Blogger Me Labels kaise Use Kare Post Category Ke Liye

Blogger ek aesa platform hai jo free to hai hi saath me bhut saral bhi hai. Ham bhut aasani se blog banakar usko chala sakte hai. Blog ko banane ke baad ham uspe apne article daalte hai, par ham jo article blog par daalte hai bo alag-alag category ke hote hai. Blog me bhut aasan hai har Article ko alag-alag karna uski catrgory ke mutabik, Is Post me ham bo hi sikhege.

labels ko blog me kaise use karte hai

Blogger me ham apne Blog ke Post ko Label ke jariye arrange kar sakte hai.

Advertisements

Chaliye jaante hai labels ke baare me bistaar se, or jaante hai kuch koman sabaalo ke jabab

Page Contents

Blogger me Labels kya hote hai

Labels ke jariye ham aasani se apni post ko category me daal sakte hai. Jese maan lijiye aapka jo blog hai aap usme Gaane, Poem, Jokes, SMS bagera daalte ho, To jab aap koi post likh rahe ho to usme kya hai uska label jodkar usko uski category me set kar sakte ho.

Labels ka kya use hai

Jesa ki mene bataya labels ki madad se ham post ko category me set kar sakte hai. Jab koi Visitor hamare blog par aata hai or agar bo sirf Jokes hi padna chata hai to bo Jokes ki label par click karega to us label me hamne jitni bhi post ko rakha hoga bo saari post aa jayegi jayegi.

Kya Faida Hai Labels Se

Labels ki madad se Hamare blog koi bhi achi trha se use kar payega. Ye to aap jaante hi hoge ki har insaan ki soch alag alag hoti hai or uski jarurat bhi alag alag. Label ki madad se jis category ki post usko padna hogi bo aasani se pad payega. Is ka ek or faida hai bo ye ki agar koi visitor aapke blog par aata hai or usko jo chaiye bo usko mil jata hai to bo aage bhi aapke blog par aata rahega. :)

Blog ki traffic badane ke liye kya kare.

Kaise Jode Labels Apni Post Me

Jab ham Post likhte hai to aap dekhoge ki bagal me kuch option hai. unme sabse upar ka option hai Labels

Blogger blog me labels ko kaise jodte hai blog me catogery banane ke liye

  1. Aap jo post likho usme post ka jo label ho, bo daal de. ek se jada label use karne ke liye comma (,) ka use kare.
  2. Jo label phele se aapne use ki hai dusri post me bo aapko niche dikhegi. Aap unpar click karke apni post me jod sakte ho.

Kitne labels bana sakte hai or ek post me kitne jod sakte hai.

Blog me ham kitne bhi label use kar sakte hai, bas use karte samay ye diyaan rakhe ki un label ka koi matlab ho. Agar aap faltu ke label use karoge blog me to isse aapke blog ke visitor ko dikkat hogi, ab muje ye batane ki koi jarurat nahi ki agar apne blog ke visitor ko blog ko chalane me agar dikkat hoti hai to bo dubara aayega ki nahi.

Blog ki ham ek post me 20 label tak jod sakte hai, par me aapse kahuga ki aap jitna ho sake utne kam label use kare post me.

Mere Suggestion Labels ko blog me use karne ke liye

  1. ek label me 3 sabd se jada use naa kare. example: Funny-Jokes, SMS
  2. ek post me 3-5 labels hi use kare
  3. lebel ke jo sabd hai bo aese rkhe jinko pad kar samj sake ki is category me kya hai.

Labels ka Widget Add kare Blog me

Aap ne blog ki post me Labels add kar diye fir bo aapke post ke niche dikegi. agar custom template use kiya hai to label ho sakta ho post ke upar ho. Post me sirf bo label dikhti hai jinko aapne us post me add kiya hai. Hamare blog me Use hui puri label ko blog ke side me dikhane ke liye hame uska widget add karna padega.

Sabse phele apne Blogger ke Dashboard me jaye fir Layout me jaye ab Add new Gadget par click kare or List me se Labels ka widget select karle

blog me labels ka widget ko add kare

Ab labels ki setting apne anusaar kare fir save kar de

labels ki setting ko set karke save karde

Saari Setting karne ke baad apne blog ko khol kar dekhe, kuch is trha dikhega.

blog me labels or labels ka widget

  1. Blog me Post ke side me aap dekhoge ki Aapko aapke blog ki label dikhegi
  2. Post ke niche post me istmaal ki hui label dekegi

Labels ka Link kaise Pata kare

Labels ka link pata karne ke liye label par click kare, uske baad jo page khulega bo us label ka link hoga.

link kuch is prakar hoga

http://Blog-Ka-Naam.blogspot.com/search/label/Label-ka-Naam

*Aap agar menu me kisi category ko add karna chate ho to us label ke link ka instmaal karo.

