Hello, Kya aap Blogger banna chate hai or kya aap Apna Career Full Time Blogger ke roop me dekhna chate hai to apna fesla lene se phele inn bato ko jarur jaan le, jo mene iss post me batai hai.
Full Time Blogger banna itna aasan bhi nahi hai, jitna lagta hai..
Ye fact hai ki 100 me se 95 log blogging me fail ho jate hai or jada time tak blogging nahi kar pate..
Mene 2012 me blogging start ki thi, or jabse ab tak mene bhut kuch dekha or sikha blogging ke ware me, ussi base par me aapko bata raha hu kuch points jo ek Full Time Blogger ko pata hona chaiye.
*Agar aapne meri One Year Success Story Read nahi ki hai to wo bhi jarur read kare, Guarantee aapko bhut kuch acha sikhne ko milega. ;)
Page Contents
Full Time Blogger ke liye Jaruri Chije
1: Mindset Blogger ki trha
Agar aapko Full Time Blogger banna hai to uske liye sabse jaruri hai aapka mindset ek blogger ki trha ho..
Aap Kaise kaam karte ho, kaise logo ko handle karte ho.. konse Software or Apps use karte ho.. inn sab se ye decide hota hai.
me konse Software or Tools use karta hu uski list mene share ki hui hai.
Blogging mindset banane ke liye jaruri hai aap Blogging Community or Forums me bhi active rahe or jo dusre blogger hai unse connected rahe.
Aap iske liye HindiMeHelp FB Group bhi jarur join kare.
2: Blogging me Interest
Blogging bhut log start karte hai kisi dusre ko dekh kar, par Interest naa hone ke karan kuch time me band kar dete hai..
Agar aap Full Time Blogging ka soch rahe hai to sabse phele apne Interest ko achi se pehchan le.. uske baad hi aage ka soche..
Q ki Agar aapka Blogging me Interest nahi raha to aapko kaam karne me maja nahi aayega.. aese me naa to aapko sahi result milega or naa aap jada din tak blogging me tik payege.
Apna Interest kaise pata kare, uske ware me mene post kiya hai aap wo read kar sakte hai.
3: Full Time Blogging ke liye
Jesa kisi job me, ya kisi business me hota hai, full time dena padta hai.. agar hamara main work hai to usko pura time dekar karna padta hai.
Agar aap Full Time Blogger hai to aapko Daily ka kaam karna hoga tikh ussi ha jese 9-5 ki job me karna padta hai..
Agar aap apne kaam me laparwahi karege to aage chalkar aapko problems ka samna karna padh sakta hai.
Part Time Work karke Full Time Earning nahi ki ja sakti.
4: Kuch naa mile fir bhi Blogging
Agar aapko Blogging Full Time karna hai to Starting me kuch naa mile fir bhi aap blogging kar paye aesa mindset or planning karni hogi.
Q ki Blogging me aapke pass paise bhi jab aa payege jab aap apne aapko Improve karke Blogging achi se sikh kar Quality content provide karege.
*Daily Google Analytics bhi naa dekhe, usse bhi nahi to aap Demotivate ho sakte hai… wass aap sikhne par or usko implement karne par focus rakhe.
5: Alternative Income
Blogging me aesa nahi hai ki aaj se start ki or kal se paise aana start ho jaye.
To agar aapko Blogging me career banana hai to aap apne dusre income sources ko bhi band naa kare, jab tak aapki blogging se achi earning naa hone lage.. warna aap lambe time tak blogging bhi nahi kar payege.
Agar aap Job karte hai to jald waji me job ko naa Chhode.
Agar aapke pass itne paise hai ki aap 2 saal tak blogging se ek rupee bhi naa kamaye fir bhi blogging kar sake, to aap apni job chhod sakte ho.
Log Blogging q chhod dete hai 6 mahine me uske kuch karan aapko yaha janne ko milege.
6: Internet or badiya Website ki jankari
Blogging start karne se kaam khatam nahi, start hota hai.. to aapko jitni bhi badiya website hai jaha se aapko kuch acha sikhne or janne ko mile unke ware me aapko pata hona chaiye.
