Agar aap blogging karna chahte hai or apni Blog/website banana chahte hai to ho sakta hai aap confuse ho ki Blogger par apna blog banaya ya WordPress par, To Tension naa le me aapko apne Experience se aapko bataunga ki konsa Best hai or Q taki aap aasani se decide kar paye aapke liye konsa sahi rahega Blogger ya Wordpress apna Blog/Website banane ke liye.
Sabse phela jo Question hai wo ye ki Aap website/blog banana q chate hai, uske bhut se karan ho sakte hai jese Online Paise Kamane ke liye, Aapka jo Talent hai usko duniya se share karne ke liye, ya kuch bhi..
Me aapko har Point par Compare karke aapko bataunga ki konsa Platform sahi hai or Q taki aap apni Jarurat or Condition ke hisab se select kar paye ki aapko kis par apna blog/website banana hai.
Page Contents
- Janiye Blogger Ya WordPress kon hai Best or Q
- #1: Use karne me Aasan kon hai Blogger or WordPress
- #2: Price – WordPress VS Blogger
- #3: Jada Feature kisme hai Blogger ya WordPress
- #4: SEO Friendly kon hai jada Blogger ya WordPress
- #5: Secure kon hai Blogger ya WordPress
- #6: High Quality wali Website kispe ban sakti hai Blogger ya WordPress
- Conclusion
- Table Blogger VS WordPress
Janiye Blogger Ya WordPress kon hai Best or Q
#1: Use karne me Aasan kon hai Blogger or WordPress
Agar aap New hai or aapko technical knowledge kam hai to aapko blogger ko use karne me koi paresani nahi aayegi q ki isme aapko koi bhi aesa technical kaam jada nahi karna.. sirf thoda sa hai wo bhi Menu add karna jesa chota mota kaam..
WordPress use karne ke liye thoda technical knowledge hona jaruri hai.. Q ki isme hame WordPress ko hosting me install karna hota hai or uske sath sath kuch technical terms bhi aa jati hai.. par agar aap unke bare me search karege to aapko unke tutorial bhi mil jayega..
Simple Sabdo me kahu to Blogger me Blog banane me aapko koi error ka samna nahi karna padega.. or normal jese facebook account banate hai utni hi aasani se aap blogger par apna blog bana sakte hai par WordPress me ye process thodi si complicated hai..
#2: Price – WordPress VS Blogger
Blogger bilkul free hai or usme hame ek rupaa bhi nahi denaa.. matlab ham bina kharch ke apna Blogspot Blog bana sakte hai.
WordPress bhi open source software hai par hame wordpress par blog banane ke liye hosting kharidni padti hai jisme paise lagte hai.
WordPress Site me kitne paise lagte hai or kaha kaha uski puri jankari yaha di hui hai.
#3: Jada Feature kisme hai Blogger ya WordPress
Agar aap blog par article dalte hai to itna kaam dono par aaram se kar sakte hai, par agar aapko jada feature chaiye to wo aapko wordpress me milege or blogger me jo features hai sirf unko use kar sakte hai par khud se kuch naya add nahi kar sakte..
WordPress me ham plugin install karke uske features ko bada sakte hai.
#4: SEO Friendly kon hai jada Blogger ya WordPress
SEO yani Search Engine Optimization ki baat kare to dono hi barabar hai, q ki search me post ko lane ke liye jaruri hai
or Sab chije dono me ho jati hai or unme koi antar nahi hai.. to ye khene galat hoga ki ek jada SEO Friendly hai or dusra nahi..
Par Wordpress me jesa ki mene bataya ham isme extra feature bhi add kar sakte hai.. to unhi me se ek ham Yoast Plugin, jiski madad se Keyword set karke post likh sakte hai jisse hame automatic pata chal jada hai ki hamare keyword ki density kya hai post me jisko ham target kar rahe hai..
Keyword Density kya rakhni chahiye post me jo SEO ke hisab se sahi ho uski jankari bhi mene di hai.
To agar simple kaha jaye to SEO ka dono me koi fark nahi hai par SEO karne me WordPress me ham Plugins ka istemal kar sakte hai.
#5: Secure kon hai Blogger ya WordPress
Security ki baat kare to puri duniya me pura 100% secure to koi bhi website nahi hai.. Government Sites tak hack ho jati hai.. Hacking se apni site ko bachana hai to sabse main hai jitne bhi security badane wale kadam hai wo ham uthaye.
Blogger par blog banane ke liye hame simple hamare Gmail ID se login karna hota hai uske baad ham blog bana sakte hai.. par WordPress me hame bhut si configuration karni hoti hai or agar kahi kuch hamare hath gadbad ho jaye to hacker ke liye aasan ho jata hai hamari site ko hack karna..
