Facebook Account ko Hack hone se bachaye Fake Apps se [Fb Security Tip]

Aap ne ye sabd to bhut baar suna hoga Facebook Hacking.. or ye sabd sunte hi aapke dimag me aata hoga ki kisi ke account ka ID or Password mil jaye matlab uska account Hack.., Iss Post me Facebook Account ko kaise Hack karte hai FB Fake App se uski jankari share kar raha hu.

Facebook Account ko Hack hone se bachaye Fake Apps se [Fb Security]

Agar aapko Lagta hai ki ID or Password ho jab hi account hack hota hai to aap bilkul galat hai.. or wo kaise usko me aage sabit karne wala hu.

Advertisements

Sabse phele to aapko ye pata hona bhut jaruri hai Facebook Account ko hack hone se kaise bachaye, agar aapko nahi pata to phele aap ye post read kare.

Chaliye ham Ye Jaanne kaise FB App se Hack hota hai account uske phele ye jaan lete akhir koi q karega kisi ka FB Account Hack

Facebook Account Hack karne ka sirf ye karan nahi hai ki badla lena ho ya fir uski personal chat padna ho.. Iske aalawa bhi hota hai ki Apne kisi Product ka uski ID se Promotion karna ho or apni link uski ID se share karke apna promotion karna ho facebook par..

Ye Hacking nahi hai par log isko Apne Faide ke liye Hacking ki trha use kar rahe hai.. Mene apne Bhut se Friends ki ID ko dekha hai jinko pata bhi nahi hota ki wo Facebook par kya kya share kar rahe hai, Q ki unko pata hi nahi hota.. Q ki wo Apni ID ko bina kisi dikkat ke chala rahe hote hai to wo soch bhi nahi sakte ki koi unki ID ka galat istmal bhi kar raha hai..

Page Contents

Facebook Account ko Hack kare bina ID or Password ke

ye aapko sunne me thoda aajib lag sakta hai ki bina kisi ki ID or password pata kiye ham kaise kisi ki ID se kuch bhi share kar sakte hai.. Par aesa kar sakte hai, bhut log kar bhi rahe hai.

Ye jo tarika hai isme jo Hack karne ka usme Facebook App ki madad li jati hai.

Facebook App kya hai

Ye to aap jante hi hoge ki Facebook kitni popular Site hai jispar lagbhag har bande ka account hota hai.. or aapne bhut si site par ye bhi dekha hoga ki agar hame login karna hota hai to bha ek Login/Sign in with Facebook ka option bhi hota hai.

login with facebook button

Jese hi ham login with facebook karte hai hamare facebook account ki detail ki madad se hamara account ban jata hai.. Jab ham click karte hai to facebook ki site open hoti hai or hame facebook se permission allow karna padta hai..

jo ye Facebook Account se connect karke hamare account ko manage karna, ye pura kaam Facebook App ka hota hai..

Facebook App ke liye hamare account ki bhut si permission hoti hai, jo agar kisi galat hatho me chali jaye to wo hamare account se kuch bhi kar sakta hai.

Facebook App kya kya Permission deta hai chaliye wo jan lete hai q ki jaruri nahi har App ko same permission chaiye ho..

Ye Permission mil sakti hai Facebook App ko connect karne par – 

  • Public Profile jo har koi dekh sakt hai.
  • Friends ki list ko dekh sakte hai.
  • Email ID pata kar sakte hai.
  • jitne bhi Groups me hai uski jankari.
  • Account me jitne bhi photo hai wo dekh sakte hai.
  • Private Profile (wo jankari jo hamne only friends kar rakha hai wo jankari bhi dekh sakte hai)
  • Hamari Timeline par kuch bhi post kar sakte hai.
  • kuch bhi like kar sakte hai hamari ID se.
  • Account se comment kar sakte hai.
  • Friends ko notification send kar sakte hai.
  • Friends ko kisi chij ke liye invite kar sakte hai.
  • Group me kuch bhi post kar sakte hai jinme ham add hai.
  • Facebook Page ko Manage kar sakte hai.