Internet chalane ka or use karne ka tarika bhi aapka normal person se alag hona chaiye.. taki kam time se jada se jada achi jankari hasil kar paye..
100 useful website mene yaha share ki hai wo bhi jarur checkout kare.
7: Bolne or Likhne ka sahi trika
Agar aap ek Blogger banna chate ho to uske liye jaruri hai aapka Bolne ka or likhne ka tarika aesa ho jisko log pasand kare.
Wese Jaruri nahi hai aapko phele se bhut acha likhna aata ho.. ya aap bhut ache se baat karte ho… par Practice se aap apne aapko improve kar sakte ho.
Agar aap Publicly kisi ke ware me galat bolte ho, bhale majak me.. to dhiyan rakhe aap ek ache blogger nahi ban paoge. Q ki aapke nature ke karan aapke dusman bhi ban jayege… uske baad aap sirf unme hi fass ke reh jaoge..
Kosis kare… sabko sath leke chale or kisi ke ware me galat naa bole or naa kare.. to automatic hi aapke readers or dusre blogger aapko support karne lagege.
Agar aap Dusro ko Ijjat nahi dete, to ye Sochna bhi mat ki aapki ijjat karege.
8: Reading Habit 3-4 hours Daily
Blogging me success hona hai to up-to-date rhena bhut jaruri hai..
Update rhene ke liye aapko Daily kam se kam 3-4 ghante reading ko hi dena hoga.. taki aap jada se jada sikh sako or usko implement karke or high quality content apne blog me publish kar sako.
Yaha Reading se mera matlab ye nahi hai, ki aap sirf blogs hi read kare.. aap Books read kar sakte hai, Youtube par Useful Video dekh sakte hai, Podcast sunn skte hai..
Aapko Daily ke 3-4 ghante aapne aapko Learning ke liye dena hi hai.
9: Regular Work n Post
Blogging me success hona ho ya kisi or Field me.. success jab hi milti hai jab ham lag tak kaam kare..
To Blogging me bhi aesa nahi ki aap 2-4 post karke ache result ka wait karo.. aapko Regular post karna hoga.
Post Idea kaise laye uski jankari aapko yaha mil jayegi.
10: Office or Work Space
Agar aap Blogging ko leke series hai to aapko apna ek alag se office setup karna hoga, jaha aap apna kaam achi se kar paye.
Agar aap sor sarabe me kaam karege to aap focus se kaam nahi kar payege.. or isse aapka Time or energy dono ki barbadi hai.
Yahi karan hai me apne ghar se dur dusri city me rheta hu, taki mere or meri blogging ke bich me koi naa aaye.
11: Social Media ki Achi Jankari
Blog banane ke sath usko Promote karna bhi bhut jaruri hai.. or usse jada jaruri hai sahi trha se promote karna.
Mene dekha hai kuch log Facebook Group, Whatsapp, Twitter or jaha dekho link pe link share karte rehte hai.. par sach to ye hai isse fayda to kuch nahi nksan jarur hota hai.. q ki aese me to logo ko paresani hoti hai or wo kabhi link par click karke site par nahi aate.
Aapko Social Media sahi se use karna hai, unme apne blog ko sahi trha se promote kare.. Sahi tarike sikh kar unko implement karna hoga..
Kabhi bhi kisi ke pass aesa link send naa kare jo unke kaam ki naa ho. Warna aap ek Spammer kehlaoge.
12: Dusre Bloggers se Connection
Agar aap Blogging ke profession me hai, to sidhi si baat hai aapko apne filed ke logo se jude rehna hi hoga.
Blogging or Internet marketing ka koi bhi event ho to usko jarur attend kare. or kahi bhi Blogger ka Meetup ho to usko bhi join kare.. isse aapko naya sikhne ko bhi milega or andar se motivation bhi milega ki aapke jese or bhi log hai jo blogging kar rahe hai.