Khene ka matlab hai agar ham security ke sare kadam tikh se uthaye to hack karna kisi ke liye itna aasan bhi nahi hai..
Aap WordPress me Security ko or jada badane ke liye Plugins use kar sakte hai.. jese Wordfence..
Blogger site ko hack karna itna aasan nahi hai, agar compare kare wordpress site se.. Blogger ki security badane ke liye aapne jis Gmail se blog ko banaya hai wo kisi ko naa bataye or apna main email alag rakhe to kisi ke liye apni site ko hack karna ek tarike se impossible hi hai.. Blogger blog ki security kaise badhaye uski or jankari mene pehle share ki hai agar aapka blogger par blog hai to unko jarur read kare.
Also Read:
#6: High Quality wali Website kispe ban sakti hai Blogger ya WordPress
EK Normal Website jiska badiya design ye banana to dono par hi aasan hai par agar aapko ek aesi website chaiye jisme bhut se features ho to aapko wordpress hi select karna padegaa.. Blogger par ham jda extra kuch add nahi kar sakte..
Blogger me design ke liye to ham usme bhi badiya Blogger Templates ko upload kar sake hai.
Conclusion
Jesa ki aapne dekha dono hi platform lagbhag barabar hai kisi me kuch acha to to kisi me kuch.. Par ab aapko andaja to lag hi gaya hoga ki aapko kis par apni site banana hai..
Mera Suggestion hai Agar aap New hai to aap Blogger par apna Blog banaye Q ki ye aasan hai or Free bhi or fir aesa to hai nahi ki agar aapne Blogger par blog banaya to aap usko WordPress par transfer nahi kar sakte.. Blogger ko WordPress par kaise transfer karte hai uske bare me mene detail me bataya hai to aap jab chahe ki yaar thode jada features chahiye muje or me unke liye thode paise bhi kharch kar sakta hu to aap sift kar lijiye.
Blogger Q hai sabse Best uske 13 karan yaha hai
Table Blogger VS WordPress
Blogger | WordPress | |
Aasan use karne me | 1 | 0 |
Paise kisme kam lagte hai | 1 | 0 |
Jada Feature | 0 | 1 |
Security kiski jada hai | 1 | 0 |
SEO ke liye Acha | 0 | 1 |
High Quality Website | 0 | 1 |
Total Points | 3 | 3 |
To Dosto ab aapko clear ho gaya hoga, ki kon Best hai Blogger ya WordPress.. iske alawa bhi agar aapka koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai or aapko ye jankari kesi lagi wo batana na bhule.
Sir..blogger me hosting kharidna padtaa he ki nai ? blogger me kharida huwa domain wedpress pe kaam karega ki nai ?
blogger me kuch nahi kharidna padta.. wass domain add kar sakte hai.. wordpress me hosting hona jaruri hai..
Sir..blogger me hosting kharidna padtaa he ki nai ? blogger me kharida huwa domain wedpress pe kaam karega ki nai ?
Domain aap kahi bhi use kar sakte hai.. par agar aapko wordpress par blog banana hai to histong bhi chaiye.
Sir,mujhe apki y jankari bohot achi lgi thanks sir….
Ek help chahye kya aap bata sakte hai ki kis tarh blog start kiya jata hai kya kya karna padta hai Blog ke bare me muje kuch bhi nhi pata Aap puri jankari yaa muje bata sakte hai… please please
aap yaha dekhe
blogger best he usse koi improvment ki jarurat nahi he. google ne blogger ko bohot assan banaya he aur free me kiya chahiye
blogger pehle se hi best he. aur usne blogger ko aise banaya he ki koi bhi new blogger usse use kar sake blogger use me bohot asaan he. aur baat rahi wordpress ki to wordpress free nahi he uppar se chalane me bohot mushkil he. aur google ek bohot badi company he. aur bohot professional he usse pata he ki blogger me kiya karna he aur kiya nahi.
ahi kaha aapne.. par jinko thodi jankari hai or jada option chaiye to wordpress.. par starting ke liye blogger hi best hai
Rohit bro apne ye nhi bataya ki wordpress me godaddy ka domain kaise add kare . please bataye meri email kuldeeprai0005@gmail.com
bataya hai.. aap wordpress par site kaise banaye wo wala article read kare
hello bhai maine godaady se domain purchase kiya aur apne blog me add kar liya but wo abhi show nhi kar rha hai mai kya karu
Kuch TIme me show hone lagega.. thoda time lagta hai udate hone me.
