Agar aap Internet se badiya Paise Kamana hai to aapko hazaro tarike mil jayenge par agar aap ko aasani se bina jada jhankar ke paise kamana hai to aap Google Adsense se Kama sakte hai.
Google Adsense se Paise Kaise Kamate hai uski jankari mene pehle hi share ki hai jo aap yaha pad sakte hai.
Adsense se Paise Kamana Mushkil to nahi hai par sirf jab, Jab sahi tarike se kaam kiya jaye.. Q ki Adsense ka account aasani se approve(open) nahi hota or uski jo Term and Conditions hai wo bhi bhut stick hai.
Agar aap Adsense se Paise kamane ka soch rahe hai to jald waji naa kare or pehle uski kya kya sarte hai or kaise use karna hai, kya karna hai, kya nahi karna hai wo achi se jaan le. Fir jab aap Puri Trha se teyar ho jaye jab hi Adsense ke account ke liye apply kare.
Agar aapko Adsense Use karna hai to aapko unki AdSense Program Policies ko manana padega. Adsense ki Program Policies in Hindi me padhna ho to yaha pad sakte hai.
Adsense se Sambandit aapke bhut se sabal ho sakte hai un sabhi ka jabab aapko yaha milega: Adsense ke Sare Sabal Jabab hindi me.
Adsense Mainly 2 chijo ke liye hi use kiya jata hai, Youtube or Website/Blog.
Youtube se Adsense Account bana kar kaise connect kare uski jankari yaha hai. or agar aap Apni website/Blog ke liye adsense account banana chahte hai to post ko aage padhte rahe.
Agar aapke pass Website/Blog hai or aap uspar Adsense ads lagana chahte hai to aapko phele apni website ko puri trha se teyar karna hoga adsense ke liye. Aap yaha dekh sakte hai Adsense se Approve pane ke 11 Points jo aapko jarur padna chahiye.
Simple Sabdo me kahu to Adsense Account ke liye sirf jab apply kare jab aapki site puri trha se teyar ho or usme koi kami naa ho.. Website ka Design, Navigation acha ho.. Post badiya ho jo kahi se copy kiye to bilkul naa ho..
Ab me maanta hu aapki site puri trha se teyar hai jisme koi kami nahi hai or jo site me hona chahiye wo sab usme hai.. Aage badne se phele me aapko ek war phir kehna chahunga.. agar aapki site new hai or usme abhi jyada kuch nahi hai to aap abhi adsense ke liye apply naa kare. Chaliye ab aage badte hai..
Adsense Account Kaise Banaye Step By Step in Hindi (Adsense ke Liye Apply kaise kare)
Adsense Account banane ke liye aapko ye chahiye:
- Gmail Account (Gmail Account kaise Banaye)
- Blog/Website (Website (Blog) Kaise Banate Hai in Hindi)
- Address/Phone Number
Agar aapke pass ye 3 chije abhi hai to aap Adsense account bana sakte hai, Chaliye dekh lete hai Step By Step Adsense Account kaise banaya jaye.
Step 1: Sabse pehle to aapko Adsense ki site par jana hoga, fir signup karna hai.
Step 2: Jab Adsense ki site par pahuch jayenge to aapko apne GMail Account se login karna hai.
Jab aap Apne Gmail account se login kar lege to aesa aayega
Aap dekh le jo email id hai aapko ussi se banana hai Adsense account to Login with current account ki button par click kare.
Step 3: Ab jo Page khule usme apni website ki detail dale.
- Website ka address dale
- Website ki language(bhasa) me hai wo dale
- Save and Continue ki button par click kare
Step 4: ab ek Form open hoga, isko badi dhiyan se bhare or koi bhi galti naa kare
- Apni Country select kare (India)
- Time Zone me aapko apni location ka time select karna hai. agar india me ho to (UTC+05:30) kolkata select kare.
- Agar aap apne liye hi Adsense account bana rahe hai to individual select kare
- Ab apna Naam dale
- Address Dale pura or sahi sahi.. (Yaad rakhe aapka address bilkul sahi hona chaiye q ki uspar ek code aayega Google se jo aapko account me dalna hoga Address verify karne ke liye.)
- Primary Contact me Apna Naam Dale
- Mobile Number Dale
- Apni Email ID Dale
- aapko Adsense ke ware me kaha se pata chala wo select kare.
- Agar aap Adsense se email par jankari chate hai to aap inko yes karde.
- Submit my application par click kare.
Step 5: Ab aapko apna Mobile number verify karna hai.
Mobile number daal kar call ya SMS select kare, fir Send Verification code ki button par click kare.