Agar aap ek room se hi blogging karege, or kisi event ya meetup ko attend nahi karege.. to aap Depression ke sikar ban sakte hai.
13: SEO ki Sahi jankari
Blog hai to usko Google me Rank karana to jaruri hai hi, warna to kuch milna hi nahi hai.. or uske liye SEO ki sahi jankari hona bhut jaruri hai.
SEO Ki Puri Janari mene share ki hui hai, jisme On-Page SEO, Off Page SEO, backlink etc sabke ware me detail me bataya hai..
Agar aap Full Time Blogger banna chate hai to SEO ki aapko achi jankari hona chaiye, taki aap apne blog ko rank kara paye.. or kismat par depend naa kare.
14: Only Adsense par Depend nahi
Blog se income karne ka sabse aasan tarika Adsense ko hi samajte hai, or dekha jaye to ye sahi bhi hai agar bhut jada traffic hai blog par..
Par agar aap ek Full Time Blogger banna chate hai to aap sirf Adsense par depend nahi reh sakte.. pata nahi kam CPC low ho jaye, ya kab aapka adsense me kuch problem ho jaye..
Aap apne Blog ki Authority badaye or Affiliate Marketing or khud ke Product or Services sell kare.
15: Check EMail Daily habit
Ek Blogger ki ye aadat honi chaiye ki wo apne Email ko daily check kare.. or Email ko sahi se manage karke rakhe..
Q ki bhut war important mail bhi aate hai jo miss ho jate hai agar daily check naa kare to..
Me aapko Suggest karuga aap ek Professional EMail Address use kare, or usko hamesa check kare, or jo bhi mail aaye unko respond kare.. or Inbox ko Clean rakhe.
16: Friend n Family Support
Full Time Blogging ke liye ye sabse jada jaruri hai, q ki agar aap jo kaam kar rahe hai usme agar aapki family hi support nahi karegi to naa aap kaam kar payege or naa aapko kaam karne me khusi hogi.
ho sakta hai starting me aapki family iss kaam ke liye support naa kare, to aap jid naa kare, or apna kaam karke result dikha kar unko manaye.
17: Marketing or Branding ka use
Blog ko Success karne ke piche sirf Quality content or SEO hi kafi nahi hai, agar aapko Logo ke mind me apne Blog ka naam fix karna hai to uske liye aapko Marketing or Branding ki shi jankari hona chaiye.
Aapko aese Tips, Post ya aese chije share karni hogi.. jisse logo ko dekhne se lage ki aapko iss field me achi jankari hai..
ye nahi ki aap apni post ki link jbran share kare.. isse aap apni image kharab kar dege..
Branding aesi honi chaiye ki aap logo ko apne blog ki link naa do, samne se log link mage.. ya mange ki bhi jarurat naa pade, direct aapka blog open kare.
Iske liye jaruri hai ki aap Market me apni ek achi Image banaye.
Ek Successful Blogger Banane Ke Liye Kya Hai Jaruri wo bhi aap jaan lijiye, q ki full Time Blogger banna hai to Success to hona hi hai. :)
At Last:
Ab aapko pata chal gaya hoga ek Full Time Blogger banne ke liye kya jaruri hai, or ye sab janne ke baad aap samaj gaye hoge ki aapko Full Time Blogger banna hai ya aap Part Time hi Blogging karni hai.
Blogging ke Fayde kya hai uske ware me bhi jarur read kare, taki aap apna fesla achi se le sake ki aapko kya karna hai.
Aap Comment karke jarur bataye ki aap abhi Full Time Blogger hai ya Part Time or aage ka aapka kya plans hai..
Featured Post blogger ka ek gadget hai, iski madad se ham apne blog ki kidi bhi post ko sidebar me dikha sakte hai.
Bhai aapke blog par bahot time bad aaya aur ye article read karke mind refresh ho gya. Mai kaafi time se blogging se dur hu apne kaam ki wajah se but ab fir se Mai start kr chuka hu sirf or sirf sikhne ke liye.