Sir blogger or WordPress ki post ko direct fb page or group mein kaise lagaye
sir main apni site ko acchi tarah se bana nahi pa raha hu please sir meri site alltrickclub.blogspot.com ko check karke bata do ki mujhe ab kya karna chahiye please sir …………….
Acha h sir
Sir Mai bahut confused hu, muze bataiye ki, agar hamare pas 2 blog hai, ek english and ek hindi. agar ham dono blog me same post likhte hai, lekin uski language alag-alag rahegi, lekin use translator se check kiya jaye to dono blog ke post same dikhai denge, agar aisa likhte hai to koi problem to nahi hogi na. aur haa wo dono blog ke post mere dware hi likhe honge. kahi se copyright nahi honge. kya aisa karne se kuch problems to nahi hongi naa.
Please Rohit sir, Muze aapka jawab chahiye, Mai aapke jawab ka wait karunga.
nahi bilkul bhi koi problem nahi hogi.. aap bilkul kar sakte hai bina tension ke,…
WordPress accha hain, lekin agar kisi ko technical knowledge kam hain to main use blogger prefer karunga.. kyo ki blogger ko use karna thoda aasan hain
haa ye sabse bada difference hai dono me..
इतनी बढ़िया पोस्ट के लिए धन्यवाद भाई और सबसे बढ़िया बात ये है की आप ने हर कमेन्ट करने वाले को अहमियत दिया है जो की जिससे आपके अच्छे और महान ब्याक्तित्वा की पहचान होती है. मुझे इससे बहुत खुसी हुई धन्यवाद
Thanks Pramesh ji.. Aapke comment ke liye..
very nice article dear..
awesome bro kya khub samjhaya h apne
Thanks
Rohit Sir WordPress plug in kya hai
blogger me jese widget add karte hai .. kuch bhi feature add karne ke liye wese hi wordpress me plugins hai jinki madad se lagbhad sare kaam ho jate hai.. har kaam ke liye plugins mil jati hai.
Hello Sir,
मैंने अपने ब्लॉग पर आपके लिए एक बहुत विशेष आर्टिकल लिखा है |
अगर कोई गलती या अपडेट करना हो तो मेरे साथ शेयर कीजियेगा |
धन्यवाद sir .
Please sir visit my blog post
{ Top 5 Indian Hindi Blogs टॉप के भारतीय हिन्दी ब्लोग्स }
https://hindinx.blogspot.in/2017/02/top-5-indian-hindi-blog.html
Thanks muje aapki post me feature karne ke liye.. n aapne jo usme likha hai 1 year tak muje nahi pata tha.. actually wo 2 year hai..
Thankyou Very much .. :) HMH ko aapke blog me feature karne ke liye..
nice post rahul g
hello sir maine ek new website banaya hai please check karke bataiye kaisa hai…
website– supportmysite.in
new bloggers ke liye kaafi helpful info di aapne
Nice post, WordPress blogger se kai guna achcha hai.
yah seo optimised hai.
isme easily modification kar sakte hai.
aur bhi bahut kuch, jise asani se kar sakte hai.
Haa, issi karan WordPress next level blogging ke liye best hai..
rohit sir me aapka blog daily read karta hoo mene bhi ek apna blog banaya hai aap jara dekhkar bata dijiye ki mujhe or kya karna hai
Badiya site banai hai aapne.. Par aapke liye ek suggestion hai. Agar aap Google adsense use karne ka sochege to nahi kar payege. Q ki aapne games ko free me download ki link di hai. To illegal hai.
nahi bo to mene pahle try kiya tha or abhi me adsense use karne ki soch bhi nahi raha hoo mujhe pahle apni site ke traffic par dhyan dena hai bese me aapko thanks kahana chahta hoo mene bloging aapse hi seekhi hai apka blog dekhne se pahle me janta bhi nahi tha ki site kese banate hai thanks rohit sir
Most Welcome Raju.. hope aap bhi acha karege apne blog se.. :)
yes bro kar di please publish karo bro
meri ek bhi post nahi hai aapki site par sab log guest post karte hia mene es website ko try kiya hai
mene withdraw bhi kiya hai thanks bro …
Bro mene aapko guest post send ki hai jaldi answer den its urgently …………………………………
Kaha send ki hai.. Please aap Admin@RohitMewada.com par send kare..
hello rohit, maine apko kafi bar emails kijiye but reply nhi aaya.
mujhe apki help chahiye actual mai blogger.com par blog ready kiya h. domain name add karne ke baad blog google search me open nhi ho raha. [This website is temporarily unavailable, please try again later] ye show ho raha hai baar baar. maine godaddy se domain name liya h kafi baar unse phone par pucha ki aisa kyo horaha hai.
lekin wo kabhi kahte hai ki googlese bat karo, kabhi kahte hai ki hosting lo. please btaye kya karu.