Step 6: ab aapke Mobile par jo code aaya hai usko aap dal kar Verify kare.
Step 7: jese hi Mobile Number verify hoga, ek Popup open hoga.
Ab aap Adsense ki jo terms and conditions hai wo pad le fir yes par tik karke Accept ki button par click kare.
Step 8: jese hi aapka Submit karege agle page me ye Message show hoga.
Yhhhh, ab aapne Adsense ke liye Apply kar diya hai.
Ab Adsense ki team aapki site ko check karegi or agar usme kuch kani hogi to aap wo bataya jayega ya fir aapka adsense account approve ho jayega. ye jankari aapko Email par milegi.
Me aapse ek baat clearly kehna chata hu ki adsense account banane me jaldwaji bilkul naa kare or jab site puri trha se teyar ho jaye jab hi apply kare, Q ki agar aapne ek war apply kiya or approve nahi hui to dusri war me thodi dikkat aati hai.
Adsense Account Agar Approve ho gaya to aapko email me bata diya jayega. Fir uske baad aapko Adsense ke account me login karke ads code banana hai or usko apni site par lagana hai.. Yaad rakhe pehle ads blank(khali) aayege jisme kuch nahi dikhega.. jab ads code aap apni site me add kar dege to aapki site ko ek war fir check kiya jayega ki kahi aapne ads ko galat tarike se ya galat jagha to nahi lagaye.
Google Adsense Ad Placement Policies in Hindi me jarur padhe Ads ko site me lagane se pehle..
Kehne ka matlab hai adsense account 2 steps me Full Approve hota hai site ke liye. Sabse pehle to aap Adsense me account bana kar apply karte hai, fir jab approve ka email aa jata hai aap pheli step complete ho jati hai, ab aapko ads code apni site par lagana hai or jab ads dikhne lage matlab aapki dusri step bhi complete ho chuki hai or Adsense account puri tarah se approve ho chuka hai.
Kitna Time lagta hai Approve hone me?
India me bhut jada log apply karte hai adsense ke liye to ho sakta hai aapko Adsense se Email aane me time lag jaye, Kabhi kabhi 1-2 din me aa jata hai kabhi mahino bhi lag jate hai, or usme me ya aap kuch nahi kar sakte wait(intjar) karne ke alawa.. dono steps me time lagta hai to thoda dhiraj rakhe or apni site par kaam chalu rakhe.
Umeed hai aapko sab clear ho gaya hoga, or aap jaan chuke ho kaise Adsense account banaye. Agar aapka Adsense se sambandhit koi bhi sawal hai to aapko uska jawab yahan milega.
Aapko ye jankari kesi lagi comment me jarur bataye.
Ye Bhi Padhe:
- Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindi
- 1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai
- 5 Karan Adsense Se Paise Kamane Me Q Fail Hote Hai Log
- Online Paisa Kamane ke 10 Badiya Tarike or Upay Hindi Me
- Online Blogging Me Kitne Paise Kama Sakte Hai Uski Limit
- Adsense use karne ke Fayde
- Adsense se sambandhit sabhi Sawalo ke Jabab
Sir mera Adsense Account ko approval mil gya hai LeKin mera Blog pr Zero traffic hai isko Kaise increase kru pls help kijiye …
Kya ain Apke Blog pr Guest Post likh skti hu.. ap mere Blog ki Post dekhkar
Comment ka reply jarur dijiyega
Maine koi copyright ,image contant kuch bhi copyright nahi kiya hai
Me jab bhi adsens k liye apply karta hu to disapproved ho jata hai
Bahoot se blogger ne mere site ka review kiya but unhe bhi koi samaj ni aa raha hai
Different email se bhi try kiya but ek hi msg milta hai ki account disapproved
Aisa kuy ho raha hai
Pls tell me replay fast
Adsense account banane ke liye apki jankari bahut badhiya hai wese kya app bata sakte hai ki adsense ke liye app kansi plugin use kar rehe hai…
Brother ap na bahut hi achy tarike se adsense ko explain kiya hai maine hindi me help ki madad se website banai hai kindly ap meri website Check kren or bataye k website maine kaisi banai hai
aapki abhi bhut si setting baki hai.. aap menu add kare, logo lagaye..
thanks bhai
1 . mere adsean account pehale awaiting show hota tha ab ads display setting show ho raha hai to kya mera account approved ho gya hai.
2 . mera blogger blog me post ke niche ab rikat jagha aa rahi hai to iska kya matlab hota hai mujhe abhi tak koi mail nahi mila spam me bhi
3 . jab me adsean me log in hota hota hu to vaha mobile number bhi verified batata hai lekin ads setting mins sabhi setting discable hai mujhe ye msg show hote hai
4 . Welcome Back!
