Agar aapne kabhi Loan ke liye Apply kiya hai, to aapko pata hoga koi bhi Bank Loan ya Credit Card dene se phele hamara Credit CIBIL Score dekhti hai or fir ussi ke adhar par hamare Card ki limit hoti hai or utna Loan ham le pate hai.
Credit Score ko Cibil Score bhi khete hai, To agar aap janna chate hai ki Cibil Score kya hai, kaise Calculate karte hai, or kaise apna Credit Score Dekhte hai to aap iss article ko pura read kare..
Credit Score se related Puri jankari aapko yaha mil jayegi, fir bhi agar aapka koi sabal ho to comment karke bhi puch sakte ho.. to chaliye start karte hai, or jante hai..
Page Contents
Credit – Cibil Score Kya hota hai?
CIBIL Score ya Credit Score ek 3 digit number hota hai, jo hamare Credit Card or Loan ki history or use ke base par milta hai. Agar kabhi hame Loans ya Credit Card ke liye Apply karna hota hai to sabse phele Cibil Score hi check kiya jata hai uske baad hi fesla liya kiya jada hai ki Loan dena hai ya nahi.
CIBIL Full Form hota hai Credit Information Bureau of India Limited, jo ki ek Company hai jo Sabhi Credit Cards ke Len den ka Bureau manage karti hai.
Cibil Score Range 300-900 hoti hai, jisme jitna jada score hoga utna hi acha mana jata hai. cibil score good 750 se upar ka mana jata hai.
Cibil Score kaise Check karte hai wo janne se phele ye jaan lete hai kin kin chijo ki jarurat padegi apna Civil Score janne ke liye.
Cibil Score Check karne ke liye kya chaiye
- Personal Information: Name, DOB, Address
- Mobile Number jo Banks me register hai
- PAN Card
- EMail ID
Cibil Score kaise Check kare | Cibil Score Check for Free
Cibil Score check karne ke bhut tarike hai, or agar ham kisi Loan ke liye apply karte hai to wo bhi phele wahi check karte hai.. to agar aapko khud se apna Cibil Score Check karna hai to uske Free tarike niche hai.
How to Check Cibil Score:
- Cibil Score Online Check Free
- Whatsapp par Cibil Score check kare
- Cibil Score App se Mobile par ckeck kare
1: Cibil Score Online kaise Check kare
Cibil Online check karne ke liye bhut se popular sites uplabd hai, Me aapko Paisabazar ka batata hu.
Simple sabse phele niche di hui button par click karke Cibil Sorce Search Pahe par jaye, or Detail daal kar Search kare.
Jese hi aap upar di hui button par click karege, aapke samne ek Form open ho jayega. jisme aap apna Cibil check kar sakte hai.
- Gender select kare.
- Apna Pura Naam dale
- Date of Birth dale
- Aapki jagha ka Pin Code dale
- Konse city me rhete ho wo dale.
- PAN Card Number dale
- apna Email address dale
- Mobile Number dale
- Term Condition ko tik kare.
- Get Report Button par click kare.
Ab aapke pass Mobile par OTP aayega, wo daal kar verify kare.. uske baad aapka kitne Cibil Score hai wo aa jayega.
To iss trha aap Online Apna Cibil Check kar sakte hai.
2: Whatsapp par Cibil Socre kaise pata kare
Whatsapp par Cibil check karne ki jo service hai wo Wishfin ki taraf se hai, jisme hame unka jo Whatsapp number hai phele uspar missed call karna hota hai, fir whatsapp par apni detail send karke Cibil Score pata kar sakte hai.
Iss Number par Missed Call kare
Jese hi Call cut hoga, aapke Whatsapp par ek Message aayega.
Ab aapko Whatsapp par jo bhi aapki detail hai wo ek ek karke send karni hai.
- Aapka Pura Naam
- Date of Bitrh
- Male ya Female.. iske liye M ya F send karna hai.
- PAN Card Number
- Apna Address jo Bank me diya hai.
