Blogger Post ke Bich Mein Adsense Ads kaise Lagaye kahi bhi

Hello Blogger Adsense kya hai or usse kaise paise kamate hai blog par wo to aapko pata hi hoga.. Adsense se jada earning karne ke liye hame ads ko aesi jagha lagana hota hai jada visitor uspar jada click kare or wo jagha hai Post ke bich me.

Agar Adsense se jada earning karni hai to aapko adsense ke jo ads hai wo post ke bich me lagana hoga. aapko ye bhi jarur padhna chaiye ki akhir Q Fail hote hai adsense se paise kamane me log

Advertisements

Agar aapka Blog WordPress par hai to aapko bhut se plugin mil jayege jinki madad se aap adsense ke ads kahi bhi laga sakte hai. jese Quick Adsense. par agar aapka blog Blogger par hai to ye Tutorial aapke liye hai jisme ham dekhege, Kaise Adsense ke Ads ko Blog Post ke Bich me kahi bhi lagaya jata hai.

Agar aapne abhi apne blog post me ads lagaye hoge to aapne ye kiya hoga ki jo Ads ka code hai usko Post ke HTML me dala hoga, ham aese bhi kar sakte hai par isme hame war war code ko copy karke dalna padta hai jo bhut matha pachi wala kaam hai. Chaliye dekhte hai kaise Ham Badi aasani se Adsense ads jaha chahe waha kaise laga sakte hai badi aasani se.

Ye Bhi Padhe:

Blogger Post ke Bich me Adsense Ads kaise Lagaye kahi bhi uski jankari

Adsense Ads ko Post me Kahi bhi Lagane ke liye kya kare

Ab aapko simple muje follow karna hai or jese jese me kar raha hu aapko karna hai.. Yaha ek baat diyan rakhe ham blog ke template me kuch code edit karege to ye sab kaam fresh mind se hi kare.. Chaliye start karte hai.

Step 1: Sabse Phele blogger.com me login karne ke baad Apne blog ke deshboard me jaye, fir Template ke section me jaye.

Note: Template edit karne me ho sakta hai kuch gadwad ho jaye isliye phele template ka backup jarur lele.. Kaise lete hai backup uski jankari yaha hai.

blogger template ko edit karne ke liye kya kare uski jankari

Step 2: Template ke section me aane ke baad Edit HTML par click kare.

Step 3: Ab Editor me Click karke Ctrl+F dabaye or fir ye code search kare

<data:post.body/>

blogger template me code ko search kare

Step 4: Ab Code ko search kare template me. ye jo code hai wo bhut war ho sakta hai aapke template me, jo 2nd number par hai usko select karege.

Note: Agar 2nd wala code kaam naa kare to 3rd wala code hai template me usko use kare.

Step 5: ab hamne <data:post.body/> search kiya tha usko replace karna hai hamare new code se.

1: Sabse Phele top Adsense ke Code ko encode kar lijiye niche diye tool ki madad se or fir usko kahi notepad me save kar lijiye.

Adsense Ads Code Convertor


Blogger
Blogger

Code ko convert karke niche jo code diya hai usme jaha likha huaa hai <!– Adsense ka jo Code hai usko yaha dalna hai –> us jagha par apne adsense ke convert code ko dale.

code ko add kare main code me

<div expr:id='"adsmiddle1" + data:post.id'></div>
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'>
<b:if cond='data:blog.pageType != &quot;static_page&quot;'>
<div style="clear:both; margin:10px 0">
<center>
<!-- Adsense ka jo Code hai usko yaha dalna hai convert karke -->
</center>
</div>
</b:if>
</b:if>
<div expr:id='"adsmiddle2" + data:post.id'>
<data:post.body/>
</div>
<script type="text/javascript">
var obj0=document.getElementById("adsmiddle1<data:post.id/>");
var obj1=document.getElementById("adsmiddle2<data:post.id/>");
var s=obj1.innerHTML;
var r=s.search(/\x3C!-- adsense --\x3E/igm);
if(r>0) {obj0.innerHTML=s.substr(0,r);obj1.innerHTML=s.substr(r+16);}
</script>