You already have an AdSense account associated with suniljangid0804@gmail.com. It’s ready to use now.
5 . dusra msg
Activate your account follow this step mobile verification
maine ye bhi kar diya
6 . We’re working on setting you up
This usually takes less than a day, but in some cases it can take a bit longer. We’ll notify you when everything’s ready. Then start earning money by placing ads.
pls bhai ye mere liye jaruri .mujhe aapke yeplay ka intjaar rahega
Bhai mera Adsense account approve nahi hua…kaise karen.
Please ek bar dekh ke bataiye
Bhai agar me kishi dusri site ke ads apne blog par lagau uske baad kbhi adsens ke lagaunga to adsens ko koi problem to nhi hogi
aap laga sakte hai.. par me aapko suggest karuga aap adsense use kare to koi dusra ads use naa kare..
Sir मेरा एक question है जो इस प्रकार कि (1).मेरे को adsense का pin verification नंबर मेरे Permanent Address पे भेज दिया गया है . करीब 1 month हो गया , जो की अभी हमें मिला नही है, और adsense new pin नंबर मेरे को mail द्वारा Pin Generate करने का आप्शन दे रहा है तो please ये बताइए की मै new Pin Generate कैसे करू. Sir हमने कई ब्लॉगर से पूछा but मै उनके उत्तर से सहमत नही वो सब वही पुराणी तकनीक बता रहे. Sir आप से मै बहुत ही आश लगा के question पूछा हू कृप्या मेरा help कीजिये Thanks Sir
account me resend karne ka option hai.. double se send kare.. 3 war karne ke baad document upload karke bhi verify kar sakte hai.
Sir meri problem ye hai ki mai google adsense mobile se bana raha hoon sari process hoti hai but number par codenahi aata aur fir se adsense sign up mangta hai
sir mera blog check karke bata sakte hai ki main adsense apply kar sakta hu ki nahi,
aur sir main domain kisi dusre naam se lene wala hu to koi gadbadi to nhi na hogi baad me.
sir meri site pr yah aa raha h apply karne ke baad
Thank you for your interest in Google AdSense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.
We did not approve your application for the reasons listed below.
Difficult site navigation: During our review of your website, we found your site difficult to navigate. Potential navigation issues include: redirects, pages behind a login or restricted access, broken links, excessive pop-ups, diallers and pages under construction or not yet launched.
Sir, Mera blog nahi he lekin mera Youtube channel he. Kya me adsense nahi bana sakta hu? Bina wapsite/Blog se me keise adsense account banao?
Sir…. Kya mai fitness and nutrition or internet k tips and tricks k post ek hi blog mai likh sakta hu ????? Ya alg alag blog banaane honge ?? Please help me….
Agar aap sirf in to category ko target kar rahe hai to me aapko suggest karuga aap alag alag blog banaye.. Taki aapke jo visitor hai wo confuse naa ho.
Comment:Sir miane apna blog bnaya hai ahadguru.blogspot.com abhi 20 Din huye hai lekin usme earning par click karne par sign up for adsense likhta hai to kya ye sign up hoga
Ho jayega.. Par approve nahi hoga.. Phele aap achi se design or badiya contant dale.. Fir kare signup
bhai mujhe ek website bnana he jo free ho jiska use adsense form fill krte time lgta h mujhe ye concept ni smz aa rha h please
Hello bhai mere ek sawal hai .. Ek gmail se ek hi addsence bana sakta hai ye to pata hai .aagar main chahun to dusre email se ek hi detils se dusra addsence bana sakta hun kya?? Ek hi admi ki detail se kitna addsence account bana sakta kya aap bata sakte ho ?? Aagar ek admi ka ek hi addsence bana sakta hai to dusra email ka youtube channel ko kayse link kare pahle banaya hua addsence se ap jaldi bataye bhai
sir kya blogspot wale domain AdSense approved ho jayega
Rohit bro maine same aapki aaj mere blog k notifications me ek AdSense se related msg aaya tha . Usse maine aapk hindi me help fb group par send kar diya hai. Uss msg ko dekh kar maine same aapk bataye tarik se AdSense k liye sign up kiya. Step-4 to complete sahi sahi ho gaya. But step-5 me kuch aor dikh raha hai. Step-5 ka screen shot aapko aapk fb par send kar diya hai please issk baad kya karu . Please bataye!!!!
