Internet Aaj ke Time me sabse jyada jaruri hai, or agar aapka koi Business hai to usko badhane ke liye Internet aapke liye bhut hi jada faydemand ho sakta hai.. Agar aap ko Sikhna hai Kaise Apne Business ko badaye Internet ki madad se to Aap Google Digital Marketing course ki madad se le sakte hai, jaha aapko iske ware me puri trha se sikhaya jayega, or jab aap ye sab sikh jayege to aapko Google ki taraf se ek Certificate bhi milega.
Aapka koi Business hai, koi dukan hai jisko aap grow karna chahte hai to uske liye aapko kya kya karna hai or kaise karna hai uski puri jankari aapko iss course me milegi jisme SEO, Social Network, SEM ke alawa or bhi bhut se topic ke ware me jankari di jayegi.
Ye jo Google ka Course hai iska naam hai Digital Unlocked. Iss Course ko 23 topics me bata hai, or agar aap in topics ko learn kar lete hai to aapko Online apne business ko kaise badana hai uski puri jankari ho jayegi.
Ye jo Course hai wo aap Offline bhi kar sakte hai uska charge ₹1500 hai, Agar apko Offline karna hai to aapko dekhna padega ki abhi Google ka ye event kis city me ho raha hai, or agar aap un city’s me se kahi attend kar sakte hai to aapko uska registration karna hoga.. waha aapko ye pure 23 topics ke ware me sikhaya jayega.
To agar aapko offline karni hai to aap upar diye button par click karke unki site par ja sakte hai, waha dekhe agar apki city ya uske aas paas ki city me event ho raha hai to aap register kar lijiye.. or waha aap ye sab sikh sakte hai.
Online bhi aap sikh sakte hai, or agar aap online sikhte hai to ye bilkul Free hai.
Online Free Digital Marketing Course kare, Google se Certificate paye
Ab agar aapko online ye course karna hai to aapko kya karna hai chaliye dekh lete hai.
Step 1: Sabse pehle to aap ko uski site par jana hai.
Ab aapko apna account open karna hai, uske liye aap Start Learning Online par click kare.
Step 2: Ab aapko login karna hai. Aap apne GMail Account se login kar sakte hai, ya fir agar aapki koi or email id hai to aap usse bhi login kar sakte hai.
Step 3: Login karne ke baad, aap se Naam pucha jayega.. Ye naam hi aapke certificate par likha huaa aayega jab aap online Course complete kar lege.
Step 4: Ab aapko dashboard me jana hai, fir apni learning start karni hai.
Step 5: Ab apne samne ek topic aa jayega, usme ek video hoga.. or uski script bhi likhi hogi jisko aap chahe to read bhi kar sakte hai. Aapko Video dekh kar uske ware me learn karna hai. Video dekh kar sikhne ke baad aapko Take Activity par click karna hai.
Step 6: Ab aapke samne ek test aayega, jisme aapko koi condition di jayegi, aapko wo samajh kar uske answer dena hai.
- Kya condition hai usko read kare.
- Apne Jabab ko select kare question ke hisab se.. ye bhut se type ka aata hai.. to aapko question sahi samaj kar hi apna answer dena hai.
- Answer submit kare .
Step 7: Ab agar aapka answer sahi hoge to New Lesson aa jayega, or agar aapka answer galat bataye to aap achi se question ko samjhe.. or phir se jabab de.. ya fir double se video ko dekh kar dikhe.. usme kya bataya hai.
Iss Tarah aapko har topic ke jitne bhi lesson hai, unke video dekh kar sikhna hai or uske baad aapko unka action leke.. jo question hai uska jabab dena hai.. jab aap pure lesson complete kar lege to last me aapka ek Exam hoga.
Step 8: Exam me aapse ussi topic se related question puche jayege jinka answer aapko select karke submit karna hai. to aapko Exam complete karne par uska Badge mil jayega.
Issi Trha aapko 23 Topics ko learn karke unke exam clear karna hai jisse aapko 23 Badges milege, or uske baad aapko Google ki taraf se inko learn karne ka certificate bhi milega.
Aapko Kitni learning ki hai aap wo bhi Progress bar me desk sakte hai jo aapko deshboard me niche dikhega.
Conclusion
To jab aap 23 topics ko complete kar lete to Google ki taraf se aapko iska certificate bhi milega, jisko aap dikha kar kha sakte hai ki aap Digital Marketing me Master hai or aap ko uski puri jankari hai.
To Ab aap jaan chukehai, Aap kaise Digital Marketing ko sikh kar uske master ban sakte hai or uska Google Certificate bhi pa sakte hai..
Me bhi iss course ko kar raha hu, mene kuch topics or bache hai, jinko me jald hi learn karke, uska certificate bhi share karuga.. to agar aapne hamara FB Group join nahi kiya hai to abhi join kare.. waha agar aapko koi help chahiye hogi to wo bhi mil jayegi.
Very Nice Content
Bahut hi badiya post bro ab 106 session or 26 budgets hai
Maine 50% complect kar diya hai ab dekhte hai aage kyaa hota hai
Sir free me online computer course s kr skte hi
haa bilkul. aap youtube par search kare. aapko puri jankari mil jayegi.. wass aapko koi certificate nahi milega.
rohit sir mne kale mne blogger pr ek site bnaai thi would Google PR open nhi ho rhi h usko kaise use kreee btaooo sir
rohit sir aap ne achhi jankari di mujhe pta to tha digital marketing but ye nhi pta tha ki kha se kru or certificate so thnq me aaj hi ese join krta hu …thnx sir
Rohit sir hum kaise pata kar sakte hai hamari digital unlocked certificate original hai ya fake
Brother.. wo ek PDF file me hoga.. jispar aapka hi naam hoga..or agar kisi ko check karana hai to aap apna digital unlocked ka account login karke bata sakte hai ki aapne unko complete kiya hai.
