Facebook sabse jada use hone wali social Networking or me phele bata chuka hu kaise Facebook par account banate hai or kaise Facebook Par Page banate hai.. inke aalawa bhi me bhut si tips share ki hai jo aap yaha dekh sakte hai.
Aaj Ham dekhege Facebook Par Group Kaise banate hai or Group se sambandit kuch bate bhi janege, to chaliye
Page Contents
Facebook Group Kya Hai ?
Facebook Group ek Page hi hota hai, jisme log join ho kar ek community banate hai.. bha par Group ke har member Post kar sakte hai. Kisi topic kar discussion kar sakte hai. Group me jin logo ka ek jesa interest hai wo join kar sakte hai. Group me Page se jo sabse alag hai wo ye ki isme group ka koi bhi member post kar sakta hai.
Ye Kuch Topics hai jinpar ham Facebook Group Bana sakte hai
- Kisi bhi Topic Par Bana sakte hai.
- Books ke liye bana sakte hai, jisme uske bare me baat kar sate hai.
- Business ke liye bana sakte hai
- Apne Local Area ke liye bana sakte hai
- Help ke liye bana sakte hai, jaha sab ek dusre ki help kar sake
inke aalawa bhi koi bhi topic ho, aap uske liye group bana sakte hai.. Muje ummid hai aapbhi jarur kisi na kisi Group me add hoga, ya kisi ne aapko add kiya hoga.
Facebook Open, Close, Secret Group me Anter
| Open | Closed | Secret |
Kon join kr sakta hai? | Koi bhi Join kae sakta hai, group ka koi bhi member add kar sakta hai | Koi bhi join karne ke liye kha sakta hai. Koi bhi add kar sakta hai | Koi bhi join ho sakta hai. Par sirf jab koi usko add kare |
Group ka naam kon dekh sakta hai. | Koi bhi | Koi bhi | Sirf Group ke member |
Group ki post kon dekh sakta hai. | Koi bhi | Sirf Group Member | Sirf Group Member |
Group ko Search kar sate hai. | Koi bhi | Koi bhi | Sirf Group Member |
Group me chal rahi halchal kon dekh | Koi Bhi | Koi Bhi | Sirf Group Member |
Facebook Page or Facebook Group Me Kya Antar hai
- Facebook Page kisi famus chij ke liye hota hai, jisko log follow karte hai, jabki Facebook Group me sabhi log Post kar sakte hai or kisi topic par discuss kar sakte hai.
- Page ko Privte nahi bana sakte, uski jo post hai wo sab dekh sakte hai, jabki Facebook Group ko ham Private bhi bana sakte hai.
- Page par jo Page ka Admin hai sirf wo hi post daal sakta hai, Group me jitne bhi join hai sab kar sakte hai.
- Agar koi Brand hai to uske liye Page banaya jada hai, Par agar kisi tipoc ke bare me baat karni ho to uske liye Group badiya hai.
Facebook Group Kaise Banaye
Group Kaise banaye uske liye aap muje follow kare step by step
Step 1: Facebook me login kare
Step 2: Ab aap Home Page me aa jayege, Ulte haath side aap dekhege ki Groups ka option diya hai.
Aap kis-kis Group me add hai wo dekhne ke liye more par click kare
Step 3: Ab aapke samne Groups ki List aa jayegi jo aapne banaye hai ya fir aap unme add hai.
Apna Group Banane ke liye +Create Group ki button par click kare.
Step 4: Ab ek Popup Window Khulegi
- Apne Group ka naam dale jo aap banana chate hai.
- Members me apne Friends ko add kare. (abhi kam se kam ek ko add karna jaruri hai.)
- Agar Group ko Favirate me add karna hai to ✔tik karde.
- Privecy me aap kesa Group Chate hai usko Select kare. Open, Closed ya Secret Group kya antar hai yaha dekhe.
- Last me Create Ki button par click kare.
Step 5: ab Icon ke liye option aayege
- Apne Group ke liye icon select kare.
- Ok ki Button par click kare
Ab aapka Group Ban chuka hai, Agar isse sambandit agar aapka koi or sabal hai to aap puch sakte hai.