Mere sath dusri problam he…me youtube aur blogger par adsence ke liye apply hi nahi kar pa raha hoon…hota ye he ki…email vrify hone ke bad website verify nahi ho pati aur aage process bhi nahi hota he…click and continue par aage ke liye click karte to ye halke colour ka ho jata he…bas aur koi process nahi hoti aage..please batayen kya karen ki adsence ke liye apply ho jaye….thanx
bhai mera ek web adsanse se juda huva hai aur maine abhi ek youtube video bhi add kiya hai ab main jab adsanse performence chek kar raha uper ye dikha raha…
YouTube earnings will be added to your AdSense payments page before the 15th of the month and included in your payment if your total earnings exceed the payment threshold. Estimated earnings will not be updated to include your YouTube earnings.
iska kya matlab kya mera video se earning nahi hoga plz help…
सर WordPress blog पर भी AdSense account create कर सकते है
Rohit ji, how are you. Meri ek problem solve kijiy. Mere AdSense account kholne ke 6 month bad mujhe add code milne lage maine enko apne blog par lgaya par ek sal hone ke bad bhi add show nhi ho rahe hai.uski jagah blank space aa raha hai.
Aur na hi mere pas google se koi mail
aaya hai kya karan ho skta hai.kya koi setting karni padhti hai mujhe kuchh samajh nhi aa raha hai mai bahut dino se paresan hu asha karta hu ki aap meri problem ko solve kar denge.
Hello Rohit sir aap kaise ho umeed kartan hoon ki aap badhya he honge.
Sir aapki site se mene bahut kuch sikha hai or mujhe bahut help meli hai. To me aapko thanks kahna chahunga.
Sir mera question ye hai ki ager kisi ki age 18 years se kam hai or usne apna blog bana rakha hai or wo adsens ka use karna chahta hai to wo apne kisi family member ke adsens account ko apne blog ke liye use kar sakta hai.
Matlab wo apne blog ke liye apne family member ki details de sakta hai.
Sir mujhe aapke jawab ka intazar rahega.
sir,adsense ki ads ko post ki bich me kaise ad karte he.
You wil be ridirected back to youtube ke baad mai next clik kar raha hun but page nahin khul raha hai please help me
You wil be redireted back to youtube ke bad mai next kar raha hun but page nahi khul raha hai
Adsense youtube se zod raha hun last me jab next kar raha hun to page nahin khul raha Hai please help me
Rohit
maine galti se apne hi ads par click ho gaya,
google adsense ne mere avedan ko nakar diya hai,
maine form me jakar avedan bhi kiya tha,
aur disable kar diya hai, mujhe adsense use karna hai,
mujhe apne hi naam se adsense lagu karna hai.
help rohit
aap domain add karke fir se apply kare
Warning: HTTPS is not available at the moment for custom domain blogs. Show kar raha plz bataye
bhai mera AdSense account hai YouTube channel pe connect hai aur mujhe 2nd and 3rd channel ko jodna hai to kaise jodu aur us account me 1.5$ hai
hello sir maine adsense ke ley apply keya tha mujhe ek mail aaya hai jismai likha hai
One last step to get started.
Copy & paste a few lines of code to get your site ready for review.
One last step to get started.
You’re almost there! To get your site ready for review by our team, copy and paste the ad code found in your AdSense account onto your website (and make sure it’s on a page with traffic).
You can find the ad code in the “My ads” section after you sign in to AdSense.
Get ad code
Once your site is approved, ads will begin to show, and you can start earning! Approvals normally take about a day.
Need more detailed steps? Our AdSense Help Center breaks down how to implement ad code. You’ll also find a list of certain platforms, like Blogger, that have AdSense built-in to help make things easier.
See you online,
The Google AdSense Team
Questions? Check out the AdSense Help Center, or chat with AdSense experts in our Help Forum.
Was this email helpful?
YES
NO
sir mera adsense aprove hua hai ya ni
Thanks rohit for such an informational post.
Keep posting.
Thanks Rohit
Me Blogging jun/2016 se kar rha hu. Adsence ke liye mene agust/2016 men apply kiya next after 2 days mujhe adsence se email mila ki mera adsence aproove kr diya gya hai and thats great!!
Hellow Rohit sir mere gmail me pahala aproove ka mail aa gaya hai toh dusara mail aane me kitani der lagegi batayiye plz
Brother adsence se 2 month phale mera 273$ ka payment hua ha pr abhi tk mere account me nhi aaya ha ab mujhe kya krna hoga.
Hi Rohit bro, konsi matalab kis tarah ki site me Adsense easily approve hota hai???
Hello rohit sir Maine naya mobile kharidi hoon lekin usme gallery open nahi horahi hai or mp3 ka application nahi diya hai please help me sir
Mera AdSense Approve Nahi Hua But Mere YouTube Videos Par #Google_Ads Show Ho Rahe Hai.