- City
- State, yaha bhi uska shortcut dalna hai jese MP
- Apne Area ka PIN Code
- Email Address
- Ab Term Condition ko agree karke Yes send kare.
- Ab aapke Mobile par ek OTP aayega, usme jo 6 number ka code ho wo send kare.
- jese hi aap ye steps khatam karege, aapka Cibil Score Whatsapp par aa jayega.
Screen Shot me aap dekh sakte hai, Whatsapp Message me Cibil Score dekh sakte hai.
3: Cibil Score App se Mobile par ckeck kare
Mobile se wese Whatsapp par Cibil kaise check karte hai wo to aapne jaan liya, par agar aap Visual ki trha dekhna chate hai to uske liye aapko Cibil Score App ko Install karna hoga.
App Install karne ke baad aapko Cibil Score karne ka option dikhega, jisme apni detail daal kar aap apna Cibil Score check kar sakte hai. Jo upar mene website batai hai, unhi ka app hai to pura process same hi rahega.
To ab aap jaan chuke hai Cibil Score kya hota hai or kaise dekha jada hai.. Chaliye ab kuch or bate jaan lete hai Cibil Score se related.
Cibil Score Information
Acha CIBIL Score ke Faide
Agar Cibil Score acha rheta hai to Loan lene me or Credit Card mene me achi dil mil jati hai. Q ki agar hamara Cibil track acha hai to companya bhi khusi khusi loan or Credit card de dete hai.
CIBIL Report Kaise Banti hai?
Credit Information Bureau of India Limited (CIBIL), jo India ke sabhi Credit Card ki detail ko manage karti hai.. Jo bhi CIBIL Score hame milta hai wo hamare Credit or Loans ke len den ke aadhar par milta hai ki hamari histry kesi hai.. or ham time par Payment karte hai ya nahi.
Agar ham Lange Time se Credit Card use kar rahe hai or Time par Credit Cards ki payment kar dete hai to Credit Score acha hota hai.
CIBIL Score Improve kaise kare ?
Jesa ki abhi bataya, CIBIL Score jab acha rheta hai jab ham Credit Cards or Loans ke acha lenden kare or Time par sabhi ki payment kare.
Aap Inn bato ka dhiyan rakhe CIBIL Score badane ke liye:
- Credit Cards ka Bill Time par Pay kare
- Agar koi EMI hai to uska bhi conferm kare ki time par cut hui ho.
- Agar jarurat naa ho ti Credit card se apni limit se jada naa nikale.
- Loans or Credit Cards ke liye Apply kare.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai CIBIL Score kya hota hai, Kis kaam aata hai. Kaise apna Credit Score Check karte hai or Acha CIBIL Score q jaruri hai.
Agar aapka Credit CIBIL Score se sambandit koi bhi sabal ho to comment karke jarur puche..
Aapko ye jankari kesi lagi batana naa bhule. :)
Bahut badhiya article likha hai aapne sir, aksar log galti kar dete hai isliye jankari hona jaruri h
bahut achha article hai sir or hame iske baare me pata hona chahiye taki ham isko increase kar ke apne loan amount ko bhi increase ker sake.
Thanks for sharing
hum sabhi ko cibil score ke baare mei jarur pta hona chahiye ,jaankarri dene ke liye sukriya
help me alot thanks for posting
very nice article on cibil score.
Great Post.
Thank you for sharing this post.
nice article thanks for shearing
Nice post bhai
Aapne newspaper theme ka konsa demo use kiya hai
koisa bhi nahi.. mene khud Page builder se banaya.. jisme koi widget add nahi kiye.
Sir अगर हम पहली बार credit card या loan के लिए apply कर रहे है तो credit score kis base पर depend krega
Aapne upyogi Jankari Di Hai
बहुत ही उपयोगी जानकारी शेयर की है सर आपने.
आपकी हर पोस्ट से कुछ ना कुछ सीखने को जरूर मिलता है.
थैंक्स.
Thanks Bhai..