Ye jo list hai is trha ki or bhi permission hai jo Facebook App ki madad se koi bhi le sakta hai. to ab aap samaj hi gaye hoge ki agar ye permission kisi galat hatho me chali jaye to kya ho sakta hai.

Hamare Account me Agar jo App connect hai agar wo jarurat ke hai to koi dikkat nahi par agar koi aesa App jike bare me hame koi jankari nahi to usko turant remove karne me hi bhalai hai.

Ye jo Jankari me share kar raha hu iske bare me muje abhi pata chala or mene dekha is problem se bhut log gujar rahe hai jisko pata bhi nahi chal pa raha ki aakhir ho kya raha hai.

Kuch logo ki ID ki kisi Porn Site ki Link Share ki jati hai to kisi ki ID se fake Offer wali website to kisi se virus ki website ki link.. jiske account se post hoti jab koi unse kheta hai ki ye sab galat chije share mat karo jab unko pata chalta hai ki ye sab unko id se share ho raha hai.

Automatic agar kuch share karna hai to Kisi bhi account se kuch bhi share karne ke liye uske account ki permission chaiye jo Facebook App ki madad se aasani se le sakte hai.

To Ab aap ye to jaan chuke hai ki kaise kisi ki bhi ID se kuch bhi share kiya ja sakte hai. to chaliye ab jaan lete hai kaise Is problem se nipta jaye, iske liye hame hamare facebook account me jitne bhi aese app hai jinko ham use nahi karte ya ham uske bare me nahi jante unko remove karna hai.

EK baat yaad rakhe, jo trusted site hai sirf unke fb App allow kare..

Facebook Account se App ko Kaise Remove kare

Ye Process bhi nhut aasan hai,

Step 1: Facebook account me login karne ke baad account ki setting me jana hai fir App ke section me jana hai.

Yaha click karke Direct App ke setting me ja sakte hai

facebook app par jaye or jin app ko use nahi karte unko hata de..

Step 2: Ab aapko Apps ki puri list dikh jayegi. isme se dekhe agar koi aesa App hai jisko aap use nahi karte ya fir jiske bare me nahi jaante usko remove karde.

Remove karne ke liye mouse uspar lejaye, fir x ke icon par click kare.

App ko remove karne ke liye x ke icon par click kare

Step 3: ab ek Popup aayega.. usme remove ki button par click kare.

remove ki button par click kare app ko remove karne ke liye

is trha aap jitne bhi app hai unko remove karde..

or agar koi aesa App bhi hai jo farji to nahi hai, par aap unko bhi kya kya permission dena chate ho to uspar click karke set kar sakte ho.

App ki kya kya permision hai wo check kare.. or agar koi permission aesi hai jo aap nahi chate ki us app ke pass ho to ham usko hata sakte hai

App ko jo bhi Permission dena hai uspar tikh rhane de.. or last me Save ki bhutton par click karde.

To Friends me aapse bilkul khena chahuga ki aap apne account me ek baar Apps me ja kar jarur check kare ki kahi koi aesa app to connect nahi hai account me jiski aapko koi jarurat nahi hai ya dhoke se ho gaya ho.

Jo Fake App hai wo kaha se aa jate hai Facebook Account me?

ye sabal bhi aapke dimag me aa sakta hai to uska sidha sidha jabab hai, Autoliker se.

koi bhi aesi site jo dekhne me sahi nahi lage to uske app ko facebook se kabhi connect nahi kare.. or agar Majburi me karna bhi pad raha ho to baad me us apps ko account se remove karde.. jese upar bataya gaya hai.

Jab bhi kisi App ko Facebook se connect kare to usko kya kya permission mil rahi hai jarur ckeck karle.. Allow karne ke phele.

Facebook App login permision on facebook account

  • Edit info par click karke check kar  sakte hai kya kya jankari lega app hamare account se.

