Google me Top par rank kaise kare, ye sabal har ek website owner ke mind me hota hai, or hamesa wo ye jaanne ki kosis karta hai ki wo kya improvement kare jisse unki site Top result me aaye or wahi bani rahe, to agar aapke mind me bhi ye sabal gumta rheta hai to aap is post ko pura read kare.
Google me Top par kaise aaye or Kaise SEO ki madad se Top kare par phele post share kar chuka hu, par aaj iss post me thoda hatke baat karege, SEO + Google intelligence ka use karke kaise search me result aate hai.
Ye sayad aapko pata hoga, Google me kisi bhi result ko dikhane se phele 200+ chijo ko check kiya jata hai uske baad result show hote hai.
Ham Iss post me un 200+ ranking factors me se jo 10 sabse jada jaruri hai 2017 me unke ware me baat karege or janege kaise unki madad se post ko rank kara ja sakta hai.
Page Contents
Ranking Factor #1: Page Authority
Page Authority ko short me samje to jo aapki site ke page hai unki kya value hai, or ye jitni jada hoti hai utna hi Search Engines usko value deta hai.
Page Authority badane ka simple sa fanda hai aapko Page ko sahi tarike se manage karna hoga, usme sab kuch format me rakhna hoga, or jo bhi content aap usme use kare wo bhi ek flow me. jisme Image, Video, bagera ho.
Simple sabdo me kahu to aapko Page ki value badani hogi, iske liye aap apni site ke dusre page se unko link kare, or is page ko backlink bhi dilaye.
Ranking Factor #2: Link Relevancy | Backlink
Aap ye to jante hi hoge Backlink kya hai or wo kitni jaruri hai, or mene apni pichli post me ye bhi bataya tha High Quality Backlink kaise banaye.. par backlink banane ke sath sath uski relevancy bhi bhut jaruri hai.
Backlink se faida to milta hai, par jo link aapke page par aa rahi hai wo usse related nahi hogi to Google usko jada value nahi dega, isliye kosis kare aapka jo page hai usse related pages me hi link add kare.
Google ki abhi new update me bhi bataya gaya hai ki backlink kis trha se banaye, or jo Guest Post karte hai unke liye bhi warning di hai. Agar aap Guest post karte hai to aap Google Guest Post Guidelines jarur padhe.
Aapne Apne Blog ki post ko internal link bhi jarur karte hoge, usme bhi iss baat ka dhiyan rakhe jo link usse related ho sirf wo add kare.
Ranking Factor #3: Content Length
Agar aapko SERP par top karna hai to aapko long article likhna hoga, ye baat bhut se Top blogger ne servey karke kahi hai, or ye baat sach hai ki google me long content jaldi rank karta hai.
Long content ko jaldi rank karne ka karan ye hai ki Google ko samajne me aasani hoti hai ki jo wo page hai wo kis ware me hai.. par agar jada jankari nahi hogi or thoda bhut likha hoga to google tikh se samaj nahi pata ki page kis ware me hai, isliye wo unko jada jaldi rank nahi deta..
To aapko iss baat ka dhiyan rakhna hai ki Good length article likhna hai.
Ab aapke mind me ye sabal bhi aa gaya hoga, kitne sabd ka ek article likhe.. to ye depend karta hai, or aap isko iss trha se le ki aap jo bhi jankari de rahe hai wo puri ho or detail ke sath ho.
Aapko Length badane ke chakkar me ulti sidhi story add nahi karni hai, nahi to uska bhi nuksan ho sakta hai, wo me aapko agle point me bataoga. ;)
Ranking Factor #4: Content Detail | Content Relevancy
Aap koi Article likh rahe hai to usme aapko wahi jankari dena hai jo user ko chaiye, khene ka matlab aap aesa naa kare ki Title kuch or de, or content me kuch or likhe, Google aesa karne par aapki rank bhut kam kar sakta hai.
Example se samajte hai: Agar aapne Title diya hai “Website kaise Banaye” to aapko usme issi ki jankari dena hai, or iske aalawa agar aap kuch or jankari dege to naa user ko wo pasand aayegi or naa google ko.