Ab aapki baari hai muje kuch batane ki, mene is post me bhut se topic cover kiye hai blogger label se sambandit. Aap muje bataiye aapko ye jaankari kaise lagi or agar aap or kuch bhi jaanna chate ho label ya fir Internet se related koi bhi jaankari to comment karke muje bataiye. Muje aapki har mumkin help karne me bhut khusi hogi.

Blogger ki Puri Jankari Hindi Me

Apne Blog ko Google ke Search Me Lane Ke Liye Meta Tag Kaise Jode or janiye kaise Google me Post ko Top par laye

Happy Blogging!

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

145 thoughts on “Blogger Me Labels kaise Use Kare Post Category Ke Liye”

  1. Rohit mujhe batao ki.. mai apne blog ke homepage pe category banana chahta hu.. jaise funny jokes,all jokes,santa banta jokes,shayri… iss tarah ki categories banana chahta hu… visitors ko jo pasand ho wo uspe click kare.. plz mujhe batayen

    Reply
  2. rohit bhai mujhe apni website me online shoping ka option dalna hai jisse mera koi b custumer kisi bhi flower buquet ko jo wo kharidna chata h use chose kre to wo or website ki trha cart m chala jayee

    Reply
  3. Hii sir maine aapke post ko padh kar ek blog banaya hu chapranews24.blogspot.com
    Aur mai ye janna chahta hu kee wordpress kya hai aur mai iska istemaal apne blog me kar sakta hu ya nahi aur sath he sath yeh bhe kahunga ke mai apne blog ke post me image kaha se use karu aur kaise

    Reply
  4. Bhai mujhe ye btao ki lable kese ad krte hai or mujhe ye v btao ki mje pta kese pdega ki log mere post pd rhe hai ya nahi or ye post google pr kb aate hai plz help me

    Reply
  5. hello rohit mai ye janna chahta hu ki maan lo jaise ki koi bhi titel hai or us titel pe bahut si website google par show hoti hai. tho maine apne blogger ko .com mai banaya hai tho mai ye janna chahta hu ki blogger par domain set karna thik rahega ya Worldpress jabab jarur dijiye ga…

    Reply
    • Aarif ji, aap kisi bhi mobile se banaye ya computer se.. sabme ye hi karna hai… bas antar ye aata hai ki mobile ki screen choti hoti hai to purte option nahi aa pate.. or kuch kaam aese hai jo mobile se ho hi nahi sakte.. aap mobile me meri batai gai step follow karke tri kar sakte hai. bese agar website sahi se chalana hai to computer ki jarurat to padti hai. aap Net Cafe se bhi kar sakte ho agar aapke pass computer nahi hai.

      Reply
  6. Mujhe ye btaye..k agar m Samsung k kisi Android set se website banana chaahta hu to Kia nhi ban a sakta. Agar ban sakta h to step k sath jarur btayen

    Reply
  7. Sir mene aapko apnaa guru maana he sar mene blog banaa liyaa he magar aap use ek baar chek kar lijiye please or or kuch foto bhi dale he agar labal ya kisisi me koi galti hui ho to please muje batiyemera blog he. . Mojinophy.blogspot.com

    Reply
  8. sir labal ke liye blog me upar new post par klik karna hota he kyaa agar ha to vahaa par loding bataa rahaa he jo ke jyaada der tak he ab bhi he pleash help

    Reply
  9. Thanx bhai samjh gya apki mehrbani se kya karun bhai dimang bahut se sabal aa jate h ak post ko jab maine edit per click to error12353 kuch is taraha k no aa rahe tha aur close windows likh kar aya lekin bo view nhi huai iska kya matalb ho sakta h bhai

    Reply
  10. Sir main naya blog banaya hai Lenin WO Google pe search Marne pe nhi dikhra usko verify kiya sitemap dala meta tag bhi our robot TeX bhi
    For qu nhi search hora
    Mera dusra sawal ye bhi hai ki me blogpe page ka internal link kasie bnau AUR page post kaise likhu taking WO post page pe dike

    Reply
  11. Bhai aap ne mujhse baat karna hi band kar diya kyn kya naraj ho aur ak baat aur bhai plz mujhe ye bata do ki blog me subse uper jo menu hote h unko kaise set karte h kahane ka matalb ye h ki agar maan lo main apk make money k section me jaun to kebal make money ka hi option khulana chahiye aur ak q ye h ki blog me whtsup me koi apna no meri site k bare me janne k liye kya karun ki koi bhi mujhse whatsup se bhi judh sake plz reply me

    Reply
    • uske liye aap sabse phele apni sari post me labels add kare, post ki category ke hosab se. fir aap labels ki link ko use kar saakte hai, us link me sirf wo hi post aayegi jo aapne usme add ki hai.