Is Trha ki Hack se bachne ka sirf ye tarika hai ki jo Website achi naa ho uske app ko kabhi account se connect na kare or agar galti se ho bhi jata hai to account ki setting me ja kar apps ko remove karde..

Ummid hai dosto aapko ye jankari pasand aai hogi, or agar aap chate hai ki aapke dosto ko bhi iske bare me pata ho ki kaise Fake app se facebook account hack ho sakta hai to aap ye jankari unse jarur share kare.

Aapke Account me jo email use kiya hai wo bhi secure hona bhut jaruri hai, Gmail 2 step verification se security kaise badaye uski info aapko yaha milegi.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

81 thoughts on “Facebook Account ko Hack hone se bachaye Fake Apps se [Fb Security Tip]”

  1. maine apni gmail id se ek popular news site me login kiya tha or usne personal detail ki jankari li thi lekin ab hamne us site ko remove kare diya h to ab koi problem to nhi h

    Reply
  2. Bhai apne bahut achhi jankari di lekin aj ke time me sab kuchh bahut advance hai… Kisi ko kuchh pata bhi nahi hota or uska account hack ho jata hai… Mere sathh bhi bahut bar hua…. Agr social hacking se bachna hai…… Bahut adhik sabhdhani leni hogi…… Or jo apne tips btaye… Bo bhi bahut achhe… Hai…. I like it……. Bro…

    Reply
  3. Thank you bro aapne aaj meri aankhe khol di me aage se kabhi bhi auto comment active nahi karunga

    Your post is fantastic bro

    Reply
  4. sir mera account bar bar lock ho jata he abhi tal 4 account lock ho chuke he koi aisa solution he jisase account lock na ho

    Reply
  5. We’ll get in touch with you at the email address you provided after we’ve reviewed your ID. You will now be logged out of Facebook.
    Bhai mera id block ho gaya h pata nhi kaise nhi khul raha h plz bro help mee jaise v mera id khula do… plz bro

    Reply
  6. Sir mera fb account m temprory lock batata h mai jab ise forgotten paaword se kholne ki try ki to whaproof ke rup m date of birth aur photo id mang rahe jo ki me dono bhul chuki h ,to batai mrra gb account kaise dubara start hoga?
    Plz reply me.

    Reply
    • Thanks Amit.. Hack kaise kare uski muje jankari nahi hai or me jaanna bhi nahi chata or naa hacking ke ware me me kuch bata paoga.. Jo bhi kaam ho wo legal tarike se ho mujse sirf wo pasand hai.. Aap google par search kare aapko mil jayege uske bhut se tutorials

      Reply
      • We’ll get in touch with you at the email address you provided after we’ve reviewed your ID. You will now be logged out of Facebook.
        Bhai mera id block ho gaya h pata nhi kaise nhi khul raha h plz bro help mee jaise v mera id khula do… plz bro

        Reply
  7. sir aaj jab mene apna facebook page open kiya to vo scroll nahi ho raha tha… aur scrollbar bhi hide ho jati hai….mene browser bhi change kar ke dekh liya to sabhi me ye problem aa raha hai…. ye ek he facebook page me problem hai… baki ke jo mere page hai usme koi problem nahi hai to iska kya solustion hai….

    scroll na hone ki vajah se me apne koi post me send nahi kar sakta pls help me…

    Reply
  8. sir aaj jab mene apna facebook page open kiya to vo scroll nahi ho raha tha… mene browser bhi change kar ke dekh liya to sabhi me ye problem aa raha hai…. ye ek he facebook page me problem hai… baki ke jo mere page hai usme koi problem nahi hai to iska kya solustion hai….

    scroll na hone ki vajah se me apne koi post me send nahi kar sakta pls help me…

    Reply
    • haa par agar ham sabdani rakhe to bilkul nahi ho sakti.. jesa ki mene bataya jisse ham app ko add kar rahe hai usko kya permision de rtahe hai or wo bharosemand hai ki nahi phele ye jarur dekh le..

