Agar aap ek Blogger hai jinki Hindi Website hai to aapne kahi na kahi se Google Question Hub ke ware me thoda bhut to sunn hi liya hoga, or agar nahi sunaa to bhi koi baat nahi, me abhi Question Hub ke ware me detail me share karne wala hu.
Question Hub Kya hai, Kaise Kaam karta hai or Kya fayde hai Question Hub Tool ko use karneke or isko kaise join kiya jaye uski puri jankari aapse share karne wala hu.
Page Contents
Question Hub Kya hai
Question Hub Google ka ek Tool hai, jo abhi Beta version me hai, matlab abhi sabke liye available nahi hai or uski testing chal rahi hai..
Google par rojana caroro search’s hoti hai, jisme se 15% aesi search hoti hai jo usse pehle kabhi search nahi hui.. to aap isse andaja laga sakte hai ki kitna kuch ho sakta hai jiske ware me pehle se Internet par naa ho..
Question Hub Tool ka maksad hi ye hai ki jin user ko unke sawal ka jabab Google search karne par nahi mila wo apna sabal waha submit kar sake..
jisse jo bhi website owners hai unko pata lag sake ki user ye janna chahte hai or wo apne website me uske ware me daal sake..
Abhi Internet par kitna Content hai uski baat ki jaye to Hindi me only 0.5% content hi abhi uplabd hai.. matlab abhi bahut kuch hai jo Share karna baki hai.. to aese me ham Question Hub Tool ki madad se log kya sawal puch rahe hai or kya janna chahte hai dekh sakte hai.
Question Hub Kaam kaise karte hai
jab Mobile me Google par kuch search karte hai to aapne kabhi na kabhi Search Page par niche ek Box jarur dekha hoga, jisme likha hota hai “What’s your Question?” jaha ham question submit kar sakte hai.
ye jo Box hai, isme user direct apna sabal likh kar submit kar sakte hai..
Jab bhi Google par koi kuch search karte hai, or agar Google ko lagta hai ki jo inhone search kiya hai uska sahi jawab inko nahi milta hai, to automatic ye Box Search page me niche aa jata hai.
To user yaha apne sabal submit karte jate hai.. or ye sab sabal Question Hub Tool me show hote hai. jiska access Website Owners ke pass hota hai.
Agar aapki website hai, to aap Question Hub Account bana sakte hai.. Account me access milne ke baad aap waha se Category ya Keyword search karke Question dekh sakte hai.
Ab jo bhi website Owners hai wo Question dekh kar uske upar post dalte hai apni website par, fir uska URL unn question me submit kar sakte hai..
Question Hub ke Fayde
Question Hub kya hai or usme kya hota hai wo to ab aap samaj gaye hoge.. ki isme Google search se user ke Question aate hai jo bhi user waha submit karte hai..
To agar aap Question Hub use kar rahe hai matlab aapki website hai.. to usme aapko Question Hub se kaise Help mil sakti hai ya kya fayde ho sakte hai:
- Post Likhne ke liye Blogger ki sabse badi Problem hoti hai ki Topics kaha se laye Post likhne ke liye.. to wo ham Question Hub me Category Select karke aasani se dekh sakte hai.
- Ek Badiya Content wo hota hai, jisme ham wo information de jo user janna chate hai.. to ham Question Hub me aaye Question ko dekh kar samaj sakte hai ki user ko kya or kaise chaiye or wahi ham apni website me share kar sakte hai.
- Post ko Likhne ke baad, or usme kya kya point add kiye ja sakte hai uska idea ham Question Hub se le sakte hai.
Question Hub Join kaise kare
Jesa ki mene Starting me hi bataya ki ye abhi Beta Program me hai, matlab abhi isko sabhi log use nahi kar sakte.. sirf kuch logo ke pass iska access hai.. to agar aap bhi Question Hub ko join karna chahte hai to aap niche diye Link se Form Fill karke Apply kar sakte hai.
*Question Hub use karne ke liye aapki website hona jaruri hai.. or ek jo sabse khaas baat wo ye, ki Question Hub Tool abhi sirf Hindi bhasha ke liye hai..
Question Hub par account banane ke liye aapko apne GMail account se login karna hoga, aap ussi email se login kare jisse aapne Google Search Console account banaya hai.
Question Hub se related aapka koi bhi question ho ya Dusre Bloggers Question Hub ko kaise use kar rahe hai wo janne ke liye aap Question Hub Facebook Group join kare.
To Ab aap Question Hub kya hai isme kya hota hai or Ek Blogger ko isse kya fayde hai wo aap jaan chuke hai.. fir bhi agar aapka koi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai.
***
ek or khas baat jo me aapse share karna chahunga..
HindiMeHelp Question Hub Tool ki Gold User hai, iske liye Google ki taraf se Chromebook, Google Home, Chromecast or 2 war Google Certificate mil chuke hai.