      Ab jo link hai uskoLayout me jaa kar link widget ko add kare or usme jo jo link aap chate hai usko add kare.

      Reply
  12. Bhai kya ms.word pe type krke apne blog pr copy peste kr sakte hai ya hame direct blog par hi jakar likhna padega ?…,plz rply..

    Reply
    • Agar aapke pass net connection nahi hai to aap MS Word me likh sakte ho. par jab aap post me paste karoge to image aapko upload karna padega. isliye mera suggection hai ki aap post editor me hi likhe.

      Tip aap ke liye – likhne ke baad turant publish naa kare. thode time baad ya fir ek din baad apni post ko sahi se pade or koi sudhar karna ho to bo kare uske baad publish kare.

      Reply
  13. Bhai thanx apka ab jara aap ak baar meri website ko check kar k bata do ki kya isme koi kami to nhi hai plz bhai ak comment box kaise lagate h ye jarur bata plz

    Reply
  14. Bhai jaise ex. Main apk liye koi cmnt post kar raha hu to mujhe apna email id dalna padhta h aur naam dalana padhata h lekin mere blog per kuch nhi ata h jaise apne post k liye niyam ba sarten bana rakhi ye koi post kare to usko ashani ho

    Reply
  15. Bhai plz help me main blog me ak acha sa postbox jodhana chanhata hun ya aap mujhe ye baata do postbox kaise edit karen plz bhai

    Reply
  16. mai ye janna chahta hu ki ye jo aap ki website per uper

    home , contact, about us, saval javab, blogger
    ye line mujhe apni blog p lane ke liye kya karna hoga,,,,…..
    tell me please…….

    Reply
  17. Sir Maine jo ye site bnayi hai iss per maine sara data copy paste karke dala hai mere ye site education ki hai jaise ki aap jante hai ki bharat me dher sari college hai aur 1-1 ka content nhi bna sakte Aur mere ko ye website bnate hui 2 saal lag gaye data dalte huae Sir iss waqut mere visit 2000-2500 ke bich me hai .kya aap bta sakte hai ki mere ko kya karna chahiye main bahut tension mein hun.main aapse ek rai mangna chahta hun ki main koi aur domain le ker iss website ka uss domain per redirect lga dun.Jisse uski kuch visit uss website per chali jaye .aur main uss naye website per google adsence chalana chahta hun.aur mere 2-3 blogger bhi hai unper daily 200-300 visit aate hai kyaunko bhi usss nayi website per redirect lga dun.mere ko kya kerna chahiye aapjaisa kahenge main maan lunga.aur jaisa aap kahenge step by step chalunga.bhai iss waqut main confusion mein hun.mere ko bahut achaa lga ki aap hindi me answer dete hoo maine ek baar pehle bhi post kiya thaa aap bura naa manna ki main aapko tang ker rha hun dost main haryana ke fatehabad mein rehta hun yahan website ki kisi ko knowledge nhi hai .please mere help karen main aapke answer ka intjar karunga agar mere baaton se aap pareshan hoo too aap bta den main aapko fir kabhi tang nhi karunga.bye

    Reply
    • Aap domain ko dusre domain par redirect last sakte ho usme koi dikkat nahi par agar aapki site par © copyright contact hai to aapke adsense ko apportioned me dikkat aayegi. Me aapko suggest karuga ki aap agar kahi se koi detail copy karte ho to uska link bhi last me de do. Last ne likh kar source fir site ka naam.

      Or ek baat muje aapke sabaal se koi paresani nahi or muje to khusi hoti hai help karne me. Aap bhi meri help kar sakte ho Hindi Me Help ki share kar ke :)

      Reply
  18. hi frend…
    mene aap ki tips&trick padi our achi bi lagi but wo facebook box blog par kese aad kru wo
    aap wali tik try ki thi us me url problam dika rha h mere blogger site pr…………
    and people comment wala blog bi nhi dika rha h…………………

    so halp me pliz

    Reply
  19. dost mere 2 website hai main 1 ko redirect ker k 2 per visit krana chahata hun aur jis per redirect kraunga us per google adsence chalana chahata hun kya aap mere ko adsence kese chalate hai uski sari detail bta sakten hai meine jisse site banwai thi unko adsence k bare mein nahi pta mere site ki total visit daily hai 2000-2500 ke bich mein.please mere ko aap koi rai den mein usse hisab se chalunga .