Aapne agar domain sahi se add kar diya hai to uski active hone me thoda time lagta hai. Aap thoda wait kare. Ya agar add sahi se nahi huaa hai to kaha dikkat aa rahi hai aap wo bataye..
aisa nhi hai k blogger khrab platform hai mybloggertrick jaise top blogger bhi ishi platform par hai lekin sab se jaruri chij blogger ke liye hai wo hai complete css aur html
so jisko ye language aati hai uske liye blogger sab se best platform hai
Mere hisab se bhi blogger best hai.. Ek or chij jo me blogger ko best banati hai jo me post me nahi bata paya wo ye ki kitni bhi traffic aa jaye site down nahi hoti.. Par WordPress me hosting kitna traffic handle kar sakti hai uspar depend karta hai..
Maine Blogger kaa upyog 9 months tak kiyaa he lekin usme kaafi restriction the,or me blogger template or code ko lekar bhi kaafi preshan ho jaata tha,muje wordpress blogger se jyaada easy or majedar lgta he,haa wordpress blogger ke mukable thoda expensive jarur he
Nice sir…
vary usfull post
Ek baar meri website ko jarur dekho or batao ki muze isme kya kya design karne ki jarurat he
Hindiorme.blogspot.com
Bahut acchi post hai
@ Rohit,
Maine read kiya tha, ki google jo hai wo blogger ke liye adsense se honi wali earning me se 55 revenue blogger ko deta hai aur 45 apne pass rakhata hai, to wahi dusari aur wordpress wale site ke liye hone wala jo revenue hai jo adsense se hota hai, usme se 70% wordpress ko deta hai aur 30% apne pass rakhata hai.
Kyon ki hum blogger par free google ki hosting use karate hai isliye ye difference hai kya ye sahi ya nahi ?
sir mera blog check karke kuch tips do muje abhi kya kmi he blog me
sir jab mai wordpress me koi post likhta hu or post me apni hi kisi dusri post ka link add karta hu, fir post ko publish karne ke bad automatic comment aa jata hai … vo kya hota hai or kyu aata hai mujhe kuch samjh nahi aa rha please help karo
Aap users me dekhe koi add to nahi hai.. Or aap apna password change kare..
WordPress is best for seo and there are many plugins available for short our works
Haa yehi karn hai.. Jo WordPress ko batter banata hai…
Sir ,
Meri site ke console men kuchh gadbadi a gyee hai . Console ke dashboard men site windows ke aage red point aa rha hai . Aur site map bhi show nhi kar rha . Koi bhi link fatch as google karta hu to blok ho rhee hai
Aapki site ka robots.txt file sahi nahi hai.. Wo block kar rahi hai Search engines ko aapko site index karne me.. Usko Tikh kare..
Bhut he acchi jaankari de hai aapne, but ek bloger ke liye wordpress best hai.
Haa q ki waha hame bhut jada option milte hai.. Jinki madad se bhut se extra kaam kar sakte hai.
Kya blogger me mobile URL ?m=0, ?m=1 ko block karna thik hai ??? kyuki is URLs se duplicate title tag ka issue create hota hai please koi solution bataye !
Nahi.. Or inse koi duplicate title nahi aata.. M=1 ka matlab mibile version.. To Google isko duplicate nahi karta hai..
Please is image ko dekhe – http://bit.ly/2kpu72P isme ?m=0, ?m=1 duplicate title tag hai jo ki webmaster me show hote hai aur maine ye bhi suna hai ki yeh blog ke liye harmful hai to please iska koi solution de dijiye ! please.
Haa.. Isse nuksaan jab hai.. Agar koi backlink hamare kisi page par ho.. To wo m=1 hai ya 0 usse backlink ki quality par aasar padta hai.. Aap inko band kare..
बहुत अच्छी तुलना की अपने blogger vs wordpress में. मेरे नजरिये से अगर कोई बंदा ब्लॉग में कैरियर बनाना चाहता है तो wordpress best रहेगा.
Haa. Par agar starting hai or jada knowledge nahi hai to blogger..
HMH.pe bhi WordPress par hi hai
hello sir
sir mene abhi abhi ek word press blog banaya hai to sir meri site pr har image pr bus ek hi image show ho rahi hai ‘the image you are requesting is no longer available imgur.com”
sir mene dusri image upload karke theme change karke sab karke dekh liya apearance me bhi doosri image set karta hu to bhi wahi image show hoti hai. kya karu please help
Aare aapne image upload hi nahi ki. Aapne dusri site se image copy ki hogi.. Direct link se.. Or ab wo delete ho gai hai..