      Reply
  9. Hum ap ki koi bhi baat se sahmat nahi hu kabhi kahte hai fb hack ho jayega ye kabhi bhi sambhv nahi hai agar hesa ho bhi nahi sakta agar yesa ho jayega to hum ap ko Mann jayege ap the great ho

    Reply
    • mene yaha hack kaise kare usko detail me naa batate huee ye bataya hai ki is trha ke hack se kaise bacha jaye sayad aapko isliye ye tarika thoda samaj nahi aaya.. par me hack kaise kare ye nahi bata sakta q ki wo galat hai.. par hack se kaise bacha jaye ye jarur bata sakta hu jo mene is post me bataya hai

      Reply
  10. bhai mujhe apni website ke liye html form bnana h taki visiter apni apni info.mujhe de sake kaha se bnwau mene google par you tube dekh lekin kich samjh ni aya kya karu

    Reply
  11. Godaddy me domain register kar raha tha par otp password nahi aata hai register phone no. Me .
    Aisa kyu ho raha hai

    Reply
  12. Comment: Sir mera question ye hain ki aksar Facebook pr hum saare mutual friends nhi dekh paate . for example: agar mere kisi friend k sath 10 mutual friends h too woo sirf 3 ya 4 hi mutual friends k naam show krta h baakiyo k nhi . kya koi solution hain jisse hum saare mutual friends k naam jaan sake???

    Reply
  13. Apne bahut acchi jankari share kiya hai.please aap meri website check kar lijiye aur bataiye koi mistake kar raha hu to kya mistake kar raha hu

    Reply
  14. Mere khyal se jab ham log in ke liye ‘Sign with Facebook’ ko select karte hai tab next step me facebook hame suchit karta hai ki es tarah log in karne par kon si permissions ko samne wala use kar sakta hai. Hame kisi bhi anjan cheez ke liye ‘Sign with Facebook’ ka use nahi karna chahiye… Useful Information, keep it up.

    Reply
      • हेल्लो सर में विष्णु सोनी ये मेरे भाई के मोबाइल से msg कर रहा हु मुझे आपकी हेल्प चाहिए मेरे पास सैमसंग on7 मोबाइल है जिसमे पहले तो पैटन लॉक था और आज मैंने पिन लॉक लगाया और में वो पिन भूल गया उसका लॉक बिना फॉर्मेट किये कैसे खोलू plz मुझे बताओ उसमे फॉरगेट पासवर्ड भी नहीं आता नहीं तो में ईमेल id और पासवर्ड से भी खोल लेता उसमे शो नही करता ईमेल id अब क्या करू आप ही कोई रास्ता बताओ plz आपने पहले भी काफी हेल्प करी आज और करो भाई plz

        Reply
  15. आपकी जानकारी अच्छी लगी। मैं ब्लॉगिंग में नया हू तो एक सवाल है की ब्लॉग के फ्री template use करू या फिर कोई पेड template खरीद। सर रिप्लाई करे। blogspot ke liye

    Reply
  16. rohit bhai apne kafi acha paryas kiya post likhne ka, kafi had tak achi jankari mili iske bare me lekin jo main point tha usko apne chod diya bhai jo hai fisshing atteck jo 95% id fisshing se hack hoti h mere bhai, agar aap chaho toh me is pe apko guest post likh kar de sakta hu, sorry bhai agar apko kuch galat lga toh.

    Reply
  17. rohit bhai apne kafi acha paryas kiya post likhne ka, kafi had tak achi jankari mili iske bare me lekin jo main poibt se usko apbe chod diya bhai jo hai fisshing atteck jo 95% id fisshing se hack hoti h mere bhai, agar aap chaho toh me is pe apko guest post likh kar de sakta hu, sorry bhai agar apko kuch galat lga toh.

    Reply