Bahot hi badiya post hai ye aur ek topic pr bhi post likhe, Full time blogging me daily work routine kaise banaye? Is par plz blog likhe.
Bohot badiya thank for this post
Wow bhai aabhi points ek dum sahi hai. Maine achhe se blogging kar sku sirf ishi dusri city me rehta hu.
same ;)
Spelling and words mistake ho gye 😅😅😅
Rohit ji i want to write guest post on your blog . you can see my blog zindagiwow.com
Yaha submit kare
http://www.HindiMeHelp.com/Guest-Post
काफी अच्छी जानकारी दी आपने
Thanks
sir aapki first earning kab hui thi hmh blogging se..
Aap one year success story read kare.
Kuch naa mile fir bhi Blogging…….very touching but right
thank you rohit sir apki posts me har bar kuch naya hi hota hai.
hello sir, ये बहुत अच्छा पोस्ट है, अपने बहुत सही जानकारी दी है जो एक नया ब्लॉगर को जानना जरुरी है, और में भी इस फील्ड में नया ही हूँ और मुझे आपके ब्लॉग पोस्ट पढ़ना बहुत अच्छा लगता है इसलिए मैं आपके ब्लॉग पोस्ट प्रति दिन एक पोस्ट पढ़ ही लेता हूँ, आप इस फील्ड में बहुत अच्छा काम कर रहे है। Thanks For Sharing This Article क्यूंकि मेरे जैसे और लोगो को भी बहुत मदद मिलते होंगे।
Thanks Raktim ji.. Keep visiting …
hello sir helpful articles very nice sir me aapak youtube par video dekhta hu but aapki blog ke baare me mujhe aaj pat chal thanks knowledge sheyar karne ke liy sir
sir mere ek blog hai kya aap use guest post karege please sir
sir mera ek question hai ki blog ya wordpress me post ke articles me video kaise lagat hai please sir reply
post me vide kaise add kare uske ware me yaha bataya hai.
Aap Gues post kar sakte hai. post yaha submit kare: http://www.hindimehelp.com/Guest-Post
Sir mene 3 mahine pehle bloging shuru ke the or ek mahine pehle mujhe adsence ka aprovel milgaya tha because of you only but sir mujhe har post me meta tag kese dalte hain ye nahi pata. please sir agar app bata sakte hain to please bataiye sir.
Thank you .
Blogger ki har Post Me Search Description Enable Kare
Hello Rohit Sir, apke is article se mujhe kafi motivation mila hai apne blogging career ke liye and me regular pake suggestions ko follow bhi kar raha hu. So thank you very much.
Great.. n Best of Luck
Love you bhaiya.. or planning ka bat rahe toh me Bata du ki Mera planning ehi he ki me raguler post karta hi rahunga. Or Bhaiya muje bahut kuch sikhna Baki he Sayed Deere Deere sikh Kar Mera blog ko accha accha content de pao
Great 🙌
N best of luck for your blogging
bahut hi achhi jaankari share ki hai bhai
Sir, aapke blog par jo Follow us button hai use kaise laga sakte hai
Mujhe bhi aapne blog par lagana hai.
Konsa follow us button.?
Sidebar me widget to newspaper theme ka hai.
Mujhe blogging karna pasand hai aur mei khud ko improve kar raha hu ki in future mera blog top 10 me aa jaye aur user mere blog se satisy rahe.
Great
Mujhe blogging karna pasand hai aur mei khud ko improve kar raha hu ki in future mera blog top 10 me aa jaye aur user mere blog se satisy rahe.
Jo mei bolta hu vote mei soch samajhkar hi karta hu aur jo mei nahi bolta vo mei soch leta hu aur achha laga toh kar leta hu
Naya hai😀😀
hii Rohit bhai….aapka sabi point accha lga aaur 4th point mere per apply bhi ho rha hai, bina page view ke blooging karta hu me abhi…hahahah
But aapke hindimehelp ka fan hu aaur sabhi post padhta rahta hu
Thanks…
Wass regular sikhte rahe or apne aapko improve karte rahe.. Results jarur milege..