Imgur website ki image thi wo..
sir mene apni image upload ki thi pc se or chalo man lete hai wo galat thi to me jo ab upload kar raha hu to wo bhi show nahi ho rahi hai sir. koi bhi image uoload karo to bus wahi likha aaraha h.or mene to imgur ka name pehli baar suna hai
Aap image kk optimize kare.. Plugin ki madad se..
Sir aap ki website bahut good ha
Thanks ?
thanx for guide karane ke liye aapne sabse usefull jankari share kiye ho
Thanks
Bahut achhi jankari diya h rohit bhai ji…m bi ek blog bnane k liye soch RHA hu ..mujhe koi achha sa or chhota nam nhi mil RHA h ..
Aap soche or apne aas pass oi chijo ko dekhe.. Aapko name ke ideas mil jayege..
Aap meri acha domain name kaise select kare.. Wo wali post jarur read karnaa..
Best Post hai Sir,
Mujhe ek Jankari Chahiye, Mai apna Hosting Bluehost se Hostgator par change karna chahta hoo, To maise Kaise kar sakta hoo,
Uske liye aapko pura backup lena hoga.. Aap Updraftplus plugin ka use karke kar sakte hai..
Very Nice
Thanks for Sharing
Thanks
Bahut achi jankari he dost
Thanks
Sir Aap Work Kyu Band Kar Diye The
Brother personal problem thi.. Thanks
Rohit bhaiya Ab Ummid Karta hu, Aapki Life Me Koi Problem Nahi aaye, Bahut Dino Bad , Last me Maine Bhi WordPress Par Newspaper Theme laga Hi le, 2 Min Time Dekar Mere Blog Ka Review Karke ,Apna Valuable Feedback Jarur De
Thanks n aapne acha banaya hai website.. ?
अगर कोई ब्लॉग्गिंग सिखना चाहता है तो उसके लिए ब्लॉगर सबसे बेस्ट प्लेटफार्म है. लेकिन अगर आप के प्रोफेशनल वेबसाइट बनाना है आपको कोडिंग, प्रोग्रामिंग का नॉलेज है तो आप वर्डप्रेस इस्तमाल कर सकते है, वहा हमे बेहत से अच्छे आप्शन मिलते है .
Sahi kaha aapne..
wow, rohit bhai bade dino baad aapki site ko visit kiya, or ye dekhkar badi khushi hui ki aap regular post karne lage, keep it up bro. Aapki jo bhi problem thi i think, vo solve ho gayi ho. And welcome back bhai “badi mast jankari share kari” or mera blog bhi jarur visit kariyega.
Thanks brother.. N mene aapka blog dekha.. Bhut acha banaya hai aapne n badiya article share kiye hai uspar..
WordPress Ka Plugin Wala Feature Hi Iska Plus Point Hai, Nahi To Blogger Best Hai. Agar Google Apni Is Free Service Me Bus Ye Feature Aur Add Kar De To Blogger Baaki Dusre Sabhi Blogging Platform Se Aage Nikal Jaayega.
Google Ne Humesha Se Internet Users Ko Kaafi Free Services Di Hai Aur Iski Sabhi Services Hm Sabhi Logo Ke Liye Useful Hai, Lekin Pta Nahi Kyu Google, BlogSpot Me Improvement Nahi Kar Rha. :(
Bilkul sahi kaha aapne.. Google sirf ek blogspot hi aesi service hai..jisme wo jada updates nahi karte. Or me aapki puri baat se 100% shemat hu..
Aapke Blog Ke Liye Ek Guest Post Karna Chahunga. Allow Karte Hai Kya Aap Apne Blog Par Guest Post ?
Haa.. Aap footer me guest post ki link dekh sakte hai.. Thanks
Are Bhai Bat Wo Nahi Hai, Google Jub Blogger Lounch Kiya Tha, Isliye Ki Us Time Google Par 1 Search Me Bahut Kam name Matra Ka Contant Aata tha,Usme Badhawa Dene Ke Liye,Google Blogger Lounch Ki Taki Log Contant Likh Google Par De , Ab Laghbhag har Ek Topic Par post Mil Jati, Google Apna Mukam Hasil Kar Liya, Ab Free Me Kya Chahiye, Itna To diya Jisse Hum Blogger Ke Chakkar me bahut Kuchh WordPress Me Sikh gaye,
Yap, sahi kaha Ravi aapne.. Wese jitna Google ne free me diya hai usko ham kisi paid service se compare nahi kar sakte.
I think you’re correct Vicky. Google should provide plugin feature on their own Platform.