Flipkart, India ki sabse badi E-commerce website hai jo din wa din badti hi ja rahi hai. Online site se ham koi bhi saman kharidte hai to uski kimat kisi dukan se kam hoti hai q ki usme bhut logo ka commission kat jata hai.. Me phele hi Bata chuka hu kaise Online Shoping karte hai or kya faide hai uske.
Flipkart me pichlw saal ek din ke liye offer diya the jinse bhut kam kimat me saman mil raha tha.. Jo Offer tha uska Naam tha the big billion days, mene usme pichli bar ye saman kharide the –
- 3 Sandisk ultra 16 GB memory card 540 rupee me
- 10000 mh hi tech power bank 359 rupee me
- Micromax ka ek mobile liya tha 9000 rupee ka 3000 rupee me
- mere ek friend ne philips ka home theator matra 30 rupee me liye tha.
Is bar fir se ye Offer hai 5 Din ke liye.. To dosto me to full teyari me hu kam kimat me bhut sara saman kharidne ke liye.. Kya aap Hai ?
Chaliye Thoda Detail me Jaan lete hai Akhir ye chakar kya hai…
Page Contents
FlipKart the big billion days kya hai
Flipkart jo ki shoping website hai, ye Bhut se saman hai jo bhut kam kimat me deti hai offer ke time me.. Is bar 70 se jada category ke saman milege kam kimat me. Ye jo Offer hai wo sirf Mobile App ke liye hai.
*Flipkart ki site Mobile Browser me nahi khulti, sirf Mobile App me Khulti hai.. Yaha se Download kare App ko
Flipkart big billion days TV Ads
Kab hai FlipKart The Big Billion Days Offer
Flipkart ki is offer ki Date hai 13 October se 17 October tak, yaki 5 din. Par jitna jaldi ho sake apna saman kharid le.
FlipKart the big billion days me Hissa kaise le
ye bhut hi aasan hai, Simple aapko Sabse Phele Flipkar ka App Install karna hai Apne Mobile me.
[button-green url=”http://hindimehelp.com/flipkartapp” target=”_self” position=”center”]Download FlipKart App[/button-green]
Ab App Download karke usko Open kare..
Yaha par diyaan me rakhne wali baat hai ki jitne bhi saman milege big billion days Sale me, uske sirf kuch hi hoge.. to jo phele kharidega usko wo milega.. To out off Stock hone se phele kese kharide..
- Flipkar App Download kare or agar phele se hai to usko Update kare.
- Jo Saman aap kharidna Chate hai usko wishlist me add karke rakhe.
- Apna Address Save karde Flipkart App me.
- Hame saman kharide ke liye jaldi payment bhi karni padegi.. Apna Card detail phele se save karke rakhe.
Ye sab karne ke baad Sale ke siru hone ka intjar kare, or jese hi sale start ho aap jo bhi product lena chahe usko perches karke Payment karde.. Nahi to out off Stock ho jate hai saman.
Me to besabri se intjar me hu, or agar aap bhi badiya chije saste me kharidna chate hai to Flipkart App ko yaha se download karke teyar rahe.. Agar muje koi badiya offer mila to me usko Facebook Page par bhi share karuga to aap Page like jarur kare.
Ye bhi Pade:
sir ab big billion days offer KB chalu hoga………please tell me now……
iski koi jankari abhi nahi hai.. jab bhi hoga.. TV par ads bhi aayege.. or aap hamare fb page ko like kare ham uspar bhi share karege uske bare me
Bhai ye baton ki online shopping kaise kart hai
maine eBay. Com par shopping ki lekin payment nhi kar paa raha hun
example–
card number
Account name
exp date
cvd2
to yahan kya dalen
rupay ka debit card hai mera
my email address ali454994.aa@gmail.com
plz send me answer on my email
sir me shopping karta hu to email aderass or mob.nob.bhi mangta he to me o bhi dal deta hu to o fir passward kese mangta he
sir o me shopping karta hu to email edrash or mob.nomb.magta he to o me dal deta hu to o passward mangta knyo
Apne amazon.com se shopping ki h toh apki bank ne koi extra charge koi kaata tha except product price+shipping charge+custom duty+import fees.
Inke alawa koi or charge liya tha bank ne
For example maine koi product liya uski price $240 h sare charges ko mila k jo lagbhag ₹15700 hue toh agr hum iska online payment krte h toh bank iss amount se jyada toh nhi kaat legi ye khke k apne desh k bahr transaction kiya h
My 2 query
Amazon.com k.y.c(know your customer)id maang rha h jisme me adhaar card,voter id card,driving license or pan card inme se kisi ek ka no. Submit kr skte hein
Mere paas voter id or adhaar card h or pan card abhi bnke nhi aaya h
Problem ye h ki meri voter id or adhaar ka adress purane ghar ka h toh agr me inme se koi ek submit krta hun toh koi problem nhi ayegi naa?