Sir Maine Ek Video Banake Youtube Par Upload Ki Hai,Jisme Maine INDIAN Ke Top ACTORS Ke Baare Me Bataya Hai,Mene Us Video Me Kuchh Photos Add Kiye Hai Un Actors Ke,Me Janna Chahta Hu Ki Wo Photos Kahi Copyright To Nahi,
Maine Wo Photos Google Pe Search Kiya>>Screen Shot Liya>> Edit Kiya Aur YouTube Video Me Dal Diya.
To Kya Wo Photos Copyright Maane Jayenge?
Sir Maine AdSense Me Blog Se Aur YouTube Se,Dono Se Apply Kar Diya Hai,Mere AdSense Ko Apply Kiye Huye 1 Month Se Jyada Ho Gya Hai,Na To Approve Hua Na Hi Disapprove.
Mujhe Lagta Hai Ki Mere Blog Me Copyright Contant Hai,Ab Me Apne Blog Se Kiya Hua Apply Request Reject Karke Sirf YouTube Se Apply Karna Chahta Hu.
Hello sir very nice post sir mai aapka bahut hi purna vistor hu mujhe ye post achha laga sir mera question hai ki
Adsense ko pic. Unite text unit me bhi sabhi post me lagana hai but koi simple ways bato
Q.2 Sir mera post 65 hoga hai but traffice nahi aati
Q.3 sir kya post ka tittle google planer se search kar sakte hai plz sir batao
Rohit Sir,Main pichle 7 month se aapka hi free template use kar raha tha.Lekin fast loading ke chakkar me maine alltechbuzz wala template upload kiya.Jis vajah se mera pura seo damage ho gaya hai.Bahot si problem aa rahi thi isliye maine backup wala vahi template fir se laga diya .Is puri process me mostly sabhi problems ko maine solve kar diya hai lekin kuch problems solve nai ho rahi hai jaise ki,
1.traffic 10000 se ghat kar 4-5 hazar ho gaya hai
2.main apni header image ko upload karta hu toh text and image dono show hote hai or header ka url bh work nai kar raha hai jab ki maine sabhi setting thik se ki hai.
Aapne Simple Tarike Se Samjha Diya
Rohit ji,agar koi blogging ko lekar serious hai to use blog blogger par banana chahiye ya WordPress par. aapka blog kaha par hai?
Rohit sir
Happy Independence Day,
Mujhe 8-9 month ho gye the blogger pr to mene socha ki abb mai WordPress pr shift ho jao to mene HostGator se baby plan vali hosting le li. Pr mujhe abhi 2-3 din hi hua hai WordPress pr yha to dimag khrab ho rha hai. Kuch smjh nhi aata kese kya hota hai. Thoda bhut to lgg jata hai pta pr jada nhi. To mai vapic blogger pr aane ki soch rha hu. Pr phir to mere hosting ke paise barbad ho jayege. Please brother help me.
आप सभी को स्वतंत्रता दिवस की हार्दिक शुभकामनाएं !
इश्वर करे की हमारा देश सभी जगह और सभी चीज में उन्नति करे,
ताकि पूरी दुनिया को हम पर गर्व हो.
हिंदुस्तान जिंदाबाद !!
agar mai USA ka adsense use karu, to adsense ko koi problem, Ek aur bat cpc visitor pe jayada depend karti hai , adsense account kaha ka hai ispe
hello sir meri website ka rpm 0.50 sent ka de raha hai kya karu jisse rpm increase ho jaye
India me itna hi rheta hai.. Aap high cpc wale keyword use kare..
sir two yr blogging kr raha phale to kam se kam se 1 se 1.5 ka rpm rahta tha per es month se pata ni kya ho gaya and high cpc wale keyword ka pata kaise karu
Dear sir jaha tak mujhe confirmed hai ki aap USA Ka AdSense account use krte hai kya kyuki apko earning 50000 se jyada hai
Aapko galat lagta hai.. Me India ka hi adsense account use karta hu.. Or aapko ye q laga me jaan sakta hu..
Brother, mera adsense Google ne reject kar diya ab kya karu……
Aapne agar post padhi hogi or dekha hoga mene usme saaf saaf or war war kaha hai ki jab puri trha se site teyar ho jaye jab hi apply kare..
Yes Rohit! You are right. I should wait for it.
Google Adsense ke Ads show to ho rahe hain aapke blog par bas aap Adsense ke link Ads ki jagah Image ads lagaye… Ho to gya hain Approve…