Question Hub ka Event Delhi me 14/12/2018 ko tha, jiski Photos aap yaha dekh sakte hai (*Group Join karne ke baad Photo dikhege). :)
Very informative post.
your topic is so informatic
Thank you
Really nice article bhaiya ji 🙏
Esi tarah ki or entertaining jankari ke liye visit kare my blog website.
https://www.technofact.in/
Bahot acha article
sir tab kab tak add karega
sir maine apni website question hub me submit kar di hai magar mujhe ye janana hai ki kitne dino me account whitelist ho jaega aur account verify ke liye kya requirement hai.
abhi wo new user add nahi kar rahe. abhi tool par work chal raha hai..
Bahut achi jankari he sir . Nice article
Thank you sir
Bahut hi badhiya jaankari share ki hai Aapne. Hindimehelp Is an great blog in india. Keep up the work and keep sharing
Good jobs sir, nyc
Bohot hi achi post hai sir. please aur post share karte rahe hamesha.
Kuchh logon k sawal aise hote hain ki samjh hi ni aata 1 line ans ke liye post kaise likhu
aap chote chote ek se jada question ka answr apni ek post me de sakte hai.. or uska link sabme submit kar sakte hai.
very nice your Article My bro
good post
bhaut achi jankari dali he aapne mene aap ki is post ko padkar hato hath aap ke de hue link se question hub ko join kiya ha aur last me apko bhut dhanywaad
आपके Blogs के कारण मेरा Hindi Blogging मे दिलचस्प बढ़ता जा रहा है।
बहुत दुख की बात है, हिंदी में हेल्प वेबसाइट पे लिखने के लिए देवनागरी लिपि की जगह रोमन लिपि का इस्तेमाल किया जा रहा है
Nice article sir
Sir mene to kab ka iske liye apply kar diya tha but abhi tk didn’t get any confirmation or rejection ? What … ?
aap thoda wait kare.. abhi tool me kuch udate aane wale hai.. sayad isliye abhi approve nahi kiya hai..
nice sir
Mujhe Question Hub ka access mill gya hai, pr isme sirf 100 question mille jo manne ajj hi khatam kr diye. By the way, Best For content ideas
Hello Rohir sir,
Aapne bhut acche tarike se bataya hai Google question hub ke baare me and aapko google question hub ki taraf se gifts milne ke liye Congrass.
bahut hi bdya information di sir apne bth dout the mujhe. mujhe event khtm hone ke bad pta chla. bth afsos hua. bth afsos hua.
बहुत ही बढ़िया तरीके से आपने समझाया है रोहित भाई, हिंदी ब्लॉगर के लिए बहुत ही महत्वपूर्ण जानकारी है।
Osm sir
Very nice information share by you .
Rohit bhai……suna to tha iskay bare me Lekin aapke Post Ka intjaar kar rahe thay…………..me hindi me help ka bahut dino se read kar raha hun……….mujhe ek baar problem (theme) me aayi bhi thi to aapne help kiya so ab trust ban chuka ha….thank you
Thanks bhai.
bahot achhi jankari di sir apane thanks.
Main Question Hub join karne ke liye Form Fill kiya… kitna time lagta hai review karne ke liye? Thanks
bhai wo manually check karke approve karte hai website.. 24 hours tak lag sakta hai.. ya fir unke pass time nahi hua to thoda jada tie bhi lag sakta hai.
Bahut hi badhiya psot sir aapne kafi achhi jankari ko share kiya hian Thanks.
Bhai bohot informative article likhe ho kya Mai aapko guest post submit kar Sakta hu.
Accha jankari hai, sabhi Bloggers ko janna jaruri hai yeh.
Thank you sir such a good information
इतना बढ़िया इनफार्मेशन देने के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद ऐसी जानकारी पाने के लिए आप भी मेरे भी वेबसाइट में आ सकते todaythinking
Apka laptop mil gaya kya sir
Bahut khoob likha hai aapne sir
Bahut bahut badhaiyan
Nahi bhai, wo nahi mila..
Sorr for long character comment, ek blogging ka nasha hua person hu so sote mote comment, article, likhna accha nehi lagta hai muje..
wow, sir post padhke kuch alag hi maza aaya, Questions hub tool me 1week se use kr rha hu or muje sare jankari pata tha, firbhi aapka post prke mera jannewale bato ko or jyda strong ho gaya hai, Rally Rohit bhaiya aapka site ke kuch post padhkr hi mera blogging career succes ho rha hai, ya ni sir muje lagta hai mera blogging ka kadam success mil chuka hai muje, firbhi me khudko blogger nehi kehta hu, blogger toh aaplogoko kehna sahi he, sayed hum bhi blogger hi kahu toh bhi galat nehi hoga, firbhi me khudko aabi bas Blogger jaisa manta hu, muje pata hai blogger hu muje kehna jarurt nehi hai, logone hi blogger krke pukarne suru kr dega Insallah, bas Rohit mewada sir, Jumeeden khan sir, Hars agarwal sir yeh 3 site milkar muje kitna khusi hua woh bolne wale sayed word nei hai, rally awesome sayed me hi bahut lucky hu, Love you Rohit bhaiya and aapka har post ko mera pyar, Sir is comment ka reply mera email par send kijiyega 😍
आपने बहुत अच्छी जानकारी शेयर की है