Step 6: jo Code hai usme adsense ka encoded code add karke ab hamne jo code search kiya hai template me <data:post.body/> uski jagha replace karna hai code ko fir template save karna hai.

blogger template me code ko replace kare new code se

Step 7: Ab Jab bhi Post likhe to post likhne ke baad Post Editor ke HTML View me ja kar hame jaha bhi adsense ke ads dikhana hai waha ye code dalna hai.

<!-- adsense -->

post me jaha ads dikhana hai waha code add kare

Note: Agar aap ye Short Code use nahi karege Post me to jo Ads hai wo Title ke niche automatic dikhne lagega.

To Firends is Trha aap badi aasani se Apni Blogger ki Bog Post me jaha chahe ads laga sakte hai or apni earning badha sakte hai.

Mene is Post me bataya ki aap adsense ke ads aese kahi bhi laga sakte hai par agar aapke pass kisi or company ke ads hai to aap unko bhi aese hi laga sakte hai.

To Friends aapko ye jankari kesi lagi comment karke jarur bataye or agar aapko kahi koi dikkat aa rahi hai to aap comment karke wo bhi bata sakte hai..

Ummid hai aapko is jankari se jarur faida milega..  :) Happy Blogging

Ye Bhi Padhe:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

92 thoughts on “Blogger Post ke Bich Mein Adsense Ads kaise Lagaye kahi bhi”

  1. Aapki jankari to best hai bro…

    Mane ek bat try kiya tha is mrthod ka lekin ads show nahi huva tha.

    Tab maine har post me code add kiya huva tha pehle se

    Reply
  2. sir aap code box ke liye crayon syntax plugin use karte hai. but mai bhi yahi use karta hun. lekin meri code copy nahi hota jab mai copy paste protect karta hun.
    kya aap bata sakte hai ki copy protect blog par code box ke code ko copy karwane ke liye kya kare

    Reply
  3. Rohit ji jo hamare pichali articles honge usme to post ko edit karke code dalana honga. Fir to bahut time lag jayega. kya ek sath sabhi articles ke bich me ads nhi laga sakte hai kya .

    Reply
  4. Sir apne jo bh kaha vo mane sab kiya usme sirf post ke niche hi ad dikhai de raha hai , par apne jo bataya ki is ko post me html me jakar dalna hoga manine vaisa kiya par vaha par ad nahi dekhai de rahi hai

    Reply
  5. code jaha paste kar raha hu waha nhi dikha raha hai bus upar or niche dikha raha hai
    or mera post search nhi ho raha hai tital bhi nhi search ho raha hai

    dekh kar bataye plz or post ke beech me bhi add show nhi ho rAHA

    Reply
  6. Dear Sir ! Maine apne blog ke liye .com domain purchase kiya hai. Aur Ek free Responsive template maine blogger par dala hai. Hosting Blogger.com par hi kr rha hu.

    Ye sab karne ke pahle mera blog thik thaak chal rha tha aur Ads bhi show ho rhe the. Lekin Domain Purchase karne aur Free Template upload krne ke baad Ads hi gayab ho gaye hai. Lekin preview me show rha hai. Aaaj 1 week ho gya hai lekin Ads show nhi ho rhe hai. Please Suggest me.