Rohit Sir,
jaise maine apne naam ka PAYPAL account banaya toh usme mai apni mummy ka bank account me paise transfer karwa sakta hu jaise pancard debit card apne account me use kar skta hu
kyoki mere pas debit card aur pan card nahi hai aur ise banwane me kafi waqt lagta hai.
to aap jo paypal account hai wo bhi apni mammy ji ke naam se banaye.. Paypal account name, Bank account name same hona jaruri hai.
Vese app toh pura chages phle hi bta rhi h pr indian bank xtra amount na kaat le ye khke ki apne desh k bahar transaction kiya h.
Ok toh fir me bank se hi pta karunga k wo international transaction k liye extra amount charge krte h k nhi
Thank u rohit ji meri queries ka reply krne k liye.
Aap vakai mere or mere jaise logon ki help krne k liye hi iss duniya me janme hein.
Ye kuch jyada hi likh diya mene
Par seriously thank u very much.
mene amazone.com se bhi order kiya hai.. Shipping charge katta hai jada.. par agar koi mhagi chij hai to nahi katta.
Pr wo product Amazon.in pr nhi h or na hi kisi dusri indian sites or app par maine cheak krke dekh liya may be wo product india me hi nhi h
Ok, to aap amazon.com se order kardo.. Jitna amount bata raha hai utna hi katega.. Ho sakta hai Delivery charge jud jaye.. Jab payment karoge to total amount aa jayega
Sir me pta krna chahta hun k agr hum amazon.com jo amarica ki website h pr koi product purchase krte h
Or visa debit card k through online payment krte hein
For example agr kisi product ki price international shipping charges ko milake $250 h toh hmari bank iske alawa or extra ₹ bhi kaat legi kyunki hmne transaction country k bahar kiya h
Or agr kategi toh kitna kaat skti h
Plz solve my query.
Aap agar amazon se kuch kharidna chate hai to .com se naa kharide.. India ki amazon.in se kharide.. Jispar ki mate rupee me hogi or utna hi payment karna hoga hame
Online paise kamane ki koi aisi real site bataiye jo ads dekhne aur survey par paisa bank account me deti ho
sir muje aap itna btado ki m apne flipkart affiliate account me payment k liye kaise apply kru pls step by step btado plss sir or snapdeal ka v ki me apna payment lene k.liye kaise request karu plss help me sir plss
big billion day pr direct ATM card se payment krna padega ya COD se bhi shopping kr skte he
sir ye deal kitne bje se start hogi or iske liye konse bank ka dabit card hona chahiye plzz tell me…?
Mcent me bina app download kiye bina invite kiye paise badane ki trick bataiye
Aap sirf ek app download kare… Fir aap jitne chaho invite kar sakte ho.. Or jitne bhi aapke link se download karke account banaye ge aapko uska commission milega
Hello sir ek ipas2.com site hai jisse doller me paiss kamaya jata hai kirpya aap us site ko dekh kar uske bare me bataye
Rohit bhai BigBilion sale k liye Atm ki detail flipkart site pe dalne(pehle se dalne) se koi problem to nhi hogi na
i mean card number,cvv number,expiry date etc rply jrur krna yr
Koi dikkat nahi.. Flipkart kart ek register company hai.
Rohit bhai ye Batao ki agar mai big billion day’s par se shopping karu to kya m Cash on delivery kar manga sakta hu??
Nahi… Usme payment phele karni padegi..
Sir aap ke blog pe jo android app aate hain jaise ki spoken english agar koi visitor vaha se app install kare to kya paise milate hain aur apne blog pe aise app kaise add karte hain plz tell me
hello rohit bhai..maine guest post apke mail address pr send kiya tha …but koi reply nahi aaya…plz reply..!
Ok me check karke aapko reply karta hu.. Thanks
bhai me jo post karunga usme 1 adfly ki link bhi de sakta hu kya plz plz plz
Aap apni sirf ek link de sakte hai.. Koi bhi link chalega par link Sahi Hona chaiye..
Me aapko suggest karuga ki aap apne blog ki link de.. Q ki aap ye to jante hi hoge HMH.pe ki rank kitni high hai or aapko usse backlink milega to aapki rank bhi badegi
mere pass post to bahut h lekin visitor nai
Visitor dhire dhire badte hai.. Regular post kare..
mere pass or bhi 150 se jyada post h bs ap parmisson de do
Kya me samja nahi.. Kya Hai 150 se jada.. Or kis chij ki permission ki baat kar rahe ho aap
bhai mere pass weebly par website bnane ki post h kya me wo guestpost me de sakta hu kya plz or 1 video agar post par 6-7000 view bhi aa gaye to mere pass or make money ke or hacking ke tricks h or ha jo adfly india me block thi mene use bhi unblock kar liya uski bhi post h
Amit ji jo legal hogi sirf wo post allow ki jayegi HMH.pe. Aap weebly ki post send kare
rohit bhai mene domain kharida uske baad bhi website ke niche copyright likha hua kyo nhi aa raha h
wo aata nahi hai.. likhna padta hai. Aap template me edit karke likh sakte hai.
Is par bhi ek post likhiye sir
Haa bilkul.. Me abhi thoda busy chal raha hu.. Fir Blogger ko kaise design kare uski puri ek series se post karuga..