    Reply
  20. Dost mera Education Portal hai helpuindia naam se mere ko aapki post pad ker achaa laga kya aap bta sakten hai ki ek website ka url dusre website se jodh den too woo kis website ki visit mane jayegi .Mere daily ki 2000 visit hai mera website par bahut paisa laga hai.Kya aap mere madad ker sakte hai dost.kya aap google adsence ke bare mein bta sakten hai aap ki bahut meharbani hogi mein aapke javab ka intzar karunga.aap (Mukesh.dadhich0001@gmail.com)par javab dede mein intzar karunga dost mein manta hun aap bahut busy hoo per please mere madad kar doo meine din raat ek ker ke mehnat ki hai. thik dost intzar karunga aapke answer ka.

    Reply
    • Aapka phela sabaal tha ki 2 website hai usko agar add kardo to kis site ke visitor mane jayege.

      2 website hai A or B hamne B ko redirect kar diya A par to A ke jo visitors hai to total A+B ke Bara bar hoge.

      AdSense ke bare me aapko kya jaanna hai bo bataiye. Kya aapka account hai adsense par ya koi dout hai. Me uske bare me site par post to Dali ga par thoda time lagega.

      And Thanks Hindi Me Help ko aapke help ke layak samajne ke liye. http://www.HMH.pe

      Reply
  21. Sir
    Btemplete se templet download kane ke bad usme pahle se jo catg. Hota hai usko kaise edit kare or link kare

    Reply
  22. Really decent post I simply unearthed your weblog and wished to say that I have genuinely delighted in searching your weblog posts.

    Reply
  23. Sir mujhe Mp3, vedios ,wallpaper, jokes etc ki website bnani h to m usko kaise bna skta hu sir plz mujhe sb kuch details m btaiyega…or uski starting me kitne paise kharch honge or m usse kitni kmai kr skta hu minimum..plz sir tell me in full details…sir….Thanks in advance dear…sir

    Reply
  24. रोहित जी मेरा नाम रामानन्द पाण्डेय है मैं रायपुर छत्तीसगढ़ का रहने वाला हूँ, और अभी सऊदी अरबिया में हूँ, मैंने आपके वेबसाइट से काफी कुछ सीखा है,और आगे भी सीखूँगा, मुझे आपसे ये जानना था की जब कोई पोस्ट हम लिखते है अगर वह लंबा है तो उसे अलग-अलग पेज में कैसे बाटेंगे ? और दूसरा सवाल ये है की 1 पेज लिखने के बाद लिंक कैसे बनाये जिससे की उसके आगे का पेज खुले ?

    Reply
    • Post ko jab aap publish karte ho to aapke post ki link auto matic set ban Jati hai, aap chaho to uski link badal sakte ho. Post likhte samay post ke bagal me aata hai permalink ka option.

      Lambi post ko to koi dikkat nahi. Agar aap ek post ko alag Alag page me dikhana hai to aapko uske liye code add karna padega.

      Or haa thanks jo aap meri site par aaye or muje ummid hai aap aage bhi kuch naya Sikhne ko milega

      Reply
  25. Sir kya blogger se ham paise kama sakte he aur
    Plz kuch btaiye aur paypal me kon sa account banna hota he personal ya fir business wala plz btaiye aur blogger me hum apni address kaise dekh skte he

    Reply
    • bloggerse ham bilkul paise kama sakte hai. or kama bhi rahe hai.

      Paypal me agar aap apne liye account kholrahe ho to personol or agar aapki koi company hai uske liye khol rahe ho to business.

      Reply
  26. Rohit ji mujhe apke blog se bahut halp mili hai mhuje thodi or madat ki jarurat pad rahi hai.mera question ye hai ki main apne blog par clickable heder ya benar kese laga sakta hu jis par click karne par home page khul jaye or ek bat or mene apka tamplet lagya hai usme post ke neche admin ke bare me hai vo kese edit karu please answer me

    Reply
    • Header kya to automatic hi click karne par home page khul Jata hai usme koi edit karna ki jarurat nahi.

      Jo admin ke baare me hai usko edit karne ke liye new tab me Blogger ke template ko kholo or edit karo.
      Abhi jo likha huaa dikh raha hai usko copy karo fir jo template ka code hai usme usko search karo fir usko hata kar aao jo likhna chate ho bo link do. Jo abhi image hai usko bhi badal sakte ho, usse ke liye uski link change karni padegi

      Reply