    Reply
  7. good write post thanks for share this post check my website suvas75.com and mobile repairing course in hindi full guide mobile75help.blogspot.com please check my ads placement and site problems

    Reply
  8. sir phely ma softwares ab upload karta tha par ab manay khud urdu ma article likhana start kar dia hia kya ye thek hai or adsense ab apporve ho jay ga ya nhe

    Reply
  9. sir mein ms word me hindi post likhta hu. but jab maine blog par copy paste kiya to wah hindi font show nhi ho raha hai,
    aur bataye ki hindi font me blog par post kaise likhe,

    Reply
  10. sir mujhe hindi me post likhni hai iske liye koun software laptop me tik rahega,aur blog par hindi me kaise likhe,
    google adsense sign up kiye bina kis chij ka ads laga sakte hai,

    Reply
  11. sir isme <data:post.body/> ki jagah code ko replace karna hai ya fir <data:post.body/> kr uper paste karna hai and one more sir ki apne btaya ki ki jagah hr post me ads dalna hai ??

    esha nhi hai ki sir template me ek baar code dalne ke bad auto hi hr post ke bich me ads show ho jaye

    Reply
  12. Thank u bro , ap ne bhut umda treke se smjhaya hai , par ye bhi zara post ko update kar den , link text code kaise add kare post mein ,

    Reply
  13. bro… mujhse nhi pa rha bdi problem aa rhi hai…. ek to ye btayen ki agar mujhe apni post me 3 add lgani hai to tino ke ad code kese genrate karke aage kese kese usme add kru blog me or jo aapne lasr me btaya ki post dalne ke doran jhan jhan aapne add lgani hai vhan adsense likhe to ye bhi clear nhi hua,,,,,hal kre… bda tension h eski… koi or viewer btaye to bhi or badhiya

    Reply
  14. Bhot hi badiya jankari diya hai aapne rohit ji
    Aapke is aarticle se hume Apne blog me
    Or jyada work karne Ko miliega or ad templates ek bar lagane se hi Sab post me
    dikhay dega

    Reply
  15. Sir meri ek problem hai me post title ke neeche image ads use karta hun lekin woh mobile par pura display nahi hota aap ek baar mere blog par check karke bataye sir

    Reply
  16. रोहित सर अपने पोस्ट के बीच मे जो Html Code बॉक्स Add किया है वो कैसे Add करते हैं क्या मुझे बता सकते हो और क्या अपने इसकी कोई पोस्ट भी लिखी है अगर लिखी हो तो उसकी लिंक मुझे दे दो या मुझे बता दो कैसे add करते है Code box.
    ध्न्यबाद !

    Reply
  17. रोहित जी आपने .gif image use करके आर्टिकल को बहुत आसान बना दिया धन्यवाद आपके इस पोस्ट के लिए

    Reply
  18. Thanks sir…. Ak jankari chahiye ydi home page me 3 text aur 3 image ad h. Tab ok h.. fir post ke bich me maine 2 text ya image ad lga diya to fir total ad kitne count honge . Please clear karenge sir..

    Reply
  19. hello Rohit ji Maine adsense ke liye apply kiya hai or jab adsense account login karta hu to adsense Status active, bata raha hai kya mera adsense account approved ho gaya hai ya approve hona baki hai. please check karke bataiye ki ads show ho rahe hai ya nahi Maine ek ads lagai hai. please..

    Reply
      • Rohit ji kya meri site approved ho jayegi or Maine ads lagaye hai magar show nahi ho rahe hai please check karke bataiye. aj 9 day ho Gaye hai meri website check karke bataiye ki or kya add change karna hai.
        mobile75help.blogspot.com

        Reply
  20. Bro aapne jo trick batayi woh kaafi achhi lagi lekin ek doubt hai ki jo aapki trick hai usse hum ek hi type ke ad laga sakte hai. Jaise ki main post mein image ads aur link ads dono use karta hu toh maan lo aapki trick ko image ad ke liye use karta hu toh link ads ke liye toh mujhe post mein code daalna padega. Any solution ?

    Reply
    • warning mili thi.. mene ek post dali thi jisme adult site ko india me block kiya tha uski jankari thi.. par adsense ko laga ki me un sites ki jankari de raha hu.. to muje warning mili ki me usko hata du..

      Reply