Blogger.com A to Z Important Setting in Hindi

Blogger.com par Free Blog kaise banate hai wo to aap jante hi hoge, q ki wo bhi utna hi aasan hai jitna aasan Facebook Account banana.. Par agar aap Blogger par Blog Start kar rahe hai to Starting me Blogger Basic Setting karna bhut jaruri hai, jisko bhut log ignore hi kar dete hai.

To agar aap Blogger Blog start kar rahe hai to usko use karne se pehle ye settings jarur kare.. or agar aapka Blog pehle se hai or aapne ye setting abhi tak nahi ki hai to abhi kare, jisse aapko apne Blog ka sahi result mile.

Advertisements

Page Contents

Blogger Blog A-Z Setting Step by Step

Step 1: Basic Setting

blogger basic setting kare blog start karne se pehle

  1. Blog ka Title set kare jo bhi aapki website ka naam hai.
  2. Blog Description me likhe 160 Words me, ki aapka Blog kis ware me hai.
  3. Blog ko Search me dikhana hai ke nahi, wo yaha se set kar sakte hai.. Pura Blog jab tak ready naa ho isko disable karke rakhe.. or jab Blog pura set ho jaye to inko allow karde.. taki search engine Blog ko Index karke search me dikha sake.
  4. Blog ka address hai wo yaha se set kar sakte hai, agar aap Free Address use karte hai to .blogspot ke sath blog open hoga.. Agar aap apna Khud ka Domain add karna chate hai to uski jankari yaha hai, jisme mene bataya hai Blogspot Blog me Domain kaise setup kare.
  5. Blog ki security ke liye HTTPS enable hona bhut jaruri hai, ye ek Ranking factor bhi hai jisse rank me fayda milta hai. Aap Isko Enable jarur kare.. Blogger me HTTPS kaise set kare uski detail me jankari yaha hai.
  6. Blog ke Author or unke Email yaha se manage kar sakte hai.. aap chahe to ek se jada author bhi add kar sakte hai. Yaha aapke liye ek Tip hai, Blog ki security ke liye aap wo Email kisi se share naa kare or public use ke liye dusra Email use kare..
  7. Agar aap Apne Blog ko Public karna chate hai ki koi bhi open kar sake to isko Public hi rehne se.. ya fir aap chahe to isko change bhi kar sakte hai, jisse sirf wo open kar payege Blog ko jinke pass iska access hoga.

Step 2: Post, Comments and Sharing Setting

blogger comment post sharing setting kaise kare

  1. Home par Par Blog ki kitni post dikhana hai wo set kare.. suggestion hai 10 se jada naa kare nahi to Blog load hone me time lagayega.
  2. Archive kitne time me karna hai post ko wo select kare.. monthly hi rahega, baki aap kuch bhi kar sakte hai.
  3. Post Template me aap kuch bhi Code ya Text add kar sakte hai, jisse jab bhi aap New post add karege automatic usme ye code aa jayega.
  4. Image par Click karne par popup me open ho agar aap aesa chate hai to isko Yes kar dijiye.
  5. Comment Box ki kya location rakhni hai wo yaha se set kar sakte hai.. agar post ko niche hi comment box chaiye to Embedded rehne de.
  6. Blog par comment kon kon kar sake uske liye set kare.. agar aap chate hai koi bhi comment kar sake to anyone select kare.
  7. Comment karne ke baad turant post me show ho ya hamare apptove karne ke baad wo select kare.
  8. Agar Bhut sare Spam comment aa rahe ho to Word Verification bhi on kar sakte hai, jisse comment karne ke baad wo verify karna hoga jab comment post hoga.
  9. Comment Form ke sath message bhi show karna hai to wo yaha set kar sakte hai.

Step 3: Email Setting

blogger email setting kaise kare

  1. Email send karke Direct Post karne ke liye yaha set kare.. iski puri detail yaha hai, jisme mene bataya hai Direct Email send karke Post kaise kare.
  2. Koi agar blog par comment kare, uska notification email par aaye uske liye yaha set kar sakte hai.
  3. Email se Post karne ke liye aap 10 Email add kar sakte hai.

Step 4: Language and Formatting Settings

Blogger language or Time set kare

Yaha aap ek ek option ko check kare ki sahi Format or sahi language select hai ke nahi, uske baad save kare.

Step 5: Blogger Search Preference Setting

Blogger Search Preference Setting kaise kare

  1. Meta Description likhe jo Google me search karne par website ke niche dikhai dekha, yaha aapko 2 line me batana hai ki aapki website me kya hai.. taki koi bhi usko read karke aapki website me kya hai wo samaj sake. Meta Tags kaise add kare, uski detail yaha hai.
  2. Agar koi aesa link open ho jo aapki site me nahi hai, to waha kis trha ki 404 error show ho uska code yaha set kar sakte hai.
  3. agar aapne kisi URL ko change kiya hai ya koi aesa URL hai jinko aapko dusre kisi URL par redirect karna hai to wo aap yaha se kar sakte hai.
  4. Google Search Console me blog ko yaha se direct add kar sakte hai.. Mene iski Detail post likhi hai kaise Blogger ko Google Search Console me add kare.
  5. Robot.txt wese to default bhi tikh hai, par agar aapko iski achi jankari hai or aap uski setting me kuch change karna chate hai to yaha se kar sakte hai.. Me aapko suggest karuga agar aapko uski sahi jankari nahi hai to iss setting me kuch bhi change naa kare. Blogger Robot.txt kaise set karte hai uski jankari yaha hai.
  6. Header Tags add karna ho yaha se set kare.. sirf jab uski sahi jankari ho jab.. warna aapka Blog Search se remove bhi ho sakta hai, galat setting karne par.
  7.  Agar aap apne Blog me Adsense ads use karte hai to uska Ad.txt code yaha add kare..