Jesa ki mene pichle point me bataya Content ki length jitni jada hogi search me utni jaldi rank karega, par uske chakkar me aapko aesa bhi nahi karna hai ki kuch bhi likhte jaye jo kaam ka hi naa ho.
Jitni information ki jarurat hai utni deni hai, naa usse jada naa usse kam.
Ranking Factor #5: Average Time Spent on Page
Ye abhi ke time ka sabse Important Ranking Factor hai, or agar aapne isko samaj liya to aap aasani se apni kisi bhi post ko rank kar sakte hai.
Aap Post likhte hai, Pura SEO ka dhiyan bhi rakhte hai or badiya post bhi likh dete hai. Iss trha aap Google ke first Page par to aa jayege, par agar aapko First position par aana hai to aapko apne page ka spent time badana hoga visitor ka.
Dusre sabdo me khe sakte hai aapko apne Page ka Bounce Rate kam karna hoga.
Jab bhi koi search result me click karke aapki site par aayega or aapki site par rukega to google ko lagega ki jo usko chaiye tha wo aapki site par hai or iss trha agar aap last me bhi hoge to aapki rank improve hogi.
par agar aap top par hai or koi aapki site par search me click karke aata hai uske turant baad aapke page ko close kar deta hai to isse google ko lagta hai jo uss user ko chaiye tha wo iss page par nahi hai or isse aapki rank down kardi jayegi.
To aapko iss baat ka achi se khayal rakhna hai, ki koi agar aapki site par aaye to wo aapki site par ruke, iske liye aap content ko jada se jada interesting banane ki kosis kare.
Bounce Rate aap Google Analytics ki madad se dekh sakte hai, iske aalawa bhi bhut kuch hai jo aap track ar sakte hai google analytics me.. agar aapne abhi tak google analytics apni site me add nahi kiya hai to aapko abhi karna chaiye.
Ranking Factor #6: Domain Authority
Sayad aapko iske ware me jada jankari naa ho, par me aapko bata du Domain Authority bhi ek important role lay kart hai Google SERP ranking me.
Domain Authority ko simple sabdo me khe sakte hai, hamari site ke domain ki value.. or ye lagbhag 40+ se jada chijo ko caluclate karne par aati hai.
Ye aapne dekha hoga, jo new site hai wo jaldi rank nahi par pati, or naa unki post jaldi index hoti hai uska karan yahi hai.
Aap wese Direct Search Page se Post ko submit kar sakte hai, par natural tarike se index ho wo jada acha rhata hai.
Iske liye aapko apni Site ko sahi tarike se manage karke rakhna hoga or hamesa apni quality ko acha rakhna hoga, jab aapki Domain Authority badegi.
Ranking Factor #7: Keywords ka sahi use
Keywords kya hai or kya Keyword density rakhni chaiye wo me phele hi bata chuka hu, or ye bhi ek important point hai jisko Google dekhta hai.
Aap jo bhi post likhe uske Title Tag me Keyword ko jarur add kare. iske sath sath jitni bhi important place hai jada aapko ye add karna hai waha bhi sahi se add kare.
Agar aapko On Page SEO ki sahi jankari hai to aap Keywords ka sahi use aasani se kar payege.
Ranking Factor #8: Page Load Time
Kam Loading aaj ke time me bhut jaruri hai ye aap simple khud se samaj sakte hai, agar aap kisi site ko open karte hai or wo agar jaldi load nahi hoti to aap usko close kar dete ho..
Google bhi iss baat ka dhiyan rakhta hai ki jo uske user hai unko acha expriance mile, iske liye wo phele uss site ko dikhata hai search result me jo fast load hoti hai.
Website ki fast loading speed ke liye aap fast loading template use kare, iske sath sath mene kuch tips bhi share kiye hai site ki speed improve karne ki aap unko bhi follow kar sakte hai.
Ranking Factor #9: Responsive Design
Aap ye to jante hi hoge, jadatar user mobile ka hi use karte hai or mobile se aapki site ko open karte hai.. to unke liye aapki site mobile me sahi tarike se open ho uske liye aapko mobile friendly template use karna bhut jaruri hai.
