Fotor Photo Editor Review in Hindi

Aaj ke time me Photo click karna or usko sabhi trha se present karna hi sabse main hai.. Social Media ho ya koi Professional kaam kahi bhi Image ko use karna hota hai to usko pehle se edit karke hi use karna hota hai..

Wese to market me bhut se Photo Editing uplabd hai, jo Online hai ya Computer or Mobile apps ke rup me bhi uplabd hai..

Advertisements

Aaj iss post me ham Fotor Photo Editor ke ware me baat karenge, jisme ham online website ki madad se photo edit kar sakte hai or sath me cahe to Fotor Desktop software ya Mobile App ka use karke Offline bhi apne photo ko edit kar sakte hai.

Chaliye ab thoda dekh lete hai Fotor me ham kya kar sakte hai or inka ham kaha kaha or kaise use kar sakte hai.

Baat kare agar iske use ki to ham apne kisi bhi photo ko edit karne ke liye iska use kar sakte hai.. jise chahe koi postor banana ho ya fir api ki koi photo edit karna ho..

Personal kaam ho ya Professional dono tarah ki need ham iss ek hi toll me puri kar sakte hai..

Jese hi ham Fotor ko open karte hai hame 3 main option milte hai, Edit, Collage or Design.

jo bhi hamari jarurat hai uske according ham option ko select karke aage badh sakte hai.. jese agar hame apni hi koi photo Social Media par upload karne ke liye edit karni hai to ham Edit ka use karange.. wahi agar hame Apne kaam ke liye koi Poster banana hai to ham Graphic Design ko select karke kar sakte hai.

Agar baat kare Photo Edit ki to isme choti se choti chij ke option hame mil jate hai.. par mujhe specially ek option iska bada pasand aaya Tap Enhance jiski madad se ek click me photo ko hum perfect kar sakte hai.

Fotor Photo Editor Review in Hindi - Website

baki Photo editing ke option to itne hai ki jo bhi feature aap sochenge wo aapko isme mil jayega.. aap khud se Fotor.com par try karke dekh sakte hai.

Fotor ka ek option or jo mujhe iski taraf attract kiya wo hai Beauty option, jiski madad se kisi bhi photo ko ham beautiful bana sakte hai. Jese bhut war ho jata hai kisi photo me color sahi nahi aata ya face par agar chote mote pimple ho jate hai to wo photo me ache nahi lagte.. to ham Fotor Beauty ki madad se wo sab thik karke ek perfect photo bana sakte hai.

Frame bhi ek option hai, jo wese to or bhi image editor me mil jata hai.. par isme kuch frame sabse hatke hai wo bhi aap try kar sakte hai.

Online Edit karna ho ya Online dono tarah se tool uplabdh hai or agar inka Pro Plan lete hai to uska ye fayda or ho jata hai ki hame Cloud Storage bhi milta hai jisse ham apne edit kiye hue Photo ko kahi bhi access kar sakte hai or sath me hame bhut se Pro Template bhi free me mil jate hai.

Agar aap Student hai ya kahi Job karte hai to Presentation banana to padta hi hoga.. to ye kaam bhi aap fotor ki madad se aasani se kar sakte hai. Simple aapko presentation design par jana hai uske baad apna template select karke aasani se presentation bana lena hai.

Fotor Online site par to use kar hi sakte hai.. iske sath sath aap Computer me bhi isk software install kar sakte hai jo Windows or Mac ke liye available hai. or agar aap Mobile par Fotor ko use karna chahte hai to iska Mobile App bhi aapko play store par mil jayega.

Final Words:

Fotor sach me ek Easy n Best Photo Editing Application hai.. bina soche me keh sakta hu, ki aap isko ek war jarur try kare… jo use karne me bhi aasan hai or jisme hamari jarurat ke sabhi option mil jate hai jo hame editing karte time cahiye.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

9 thoughts on “Fotor Photo Editor Review in Hindi”

  1. Thanks for sharing your list these are very useful and I will start building a manual backlinks for my website.

    Reply
  2. aapne hame” fotor photo editor review in Hindi” iske bare me hame aapne achhi jankari di hai ham aapko dhanbaad karte hai..

    Reply