Step 6: Other Setting

blogger other setting kare use start karne se pehle

  1. Blog ka Backup or Comment-post ka backup yaha se le sakte hai.. Sefty ke liye ye bhut jaruri hai ki time to time Backup liya jaye taki kabhi kuch gadbad ho jaye fir bhi site me kuch naa ho. Blogger Backup kaise lete hai uski jankari yaha hai.
  2. Blog ko delete karna hai to yaha se kar skte hai.. Delete karne ke baad 3 mahine tak wo Delete ke folder me rehta hai.. jaha se undelete bhi kar sakte hai Blog ko.
  3. Blog ki Feed ko agar customize karna hai to yaha se kar sakte hai.
  4. Blog me adult content to nahi hai uske according select kare.. agar adult content hai to blog ko open karne se pehle ek warning aati hai.

Step 7: User Setting

blogger user setting kare

  1. Blog me author ki Profile konsi set karna hai wo select kare.. yaha Google+ band hone wala hai isliye Blogger hi select kare.
  2. Blogger.com ki language agar English ke aalaw Hindi me use karna hai to wo aap yaha se set kar sakte hai.

At Last:

To Janab ab aap samaj chuje hai kaise or Kya kya Blogger ki setting karni hai or kisse kya hoga.. To last me wass yahi kehna chahuga ki puri setting karne ke baad hi Blog ko use karna start kare..

Agar aapka Blogger se related koi bhi sabal ho to aap comment karke jarur puche.. or Blogger ki Puri jankari ke liye yaha jaye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

56 thoughts on “Blogger.com A to Z Important Setting in Hindi”

  1. Sir mai blogger me abhi naya hu, aur maine blogging karna abhi suru kiya hai. mere leptop me blogger ka puran wala blog khul raha hai. naya wala jo update huwa hai wo nahi hai. esliye mujhe es blogger me sare settings, tools. ko samjhne me bahut paresani ho rahi hai…..sir plz meri help kijiye mai ye kaise karu…..plz reply kare mere msg ka sir……………. thank you

    Reply
  2. blogger me new blog ko google search console me submit krne ke baad kitne din me wo google me show hone lgta h

    site k url se search krne pr b nhi aa rha to kitne din me blog index hota h google me

    Reply
  3. Hello Rohit Bhai
    Mera name Dev Prakash hai or aaj main blogger a to z setting kya but mera
    General user profile par blogger nhi bat raha hai kya karu
    Plz answer me

    Reply
  4. Hi sir , mujhe Apne blog me ek problem aa rhi hai please help me…
    1. Mera blog blogger pr hai aur custom domain Liya hua hai but ab https enble nhi ho rha hai.
    2. Aur na hi blog open ho rha hai

    Reply
  5. हेलो सर मेरा नाम राहुल है और मैं भी Techloaded.in नाम का ब्लॉगिंग साईट का उपयोग करता हूं और मैंने इसमें hostgotor का डोमेन इस्तेमाल किया है, इसलिए सर इसमें मेरी यह समस्या यह है कि जब मैं अपनी साइट को techloaded.in से खोलता हूं तो साइट कनेक्शन टाइमआउट बताता है लेकिन मैं इसे Techloaded.blogspot.com से खोलता हूं, तो यह खुलता है, कृपया सर मेरी मदद करें
    धन्यवाद

    Reply
  6. jandgi me bhahut taflik aye gi magar tum use harmat mana q ki success to meti he try try and try but don’t carry

    Reply
  7. Bhai mere blog pr 2500 visotor per day ke the kal dophr se poora traffic khtm ho gya hai 90% khtm hua hai jo bhut se page top pe rank krte the vo sabhi bhut neeche ja chuke hai bhai please btao kya kru

    Reply
  8. hello bhai, me apne blog ka domain name change karna chahta hu to kiya us se mere agale domain name wale blog k link ko koi asar padega …? kiya sabhi jagah mujhe ye naye nme wala web adress fir se add karna hoga..? adsence par iska koi asar padega..?

    waiting for your kind rply bhai..

    Reply
  9. Sir me ek website bana rehi hu me us pr motivational quotes likhna chati hu sir agar hum apj abdul kalam sir ke quotes likhe or name bhi mention kare to koi copyright to nahi hoga aisa karna safe rehega

    Reply
  10. Hello bro ! mujhe apki post bahut acchi lagti hai. lekin meri ek query hai, maine pichle mahine hi blogging start ki hai lekin jab bhi mai koi article publish karta hoon toh woh website par blur ya dhundla sa dikhta hai aisa kyun hai, kya aap bata sakte hain ?

    Reply
  11. बहुत अच्छी जानकारी। मैंने पहले ब्लॉगस्पोट पर ब्लॉग चलाया है। पर ये मुझे हमेशा से कुछ कठिन लगता है। लेकिन आपके बताए पूरे तरीके से ब्लॉगर पर ब्लॉग बनाना और चलाना आसान हो जायेगा।

    Reply