Google iss baat ko bhi bhut series tarike se lata hai, ki agar koi user mobile se kuch search kar raha hai to unko jo result me site dikhaye wo mobile friendly ho.
Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye wo aap yaha read kar sakte hai, ya simple aap Mobile Friendly temple ko apne blog me upload kare.
Ranking Factor #10: Clean Site
koi bhi ho, saaf sutri chij sabko pasand aati hai or google bhi unme se ek hai, ab website kesi saaf sutri ko chaliye bata deta hu.
Website me kuch bhi faltu ki chije naa jo jinki site par koi jarurat hi nahi hai, jese kuch log acha design karne ke liye bhut kuch add kar dete hai, par naa wo jada kisi ko pasand aati hai or site ka load time badjata hai wo alag.
Site me Popup aana bhi user ko paresan karta hai, to iska dhiyan rakhe ki popups ads to kabhi naa lagaye or agar aap koi Email Subscribe Box ko popup me dikhate hai to puri site load hone ke baad wo open ho aesi setting kare.
Site me Ads to lagana padta hai income karne ke liye, par wo bhi itne jada na lagaye ki jo user hai usko samaj hi nahi aaye ki konsa ad hai or konsa content.. aese me bhi google aapki site ko naa pasand kar sakta hai.
RN Final Words
Agar aapko Google ki najar me acha banna hai or Google me apni post ko top rank dilana hai to aap iss baat ka dhiyan do ki aap har tarike se acha experience de apne visitor ko, isso Google khud wa khud aapki site ko promote karne lagega.
Agar aapko is point ke aalawa bhi koi point lagta hai, jisko Google jada Important deta hai to aap comment karke jarur bataye, or aapko meri batai gai ye jankari kesi lagi wo batana naa bhule..
Agar aapke Blogger Friends hai to aap unse iss post ko jarur share kare.. :)
Iss Topic par discussion ke liye aap HMH FB Group jarur join kare.
Kya aap mujhe back link de sakte ho
Sir mujhe aapki site par guest post karni hai Please aap meri help kare
gujjuadvice1 .blogspot .in
Sir aap ek baar yaha visit kare our meri help kare
Bhit acchi jaankari sir
Thank you
Gest post ke alawa koi trika hai jisse high quality dofollw back link great ki ja sake
very nice post sir ji. sir maine ek blog start kiya hai jiska naam hai” purani gyan ” blogger par open ki hai. please sir apna contact no no dijiye
Very nice post sir, jyadatar new hindi blogger kam jankari ke blogging start kar dete hai fir baad me pareshan rahte hai, isse kuch jankari milegi unhe
Bhut acchi or Begginars ke liye Usefull Post tha.. Thanks for Share…
Ye sabhi ke liye jaruri hai.. Only newbie ke liye nahi
aapki site kuch din se nhi open ho rhi thi aao bata rhe the hack ho gy thi
good work apne itne kam time me apni site ko recover kar liya
Brother uski info mene yaha share ki hai
Nice information. Article length is most important factor to rank the site.
haa sahi kaha aapne.
Brother, bahut se log Bolte hain .. Domain Authority Google ka product nahi …Aur google DA Ko nhi manta… Pls clear this doubt
Haa to brother aese to jitne bhi ranking factor hai.. Wo bhi google ke koi product nahi hai.. Or jese domain authority hai to wo 40 se jada chijo ko milakar calculate ki jati hai.
Bohot badhiya jankari bro
Sir outbond link kya
jo ham post me link add karte hai kisi dusri site ki wo outbond link hoti hai.
badhiya jaankari di aapne. . main isko jarur follow karunga
Bilkul.. isse aapko jarur faida milega..
help full info.. thanks rohit sir….
Welcome Bro.. :)
bahut he jaruri janakri naye blogger ke liye.
or rohit sir mene aapko ek guest post mail ke h plzzzz use publish kar do.
Naye nahi ye sabke liye jaruri hai..
Aap Guest Post Form se send kare.. thanks
bro aapki jankari bahut achhi he, mere kuchh sawal he,
1, page par kay kay rakhna chahiye
2, seo keliye kay best he wp ya blogger
pa par har wo content rakhe, jo useful ho.. Image, Video Taext, sahi tarike se format ho or title tags sahi hona chaiye.