Rohit sir agar hum digital unlocked me teen chaar baar galat answer de diye to phir kya nahi hoga
aesa nahi hai.. aap kitni war bhi galat answer do koi problem nahi hogi :)
Sir please aap hindi me help kar dijiye google certificate lene ki
Aap inke offline course join kar sakte hai waha ye hindi me hi batayege.. or agar aapko english me kahi kuch problem aati hai to aap group me post keke puch sakte hai.
Maine apne blog ke template per “veiw in mobile” disable ke hain
Ab meri blog mobile main buhat badhya daikte hain aur muje pasand
Be hain…laiken is se search engine ya to nahi samje ge kih template
Mobile friendly nahi hain.
Aap please meri blog ko mobile per cheak kare…!!! aur ager ko kami
Hu meri blog to bataye….! thanks
aap apne blog ko yaha check kar sakte hai google me ki blog mobile friendly hai ya nahi.
Yah saari information padhne ke baad me bhi jarur digital marketing course complete kar yah certificate prapt karna chahunga.
Thanks for this information
Rohit ji bahut accha post hai :) Isko sikhne ke baad hame kya fayda hoga?
rohit ji mere do sawal ka jabab dijiye
1. certificate pane ke liye kitne din me 23 sawal hal karna hoga
2. blog par 1400 pageview par adsense income kitna ho sakta hain . agar nhin hoga to kya kare
Jab bhi aapko time mile aap kar sakte hai.. aap agar ek din me karna chahe to wo bhi kar sakte hai..
Indian traffic me itne page views me to 1$ bhi muskil se..
Digital Marketing Ko sikhne jo tarika aapne bataya wo bahut hi badhiya hai. Google ke taraf se Koi Certificate Milna bahut hi badi baat hai aur har koi is Certificate ko pana chahta hai Maime Aapke Bataye Step ko follow karke Registration kar liya hai ab sabhi course ko complete karna hai bas uske baad mere pass bhi Google Se Mila hua Certificate hoga.
aapne bahut hi useful jankari share ki iske liye aap dil se Dhanywad.
Bhut badiya, or muje lagta hai jo online internet par blogging ya jo bhi kar rahe hai unke pass ye certificate hona hi chaiye.. Greate.. aapko jab certificate mil jaye to aap group me jarur share karna..
bhai main nahi samja kya hai ya google ki hai per isme join karke kya hoga please bataya bhai issa koi faida agar mere website hai toh kuch promote kare ga please bataye
iss course ko karne se aapko internet par apne business ko kaise karte hai or kaise bada sakte hai uski puri jankari ho jayegi.. fir aap usko apne blog or website par apply karke apna business bada sakte hai.. koi or aapka promotion nahi karega.. par aapko isse bhut kuch sikhne ko milega.
Hey Brother, Bahut hi Zeher information share kari. Meko Pasand aayi and mene apne buddies ke sath share bhi kardi :)
Thanks Sagar
Nice Article Rohit Sir, Maine aapke email par ek mail kia hai. admin@rohirmewada.com par.. aap uska reply dijiyega. Thanx
Bhai is template me mujhe aur bhi kuchh problem ho rahi hai.
1. Jo visitor comment karte hai kabhi kabhi uska comment nahi show hota hai aur ye likha hua aata hai.No more live link in this page.iske liye aap android phone se mp3 song par photo kaise lagaye is post ko open karke dekh sakte hai.
2. Home,advertise,sitemap,about,youtube etc.. sabse upar hai.Ise remove kaise kare.
sorry for late reply.. mene check kiya aapne wo tikh kar liya hai.. :)
Good article rohit bhai me bhi aj hi join karunga me bhi yesa hi kuchh join karne ko soch raha tha thanks share karne ke liye
Bilkul.. or jab aapko certificate mil jaye to aap usko Fb Group me jarur share kare..
Didn’t heard about it before, thanks for letting me know. Google ki taraf se certificate mil raha hai so, lena to padega ;)
Bilkul.. or aapko jab mil jaye to usko FB group me bhi share kare.. :)
Hmm sir jarur share kruga ……lekin eska credit aap ko bhi jayega bcoz aapne rasta btaya hai
Thanks Brother.. Aap Fb Group me share karna milne ke baad..
nice information sir ji.
sir kiya digital unlock cors hindi lengueg me vi kiya ja sakta hai ?
Brother online sirf english me hai.. par inke jo offline training hai aap usme kar sakt ehai.. waha wo hindi me bhi batayege..
Bahut achhi jankari hai iske liye rohit bhai bahut bahut dhanyabad hame sangit ka free version downlod karna hai kis link se kare aur aur koi baner banane ka free software ho to uska link de.
Aap Picmonkey.com ya canva.com ka use kare.. snagit Free software nahi hai..
dhanya bad bhai lekin jo link apne diya hai kya usase arow lagane aur scrren shot lene ka karya ho jayega aur sangit ka koi bikap software jo free ho aur uska use hum offline kar sake
Skitch
Really sir aap ne achhi jankari di mujhe pta to tha digital marketing but ye nhi pta tha ki kha se kru or certificate so thnq me aaj hi ese join krta hu …thnqq sir
Bilkul aap join kare.. or jab aapko certificate mil jaye to usko FB Group me bhi share kare :)