Facebook Group Delete kaise kare
Ek Baat ka diyaa rakhe Group ko Delete karne ka koi option nahi hai facebook par, Agar aapne koi Group Banaya hai or aap usko Delete karna chate hai to aapko Phele jinte bhi member hai unko remove karna padega fir aap last me khud ko remove karle.. *Phele khud ko remove naa kare agar aap admin hai or khud ko remove kardiya to koi dusra admin ban jayega.
Aap Group ko Band karna chahi to Archive bhi kar sakte hai, jiske baad koi bhi Group me Post, Comment nahi kar payege.
Also Read: Facebook Account Kaise Delete karte hai
Hindi Me Help ke Group se Judne ke liye yaha Click kare
Facebook ke bare me or koi bhi jaankari chaiye to aap puch sakte hai.
Facebook Account kaise Hack kare ye sabal naa puche, isme me aapki koi help nahi kar sakta. Agar jaanna hai to 100 par call karke naam batao, wo aapko Password bata dege.. :) #DontTri
sir bahut badiya post likhte ho sir me aapki hi post padta hu keep sharing
Very very nice post keep sharing
very very nice post sir
keep sharing
Mera facebook par jobs ka ek group h, jiske users ki sankhya 12000 se jyada ho chuki h aur har 2 din me 100 ya jyada log aur jud jaate h, to usse paise kamane k liye meri help kijiye. please.
Bhai mera facebook group .. Per member request ati hai per preview m chale jate hi show nhi hota kii.. Aisa kyun hota hi.. Humne unki request bhi approve ki hoti hi
mai ek new facebook group banaya hun . ise share karne par group name aur description dikhai nhi de rha hai . jabki description pahle se add hai . setting kaise karu
Rohit mewada…
Bhai mujhe group ke ache rules hona hai ap de sakte haiii
Very good information sir, thanks….
bahut achhi jaankari di hai bhai
Sir mere Group me kal 16000 members the Aaj 8000 member bache hai kaise ek sath itne members remove ho gaye
facebook ne abhi updat kiya hai.. usme jitne bhi aese member the jinko kisi ne add kiya tha par unhone kabhi group open nahi kiya.. to unko group se remove kar diya automatic..
Sir group ke liye custom link kaise banate had??????
Sir, aapne bahut bahut achchi jaankari di uske liye thank you so much.
Bhai rohit yee batao ma group me post kyu nhi kar sakta ab
Iske kya kya reason ho sakte haa ke ma group.me post nd comment kyu nhi kar sakta ?
Myself Anurag Shrivastava from Bihar.
Sir,
Facebook group me add tags ka option jo aata hai uske baare me bataye. Please.
Bhai wo to simple aap group ki setting me mil jayega..
Rohit bhai ..Group link kese bnau..??
aap group ki setting me jaye.. waha aapko dikh jayega option.. nahi dikhe to aap HMH Group me apna question post kare.
Group Admin hu per. Post dalne k Baad bahut kam logo ko Show hoti hei or kuch time Baad hoti hei. Kya problem hei or keise door Kare. Mere saath or 2 admin hei. Unke theek hei. Solution jarur de
Aapke jo friend hai fb me agar wo add hai to aapki post jada logo ko dikhegi.. Admin hone se koi fark nahi padta.. Jiske jada friend hote hai group me unko jada dikhti hai..
Nice Post Sir Mujhe Aapke Jaisa Group Banana Hai But Koi Join Hi Nhi Karta hai
uske liye aapko group me kuch uniqueness lani hogi.. jisse log usme interest le or share kare.. khud ke faida karege to koi interest nahi lege..
सर गलती से मेरा Facebook ग्रुप डिलीट हो गया है लेकिन मैं उसके अंदर दोबारा से अब ऐड तो हो गया पर मैं उसकी सेटिंग को ठीक नहीं कर पा रहा हूं क्या करूं सर उसके अंदर में कोई पोस्ट भी अपलोड नहीं कर सकता प्लीज हेल्प
Baiya jankari do rohit bro
Sir group ko private rakhna chahiye
ya secret rakhna chahiye
ya open rakhna chahiye
I am rajesh
Nice Article……
Group me jyada members ko add kaise kare