SEO me dono best hai. par WP me thode jada option mil jate hai jinse ham khel sakte hai..
Nice Article
Hum jaise naye bloggers ke liye ye post bahut hi helpful saabit hogi.. Is post ke liye Thanks :)
Ek sawal hai.
Maine is mahine ke starting me hosting lekar apne blog ko wordpress par move kara liya. WordPress par jane par post ke sare links to apne aap wordpress ke default link me set ho gaye lekin maine post me jo internal links lagaye the vo wahi blogger wale links hai jis par click karne par “Page Not Found” likha aataa hai….Mujhe un sare links ko manaully thik karna pad raha hai jis karan mai blog par kuch naya post nahi kar pa raha….Kya koi aisa upay hai jisse sare post me maujud sabhi internal links apne aap naye links me update ho jaye?
Iske alawa Google me mere blogger wale link hi jyada show ho rahe hai or un par bhi click karne par 404 error aa raha hai…Google se in dead links ko ek sath kaise remove kare iske baare me bhi bataiyega ya agar koi post ho to uska link dijiyega.
WordPress bahut hi mazedar hai or us par kaam karne me maza bhi aa raha hai lekin abhi post ke link thik karne ke chakkar me maine us par kaam chalau template/theme laga diya hai. ek baar mera blog check kar ke bataiye ki kaun sa theme mere liye suitable rahega.
brother agar aapne apne apne blogger blog ko wordpress par redirect kar diya hai to ye problem nahi aayegi.
Aap apne wordpress blog ka sitemap submit kare.. or thoda wait kare.. google double se index kare uske liye..
बहुत ही useful जानकारी धन्यवाद ।
thanks Brother
Rohit bhaii is article ke liye shukriya , maine abhi pichle mahine he aapke articles ko follow kar blog banaya hai aur ye blog mai sifr aapke karan he bana paya hu. Aap mera blog ek baar jarur check kare mujay khushi hogi.
Bro aapne link ad ke code ko kaise edit kiya hai pls bata degiye?
Wonderful Information Rohit Ji
Jo log apni site ko google search result me top par lana chahte he unke liye yah jaankari bahut hi upyogi he, in sabhi tips ko follow kar hum humari site ki ranking 100% improve kar sakate he.
Thanks Brother..
hame ek bast bataen kiya scholarship aur kisi bhi site ke bare me blog likhna sahi hoga sir bataen .
sir bhot achhi posg hai
Rohit bhai,
jaisa ki apne Likha hai Domain authority bhi Important role karta hai SERP Ranking me,
To mai kaise Domain Authority ko accha kar sakte hai iska ko sahi tarika hai ya nahi
Apne blog ki high quality mentain karke rakhe.. Ye time to time badti hai.. Me jald iske upar bhi article share karuga.. Taki aap achi se samaj sake..
very useful post sir … i followed all steps in my blog~
Edit: Jitni information ki jarurat hai utni deni hai, naa usse “kam” naa usse jada
thank u much
Thanks Neeraj ji.. ????
Bahut Badiya Post Hai Rohit Bhai,,,
Esase beginner ko bahut accha fayda milega.
:) :)
sir,
nice post hai
Great Information .
Lekin Mai Points Number 3 or 4 Ke Baare Me Kuch Sahi Se Samaj Nahi Paya .
Jaisa Ki Aapne Bataya Hai Long Content Search me Trand Karta Hain Par Maine Esa Nahi Dekha Kyu Ki Content Search Me Wo Hi Trand Karta Hain Jo Quality Ka Ho .
Jaise Shout me loud , Wpbeginner , Shouthmehindi , Hindimehelp Matlab Maine Bhut Si Esi Website Dekhi Hai Jinme Content Km Hai Fir Bhi Trand Karte Hain Or Wahi Dusri Traf Jayada Content wali Website Trand Me Nahi Dikhti Hain Toh Iska Matlab Kya huaa .
Jayada keywords Wala Content Trand Karega ya
Quality wala Content