Google ke New Updates jo Aapke Dimag Ghuma Denge | Search in Video

Google aaye din New Technology or Features late rehta hai ye to aap jante hi honge, or abhi 2022-2023 me jo New Update aane wale hai unko jaan kar aap shocked jarur ho jayege.

Jo New Update hai unme se jadatar AI Base update hai or ye to aap jante ho honge kitne sare AI Tools market me aa gaye hai to aese me Google kaise piche reh jaye.

Advertisements
Google ke New Updates jo Aapke Dimag Ghuma Denge | Search in Video - Internet

Google ke Top Feature jo 2022-2023 me aane wale hai.

Google Search In Video

Agar aap Google par kuch search karte hai or waha koi video aata hai to ab aap uss video ke andar kya hai wo bhi search kar payenge.

Jese aapki koi information search ki or usme koi 20-30 minute ka video search me aa gaya par aapko jo information chahiye wo video me kahi hai to aap Search in Video option ka use karke Video me wo hissa search kar sakte hai.

Google Multi Search

Google me ham kuch bhi search kar sakte hai ye to aap jante hi honge, ham Screenshot ya Photo click karke bhi Google me search kar pate the.. par ab chijo ko or clear tarike search kar payege Multi search ki madad se.

Google Multi Search kaise use kar sakte hai:

Jab bhi aap Google me kisi Photo search karenge to usse related Photo search me aa jate hai.. to aese me agar aap kisi kapde ka design search karoge to wo kapda search me aayega. agar aap uss kapde ke dress search karna chahte hai to simple aapko multi search me dress dalna hai.

Voice Search in Hinglish

Google par agar aap kuch Voice search karte hai to aapko uska answer mil hi jata hoga, par ab or jada accurate search result milege agar aap Hinglish me search karenge tab bhi.

Jese agar aap Google me bolkar search karege, “Sparrow ko Hindi mai kya kehte hai?” to Google usko samaj jayega ki aap “What do you call a Sparrow in Hindi?” search kar rahe hai. pehle bhi is tarah se search ho jata tha par Google usko sahi se samaj nahi pata tha par ag jada accurate result milenge.

Google Search for Medical Prescriptions

Jab bhi hum kisi doctor ke paas jate hai or wo jo dawai hamare parche me likhte hai wo to usko padna ek aam insan ke liye bahut pechida hota hai, par Google abhi issi Project par kaam kar raha hai jisme me Doctor ke likhe parche me kya likha hai usko bhi samaj payega.

Agar aap janna chahte hai ki Doctor ne kya likha hai to aap Google ki help se read kar payenge. uske liye hame simple Parche ko Scan karke search karna hoga.

Search Document in Google

Hamare Phone me jitne bhi Important Document hai unko Photo to ham khich kar rakh lete hai par jab unki jarurat hoti hai jab milte hi nahi.. issi Problem ka Solution Google lekar aaya hai.

Google App me ham DigiLocker ko connect kar payege.. uske baad ham Direct Google par hi apne Document search kar payenge jese Aadhar Card, Driving License, Marksheet, Insurance etc.

Apne Last Month Kharch ko Jane

Google ka ek New Feature jisme ham apne last month ke kharch ke ware me search kar payege or jaan payenge ki kitna kharch hua hai.

Iske liye hame Google Pay ka use karna hoga, jo ki UPI App hai.. uske baad ham jitne bhi apne Transaction hue hai unko direct Google par hi search kar payenge.

Note: Google Pay se paise bhi kama sakte hai, to agar aapne abhi tak Google Pay ko Install nahi kiya hai to kar lijiye.. Google Pay se paise kaise kamaye uski jankari ke liye yaha click kare.

Bilingual Search Result

India me pehli war Google ne New Feature ko laya hai jisme aap jo bhi search karega wo English result ke sath aapki jo local language hai usme bhi sath me aayege.

Pehle Sirf English result aate the, ya Hindi ke liye alag option par click karna padta tha, par ham dono language me mix result aayege.

At Last:

Google ne India ke liye Specially itne sare New Features or Update laye hai ye jaan kar acha laga, or isse hamare kaam pehle se or jada aasan hoge aesa mera manna hai.

Wese aapko kya lagta hai konsa Update aapke sanse jada kaam aane wala hai ya konsa Update aapko sabse badiya laga.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :) ย Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

19 thoughts on “Google ke New Updates jo Aapke Dimag Ghuma Denge | Search in Video”

  1. Bahut din baad aapke blog ko open Kiya fir se kafi samy diya or fir kuch naya sikhne ko mila aapse bahut purani yaade judi hai lagbhag 2018 se hi mai aapko follow karta raha hau thanks again

    Reply