspot .COM dalta hun to nahi aati hai
aapka blog new hai .. aap thoda wait kare.. or google webmaster me dekhe koi error to nahi hai..
rohit sir meri post google jaldi se search engine par nhi daalta aap agar iska solution bataa de.
aay khud se bhi index kara sakt ehai.. uski jankari yahai hai
bahut aachi post hai
sir aapke har ek post kamal ki hai Maine aapke website ka Android app install Kar rakha hai usi se Sikh rha Hun. sir aap bahut aache insaan hai Jo itni aachi jankariyo ko sabhi logo tak pahuncha rahe hai mai to manta Hun ki isase berojgari kam hogi padhe likhe logo ki jinhe net chalana aata hai Thank u sir
Thanks Shashikant ji aapne itne badiya or muje motivate karne wale comment ke liye.. :)
Thanks for such useful information. Very informative Post
Thanks
bahut acchi jankari share ki hai apne thanks.
mujhe bhi apne blog se paise earm karne me dikkat a rahi hai :(
ummid hai aapko isse jarur help milegi..
आप अपनी वेबसाइट से पैसा कैसे कमा लेते हो, और आपकी मंथली इनकम कितनी होती है
adsense se
Sir mera name lovejeet singh hai mene ek kuch mhine purana loptop buy kiya hai me usk window update karna chahta hoon kese karu olzz btayein or ye v btayein ki use fast karne ke klliye window update kese karu or driver ko kese update karu
Brother aap iske liye GOogle par search kare.. aapko infomation mil jayegi.. yaa jisko ye sab aata ho uski help le..
Guest post karne ke liye thank u bro….!
Rohit ji aapke 5 ke 5 points bilkul sahi hai jinme se 2-3 galtiya mene bhi kiya tha jab me new tha but ab me bilkul badal gaya hu jo ki aap hamare HMH fb group me bhi dekhe honge ki mujhe bhi aapki tarah help karna accha lagne laga hai aur meri is think ki wajah se mujhe kaafi accha response, kaafi accha result mil raha hai aur dino din mere pageviews ke sath sath earning bhi badhti ja rahi hai.
ye to bhut achi baat hai.. me aasa karta hu aapko or success milti jaye..
:)
ye post New blogger ke liye kafi help ful hai, but bahut sare achhe-achhe article hai hmh pe , log padh to lete hai,
but flow nahi karte , ye Puri post me gai galti se bada galti hai, hai is post ko padhne ke bad so Jana that mins ignore karna
hame kya sikh naa hai kya nahi wo sirf hamare hath me rhata hai.. to mera kaam hai batana.. ab log usko kese lete hai wo unka kaam hai.. THanks for Comment
bahot badiya information share ki hai apne
Thanks
thank u so much bro guest post publish karne ke liye.
Most WellCome
Bro mene apna domain missingidaes se harpreetkumar.com par redirect kar diya hai. Kya aap meri is guest post me domain ka naam change kar sakte hai please
Hey Brother, mene aapki post update kardi hai..
Bhaiya yadi hm koi post likh kr publish kr de aur bad me seo ke liye sudhar kare to vo apni rank repair karegi google pr
haa par usme thoda time lagega..
thank you very much sir this article is very helpful
Thanks
Hello. Yoest Seo Plugin main Focus keyword kiya hota hai.or kaise Istemal karte hai.
Jispar aap Post likh rahe hai. wo keyword hota hai.
Bro…thanks original size krne se mobile par thik ho gya but computer par pic waisa hi bahot bada show Kr rha h give solution bro I am waiting
aap template change kare